Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:13th May 2010, 7:45pm |
|
|
Moulana Hasrat Mohani
Aaj Moulana Hasrat Mohani ki 59th Death Anniversery hai. Kia aap log Moulana Hasrat Mohani ki khidmaat se waqif hai'n?
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 99 Post: 5405 Age:
|
|
Posted on:14th May 2010, 1:28am |
|
|
re:Bwf bhai aap hi in k bare me kuch sunehre hroof likh dein.to acha lage ga. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:14th May 2010, 2:06am |
|
|
Comrade Mohaani chupkay chupkay raat din aansoo bahaan yaad hai
hum ko ab tak aashqi ka woh zamanah yaad hai
Hasrat mohaani baqaulay khud aik "pakkay comunist" thay aur saath hi "pakkay mosalmaan" bhi..... kia yeh aik kholaa tazaad nahi :) woh aik romaanvi ghazal go sha'air bhi thay aur apki mazkoorah bala ghazal pakistan k matric /inter k nisaab maiN bhi shamil thee /hai ... patah nahi issay shamilay nisaab karnay walouN ka maqsad kia thaa??????
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:16th May 2010, 10:18am |
|
|
Hasrat Mohani Pakistan ke kai cities mai Moulana Hasrat Mohani ki barsi manayee gayee. Karachi Arts counsil Karachi ki taqreeb mai Janab Asif Ali Zardari aur Janab Altaf Hussain ka bhi bian perh kar sunaya gaya.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:16th May 2010, 10:30am |
|
|
wow hasrat mohani ki rahi sahi izzat bhi da'o par lag gayee :) |
ch Babar
|
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1873 Age:
40
|
|
Posted on:16th May 2010, 12:31pm |
|
|
Hasrat Mohani ko taleemi nisab main shamil karnay walay log wahi hain jinho ne Allama Iqbal ko Tasawwar e Pakistan ka khaliq bana k pesh kiya. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:17th May 2010, 5:33am |
|
|
baber Bhai 1. hasrat mohani ko nisab main shamil karnay walay kaun log haiN? saaf saaf bat layaiN
2. Allama Iqbal ko Tasawwar e Pakistan ka khaliq bana k pesh kiya.... iska kia matlab hai???
3. islami jamhooriya pakistan k nisaab main to josh maleeh aabaadi (asal naam: shabbir hussain khaan) bhi shamil hain jinka aik misrah hai (nauzo billah n naqlay kufr, kufr nah baashad).... shabbir hussain khan say bhi choTa hai khoda... josh aik bad character shakhs thaa jsiki yadoun ki baraat naami khud nawisht kissi shareef gharanay main rkhay jaanay k qabil nahi.
4, pakistan main nisaab banaanay walay log kaun haiN???? |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:17th May 2010, 7:51am |
|
|
nesab banane wale pakistani hai re: "4, pakistan main nisaab banaanay walay log kaun haiN?"
woh Pakistani hain
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:17th May 2010, 9:05am |
|
|
woh Pakistani hain? r u sure k woh pakistani hi haiN? ... kaheeN bheR ki khaal main bheRiyeh ops i mean k 'hukmraanouN' ki tarah pakistani ki aaR maiN yeh bhi "ghair mulki agent" to nahi |
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:17th May 2010, 9:54am |
|
|
ghair mulki agent re: " i mean k 'hukmraanouN' ki tarah pakistani ki aaR maiN yeh bhi "ghair
mulki agent" to nahi"
kuch logo ki nazar mai apne ilawah har koi kafir, murtid, mushriq, ghaddar, mulk dushman aur ghair mulki agent hota hai.
|
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 130 Post: 7709 Age:
55
|
|
Posted on:18th May 2010, 9:00am |
|
|
meer jaffer o meer sadiq ki kami nahi, ... taareekh gawaah hai k ... hamari qaum iss maamlay maiN khud.kafeel hai lol |
Diplomate
|
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 53 Post: 3436 Age:
37
|
|
Posted on:18th May 2010, 3:19pm |
|
|
Moulana Hasrat Mohani
Molana Hasrat mohani ka asal name Syed Fazal ul Hasan tha wo U.P India k aik zilla "Unnao" k aik qasba "Mohan" main 1875 ko paida howy..aap urdu zubaan k buhat achy romaentic shair (poet) they aur sath main aik danashwar , politician , journalist,parlimentarian aur Indo Pak Sub Continent k freedom fighter b thy
Molana ny aik achy aur brilliant studant hony ki waja sy mulki level pr exames main top b kiya tha..baad main aap ny apni taleem apny rufaqa kar Molana Muhammad Ali Johar aur Molana Shokat Ali k sath Ali Gharr University main hasal ki..poetry main aap k ustadoon main Tasleem lukhnuwi aur Naseem dehlivi ka nam ata hey
Molana ki buhat si tasaneef hain jin main Kulliyat-e-Hasrat Mohani , Sharh-e-Kalam-e-Ghalib , Nukaat-e-Sukhan , Mushahidaat-e-Zindaan etc. qabl-e-zikar hain molana ki likhi hoi aik buhat mash'hoor ghazal pakistan k mash'hoor singar Ghulam Ali ny b gaiee hey, Chupke Chupke raat din ansu bahana yad hey...
yeh bat such hey k muslim hony k bawajood tareekh unahin communist k roop main b janti hey q k wo commonism ki janab b mabzool ho geye they ..taham azadi-e-hind (End Of British Raj) k silsy main b molana ki khidmat ko b nazar andaz nahi kiya jaskta..molana wo pehly indian thy jinhoon ny 1921 main azadi-e-kamil ka nara lagaya aur iss jurm ki padash main kafi arsa tak jail main b rehy
molana ny India communist party ko join kiya aur ussi hasiyat main tahreek-e-azadi k liye b kaam karty rahy ..taham molana ny misar (egypt) sy aik mjjalla (magzine) nikala jis ka name "Urdu-e-Mu'alla" tha iss mujjaly main molana ny india main qyem english rules pr khuly alfaz main tanqeed ki ..
1947 main Pakistan k marz-e-wajood main ajany k baad molana aur molana k buhat sy hum asar shuraa hazraat ny India main hi rehny ko tarjeeh di jin main Nasir Kazmi aur Josh Maleeh Abadi qabil-e-zikar hain ..molana k bary main yeh tassur b paya jata hey k go k wo communist pholosphy ki janib b mabzool thy laiken muslim hony ki bina pr unn ki hamdardiyaan muslims of india k sath hi thin tabi to jab molana India ki pehli constituent assembly k member muntihab howey to unhoon ny indian pariliment main muslims k sath aqliyatoon(minorities) jaisa narwa salook rakhy jany ki qarardad pr signature karny sy inkar kar diya aur india Govt ki dohri policy ko arry hathoon laity howey khul kar mazahamt ki
Hasrat mohanni ko muslim shair aur danshwar hony ki bina pr molana hasrat mohani k nam sy b yad kiya jata hey aap k ham asar shuraa main aap ki maqbooliyat arooj pr thi hum asar naqdeen aur writers b aap ki taha'reer k mout'raf thy
Molana ki wafat Lukhnaoo (India) main 1951 main hoi iss k bad Karachi Pakistan main Molana Nusrat Mohani ny 1951 main hi "Molana Hasrat Mohani Memorial Society" ki buniyaad rakhi aur buhat bad main Hasrat Mohani Memorial Hall aur Library ka qayam b issi memorial society k zer-e-ahtmam hi amal main aya jahan har sal may main india aur pakistan k dosry cities ki trah molana hasrat mohani ki yad ko aik memorial enivercery meeting k toor pr taza kiya jata hey.... korangi town karachi main aik colony ka nam b molana k nam pr rakha geya hey
|
Bewaqoof
|
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 263 Post: 4444 Age:
39
|
|
Posted on:18th May 2010, 6:35pm |
|
|
Moulana Hasrat Mohani diplomat: very good
ch Babar aur myrizvi bhi iss tarah likh sakte thay balkeh iss se kahi
ziadah likh saktay thay, lekin woh aisa kio likhnay lage, woh dono tu
sirf ...............
|
|
For More Detail Click On Page No: 1 |
|