Forum.Noorclinic.com
NoorClinic: Pakistani Sex Clinic

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Health| Sex | General Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
New Topics (Health & Sex)
Recent Reply (Health & Sex)
Social Problem
    Start New Topic  My Profile
 

Some Quieries Related Conceiving : Doctors Opinion Requiered In Urdu ?

Married Women Problem   >>  Infertility
Exercise For Man Boobs
Best Exercise to Get Rid of Man Boobs
Enlarged Prostate
Treating an Enlarged Prostate
Erection By Nitric Oxide
Stronger Erections - Get Harder Erections by Increasing Nitric Oxide
Male Pubic Hair Shaving
Male Pubic Shaving Starting Guide
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:29th Mar 2010, 8:56am
 

Some Quieries Related Conceiving : Doctors Opinion Requiered In Urdu ?

yeh masla meri Mrs ki female friend (XYZ) ka hey ma apni Mrs k tawassat sy yahan share kar raha hoon..shaid iss sy pehly b yeh masla yahan discuss ho chuka ho laiken chunk wo urdu main nahi ho ga iss liye "Xyz" ko samjny main mushkilat ki bina pr dobara post kiya jaraha hey..("Xyz" Don't Know English Lenguage)

My Wife's Female Friend Who Have 4 Doughters Already Stated That... 
 
8 mah pehly pregnancy k doran hi kisi jaga sy "Gender" change ki medicine li gayee .btaya geya k medicine use k doraan womiting ho sakti hey aur aysa hi howa buhat shadeed kism ki womting hoti thi sara jism aik dum hil jata tha..jub pragnancy 3rd month main thi to shaid womiting ki waja sy ya kisi aur waja sy Mis-Carriage ho geya ..Medicine lena choorr di gayee 
 
Aur DnC karwaiee gayee....iss k baad Menses cycle theek raha koi disturbance nahi hoi dobara conceiving ki koshish ki gaye aur kisi doosri jaga sy dobara "Gender" change ki medicine li gaye laiken aik mah medicine use k baad b conceiving accrue hi na ho saki ..
.
Iss history k ziman main chand swalat hain jin ka jawab urdu main darkaar hey..!!!
  1. Kia kisi medicine (allopathic / homeopathic / hikmat / harble ) sy doran-e-pragnancy "gender" change ho sakti hey..?
  2. Kia Womiting ki shid'dat ki waja sy Mis-Carriage ho sakta hey..?
  3. Kia DnC k baad Conceiving main koi problems aa sakti hain jub k menses cycle b proper ho aur disturb na hoa ho..?
  4. Kia dobara sy Conceive na karna Medicine Reaction hey ya DnC ki waja sy hey..?

"Xyz" ny abi tak kisi lady Dr. sy physicaly mashwara nahi kiya .....yahan sy malomaat ki roshni main "Xyz" ny kisi Lady Dr.sy mashwara karna hy iss liye pls answer in urdu..



Doctor K K Group: Members  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 25  Post: 1969  Age:  36  
Posted on:29th Mar 2010, 11:44pm
 

Miscarriage Due To Medicine - Solution

There is some thing wrong in this history. In Allopathy there is no medicine to change the gender. Off Course miscarriage was inevitable since many harmful substances bring it as it has happened in her case. Miscarriage was not happened due to vomiting instead it has happened due to that medication. It is better if she directly ask the question on the forum and in this way the complete and true story would be known to us and then we would be able to give right answer.

Is history main kuch ghalat lagta hai. Allopathy main koi medicine aesi nahi jis ki wajah se gender change  ho sakay. Zahir hai is case main miscarriage to hona hi tha kunkay bohat sari cheezain muzir-e-sehat hoti hain jin ki wajah say miscarriage ho sakti hai. Miscarriage vomiting ki wajah se nahi balkay us medicine ki wajah se hoi hogi. Ye munasib hai kay forum per wo sahiba khud sawal poochain is tarhan unki mukamal aur sahi history ka pata chal  jaye ga aur munasib jawab diaya jasaky ga.



Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:29th Mar 2010, 3:29pm
 

Some Quieries Related Conceiving : Doctors Opinion Requiered ...!!!

Dr.KK Thanks 4 Replying Here...

Nihayet Adab sy Guzarish hey k yeh history fake nahi hey ...bulky jis trh waqoo pazeer hoi aur mujy bataiee gaye hy bilkul ussi trah yahan type ki gaye hey

doosri guzarish yeh hey k "XYZ" english zuban ko na sirf samjhny sy qasir hy bulky aik english formated keyboard sy roman urdu likhny sy b qasir hey...lehaza "XYZ" ki zubani jis qadar mu'amly ki samj asakey gi wo mery zriye hi yahan post ho sakey ga...

Taham wajab-ul-ihtraam Doctors sy request hy k wo apni roy dainy sy qabal jis qadar sayala ki medical history ya mojooda position k barey main deryaaft karna chahain gy unhain maloomat muhaya ki jati rahain gi..

Muhtram Doctor sahib

XYZ ny "Gender" change k liye allopathic medcine nahi bulky kisi hakeem sy medicine li thi...aur uss ki waja wo darjnoon misalain thin jo uss k samny azeez rishta daroon friends etc ki thin yani wo sab misalain medicine lainy sy pehly baitey jaisi naimat sy mehroom thin..laiken medicine lainy k baad khair khariyat sy naimat-e-khuda wandi sy faiz yaab howey ...

Taham Dr. sahib ab preshaan kun masla gender change ya miscarriage ya DnC ka nahi wo to jaisy howey so hoo gaye bulky ab jo masla preshaan kun hey wo yeh k XYZ ab re conceive q nahi kar parehi...???? lehaza uss ka poochna yeh hey k kia iss waqat conceive na kar pana kaheen DnC ya medicine reaction ki waja sy to nahi hoa...agar aysa hey to ussy abb kia karna chahiye..??

pehli ki gayee post main pehly 2 adad swalat mazi main ho gaye waqiyaat ki bina pr poochy gaye hain aur uss regard main sirf genral knowledge k liye aap k answers darkaar they..aur unn questions k answer taqreeban aap ki post main sy mil gaye hain..

laiken apni mujooda mushkil k hal aur behtar rahnumaiee k liye XYZ ko jo maloomaat darkaar hain un ka taluq poochey gaye akhri 2 adad swalat sy hey.....aur jin k answers abi darkaar hain..



Doctor K K Group: Members  Joined: 02nd Apr, 2009  Topic: 25  Post: 1969  Age:  36  
Posted on:30th Mar 2010, 12:33pm
 

Some Quieries Related Conceiving : Doctors Opinion Requiered In Urdu ?

Aap ki Urdu dekh ker App se Urdu Seekhnay Ko Dil Chahta Hai. Abhi main Medicine seekh raha hoon aur meri medical knowledge bohat poor hai. Main mafi chahta hun kai main is problem kay barey main ziada discuss nahi karsakoonga. Aap intezaar fermayen koi qabil doctor is masaley ka hal bata dega. Shukrya aur ain Nawazish.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:30th Mar 2010, 2:44pm
 

Some Quieries Related Conceiving : Doctors Opinion Requiered In Urdu ?

Group: Experts 

and answer of an expert.....
"Abhi main Medicine seekh raha hoon aur meri medical knowledge bohat poor hai"

kamal hey g......;-)

bhai koi aur expert hey iss forum pr...:-P

mujy masly ka hal darkaar tha koi urdu seekhny waly student nahi....:-))
Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:30th Mar 2010, 3:10pm
 

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4304  Age:  38  
Posted on:5th Apr 2010, 10:43am
 

Diplomat ka sawal aur Dr. KK ka jawab

re: "and answer of an expert.....
"Abhi main Medicine seekh raha hoon aur meri medical knowledge bohat poor hai""

Diplomat aap ko aap ke sawal ka jawab pehle hi dia jaa chuka hai. aap ko mazeed mashwara hai keh aap apni xyz aziza ko kisi infertility clinic se checkup karai.

aik achcha aur qabil doctor apne aap ko kabhi bhi nahi kehta keh woh bahut mahir hai, woh apne aap ko aik mamooli ilm rakhne wala talib-e-ilm hi samajhta hai, kio keh woh samajhta hai keh ilm aik samandar hai aur woh samandar ke muqable mai kuch nahi.

Dr. KK bhi agar jaali doctor hote tu woh aisi baat kerne ki bajaye jaali hakeem aur jaali doctor ki tarah lambay lambay daaway ker rahe hotey. lekin woh jaali nahi hai isi liye woh lambay lambay daway nahi ker rahe hai.

mera zaati khayal hai keh Dr. KK ka dono reply apni jagah sahi hai.
Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3240  Age:  36  
Posted on:6th Apr 2010, 7:58am
 

Re:Bewaqoof...!!!

mera zaati khayal hai keh Dr. KK ka dono reply apni jagah sahi hai.

main to pehly hi arz ka chuka hoon k yeh medical related forum hey aur yahan Doctors ya medical related members jo kuch b keh dain wohi haq aur sach hota hey.... 
1
Abnormal Menstrual Periods
Signs and Symptoms of Abnormal Menstrual Periods
Treat Premenstrual Syndrome
How to Treat Premenstrual Syndrome - Your Search Ends Here
Premenstrual Syndrome
Symptoms of Premenstrual Syndrome
Menstrual Flooding
Dealing With Menstrual Flooding
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us Last Updated: 28th March 2013