Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Mehndi Design For Hand - Arabic and Pakistani - Bridal and Eid Mehndi Design

Non Medical Discussion   >>  Society and Culture
 
 
 
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4300  Age:  38  
Posted on:12th Jun 2010, 8:26am
 

Mehndi Design For Hand - Arabic and Pakistani - Bridal and Eid Mehndi Design

kia aap ko khawateen ke mehndi lage haath aur pao achche lagtay hai? mujhe tu bahut hi achche lagtay hai.

Mehndi design for hand or foot: aap ko mehndi lage haath ziadah achche lagtay hai ya mehndi lagay paao.n? mujhe paaon.n ki mehndi ziadah achchi lagti hai, chukeh khawateen ke ehtaram mai nigah neechi rakhni parti hai iss liye paaon ki mehndi per nazar ziadah perti hai.

Arabic Mehndi Design: aap ko arabic mehndi design ziadah achchi lagti hai ya pakistani mehndi design. meri samajh mai tu aaj tak nahi aaya keh kon sa design arabic hai aur kon sa design pakistni hai. mujhe tu mehndi design achchi lagti hai chahe woh pakistani ho ya arabic.

Mehndi and Abaya: mai ne observ kia hai keh woh khawateen haatho aur pairo mai ziadah mehndi lagati hai jo sakht qisim ka parda kerti hai. yaani on ka sirf haath aur paaon hi nazar aata hai. aap ka kia khayal hai? kia aap ne bhi aisi baat observe ki hai?

Bridal Mehndi Design: mera khayal hai keh 100% dulhan ke haath mai mehndi lagayee jaati hai. ab tu brides ke full haath aur paaon mai mehndi lagayee jaati hai.

Mehndi Design Eid: Eid ke moqa per bhi khawateen ki aksariat mehndi lagatii hai. jo bridal mehndi design se mukhtalif hoti hai.

Mehndi Designs In Pakistan: aap ke khayal mai Pakistani mehndi designs dunia mai ketne poppular honge. kia Indian mehndi design pakistani mehndi design se ziadah achche hotay hai.

Mehndi Design For Girls and Women: aap ke khayal mai unmarried girls ziadah mehndi lagati hai ya shaadi shuda women



s4u Group: Members  Joined: 18th Mar, 2011  Topic: 97  Post: 5354  Age:   
Posted on:12th Jun 2010, 8:58am
 

rE:Mehndi design

Mehndi design for hand or foot: aap ko mehndi lage haath ziadah achche lagtay hai ya mehndi lagay paao.n? mujhe paaon.n ki mehndi ziadah achchi lagti hai, chukeh khawateen ke ehtaram mai nigah neechi rakhni parti hai iss liye paaon ki mehndi per nazar ziadah perti hai.

Ans: maine sirf aik bar apne pao'n pe lagai thi tab achi lagi thi.ziyada tar hath ki oper wali side pe lagi hoi achi lagti hai.kiu k oper se hath ziyada nazar ata hai ander se kam.
mojhe pao'n ki nisbat hathon pe achi lagti h.kiu k hath pakar pakar k dekha jata hai.ab pao'n kon pare..lol...:-P
haan paon pe tab achi lagti hai jab paon mere pao'n ki trha khobsurat hon.aur maroon color me mehndi lage...humesha taiz mehndi ka rang acha lagta h orange ya phir yellow acha n lagta.
ji aksar mard hazraat se ye kehte hoe sona hai k onhe pao'n pe achi lagti h.asal waja aaj pta chali k kiu achi lagti h :-P

Arabic Mehndi Design: aap ko arabic mehndi design ziadah achchi lagti hai ya pakistani mehndi design. meri samajh mai tu aaj tak nahi aaya keh kon sa design arabic hai aur kon sa design pakistni hai. mujhe tu mehndi design achchi lagti hai chahe woh pakistani ho ya arabic.

Ans: Arabic design ziyada ache hote hain.ab to Pakistan me bhi arabic design pasand kie ja rahe h.kiu k is me khobsurti ziyada hoti hai.warna jungle ka naksha hoti thi:D
Pakistani design ki kuch samjh n ati aur Arabic design me samjh aa jati h k kahan se shoro & kahan pe khtam hoi hai.

Mehndi and Abaya: mai ne observ kia hai keh woh khawateen haatho aur pairo mai ziadah mehndi lagati hai jo sakht qisim ka parda kerti hai. yaani on ka sirf haath aur paaon hi nazar aata hai. aap ka kia khayal hai? kia aap ne bhi aisi baat observe ki hai?

Ans: ji is ki asal waja ye hai k jo aurtein parde ki ziyada paband hoti hain wo mehndi bhi ziyada hi lgati hain.kiu k aksar suna gya hai k aurat k nakhoon white na hoon yani mehndi lagi ho.to is bat ka khayal ziyada tar is trha k log hi rakhte hain.warna aaj kal koi bhi fashionable larkiyaan nails pe n lagati.
khair ye to main bhi n lgati.magar jab bhi kabhi lagaon to hath pao'n bhi n nikalti bahir jate waqt..yani sockes & gloves etc pehn k bahir jati hon.takey koi bhi mard ehtraman bhi agar nazar nichi rakhe tab bhi na dekh pae:D

Bridal Mehndi Design: mera khayal hai keh 100% dulhan ke haath mai mehndi lagayee jaati hai. ab tu brides ke full haath aur paaon mai mehndi lagayee jaati hai.

Ans:ji bilkul mehndi k baghair dulhan ki taiyari hi pori n hoti...ab to hath pao'n k elawa aur bhi buhot jaga pe lagai jati hai:)

Mehndi Design Eid: Eid ke moqa per bhi khawateen ki aksariat mehndi lagatii hai. jo bridal mehndi design se mukhtalif hoti hai.

Ans: ji aksar khawateen lagati hain.magar jo khod lagane wali hon wo bechari in moqoun pe piche reh jati hain.jese k main.khod k lie time hi nahi milta:((

Mehndi Designs In Pakistan: aap ke khayal mai Pakistani mehndi designs dunia mai ketne poppular honge. kia Indian mehndi design pakistani mehndi design se ziadah achche hotay hai.

Ans:donu aik jese hi hote hain.Indian Pakistani design se kuch bareek hote hain warna aik jese hi hain...koi khas fark nahi.

Mehndi Design For Girls and Women: aap ke khayal mai unmarried girls ziadah mehndi lagati hai ya shaadi shuda women

Ans: donu hi lagati hain.pehle zamane me dekha jata tha k sirf married hi lagati thi ab unmarried girls ziyada lga leti hon to aur bat hai kiu k married women ko bachon & ghar se fursat kam milti hai.unmarried girls in k muqabley free hoti hain.




1
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013