JhooT nah bolnay k nuqsaanaat :) jhooT nah bolnay k bahoot say nuqsaanaat haiN.... such kaRwa hotaa hai to jhooT shahad ki tarah sheereeN... aj k ahad main jhooT ka bol balaa aur such ka mouNh kalaa hotaa hai.... aaj jo zeyadah say zeyadah jhooT bolay, jhootay waday karay woh aik kaamyaab seyasatdaan ban kar hakoomati eewaanouN maiN dakhil hojata hai aur such bolnay walay ka iss society main koi moqaam nahi hotaa...
1. agar koi fard-A fard-B ki chuGhli karay aur ap A ki baat such such B ko bataa dain to dounouN maiN jhagRa hona yaqeeni hai jabkay ap iss moqay pay jhooT bol kar aik hotay howay fasaad ko rok saktay haiN... islam bhi aisay moqay pay jhooT hi bolnay ki talqeen karta hai.
2.agar ap k such bolnay say kissi shar /zulm k phailnay ka imkaan ho to ap ko jhooT bolkar shar /zulm ko phailnay say rokna chahiyeh. yeh aik naik kaam bhi hai. dekha ap nay ap jhoT bolkar bhot aik naik kaam kar rahay hotay haiN
3. aik hadees ka mafhoom hai k agar ap ki kissi such baat say ap ki begum k naraaz honay ka KHATRAH ho to ap jhoot bolkar ossay khush rakh saktay haiN... g haaN aisay mawaqay pay biwi say jhooT bolkar ap hadees par amal kar rahay hotay haiN (bah shartekay iss jhooT say kissi ki haq talfi nah horahio ho)...
4. agar ap ki suchi gawaahi say koi zaalim kissi par zulm karnay ka iradah karay to ap par laazim hai k ap jhooT bolkar mazloom ko oss motawaqqah zulm say bacha saktay haiN.
5. ghar ghar main saas-bahoo k jhagray aam hain aisay maiN har 2 fareeqain ki aik doosray k baray main suchi roy aik doosray ko pahonchaa kar iss jhagray ko mazeed hawaa dengay... lehaza aisay mawaqay pay hamesha jhooT boliyeh aur khud bhi shaant rahain aur ghar ka mahaul bhi shaant rakhaiN.
dekha aap nay yeh sirf chand misaalaiN hain jinn maiaN jhooT bolnay k nuqsaanaat say ap ko agaah kia gayaa hai... aisee darjanouN misalaiN ap khud bhi apnay ird gird dekh saktay hain. pus jhooT boltay rahiyeh aur daanish.waroun / molviyouN ki inn 'farsodah' baatouN par kaan nah dharaiN k such bonaa aik achi sifat hai aur jhooT bolnaa bori baat .... jhooT bolay kawwa kaatay... kaalay kawway say dariyo... bhi aik jhooTi kahawat hai... main to aksar o beshtar jhooT bolta houN aj tak mujhay kaalay kia kissi bhi rung k kawway nay nahi kaaTaa... ap bhi befikar hokar jhoot boliyeh aur zindagi ko enjoy kijyeh
mazkoorah bala inshaiyya JhooT nah bolnay k nuqsaanaat , inshaiyyah nigaar mohtarmah kali Zuban k inshiyyah ... mush-zani nahi karne k nuqsaanaat say bori tarah motaassir hokar likha gayaa hai. donouN inshaiyyouN maiN kissi bhi qism ki motaabqat mahaz ittefaqia hogi, jiskay liyeh iss khaaksaar ko zimah daar nahi Thahrayaa jasaktaa.... tamaam moderators note farmalaiN lol |