Well why are you searching for Psychiatrist. You should post your questions. The doctors at this forum that would be entertained definitely by a good Psychiatrist.
iss forum per kai doctors mojood hai, psychiatric problem solve kerne ke bhi mahir mojood hai. aap apna problem bian kare, os ka solution aap ko yaha mil jaaye ga.
Mere Sat ye Problem hy mere zhyn per hur waqat hajeeb se kyalat Aty Rety hain jasy App ko Is ko Kheyeli dunya ka mehr bi ke sakty hain aur Muj main gusa bi bhoot hy main bat kuch aur kar rah hota hoon aur souch kuch aur hota hoon (Double Mindid) plz tell what i do
I WANT Psychiatrist if any plz give me personal Email I Can discuss him plz can u give me ????????
Daykheeyay sab say achi baat hai ka ap apna masla samajh
rahy hain aur is tarha ka masla tab hi hul hota hai jab is baat ko
tasleem kia jai kay koi masla hai Sab say pahlay tu apnay app ko kisi bhi tameeri kam main
masruf karain yani kay khud ko razakarana kaam main ya kissi samagi behbuud kay
kaam main shamil ker layn
FARIGH BILKUL BHI NA BAITHAIN
Chotee chotee cheezon say shuru kerayn aur aik martaba ju sooch lain wahee
karain, mayra matlab hai ap faislay kerayn aur unn per da-tay rahain chahy wo
ghalat hi kuyn na hoan
Buhut zada dair tak bistar par lait kar na soochain agar neend na ay tu bistar
foren choor dain aur kisi acchee teraf masruf hoe jayain
App ka masla aysa nahi hai ju hul na hoe sakay magar is main thora waqt lagta
hai, dil na chorain aur himmat kerayn AAP KA MASLA HUL HOE JAYAY GA.
Iss kay ilawa kissi psychiatrist say bhee mulaqat ker layn aur samnay bayth ker
mashwara lay layn.
The best thing here is that you realise that there is a problem. This is a
problem that can only be resolved if it is thought out to be one The first thing you need to do is involve yourself in some
creative activity, try volunteering and social help.
DO NOT SIT IDLE Start with small things and when you take a decision stick
to it I mean no matter how good or bad your decisions are stay on them
Do not lie keep on lying down on your bed for long periods of time and leave
your bed if you do not feel sleepy and start off with something else
Your problem is not such that it cannot be cured, but it will take time, do not
leave heart and remain strong YOU WILL BE CURED
Besides this please consult a psychiatrist face to face
main koshish karon ga app ky mashrvaron jhan tak tlak hy Psychiatrist ka muje is sher main nein pata ky psychiatrist kidar hoty hain is lie main is form main aya tha thx for that
zehan mai khiyalat aane ki kai wajoohaat hoti hai.
generally depression aur anxiety mai tarah tarah ke khialaat aate hai. aur baaz awqat aise khialaat bhi aate hai jis ki tafseelaat har aik ko nahi batayee jaa sakte. iss qisim ke khialaat aik alag bimari Obsessive compulsive neurosis mai hoti hai.
aap apne abnormal khialat ki tafseelaat batai keh:
1. kia aap ko mayoosi, udaasi, aur khoodkashi ke khialaat aate hai? agar aisa hai tu aap ko depression ki beemari hai, aur depression ki bimari ka ilaj ke liye kisi psychiatrist se personally consult kerna ho ga.
2. agar aap ko har waqt khof rehta hai, dil ghabraata hai, dil ki dharkan tez rehti hai. shak hota hai keh kahi dil ki bimari tu nahi, aur har waqt mout ka khof rehta hai, mout se dar lagta hai tu phir aap ko anxiety hai. anxiety ka ilaj general physician bhi ker sakte hai, lekin ziadah behtar ilaj aik psychiatrist hi ker sakta hai. aap ko kisi psychiatrist se personally consult kerna hoga.
3. aik aur bimari jis ko Obsessive compulsive neurosis kehte hai, os mai Allah Rasoo (PBUH) Quraan aur mazhabi buzurgo ke khilaaf khialaat aate hai, naapaaki ka waham ho jaata hai, aik hi kaam ko baar baar kerne ki aadat ho jaati hai, maslan baar baar haath dhona, baar baar lock chek kerna waghaira. iss bimari ke ilaaj ke liye bhi kisi psychiatrist se personally consult kerna pare ga.
aap se aik dafa phir yahi kaha jaaye ga keh aap bilkul tafseel se apne khialaat bian kare tu phir ham log aap ko ziadah behtar tareeqa se guide kare ge
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.