Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Ghusal Ka Tareeqa In Urdu - Ghusl In Islam

Religion and Culture   >>  Religious Questions
 
 
 
reply Group: Members  Joined: 21st Jul, 2010  Topic: 10  Post: 63  Age:  22  
Posted on:21st Jul 2010, 3:41am
 

Ghusal Ka Tareeqa In Urdu - Ghusl In Islam

Mujhe yeh puchna hai ki kuch log kehte hai agr ghusl tarike se nhi keeya gaya to guhusl hi nahi hota jese ki sidhe hath se kapde utarna phir teen baar sidhe hath pe pani dalna teen bar er par etc ...

Mera sawal ye hai ki jab hum naha te hai to wese bhi hamari koi jagah dry nahi bachti sab wash ho jata hai to kya ye kafi nahi hai islamic laws se.

Islam me kitne tarha ke ghusl hote hain aur unka sahi tarka kya hai.

i hope u understand my question





myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:21st Jul 2010, 6:10am
 

ghusal

ghusal k sirf 3 farz haiN (1) ghararah karna (2) naak maiN ooper tak pani pahonchana (3) pooray jism ko pani say geela karnaa... dat's it. iss say "islami ghusal hojata hai.

khawateen ko aik khaas ehteyaat yeh karni chhaiyeh k woh apnay zeraat like ring, naak, kaan k zewar etc etc hilaa julaa kar ghomaa lain takay oskay neechay ki skin dry nah rah jaa.ay... aur baalouN ko bhi achi tarah wash kar laiN takay baaloun k neechay koi jagah dry nah rah jaa.ay.

masnoon tareeqah ... ghusal ka sunnat tareeqah yeh hai:

1) jism k agar kissi hissay maiN naa.paaki lagi ho to pahlay oss hisay ko wash kar laiN.

2. wazoo kar lain...but feet nah dho aiN

3. above 3 fara'iz ghusal k ada kar laiN

4. nahanay ki jagah say koi paak saaf jagah par /onnchi jagah par feet dho laiN

Malla Group: Members  Joined: 12th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 78  Age:  29  
Posted on:21st Jul 2010, 6:13am
 

Ghossul-a-jinabat

molvi rizvi bai keya bat hay apki ap kis musjid meah hoty hen? agree with molvi myrizvi bai 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 250  Post: 4279  Age:  38  
Posted on:22nd Jul 2010, 1:24pm
 

correct way of ghusul

mohtarma reply sahiba:

agar aap myrizvi saheb ke jawab se agree kerti hai tu yaha thanks ka reply kare. jawab dene wale iss forum ke sarmaya hai. on ki hosla afzayee ke liye zaroori hai keh sawal kerne wala jawab milnay per on ka thanks ada kare
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3233  Age:  36  
Posted on:23rd Jul 2010, 12:27pm
 

Islam Main Aghsaal Ki Tadaad

Re : -"Islam me kitne tarha ke ghusl hote hain aur unka sahi tarka kya hai."

islam main wajab aghsaal (ghusal ki jama) ki tadad 7 hey..

  1. Ghusal-e-Haiz (For Females) 
  2. Ghusal-e-Nifaas (For Females)
  3. Ghusal-e-Isthaza (For Females) 
  4. Ghusal-e-Janabat (For Males & Females)
  5. Ghusal-e-Mass-e-May'yat (For Males & Females)
  6. Ghusal-e-May'yat (For Males & Females)
  7. Ghusal-e-Man'nat (For Males & Females)
Aik Guzarish

inn tammam aghsaal k wajab hony ki mukhtlaf shrayet aur adaygi k mukhtlaf tareeqy hain jinahin abi mukhtasar waqt main post karna mery liye fil hal (waqat ki kami k bayes ) mumkin nahi hey ....taham main insha'allah artical ki shakal main inn sab aghsaal k wajab hony ki mukhtlaf shraiyet aur adaygi ka mukamal tareeqa post kardoon ga....



aliakbar17 Group: Members  Joined: 06th Jul, 2010  Topic: 4  Post: 156  Age:  25  
Posted on:23rd Jul 2010, 11:30pm
 

Method of performance of ghusul

Sunni school of thought

   1. Start by making
   2. Wash the right hand up to and including the wrist (and between the fingers) three times, then similarly for the left hand.
   3. Wash the private parts and remove dirt or filth from the body.
   4. Perform
   5. Water should be poured over the head three times so that it flows all over the body.
   6. Pour water over both the shoulders three times each. Hands should be passed all over the body when water is poured so that no part of the body is left dry.
   7. Move to a clean spot and wash the feet if not washed during --


Shia school of thought
According to the Shia school there are two main methods of performing a ghusl. For both methods one has to begin with

   1. Irtimasi: one has to submerge the entire body in pure water, either at once or in stages.
   2. Tartibi: one needs to start by washing the head and neck, and then the rest of the body, preferably the right hand/side first followed by the left hand/side.



reply Group: Members  Joined: 21st Jul, 2010  Topic: 10  Post: 63  Age:  22  
Posted on:24th Jul 2010, 2:23am
 

Actually i am new here

Really thanks for evry ones reply


Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  40  
Posted on:26th Sep 2011, 6:25pm
 

ghusal se pehly Bismillah parhna zaruri hy?

Deleted Topic No: 25344 by pinkroz
Posted on:26th Sep 2011, 6:16pm

ghusal se pehly Bismillah parhna zaruri hy?
AOA.mujh is bary mein boht confuzn hy.k jab periods k end py ghusal kia jata hai to kya shuru kerny sy pehly Bissmillah parhni chahiye ya nahi??mein ny kai islami websites pe ghusal k tariky parhy kisi ny likha k pehly parhi jay kisi ny nahi likha plz mujhe btain sahi kya hyaur kya ghusal k bad bathroom sy bahr a k bhi kuch parhna chahiye??
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:26th Sep 2011, 10:02pm
 

Ghusal aur bismillah

nah ghusal say pahlay kuch paRhna farz /wajib hai aur nah ghusal k baad
pinkroz Group: Members  Joined: 24th Sep, 2011  Topic: 4  Post: 32  Age:  30  
Posted on:27th Sep 2011, 8:13am
 

Ghusal-e-Haiz (For Females)

AOA every1.kya femalesk Ghusal-e-Haiz ka bhi yhi tareeqa hai jo oper diy gay hn aur ek dosry topic mein --
Guide Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 3  Post: 497  Age:  40  
Posted on:27th Sep 2011, 9:17am
 

gusal-e-haiz

pinkroz: aap ke post ke baad jo myrizvi ka post hai woh aap ke hi sawal ka jawab hai.
pinkroz Group: Members  Joined: 24th Sep, 2011  Topic: 4  Post: 32  Age:  30  
Posted on:27th Sep 2011, 12:45pm
 

yes

g wo 1st sawal ka jawab mujhe mil gaya hai. ab mujhe plz ye clear ker den k haiz k bad girls k liy ghusal ka tareka yahi hai ya kuch difrent hai??

(1) bageer zaban helai dil mein paki haseel karne ke neyaat karee
(2) dono hath pohoncho tak wash kejea
(3) phir istanjee ke jaga ko wash keja agee peche dono jaga agar najasat na ho tab bhi wash kejea q k sunnat yehe hai
(4) phir namaz jesa wazu karee
(5) phir poore badan per teel ke tarha pani chapar lekea khas kar winter season mein ess dooran pore body per soap lagana chahe tu laga dejea
(6) phir 3 times seedhe kandhe par pani pahae phir 3 times ulthe kandhe per
(7) phir saar per aur phir tamam badan per
(8) phir gusul ke jaga se alag ho kar paoo wash karlee.
(9) nahate waqt tamam badan per hath pheerte jai taake baal barabar jaga bhi khushk na reh jaiii
pinkroz Group: Members  Joined: 24th Sep, 2011  Topic: 4  Post: 32  Age:  30  
Posted on:27th Sep 2011, 12:49pm
 

2nd baat

istanjaa k bad mtlb bathroom mein haajat k bad bahr a ker haathon ko paak kis trah kerna cahiye?kya sirf pani aur soap kafi hota hai ya phr pehla KALMA parhna zaruri hai ?? plz answer me
pinkroz Group: Members  Joined: 24th Sep, 2011  Topic: 4  Post: 32  Age:  30  
Posted on:27th Sep 2011, 1:05pm
 

3rd baat

kya namaz ka wazu shuru kerne se pehly Bissmillah parhna zaruri hota hai?? plz reply

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:27th Sep 2011, 11:04pm
 

pinkroz

1. ghusal ka tareeqah durust hai
2.sitf soap /pani say wash karna kafi hai. kalimah paRhna zaroori nahi
3. farz ya wajib nahi...paRh laiN to afzal hai

(wallaho aalam bissawab)
pinkroz Group: Members  Joined: 24th Sep, 2011  Topic: 4  Post: 32  Age:  30  
Posted on:28th Sep 2011, 8:07am
 

sir rizvi

thank u so so so much ap ny meri boht bari tensns dur ker di hen mein boht shukerguzar hun apki
srizvi13 Group: Members  Joined: 08th Oct, 2012  Topic: 0  Post: 1  Age:  38  
Posted on:8th Oct 2012, 5:42am
 

gusl

agar 8 din se jiyada din ki menses ho jaye ... aur pregency wali koii baat na ho to kaun sa gusl hoga ... haiz ka ya koi aur
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 111  Post: 6482  Age:  54  
Posted on:9th Oct 2012, 12:43am
 

srizvi13

ghusal aik hi jaisa hota hai, khaah haiz k baad wala ho yaa koi aur.

napaaki say paaki ki halat maiN aanay k liyeh ghusal kia jata hai. naa.paaki khaah sex ki wajah say ho, haiz ki wajah say, nifaas ki wajah say, yaa kissi aur wajah say...just do bath with 3 farz 1) naak k ooper tak paani pahonchana 2) halak tak ghararah karna aur pooray jism ko pani bahaa kar geela karna including all hairs jaRouN tak, naak, kaan k zewar aur rings waghairah ko hila jola kar, agay peechay karkay inkay inkay neechay ki skin ko bhi geela karna...agar baal barabar skin bhi dry rah gayee to ghusal nahi hoha

wallaho aalam bissawab
1
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012