Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:09pm |
|
|
Urdu Poetry:Woh Cheez Jis Ne Collage Mein Dhoom Macha Rakhi Hai Woh cheez jis ne collage mein dhoom macha rakhi hai…
us shokh haseena ka naam Allah rakhi hai…
Main Allah rakha hoon, woh Allah rakhi hai…
shayad Allah ne mairay liye bana rakhi hai…
Kehtay hain rakhi hoi cheez buhat kaam ati hai…
is liye to main ne rakhi se laga rakhi hai…
Ab haqeqat to yeah batanay ke liye rakhi hai..
ke rakhi ne raaton ki neend urda rakhi hai…
Yeah kia main ne rakhi rakhi laga rakhi hai…
us rakhi ne to kisi aur se bhi bana rakhi hai… |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:14pm |
|
|
Hima Malin hahahahahahahahah
very nice poetry
aap ye bataie k mere lie kon rakhi hai, lol:) |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:18pm |
|
|
sunny007 ap k liye koi Allah rakhi ho gi jis ka ap ko pata ho ga k wo kaha hy |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:20pm |
|
|
hmmm shaied
lekin yaar muje nahi pata k wo kahan hai......
wesy ye poetry aap ki hai?????? |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:28pm |
|
|
Sunny007 Ye meri nahi hy chori ki poetry hy. |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:36pm |
|
|
acha ye chori (larki) kon hai????
kia ye wahi Allah rakhi to nahi, lol :) |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:37pm |
|
|
Apny Jis hath sy likha tha tujhy sari umr Apny Jis hath sy likha tha tujhy sari umr
Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu
Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu
khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu
Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu
Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski
usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu
Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny
Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu
Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu
Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu
Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha
jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu
Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan
khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu
Apny jis hath sey likha tha usey sari umar
kup kapati usi ongli sey meety hein Ansu
Ek muddat sey jiesy dil ney bhula rakha tha
Aaj palkho pa wo tasveer baney hein Ansu
Jisny tanha mujhy rota hua chora tha Zaheer
Aaj tak uskey lia likh hi rahey hain Ansu |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:38pm |
|
|
Dekhiye Dekhiye shak kerna buri baat hai. main wo nahi jo ap samjh rehy hy .main wo hun jis ka ap soch bi nahi sakty |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:39pm |
|
|
Sapnoo ki Duniya Khushi dil se her aik ghum ko bhula deti hai
Band ankhoo main bhi sapnay sajaa deti hai Sapnoo ki duniyaa ko tum sajaye rakhna
Kyu kay haqiqat tu sub ko rulaa deti hai |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:42pm |
|
|
Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar. Tujhe Pyar Mera Satayega Aksar,
Yaado ke toofa uthayega aksar,
Zikar mera karne se pehle,
tu Kuch soch ke muskrayega aksar,
Mera Naam likh kar Kitabo main apni,
tu Logon ke dar se Mitayega Aksar,
Baatein Meri yaad ayengi itni,
Jitna tu unhain Bhulayega Aksar, |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:43pm |
|
|
sorry brother muje nahi pata tha k itni si mazaq par aap naraz ho jaouge,
i m sorry, |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:47pm |
|
|
Suuny007 main ny socha tha yahan bary bary jasoos paye jaty hy. ap meri jasoosi kro ge. mai naraz nahi hun. ap khule dil se jo kehna chahty ho kaho mai kisi baat par naraz nahi hoti |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 10:58pm |
|
|
hima naraz nahi hoti .....
matalb tum female ho,
sorry again, aap ki ptry se laga k aap male ho, name aur profile par dhian hi nahi dia....
ji haan, baaz members ko jasoosi karne ka shouq hai yahan par |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 11:08pm |
|
|
It's ok Ji main female hun
''ji haan, baaz members ko jasoosi karne ka shouq hai yahan par''
In members mein ap bi shamil ho?
|
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 11:13pm |
|
|
hima nahi ji
filhal muje aisa shouq nahi howa hai... |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 11:48pm |
|
|
Wasi Shah
tum merii aankh ke tevar na bhulaa paaoge ankahii baat ko samajhoge to yaad aaoon gaa
ham ne Khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe safaah-e-ziist ko palaToge to yaad aaoon gaa
isii andaaz mai hote thay muKhaatib mujh se Khat kisii aur ko likhoge to yaad aaoon gaa
sard raaton ke mahakate hue sannaaton mein jab kisii phuul ko chuumoge to yaad aaoon gaa
ab tere ashk main hoontoon se churaa letaa hoon haath se Khud inhein poonchhoge to yaad aaoon gaa
shaal pahanaayegaa ab kaun disambar mein tumhein baarishoon mein kabhii bhiigoge to yaad aaoon gaa
aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut jab kabhii tuut ke bikharoge to yaad aaoon gaa
haadase aayenge jiivan mein to tum hoke niDhaal kisii diivaar ko thaamoge to yaad aaoon gaa
is mein shaamil hai merii baKht kii taariikii bhii tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aaoon gaa
Wasi Shah |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 11:49pm |
|
|
Mujhy jasoos ban'ny ka shoq hy |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jan 2009, 11:57pm |
|
|
hima hmmm
acha shouq hai
lekin ye jasoosi forum tak mehdood rahe gi, ya pir professionally jasoos banna chahti ho? |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:4th Jan 2009, 12:00am |
|
|
Chaahat ka rang tha na !!!!! Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi
Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi
Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi
Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi
Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi
Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi... |
Hima Malin
|
Group: Members Joined: 28th Dec, 2008 Topic: 1 Post: 94 Age:
35
|
|
Posted on:4th Jan 2009, 12:03am |
|
|
hhhmmmm I think meri jasoosu forum taak hi mehdood rehy gi |
|
For More Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5 6 7 >> |
|