Food and Caloric Requirement during Lactation Breast feeding body k energy stores peh bahoot drain hoti ha aur calorie body ki bahoot burn hoti haiN. nah sirf yeh k tamam extra fat jo pregnancy maiN deposit hota ha woh bulkey mazeed fat bhi isteemal hojata ha body ka. Iss leye woh tamam khawateen jo pregnancy mai weight gain say pareschan hoti haiN oounko khush houna chhaiye k woh breast feeding mai loose kar laiN geebreast feeding k douran kam az kum 3 cheezouN ka khayal rakha jaa.ay 1) 500calories per day izafi laina haiN 2)calcium , iron aur folate kay supplement apni ob/gynae doctor say laiN 3)Fluids ya pani kam az kam 10-12 glass per day Over all aapko yeh pata houna chhaiye k aapne din maiN 3times proper meal aur 3-5times snack laina haiN jismeh app sandwich (egg, chicken) , fruits (min 2types) , salad , soups maiN say kuch bhi lay laiN isskeh alawa milk, milk with daaliya ,yogurt aur cheese ka isteemal zaydah rakhaiN (din mai 4-5 dafa) egg, meat ya chicken maiN say kam az kum aik cheez daily fruits joh bhe seasonal houN (apple, banana , mango, peach) 2times day may vegetable aur beans ya daalain 2 times. . . Ismeh yeh ha k aik time agar meat ki curry use ki ha to rest 2meals main vegetable ya beans kar laiN Fats k leye margarine aur butter use karaiN |