ghusal ghusal k sirf 3 farz haiN (1) ghararah karna (2) naak maiN ooper tak pani pahonchana (3) pooray jism ko pani say geela karnaa... dat's it. iss say "islami ghusal hojata hai.
khawateen ko aik khaas ehteyaat yeh karni chhaiyeh k woh apnay zeraat like ring, naak, kaan k zewar etc etc hilaa julaa kar ghomaa lain takay oskay neechay ki skin dry nah rah jaa.ay... aur baalouN ko bhi achi tarah wash kar laiN takay baaloun k neechay koi jagah dry nah rah jaa.ay.
masnoon tareeqah ... ghusal ka sunnat tareeqah yeh hai:
1) jism k agar kissi hissay maiN naa.paaki lagi ho to pahlay oss hisay ko wash kar laiN.
2. wazoo kar lain...but feet nah dho aiN
3. above 3 fara'iz ghusal k ada kar laiN
4. nahanay ki jagah say koi paak saaf jagah par /onnchi jagah par feet dho laiN |