Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum


  Food For Testosterone
Food to Improve Testosterone Levels in Men
Best Food For Libido
A Diet for Increased Sex Drive and Enhanced Libido
Food For Sperm Count
Foods to Increase Sperm Count - Which Food is Right for You
Low Sexual Desire
Causes of Low Libido in Men
 
     
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Search Forum
Google
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
Health Articles
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
Best Articles
    Start New Topic  My Profile
 

Husband and wife fight

Social Problem
Your Attitude and Outlook
How To Attract Girls Just By Your Attitude and Outlook
Best Tips
Tips for Attracting Girls
Why Guys Fail
How to Attract Girls - Why 90% of Guys Fail?
Bookstalls and Bookshops
Attract Girls in Bookstalls and Bookshops
000amna Group: Members  Joined: 09th Sep, 2009  Topic: 11  Post: 37  Age: 21 
Posted on:9th Jun 2010, 7:17pm
 

Husband and wife fight

Aoa, mera sb shadi shuda logo se yeh sawal hai k. miya biwi ma larai kis waja se hoti hai? aur husband wife par hath kyoun utha hai? kia ause apni bivi ko marte huwe shram ya raham ni ata? kia waja banti hai biwi par hath uthane ki? reply zarur kijiye ga. jino ne kabi asa kiya ho wo b aur jino ne ni kiya wo b. thanks
s4u Group: Members  Joined: 13th Aug, 2008  Topic: 70  Post: 6271  Age: 17 
Posted on:10th Jun 2010, 10:57am
 

nice sawal:D

buhot ache sawal kie hain aap ne...

wese is kism ka topic kuch hi din pehle discuss ho chuka hai..ap dekhein is thread ko may be aapko apne sawalon k jawab mil jaen...

Fight Between Spouse : What Are The Factors ?





000amna Group: Members  Joined: 09th Sep, 2009  Topic: 11  Post: 37  Age: 21 
Posted on:11th Jun 2010, 4:25am
 

s4u


mane waha read karliya hai
lakin mujhe jana hai k husband apni wife par hath kab aur kyoun utha hai?
ausko asa karte huwe shram ni ati k jo aurat aus k liye itna kch karahi hai apna sb kch aus k hawale kardiya hai aur wo lari k waqt aus par hath uthata hai.
meri nazar ma wo mard hi ni jo aurat par hath utha hai.jo mard bahir se mar khate hai wo gar a kay urton par apna gusa nikalte hain.
mujhe srf yeh jana hai k husband wife par kb aus kis kis rizen par hath uthate hain...
thanks
Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 30  Post: 4991  Age: 24 
Posted on:11th Jun 2010, 6:07am
 

Re

جو مرد اپنی بیوی پر ہاتھ اٹھاتے ہیں ان سے زیادہ جاہل اور کوئی نہیں ہو سکتا چاہے وہ کتنا ہی پڑھا لکھا کیوں نہ ہو۔ اگر میاں بیوی میں جھگڑا ہو بھی جائے تو اسے زبانی کلامی طے کیا جا سکتا ہے۔ مار پیٹ کرنا اپنی ذہنی پستی کا اظہار ہے۔  

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 77  Post: 2695  Age:  
Posted on:11th Jun 2010, 3:39pm
 

000amna

mard 3 qism k hotay haiN... aik kharaab (aqal o kirdaar say), doosray normal, teesray achay aur naik....

jo mard achay aur bnaik hotay haiN, woh kabhi apni biwi par haath nahi oThaatay.... aur jo mard kharaab hotay haiN, onhaiN apni biwi ko peeTnay say kissi tareeqay say nahi roka jasaktaa, agar woh aisaa karna chahaiN to

above 2 category k mard qaleel tadaad main hotay haiN... zeyadah tar mard "normal" category maiN aatay haiN... yeh mard ghussa maiN, biwi ki bad.zubaani say, apni naa.farmaani par, ghar maiN apni manshaa k khilaaf honay wali baatouN par apni biwi ko peeT saktay haiN /peeT.tay haiN..... lehaza aik "normal aurat" agar chahay to above awaamal say bachtay howay.... husband kay iss shar say mahfooz rah sakti hai...... 99% cases main mard apni biwi ko oss waqt maartay haiN jab woh "bad.zubani, hujjat aur khullam khulla naa.farmaani" par otar aati hai.

Allah nay mardouN ko jismani quwwat dee hai aur aurtouN ko niswani kashish... aurat /biwi agar chaahay to apni niswani kashish say mardouN ka taaj o takht bhi choR.waa sakti hai....... lekin jab yehi aurat mard ki jismani taqat ko ossay boraa bhalaa kah kar "chalange" karti hai to mard k pass apni jismani taqat k amali mozahirah k sewaa koi raastah nahi hotaa...it's a human nature......... jaisay agar koi common-man... agar kissi police-man ko boraa bhalaa kahna shooroo karday (qatah nazar iskay k 'qasoor.waar' police-man ho yaa nah ho) to police-man apni taqat ka amali mozaheraa karna shooroo kardetaa hai.... aqalmand log (jismani, qanooni o deger etbaar say) taqat.wer logouN ko ghussah nahi dilaayaa kartay k aisee soorat main onhi ka apna nuqsaan hota hai.

Neha_83 Group: Members  Joined: 17th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 31  Age: 27 
Posted on:11th Jun 2010, 9:24pm
 

bhai

myrizvi bhai 
apka replay parh ke to mujhe bohat hassi ayi hai

kyoonke ap to aise bat kar rahe hain ke "Normal " insaan ,apni biwi pe hath uthata rehta hai ,aur iski tadaad bhi bohat ziada hai?

OOOamna

ek aurat pe Hath uthane wala Mard ,Mard nahi hota,use aksar Buzdil kaha jata hai,aur samjha jata hai.Kyoonke ek Aurat kamzor hoti hai,aur Mard ko Allah Talah ne Taqatwar banaya hai.Islye nahi ki wo apni biwi ki nafarmani ,ya bad kalami pe uspe Hath uthana apna Farz samjhe.!!!! Ye ek buzdilana amar hai,jaise ke myrizvi bhai ne kaha, "99% cases main mard apni biwi ko oss waqt maartay haiN jab woh "bad.zubani, hujjat aur khullam khulla naa.farmaani" par otar aati hai."

Shohar apni biwi pe Hath utha sakta hai ,agar uski biwi bad.-kirdaar ho.lekin islye hath uthana ke wo uski bat se itefaq nahi karti ya uski bat nahi manti ,ye soch un mardon ki hoti hogi jo ajkal 50-80 ki age me hain.

lekin ajkal ke Normal mard, apni biwi pe Hath nahi uthate.!!iski tadaad bohat kam hai

love bird Group: Members  Joined: 06th Nov, 2008  Topic: 80  Post: 1067  Age: 34 
Posted on:12th Jun 2010, 1:14am
 

oooamna

Meray khial meiN ajj kay doar meiN BV per sirf jahil loaq hi hath oThathay hain oar app nay poacha keh oan ko sharam naheeN aati tou meray khial meiN oan meiN sharam hoti hi naheeN.Meray khial meiN baat khaw kohee bhee hoo woo baat cheet say,bycott say,oar baaz ooqat allahidgi ki dhamki dainay say hal hosakti hy Ooarat per hatH otHana intahi bozdali ka kaam hy

myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 77  Post: 2695  Age:  
Posted on:12th Jun 2010, 9:11am
 

Neha /love bird

amna ka sawaal hai: lakin mujhe jana hai k husband apni wife par hath kab aur kyoun utha hai?

it's understood k woh ... on "mardouN" ki baat kar rahi haiN jo apni bivi par haath oThatay haiN (khaah inki tadaad kam houN ya zeyadah, ajkay houN yaa kal kay)... sawaal yeh nahi hai k mardouN ko kab apni biwi pay haath oThana chaahiyeh aur kab nahi....

mardouN ki 2 category (naik khaslat aur bad.khaslat) ko 'bahas' say alag rakha hai k yeh to by-default bil.tarteeb aisaa nahi kartay /aisaa kartay haiN. jiss tarah aik "naik khaslat mard" ko kissi bhi soorat maioN apni biwi par haath oThanay par majboor nahi kia jasakta issi tarah aik "bad.khaslat mard" ko bhi kissi waaz o naseehat say aisaa karnay say nahi roka jasaktaa, even yeh k biwi ka husnay salook bhi onhaiN aisaa karnay say nahi rok saktaa...

in 2 categories k elawah "baqyah mard" jab kabhi apni biwi par haath othatay hain to iski kia kia "wajooh" (yeh wajooh jaiz houN yaa naa.jaiz, yeh aik alag bahas hai) hosakti haiN.... ghaleban yehi sawaal amna ka thaa...aur maiN nay inhi "wajooh" ki nishandahi ki koshihs ki hai.

"aisay common mardouN" maiN say jo log bhi (saray nahi) apni biwi par haath oThatay haiN...mera isharah onhi logouN ki taraf thaa...... aisay "mardouN" k liyeh maiN nay "normal" likha thaa.... wazah rahay k jab kissi lufz ko "...." maiN likha jata hai to os lufz ka matlab woh nahi rahta jo aam halat maiN hota hai.... yahaaN meri moraad hargiz yeh nah thee k normal mard apni biwi par haath oThatay haiN  balkay meray kahnay ka matlab yeh thaa k 2 qism k specia mard (i.e. naik khaslat aur bad khaslat by default) k elawah jo mard hotay hain...in maiN say jo jo bhi apni biwi par haath oThatay haiN onkay aisaa karnay ki yeh yeh wajooh hoti haiN /hosakti haiN.

meri yeh reply aur ooper wali reply same hai... ooper wali  ko samajhnay main shayad moghaltah howa hai, lehaza ossay mazeed wazahat k saath bayaan kia gaya hai.

PS: waisay yeh aik "dilchasp haqeeqat" hai k jab bhi koi mard (kissi bhi qism ka) apni biwi par haath oThata hai to woh apnay aap ko HAQ par hi samajhta hai... aur piTnay wali biwi (khaah woh kissi bhi category ki ho), hamesha apnay aap ko mazloom aur bay.qasoor hi samajhti hai

halaaNkay "logically" aisaa mumkin hi nahi. yaa to mard "qasoor.waar" hogaa yaa biwi qasoor.waar hogi.... dounouN "sahih" bhi houN aur maar piTayee ki naubat bhi aa.ay, yeh kaisay hosakta hai

 

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 29  Post: 4709  Age:  
Posted on:12th Jun 2010, 10:57am
 

Re:

i think khud ko thek samajhnay aur thek honay main farq hota hae isliye maar pitaee tak nobat ati hae .

maarnay peetnay ka taluq alim ya jahil se nahi hota kisi ki mental sickness ki wajah se hota hae , China main road k kinara bohat se mard maar khatay naza atay hain .

myrizi bhai se ittefaq k sath k maar peet aksar aurat ki zaban darazi aur bad kalami ki wajah se hoti hae . yeh koi acha kaam nahi lekin bohat se kaam achay nahi hotay phir bhi kiye jatay hain . 

agar aurat jhagRay k waqt khamosh hojaye ya kahin side pe hojaye to umeed hae k maar peet ki nobat na aye . akela insan kab tak jhagRa karega bhala ? 

jab mard ka mood acha ho tab usay us k na.haq ghussay ya ghalti k mutaliq bataya jaye . kabhi logon k samnay husband ki insult na ki jaye . 
Neha_83 Group: Members  Joined: 17th Dec, 2009  Topic: 2  Post: 31  Age: 27 
Posted on:12th Jun 2010, 3:33pm
 

myrizvi bhai

apne bat clear kar li,to mai apki bat se agree karti hun.

Mard bhi Aurat ki zuban darasi pe Hath uthna bhi tab hi ammal me ata hai,jab Mard me Bardash kam ho jaye.Lekin ye kaunsi Aqalmandi ka saboot hai ,jab kuch sehne ki himmat khatam ho jaye to Hath uthaya jaye?

agar Mard chahe to wo ignore bhi kar sakta hai,lekin aksar Mard apni Taqat ka faida utha ke ,apni Taqat aur apni kam himmati ka saboot dete hain.

maine bohat se "Normal " mard dekhe hain,jo apni biwi pe choti choti bat pe Hath uthate hain.jaise ke khana let ho jaye,biwi koi kam karna bhool jaye..etc

kuch mard to itne apni bat pe biwi ke ikhtalaf-e-raye pe bhi Hath uthane pe a jate hain.aur aisa aksar sun.ne me ata hai " agar Mard ka Hath ek bar uth jaye,to wo asani se rukta nahi"

Is me Aurtain bhi do kisam ki hoti hain.ek wo jo khamosh ho jaye,aur mard ke ghusse kam hone pe usse uske ghalat rawaye ka samjhaye,aur dusri aurat wo hoti hai,jo mamle ko apni jawabi karwai se bigadti jati hai.
myrizvi Group: Members  Joined: 20th Apr, 2008  Topic: 77  Post: 2695  Age:  
Posted on:12th Jun 2010, 5:34pm
 

Neha sis

thanks k apnay meri wazahat say agree kia :)

agarchay apki baat apni jagah durust hai, magar yeh aik alag bahas hai k aisi situation maiN mardouN ko kia karna chhaiyeh aur aurtouN ko kia....

yahaaN yeh baat zeraya bahas nahi thee k kissay kia karna chhaiyeh :)

poocha yeh gaya thaa k  lakin mujhe jana hai k husband apni wife par hath kab aur kyoun utha hai?

 mera jawaab sirf  issi sawal k maroozi jawaab ki had tad tak "mahdood" hai:)

1
Body Sprays
Beauty Tips - Deodorants And Body Sprays
Sexy High Heels
5 Tips for Choosing Sexy High Heels
Sexy High Heels
Sexy High Heels: 5 Things Why so Many Men are Mad About Them
Sexy High Heels
How to Walk Confidently in Sexy High Heels
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us