handsome82 |
Group: Members Joined: 24th Nov, 2008 Topic: 2 Post: 5 Age:
31
|
|
Posted on:29th Jan 2010, 7:58pm |
|
|
Waham Ki Bimari: Waham Ka Ilaj In Islam
As Salaam mo Alikum mera salwal buhat simple muja ya jana hai ka ager kisi ko koi waham ho kissi chiz ka tu iska koi elaj hai in other words kya waham ka elaj hai? waham kasa dor kya ja sakta hai do reply me. yeh bhi batai keh waham ka Ialaj in Islam Kya hai?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6526 Age:
54
|
|
Posted on:29th Jan 2010, 11:43pm |
|
|
Waham aur Waham ka Ilaaj
to kahtay hain k hakeem luqmaan k pass bhi nah thaa:) only will-power say iss par qaboo paya jasakta hai. jissay kissi cheez ka waham ho woh iss baray maiN ashaabay ilm say discuss karay k meray waham k motaabiq to aisaa aur aisa hai... ap kia kahtay haiN iss baray main... jab 2 chaar roy oss makhsoos waham k khilaaf mil jaa.ay to yeh believe karnay maiN asaani hojati hai k yeh mahaz waham hai, haqeeqat nahi........ wahmi log amoooman apnay waham ko chopaa kar rakhtay hain... doosrouN say share nahi kartay k log kia kahengay........ issay zeyadah say zeyadah qaabilay etmaad, ashaabay ilm aur apnoun say share kihyeh... insha Allah waham door hojayegaa..... wahaam ka talluq shaitaani waswasoun say bhi hosakta hai... shaitaani waswasoun ko door karnay k liyeh........ jab bhi waham aa.ay laa haul walaa quwwat... parh lia karain aur aksar o beshtar soorat falaq aur soorat al.naas ko as wazeefah parhtay rahaiN . insha Allah waham ghaib hojayegaa
|
shahidk |
Group: Members Joined: 06th Nov, 2010 Topic: 0 Post: 2 Age:
22
|
|
Posted on:6th Nov 2010, 2:58am |
|
|
Waham Ka Ilaj In Islam
salam to all bhai mere sath ek problem hai ka muje bhot waham hota hai aur waham ya hota hai ka jese me islam ke khelaf hon me jabbe namaz ka bad dua mangta hon tu meri dua mangete waqt muje isa lagta hai ke koi bol ra hai ke dua mat mango nauzubila ye sab jhoot hai aur muje islam ke mutabiq gande gande khalyal ate hain is jab me muje samaj nai ara hai ke me kya karaon aur jab se mene namaz parh na shoro ki hai jb se ye hone laga hai plz muje is waham ka koi hal bataye.
|
Ali_auh |
Group: Members Joined: 25th Oct, 2010 Topic: 4 Post: 86 Age:
35
|
|
Posted on:7th Nov 2010, 5:38am |
|
|
Waham In Islam
bhai aap namaz perhnay se pehlay 100 baar ASTAGHFAR or 100 bar LAHUL perh lya kerain inshaALLAH ALLAH aap ki rehnumaey kerain gay or bhi kuch duaein hain wo mai aap ko check ker k bataon ga aap pehlay ye perhain
|
mayhooraaj |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2010 Topic: 14 Post: 160 Age:
|
|
Posted on:7th Nov 2010, 7:48am |
|
|
Waham In Islam - Waham Ka Ilaj In Islam
waham ka sub se behtreen illaj ha "sura naas"...hr qisam ka waham,waswasa door hota ha is soorat se. garanty se..
aor may ne bhi ilaj paya ha is se.. ap subha fajer k baad 7martba ,asar k baad 7 martba aor isi traha isha k bad 7 martba sura-e-naas ki tlawat karin.(sirf parhna nahi ,achi awaz may,aram se,pyar se tilawat kerni ha,jo khood k kaanoo ko sunai de..
awalo akhir darood sharif lazmi parhian...) ..
ye amal ap ne 7 din krna ha..
InshaAllah,apka masla hal ho jaye ga.(Ameen)
|
shahidk |
Group: Members Joined: 06th Nov, 2010 Topic: 0 Post: 2 Age:
22
|
|
Posted on:8th Nov 2010, 2:10am |
|
|
Waham Ka Ilaj
thanks me is per amal karon ga bhai muje ek cheez or pochni hai ke acha jabe me islamic koi cheez ya koi picture dhekta tu bhot gande khayal ate hain is muje koi gunha tu nai mile ga na ....
|
Ali_auh |
Group: Members Joined: 25th Oct, 2010 Topic: 4 Post: 86 Age:
35
|
|
Posted on:8th Nov 2010, 2:26am |
|
|
wahem aur weham ka ilaj
bhai aap ko is qisam k khayalat pe gunah milay ga ya nahi ye to mai nahi bata sakta kyon k itna ILM nahi hay meray pas lakin ye keh sakta hon k jab bhi aesay khayalat aaein to aap LAHOUL perha kerain shaitan door bhag jaey ga to aesay khayalat nahi aaein gay
|
Guide |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 3 Post: 497 Age:
40
|
|
Posted on:8th Nov 2010, 6:38am |
|
|
re: waham ka ilaj
ji haa waham ka ilaj hota hai. Waham ka ilaj nafsiati amraz ke doctor kertay hai, onhai Psychiatrist ya Clinical Psychologist kehtay hai. Waham ki bimario per pehle bhi discussion ho chuki hai. aap previous post read kare. previous post ke liye yaha click kare:
- Waham Ki Beemari
- Waham Ki Bimari Aur Os Ka Ilaj
|
sayrish |
Group: Members Joined: 01st Feb, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
22
|
|
Posted on:1st Feb 2012, 7:29am |
|
|
wahem ka elaj assalamualikum.. maray 1 bohet kareebi relative ko ye problem hai k wo apnay residential area mye jis b admi ko batayn krtaye dkhtye hai to ye kehtyn hai k wo admi un k khilaf batyn kr raha hai... aur log un ko zaleel krna chahtyn hai... aur wo ye baat b nai mantyn k un ko wahem hai.. plzzzzz anyone can tell me the solution....
|
sayrish |
Group: Members Joined: 01st Feb, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
22
|
|
Posted on:2nd Feb 2012, 6:50am |
|
|
he says he is not a psycho
wo mantye he nai hai k un ko koi baimari hai phr kis terha docter k paas lye ker jaye...????
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4281 Age:
38
|
|
Posted on:5th Feb 2012, 3:41pm |
|
|
Waham Ka Ilaj False firm belief ko waham kehtay hai. waham ka ilaj psychiatrist kertay hai.
|
zafarbai |
Group: Members Joined: 31st May, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
23
|
|
Posted on:31st May 2012, 10:46am |
|
|
wahem ka ilaj mery cuzn ke sath problem hai wo jb bi quran pak parta hai tu aik ayat ko 3 ya 4 bar parta hai phiy 5 waqat ki namaz parta tha ab wo b nai parta plz Islam main is ka elaj bata dain.koi surat jo hum parh lain wo khud theek tara se nai parh saky ga. |
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 185 Post: 6463 Age:
35
|
|
Posted on:31st May 2012, 4:21pm |
|
|
weham ka Elaaj keya ap btaa sukty hen apko kis kis cheez ka wehem hota hy , tufseel say agahah kurin , apko es musly meah kon see bat ziyada purashan kurti hy,
|
zafarbai |
Group: Members Joined: 31st May, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
23
|
|
Posted on:31st May 2012, 4:56pm |
|
|
weham ka ilaaj
hath kafi time wash krey ga,jb khana shru kry ga us se phly kafi time koi b surat ya kalma 3 ya 4 bar pary ga phir khana khtam krny k bad b pary ga.means jab b allah ki kalaam parta hai tu ye problem hoti hai.namaz b esi waja se chor di aik lafz ko kafi bar parta tha.plzzzzz koi hal bta dain hum boht pershan hain.
|
Sak123 |
Group: Members Joined: 05th Mar, 2013 Topic: 0 Post: 1 Age:
26
|
|
Posted on:5th Mar 2013, 2:29am |
|
|
Waham I was looking for a dua to read for waham...my waham is that every time i wash my hands read qalma..i feel i read it wrong and have to wash my hand multiple time in order to think they are clean..now i feel that everything i touch is dirty and there is an urge for me to go wash my hands...please let me knw if there is a fua for me to get rid of this feeling thanks |
|