system Nihari recipe for you
wasey tu meri ammi nehari ka jo dry masala hota hey wo ghar may hi banati haien lakin uss may bhout ziyada kam karna parta hey tu bhtar yeah hi hey key Shan spice may jo nihari ka masala ata hey wo khareed laien kisi bhi desi store say mil jai ga
sab say phley tu meat lena hey nihari key liya jo key beef with bones hota hey,aik pot may teel ko garam karien or uss may ginger,garlic paste dalien or halka sa fry karien or phir meat dal kar uss key sath bhone laien,phir jab meat bhun jai tu shan nihari masala dalien or meat key sath achi trha mix kar daien phir pani dal daien itna key meat bhi gal jai or phir bhi pani baqi rahey shorba key liya,jab meat gal jai(meat ko well done nahi karna yani thora sa galana hey)
phir thora sa ata ley kar ussey pani may desolve kar laien lakin bhout patla bhi na ho or bhout thick bhi na ho(or atey app ney meat key hisab say lena ho ga ku key ata bhout ziyada bhi nahi hona chyea or na bhout kam wrna taste khrab ho sakta hey,shan key spice mix key dabbey par recipe or measurements hoti haien behtar hey key ussey dekh laien)
phir wo ata dal kar achi trha mix kar laien or anch teez kar daien or jab shorba atey key sath pkney lagey tu anch ahista kar daien,or itna pakien key ghosht bhi gal jai or shorba bhi thick ho jai or atey ka kacha pan bhi na rahey
or akhir may piyaz ko aik pan may brown kar key uss par bhagar laga daien or 5 min tak pakien takey teel upper a jai
bus nihari tayyar hey or garnish kar key nan key sath kahien or Saim ko yad karien:) |