gulnaar |
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 55 Post: 97 Age:
24
|
|
Posted on:26th Jan 2009, 2:05pm |
|
|
Wazifa For Love Marriage - Wazeefa For Problem - Wazifa For Dua salam dear members app sub kasay hain, umeed karthi hu k sub teek taak hungay main aaj jo liknay ja rahi shad app sub log meray oper husain gay. is lay yeh website tu health problems k lay hai or main koi or sawal ouch rahi hun. anyways friends mujay kuch mahino say ek hajat hai. woh hajat yeh hai k main ek ladkay say shadi karna chah thi hu or woh bhi. uskay parents nay mera hath mangany ki bhi kushish ki hain. lakin juhi woh mera hath mangnay chal phatay hain tu beach man koi masla ho jata or sari bath kharab hu jathi, isa tu 2 3 martab hu hai. main har roz itni namazain, duaain or wazifain karthi k allah meri sunnay or hum dono ki bath paki hu jain. lakin kuch bhi asar nahi hu raha. main janthi hu k allah hum sub ki suntha hain is hamain naumeed nahi hu na chai. dosto mera lekhnay k maqsad yeh hai k agar app main say koi isa wazifah jantha hain jis k karnay say mera duaa jald as jald qabool hu jain tu plz mujay baatain. kunk main paghal hu jawoongi. or plz friends app sub bi meray lay duaa karay allah mero or uska rishta paka karday. plz agar koi wazifah jantha hu tu mujay jald az jald batain buhot shukrai wating for reply. |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:26th Jan 2009, 4:49pm |
|
|
Wazeefa For Marriage aap 1100 baar isha ki namaz k baad ( eyaa ka na badoo wa ayaa ka nastayeen) phare.
start mein aur end mein 11 baar darood shareef phare.
phir sajdey mein ja kar dua kare.11 din tak yehi amal kare.inshallah aap ki dua kabool ho gi.
ager 11 din tak kaam na ho to phir yehi amal jari rakhe jab tak aap ki dua kabool nehin hoti. |
gulnaar |
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 55 Post: 97 Age:
24
|
|
Posted on:26th Jan 2009, 4:57pm |
|
|
re: wazeefa for my problem Veer: app ka bahut zayad shukria or main jald az jald yeh wazifah shru karongi
thnkz |
System |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2263 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 11:15pm |
|
|
Wazeefa for love marriage ager Dua qabool nahe hoti to iska matlab hai ke hum islam per amal sahe nahe kar rahe... Ya phir gunah ziada ho jate hain.. Ager gunahon ko kam karne ke koshish ki jai , 2 nafal toba ke, Astagfirullah perhna, darood pake perhan aur shariat per amal kia jai to app ko koi wazifa karne ki zaroort nahi... yeah baten meri amodah hain...
shariat ki regular se baton per hi amal ker lia jai to bhut hai.. maslan... sach bolna, chugli na krna.. Tv, Movies, dramo se perhaz karna, Nmaz perhna aur Nmaz main allah pak se connect hone ki try karen. jesa ke namaz main jo kuch perhte hain uski urdu meanings, Bando ki bjai Allah per bharosa...
koi bhi wazeefa shoro karne se pehle aik ya do tasbi (Astagfarullaha Rabi min kole zanbin wa atobo aleh) aur darood e pak ki zaroor karna .. iski waja se tumhara wazefe ka amal zaida asar wala hoga.. |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 2:17pm |
|
|
dua dua kabool hone ki waja zaroori yeh nehin ke hum islam par amal nehin kar rahe..dua ka aak time hota hai har dua kabool hoti hai lekin koi juldi kabool ho jati hai aur koi dair se.
lehaza Allah se yehi umeed rakhni chahein ke woh humhari dua zaroor kabool kare ge.lekin os ke sath sath humhe bhi thoda sabar ka muzahra karna pare ga.sabar ka phal beetha hota hai. |
gulnaar |
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 55 Post: 97 Age:
24
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 5:03pm |
|
|
wazeefa for my problem agree to both of u
thanks system i reli appriciate ur advice (sorry for spelling mistake) |
System |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2263 Age:
32
|
|
Posted on:27th Jan 2009, 7:37pm |
|
|
Wazifa for love problem Veer: what you mention above is true in normal halat... what i described above in my post is also true for those people who made sins or have not prayed long time .. Allah pak se dori gunah karne ya Nmaz na perhne ke waja se bhi hojati hai.. aur result main duain qabool nahee hoti... aur allah pak ne Quran e pak main bar bar irshad farmaya hai ke Hidayat hai gore karne walon ke lea. So we should always consider and pay attention what we did or what is reason, .. yeah it is true some time you do everything right and still dua qabool nahe hoti .. is main Allah pak ki marzi hoti hai.... What i mention above is solution for some people .. Not everybody comes under this.. Beshak dua qabool hoti aur ager nahe qabool hoti to allah pak apne pass jama karta rehta hai ru akhrat main un duaon ka badla deta hai.. Its a very detail topic... i dont want to fill up the forum with long posts.. Everybody knows some part of fact, But not the whole fact, just like to give you more aspects of subject and possibilities.. |
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1940 Age:
47
|
|
Posted on:28th Jan 2009, 1:53am |
|
|
Wazifa for love marriage system: aap ki batein qable qadar hein,asal mein Allah talah se kubi na umeed nahi hona chahiye,jo iss kaynaat ka circut chula rah he wo behtar janta he k insan ki bhulaee kiss mein he....
rah musla insan ka to uger hum apny aap ko dekhein to humein andaza ho hi jata he k humaree dua qabool ho gi ya nahi issi liye umeeed ye hi he k ,Allah pak.hum se hisab apny adal se nahi bulke apny fazal se lein gay..kiyoon k jub aap shaytan ki defination ko dekhein to koi bi insan iss duniya mein iss k ghairy se khali nahi he ...
aur sura nisa mein ,mein ne aik juga ye bi purha tha k insan kamzor paida kiya gaya he wo iss ki kamzoriyoon ko janta he..ub mujay wo huwala yaad nahi he ..insan ko ye hi chahiye k her waqat toba ustakhfar kiye rukhy aur apni namazoon ko pabundi se uda kery aur her waqat apni bukhshush aur bhulaee k liye dua kerta ray ...agay wo khaliq he wo humary liye behtar hi kery ga....... |
Veer |
Group: Members Joined: 12th Oct, 2011 Topic: 85 Post: 4718 Age:
30
|
|
Posted on:28th Jan 2009, 2:31pm |
|
|
Wazifa for marriage System: aap ne jo kaha theek kahan.
main kisi topic par behas nehin kar sakta kyun ke mujhe allowed nehin hai.
main bas itna kahon ga ke baaz dafa hum apni aankhon se dekhte hain ke ese insaan bhi hote hain jo ghuna gaar hote hain lekin on ki dua foran kabool hoti hai.
aur kuch loog ese bhi hote hain jo 5 waqt ki namaz ada karte hain rehte hain lekin on ki dua kabool nehin hoti..
dua kabool karna Allah par hai woh jab chahe tab kabool ho jati hai..bas dil par lagne wali baat hai..
Allah ko kon si ada passand aa jaye hum nehin jaante. |
System |
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2263 Age:
32
|
|
Posted on:28th Jan 2009, 9:49pm |
|
|
Wazeefa for dua Veer: i do agree with you totally in above post.. this forum would be small to argu in this topic.. i think its better if we not argu... no offence.. i think we both are right but we explaining different sides of one fact.. Actually everybody knows some part of fact but not the whole fact ...
Jazzak allah |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 1:18am |
|
|
Gulnaar Sahiba Assalamoalikom
Naommeed mat hoeya aur har hal ma Allah sa mangta raheya ya to bohat ache baat hai ka ap Namaza parhte hai aur Wazefa parhte hai parhta raheya aur mangta raheya bashak ALLAH har aek ke sonta hai aur ALLAH bhe yahe dakhta hai ka mara banda moj sa kab manga aur mai kab osko nawazo par afsoos ke baat ya hai ka jestarah hamare Namazo ma khousho-o-qozo nahe raha osetarah hamare Dowaoo ma bhe khousho-o-qozo nahe raha jistarah mangna chaheya ostarah ham nahe mangta pher bhe ALLAH hamare son raha hai.
Bazwaqt ya hota hai ka jo cheez hamara moqadar ma nahe hote aur jis cheez ma ALLAH hamare afeyat nahe rakha os cheez sa ALLAH hama bachata hai ham osko samajta nahe hai os ma ALLAH ke maslahat hote hai jo ham samajna sa qaser hai.
Ya nacheez ka mashwara hai ka ap is mamla ka leya ISTAQARA bhe kareya aur SALATUL HAJAT Namaz parha kegeya daily keyo ka Namaz he aek ayse cheez hai jo banda aur ALLAH ka darmeyan rabta qayam karte hai aur Dowa karta raheya Dowa ya kareya ka ALLAH TO HE TO JOREYA BANA NA WALA HAI AUR TO HE TAQDEER BANA NA WALA HAI AGAR TO MARE TAQDEER MA IS LARKA KO NAHE LEKHA HAI TO BHE TARA LEYA KEYA MOSHKEL HAI MARE TAQDEER BADALDA AUR JIS CHEEZ MA MARE BHALAE RAKHE HAI WOH KAR.
Hades- JO BHE DOWA HAM ALLAH SA MANGTA HAI WOH ALLAH SONTA HAI BAZ DOWAE HAMARE QOBOL HOTE HAI BAZ NAHE JO QOBOL NAHE HOTE OS KA SELA HAMA ALLAH QAYAMAT KA DIN DAGA AUR JAB HAM KO SELA MELAGA HAM ALLAH SA KAHANGA KA ALLAH HAM JITNE DOWAE MANGE THE TO QOBOL NAHE KARNA THA OSKA SELA YAHE HAM KO DANA THA. |
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1940 Age:
47
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 1:38am |
|
|
sofi beta Aslamo alikum aap kub wapiss aye hein aur butaya bi nahi ...sunaien aap ka muqsad poora huwa jiss liye aap gay thay aur sehat kesi he beta aap ki ..
system-veer-sofi ...agree with both of you |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:29th Jan 2009, 1:52am |
|
|
Uncle ji Walikomsalam
Uncle ap yaha baat na kara keyo ka sab ko ataraz hoga ka topic change ho raha hai ap is topic ma aeeya.
SOFI Bhai : We Wish You All The Best
Moderator Note: Dear Members Please Don't Divert This Topic.
|
gulnaar |
Group: Members Joined: 03rd Dec, 2008 Topic: 55 Post: 97 Age:
24
|
|
Posted on:22nd Feb 2009, 4:07pm |
|
|
veer Allah k fazal or karam say or apkay deay huay waifay say meri dua Allah (swt) nay sun li or mera rishta os ladkhay say rishta pakha hu gaya thnx to veer n for every1's advice
|
ashirashid |
Group: Members Joined: 14th Apr, 2009 Topic: 0 Post: 17 Age:
31
|
|
Posted on:14th Apr 2009, 3:26pm |
|
|
wazaif
Salaam, i also want to do the waziaf, as i want a certain person to ask for my rishta, can you please tell me exactly how you read your wazif and what you did, for your dua to come true. i have been doing this wazifa for over 12 days but as yet my dua hasnt come true. can you please tell me step by step what you did. JazakAllah
i have joined this site especially for this waziaf, as i really want to
get married and to a person of my choice but it seems very unlikely. can
you please tell me how u read the wazaif and wot u did gulzaar thnx
sorry gulnaar
|
AcidBurn |
Group: Members Joined: 23rd Jun, 2009 Topic: 0 Post: 1 Age:
34
|
|
Posted on:23rd Jun 2009, 4:04pm |
|
|
harf~e~dua
Aaj ghazab ka udas hai dil. Aisa lagta hai jaisey saarey zamaney ki wehshat seeney mein utar aaye hai. Palkon par garam aansoyon ki chubhan mehsoos ho rahe hai, mager koi aisa humnawa ya humsukhan nahin jis ke kandhey pe sar rakh ke dil ka bojh halka kar sakein. Aasman ki taraf nigah uthai to dil mein dard ki tees si utthi, keh humari manajaat aur mohabbatein apni jagah, mager Mailk aaj tujh se bhi shikwa karna hai hamain. Yeh baat sochi hi thi keh chehra ashkon sey tar ho gaya aur zabaan par harf~e~dua aa gaya. Aankhain moond leein tu ik khuwahish~e~natamam poori hoi aur ankhuun k samnay Khana~e~Khuda agaya... aur wahin harf~e~dua rawaan hoi...
Meray mola, tu Rehmaan~o~Raheem hai, mager teri rehmat kis kader laparwah hai humarey dard aur takleef se! Tu Rabb~ul~Mashrikaain~o~Maghribain hai mager teri Rabbubiyat hamarey chotey se daman aur dil ko sair karne se kaasir kyun hai? Tu Kahaar~o~Jabbar hai, mager tera keher un tak nahin pohunchta jo hamarey dil aur rooh ko azaar pohunchaatey hain? Tu humaree shehragh se bhi zayada kareeb hai, mager hamarey seeney ke is namukhtatum karb se na aashna kaisey hai? Tu mushkil kusha hai, mager humaree namaz~e~shab ki duaaon ko qabooliyat nahin bakhsta. Hum ne tujh hi se manga, teri hi taraf raj'uu kiya aur mayoosi mein bhi tujh hi se shikwa kiya, phir tu hamaree khaber kyun nahin laita? Lakh chotey barey gunah daman mein jamah hain, mager ussi daghdaar daman mein teri mohabbat aur bandgi se bharra dil bhi to hai. Ager hamari sarkashi aur nafarmani teri narazgi ka sabab hain to iss rooh mein yeh bekali aur jawani mein ebaadat ka showk teray kurb ki wajah kyun nahin? Jab log humaree dunya dari ki baat kartey hain to tu humaree manajaat aur aansooyon ka hisaab kyun nahin karta. Jab humarey laghzishion ka shumaar hota hai to humaree choti choti naikiyan aur nakarda gunah kyun nahin ginay jaatey?
Mola humara sabr kam, himmat mehdood aur imaan kamzor hai, phir bhi teri bargah mein hath utha ke dua aur astaghfar kartey hain. Koi kya hamnawa ho ga hamara, jo na hamarey dard se wakif hai aur na khwahishon se. Tu humain humari tamaam kamzoriyon ke saath janney aur chahney waala hai. Hum kaisey tujh se shikayat na karein aur kaisey rehmat ki umeed chor dain. Jab jab dil bojhal hota hai to teri bargaah mein ro lainey se jaane kitna hosla buland hota hai. Jab tak Tu hamaree faryad nahin sunay ga, hum teray dar par rotey rahein gey. Jo duaaein kabool ho gayien unka shukr bhi ada karein gey, aur apni namukhtatam khwahishaat ka izhaar bhi karein gey. Meray Maalik apne bandon ke haal pe reham kar aur humaree khaber laiy. Duayon ka silsila ab hamari sanson ke sath hi tootey ga. Yeh aansoo tab hi rukain gey jab aankhain band ho jain gi. Tab bhi shayed rooh ka koi pashimaan gosha takleef aur soz mein sulaghta rahey ga, keh ebadat~o~manajat ke liye humain waqt kam mila, humarey Khuda ne humain dunya ke kamon mein uljha diya aur jo haq tha tera who hum ada na kar paye! Abhi jaane kitne saal hain wisaal mein, jab hum bheegi palkon se tujhe pukarein gey aur teray kurb ki raah dekhain gey.
Hum tujh se kitna pyar kartey hain mager dil dukhta hai yeh soch ke keh jaane kabhi hum bhi tujhe azeez hon gey ya humara shumaar bhi lakhon gunahgaron mein ho ga! Meray mola, teray hotey huay hum tanha hain, teri rehmat ke bawajood hum badhaal hain aur teri sunwaii ke baghair hum bebas. Malik humari khaber lai aur humarey gunah mauf kar dai. Humaree mushkilain aasan kar aur humain apne khas emaan waaley bandon mein shumaar kar. Humain buraiyon aur llaghzishon se duur kar aur naiki aur ebadat ki taufeeq ata kar. Humain deen dunya aur akhirat mein surkhrooh kar aur apna farma bardar banda bana. Malik humain rah e mustakeem par qaim rakh aur badi ki taraf bhatakne se bacha. Aye faryad ras, hamaree duayein qabool farma aur hamaree manajaat qabool farma. Ameen...
Astaghfirullah~e~Rabbi Min Kull~e~Za'mbin Wa Atoobo Ale'he...
|
atiqueje |
Group: Members Joined: 18th Jun, 2009 Topic: 16 Post: 289 Age:
37
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 1:23am |
|
|
AcibBurn AMEEN Mera emaan hay k humari her dua Qabool hoti hay,but hum naqsul ilam hain jab hum apnay MOLLA say kuch mangtay hain tu iss pehlo pay nai sochtay k ye jo hum maang rehay hain wo humari dunya our akhrat k liay behtar hay b k nai,jab k humara paida kernay wala humara palnay wala humar karsaz humar MOLLA humara DATTA humara RAB humar MALJA humar MAWAA humara MALAK ye sab janta hay k mera ye banda jo muj say mang reha hay wo iss k haq may kitna behtar hay kitna nuqsan day hay,wo hum say 70 maaon k pyar say b zeyada pyar kerta hay,wo humain kabi wo nay day ga jo humaray nuqsan may hay,jis tara maa apnay bachay ki zid k bawajood us koi nuqsan day cheez nai datti isi tara wo b humaray mangnay k bawajood nai detta,but wo humay hali nai lotata balkay iss dua ko wo humaray amaal may naiki ki sorat may likh laita hay our qayamat k din in k badlay ajer azeem day ga. Hadees pak hay: k jab tumari koi dua qabool nai hoti tu tum udas ho jatay ho,roz-e-qayamat jab tumay in duaon k ajer deya jay ga tu tum kaho gay kaash humari koi dua qabool na hoti dunya may tu ajj hum ajer azeem hasal kertay.
her waqat dua mango ager yahaan qabool na hoi tu agay ajer ki sorat qabool ho gi.
na umeed mat ho
ALLAH KAREEM |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 1:37am |
|
|
Acid Burn yaa tu app shikwaa kar leey ya dua maanng lee shikwee kar kar ke phir dua mang rahe hai yeh taleemaat kes ne de hai app ko
Dua moomen ka hathyaar hai.
sache dil se dua mangee jai tu koi dua raad nahi hote but humm samajht hai k dua qabool nahi hue dua 3 types mein asaar andaaz hote hai.
1) eak ye k jo manga ataa kardeya gaya. 2) dosra yeh k jo manga uss se behet kuch aur attaa kar deya gaya. 3) last yeh k jo manga uss ka ajaar akheraat mein dene k leye jama kar leya gaya
hum samajhte hai jo manga wo naa mela tu dua qabool na hue yeh hamare kam ellme hai.
Qayamat k din jab banda dekhe gaa unn duaoo ka ajar jo uss ne mangee the aur uss ka badla duniya main na meela tha tu wo tamanna karee ga k kash mere dyuniya mein koi dua qabool na hue hote... dua mangte rahe har namaz k baad mangee har waqt Allah ka shukar ada karte rahe leken uss ke rehmat se kabhi na mayoos na hua kareeen.
Yaad rakhe yeh shikwae shikayat sheytan ka waar hai aur kabhi kabar yeh shikwaee insan ko kufur bakwaa kar uss ka iman tabah kar dete hai ess leye pls ess se ejteenab kareeen. |
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
29
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 2:10am |
|
|
PAROOT BHAI aik sawal ha.....................kaya aisa hota ha k hamari kismat main aik cheez kuch
arsa dair k baad hona likhi ho................lakin ham uss ki itni khawahish kertay hon
or baar baaar bht saaaf niyat or dil se uss k liye bht dua krain to kaya wo hamain
uss wkt se pehlay b hasil ho skti ha....................
|
atiqueje |
Group: Members Joined: 18th Jun, 2009 Topic: 16 Post: 289 Age:
37
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 2:31am |
|
|
maahhii taqdeer nai badalti haan aik cheez hay jo taqdeer ko badal deti hay our wo hay haloos-e-neyat say mangi gai DUA.
ji haan dua say taqdeer badal jati hay.
ALLAK KAREEM
|
|