|
Maryam |
Posted on : Saturday, 7th March 2009, 5:15am |
Group:
Members
Joined: 17th May, 2008
Topic:22
Post:3659
Age:
|
bhim ji sahib bohat umda:) mujhay kiya pata tha aap yahan bhi poetry kar rahe hain main samjhi veer bhai ko dilasa de rahe hongay:)) |
|
Gram Msala |
Posted on : Saturday, 7th March 2009, 11:47pm |
Group:
Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic:2
Post:69
Age:23
|
Aane wala aa jaati thi saari dunya
aaj tanha hoon to koee nahi aane wala.
muntazir kiska hoon tooti howi dehleez pe mein
kaun aaega yahan, kon hai aane wala.
mein ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
hai koee khwab ki taabeer batane wala.
tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraz
dost hota nahi har haath milaane wala
|
|
Gram Msala |
Posted on : Saturday, 7th March 2009, 11:51pm |
Group:
Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic:2
Post:69
Age:23
|
Kisi Din |
|
Chehrey pe merey Zulf ko Phailaao kissi Din Kiya Roz garaj-tey ho, baras jaao kissi Din Raazon ki tarha utro merey Dil mein kissi shab Dastak pe merey haath ki khul jaao kissi Din
Phoolon ki tarha "husn" ki baarish mein naha loon Badal ki tarha jhoom ke ghir aao kissi Din Khushboo ki tarha guzro merey Dil ki gali say Phoolon ki tarha mujh pe bikhar jaao kissi Din Phir haath ko khairaat miley bund qaba ki Phir Lutf -e- shab-e-wasl ko dohraao kissi Din Guzrein jo merey ghar sey tou ruk jaaein Sitaarey Iss tarha meri Raat ko chamkaao kissi Din Mein Apni har aik saans ussi raat ko dey doon Sar rakh ke merey seeney pe so jaao kissi Din
|
|
|
Gram Msala |
Posted on : Saturday, 7th March 2009, 11:56pm |
Group:
Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic:2
Post:69
Age:23
|
Main Aur Meri Tanhai
Rehtey Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Kartey Hain Raaz Ki Baat Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Main~*~
~*~Kartey Hain Basar Raat Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath~*~
~*~Lakin Rahain Gay Saath, Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi "saad"~*~
~*~Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai~*~
~*~Aa K Paas Kyon Door Ho Gaye Hum Se~*~
~*~Kartey Hain Teri Talash Main Aur Meri Tanhai
|
|
Gram Msala |
Posted on : Sunday, 8th March 2009, 12:58am |
Group:
Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic:2
Post:69
Age:23
|
TamannaooN ko zindaa aarzuoN ko jawan kar luuN tamannaaoN ko zindaa aarzuoN ko jawaaN kar luuN
yeh sharmiili nazar kah de to kuchh gustaakhiyaaN kar luuN
bahaar aaii hai, bulbul dard-e-dil kahtii hai phuuloN se
kaho to maiN bhii apnaa dard-e-dil tumse bayaaN kar luuN
hazaaroN shoKh armaaN chutkiyaaN le rahe haiN dil meN
hayaa unkii ijaazat de to kuchh be-baakiyaaN kar luuN
koii suurat to ho duniaa-e-faani meN bahalne kii
Thahar jaa aye jawaani maatam-e-umr-e-ravaaN kar luuN
mujhe donoN jahaaN meN ek voh mil jaayenge gar Mustafa
to apnii hasratoN ko be-nayaaz-e-do-jahaan kar luuN
|
|
Gram Msala |
Posted on : Sunday, 8th March 2009, 1:10am |
Group:
Members
Joined: 02nd Mar, 2009
Topic:2
Post:69
Age:23
|
Ye apnu ka he war kam kar gaya apne geetu mai dal kar nelam kar geya ek esa shaks tha jo badnam kargeya wo mere dushman he the jo dohndty rahy zamany bar mai ye apnu ka he war hai jo kam kar geya
|
|
uetian31 |
Posted on : Monday, 9th March 2009, 9:53pm |
Group:
Members
Joined: 18th Mar, 2008
Topic:19
Post:1012
Age:28
|
na shikaayaten na gilaa kare na shikaayaten na gilaa kare
koii aisaa shaKhs huaa kare
jo mere liye hii sajaa kare
mujh hii se baatain kiyaa kare
kabhii roye jaaye vo bepanaah
kabhii betahaashaa udaas ho
kabhii chupake chupake dabe qadam
mere piichhe aa kar hansaa kare
merii qurbatain merii chaahatain
koii yaad kare qadam qadam
main taviil safar main hun agar
merii vaapasii kii duaa kare |
|
uetian31 |
Posted on : Monday, 9th March 2009, 9:57pm |
Group:
Members
Joined: 18th Mar, 2008
Topic:19
Post:1012
Age:28
|
dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai dil ke dariyaa ko kisii roz utar jaanaa hai itanaa besimt na dord lauT ke ghar jaanaa hai us tak aatii hai to har chiiz Thahar jaatii hai jaise paanaa hii use asl main mar jaanaa hai bol ai shaam-e-safar rang-e-rihaaii kyaa hai dil ko rukanaa hai ki taaron main Thahar jaanaa hai kaun ubharate hue mahataab kaa rastaa roke us ko har taur suu-e-dasht-e-sahar jaanaa hay main khilaa huun to isii Khaak main milanaa hai mujhe vo to Khushbuu hai use agale nagar jaanaa hai vo tere husn kaa jaaduu ho ke meraa Gam-e-dil har musaafir ko isii ghaat utar jaanaa hai |
|
sunehri76 |
Posted on : Monday, 9th March 2009, 11:05pm |
Group:
Members
Joined: 04th Aug, 2007
Topic:68
Post:3958
Age:33
|
Garam masala interisting shair ..keep it up.
Uetian
nice poetry |
|
uetian31 |
Posted on : Tuesday, 10th March 2009, 7:38pm |
Group:
Members
Joined: 18th Mar, 2008
Topic:19
Post:1012
Age:28
|
bahana us ka acha hai bahana us ka acha hai woh kehta hai nahin hain hum bane ik dosray k wastay shaed mager is ka b hul hai k koi us se zara poochay ager apni duaaoon se naseeb apna badal doon to bahana kya trashay ga? |
|
|