Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 10:27am |
|
|
Ghareelu Totkay For Medical Problem
Sub membran se request he k yahan participate zaroor kijye ga SAANCE KI KHARABI Safaidy k durakhat k putty le ker in k qatery garam pani mein nachorh ker saance leny se naak ki sojan our guly ki kharash door hoti he aur sada cheeni aik chumach mein inn k qutry mila ker khana bi mufeed he KHUSHAK KHANSSI Khushak khanssi mein kaily aur khajoor ko mukhan mein mila ker khana mufeed he DANTOON KI SAFAEE Khushak anjeer jula ker iss ki raakh bator-e-munjan istamal kerny se dantoon ka mail our dhuby door ho jaty hein HICHKI Hichki aa raee ho to iss ka mujarab illaj ye he k pani mein shukar daal ker iss ka sharbat buna lein ye shaurbat peeny se hichki khatum ho jay gi uger hichki muslsal aa rahi ho to zera si cheeni kha lein hichki khutam ho jay gi
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 3:39pm |
|
|
ohhh hoooo too good by raja sb..thankss.... enjoy members .... |
khayali
|
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1443 Age:
25
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 4:00pm |
|
|
nikama ap b kuch share kijye na,,,,,,,,,,,,
sirf good good kehny sy kia hoga |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 4:07pm |
|
|
acha khiyaali... ummmmmm agur kiseee ko jub bhee headace hoo, 2 tablets panadol ya paraceitamol kee kha kur sur ko band sakoon say lait jayeee... 15 minuts say bhee pehlay khubsorat araam ho jayee ga ... theek hai.. enjoy now..ho ha haaaaaaaa ..aur phir araam anay kay baaad dosroon ka sur kha kur un ko hedace shuroo kur du...ho ha haaaaaa , so this is a game as welll.. |
khayali
|
Group: Members Joined: 08th May, 2008 Topic: 28 Post: 1443 Age:
25
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 4:18pm |
|
|
nikama good good,,sub sy phely may follow karoun ga
hahahahaha |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:28th Sep 2008, 2:07am |
|
|
nikama wa ji wa bohat khoob ..ha ha haaaaah.... ..haaaaaaaaah .. bohat muza aya |
goodman
|
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7336 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:28th Sep 2008, 2:11am |
|
|
oh nikamay oh nikamay aj kal too bara khush ha kiya batt ha..........bara hoo ha hahahha kerta ha...........mujay bata day jooo batt ha............ |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:28th Sep 2008, 2:21am |
|
|
FALIG KA ILLAGE Rozana subah ko shehd peena be-fazaly tallah falig se mehfooz rukhta he
SHUGAR KA ILLAG
Barhi ilachi k under k dany nikal ker rozana suba,sham panch panch dany chubany se shugar ka khatma ho jata he
2.thori si pissi huee heeng ko do chay k chumach keraily k taza juice mein mix ker lein our 2 mah tuk her roz suba nihar moonh peyein zaroor afaqa ho ga.
PAIT KI BEMARIYAAN
Anjeer badam k saath mila ker khany se pait ki bemariyaan door ho jati hein
PAIT KA DURD
Pait mein durd mehsoos ho to thori si khalis heeng pees ker issay ruee k phahy per rukh naaf per rukhein iss se ruki huee gass nikal jay gi
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:28th Sep 2008, 2:42am |
|
|
JILDI BEMARIYAAN Lehsan ko jula ker sirka our shehd mein pees ker lugany se phorhy phinsiaan buruss ganj baal khora our dad theek ho jaty hein.
MUROORH
Aik chutki lahori numak moonh mein rukh ker aik glass pani pee lein muroorh durd-e-shukammein kami aa jay gi
NIKHRI RANGAT
Uger aap apny chehry ki rangat ko surakh ,safaid kerna chahty hein to taza podiny ki patiyoon ko pani mein ubaal lein phir pani ko khuly moonh ki botal mein daal ker thundi juga per rukh dein aur rozana suba sawairy chay ki
adhi piali k braber pee liya kerein
QABAZ DOOR KERNA
Sona mukhi aur ajma ka chooran neem garam pani k saath leny se qabaz door ho jata he
2. qabaz ki soorat mein garam doodh mein kusta oil ya desi ghi mila ker pee lein ...gay ki lussi mein ajwain pissi huee mila ker nihar moonh pee lein qabaz door ho jay gi
3. gundam ki bhussi aik chamuch le ker dhahi mein mila ker khany se qabaz door ho jay ga |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:28th Sep 2008, 3:00am |
|
|
KASRAT-E-HAIZ Bahz khawateen ko kasraht-e -haiz ki shakait rahti he jiss ki waja se kamzori burh jati he aisi soorat mein 6-masha dhuniya le ker adha sair pani mein josh dein
jub adha pani jull jay to uttaar kar iss mein thorhi si missri mila ker neem garam pee lein teen char khorak mein aram aa jay ga
DUMAY KA ILLAG
dumay k muraz mein adhrak ka russ nikal ker hulka guram soty waqat aik chumach pee lein
HEPATIC YARQAN
Gunny k choty choty tukrhoon ko raat bhar shabnum mein rukh dein our phir suba suba ko choos lein yarqan khutam ho jay ga
2.keekar k phuloon ka safof aik tola rozana khany se yarqan siraf 6-roz mein theek ho jay ga.
ANKHOON KI ZURDI
chaqunder ko kuchal ker iss ka pani nachorh lein our phir ye pani naak mein chirhkein ankhoon mein yarqan k baiss peda hony wali zurdi khatum ho jay gi |
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:28th Sep 2008, 7:59pm |
|
|
raja sb..goodma..khiyaalii and all. yapssssss.. just enjoy .. thanks for coments... Itniii stressful life main yahee kiya ja sakta hai khush rahnay kayliyee..ju bhee ho jaisa bhee ho , jub bhee ho , hona tu hai, bus apni apni try kurooo aur be happy ,and baqiyoon ka khiyaal rakhoo, and thats all life is mer jaaaaaaaaaan..
goodman, khush tu main yaar always hee rahta hoon,pur aajkul aik aur baat bhee hai kay ,I am going to Pakistan in 2/3 weeks time also.. ho ha haaaaaaa.... mujay milnay anaa zaroor a cha....... |
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 2:52am |
|
|
HYPERACIDITY Doodh mukhan phull jesa k kaila aur aam ubli huee subzian khajorein in tumam ashia se perhaiz kerein kareem se pak doodh lein our durmiani miqdar mein din mein 3 bar istemal kerein 3 burhy khanoon ki bujay 4 ya 5 murtiba hulki ghiza ka istemal kerein
khany k doran ziada pani our ziada khourak se perhaiz kerein,khorak ko chubaein aur ziada garam aur ziada thandi sabziyoon se perhaiz kerein jub aap preshan hoon uss waqat koi bi cheez mutt khaein her cheez ki turaf aman aur sakoon se burhein
garam pini mein lemoon k aik joos ko mulaein aur inn ko 3 hisoon mein taqseem kerein her ghanty k bahd uss ko istemal kerty rahein kaily aisi deti se buchny k liye bohat had tuk mofeed hein
kham bundh gobi aur gobi k joos ko gajar k joos mein mix kerein ye joos mehday k liye bohat mofeed he |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 4:42am |
|
|
Raja bhai wow buhot hi achi tips hain......
acha aap ne Khushk khhansi k liye btaya hai to ye daily khana hai,aur kitna khana hai,kia raat ko kha k so jana hai ya kisi bhi time?
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:5th Oct 2008, 6:14pm |
|
|
s4u.. jub khansee ho tub khana... waisay heee na khatay rahna....samjeeee |
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 2:14am |
|
|
Nikama bhai aaj pehli bar kam ki bat ki hai Nikamey hone k bawjood.......lol thanks
|
s4u
|
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 97 Post: 5354 Age:
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 2:18am |
|
|
wese mere pas bhi hain tips per wo mojh jese fashionable logoon k liye kam aa sakte hain...lol to yahan btana theik nahi rahe ga hai na?
|
nikama
|
Group: Members Joined: 15th Oct, 2007 Topic: 47 Post: 1808 Age:
34
|
|
Posted on:6th Oct 2008, 12:04pm |
|
|
s4u...
haan haaaan, batoo batoooo..loogoon kay kaam ayee gee yah sub aap kee tiops... I am not fashionable anyway..very simple man but plenty of people are waiting for your tips..pls likh du..chherssssssssss
|
Raja Taqi
|
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:9th Oct 2008, 3:23am |
|
|
BUDH HUZMI KI WAJUHAT AUR ISS KA HULL Burhti huee maholiyati aloodgi,khorakmein milawat aur doosry anasar mein ghair miana rawai ki badoulat aksar log budh huzmi ka shikar rehty hein aur ye budh huzmi din be din burhti jaa rahi he jiss se dill ki takleef bohat ziada pedha ho jati hein aur iss hawaly se
khorakko huzam kerny ka muslla bi bohat eham he jub tuk nizam-e-huzam darust nahi ho ga tub tuk koi bi insan tandrust nahi ho sukta iss liye sub se ziada zaroori he taa k budh huzmi ki wajuhat kiya hein kin batoon ki bunyaad per insan budh hazmi
ka shikar ho sukta he aur iss ka hull kiya he khorak ki ghalat iqsaam ko khana budh hazmi ki aik bohat burhi waja he...
GAIS PEDA KERNY WALI ASHIA
Bohat si ghazaein asi hein jo k insani jisam mein gais ko pedha kerti hein jiss mein ,kheery ,bundh gobi, muttur, tumatar, akhrot, aam ,chawal, aloo, aur dhoodh waghaira shamal hein
HULL
Nashty k waqat sangtury k joos ka aik glass istemaal kerein,,saib k joos k badh aik glass garam pini ka istemaal kerein nashty ya raat k khany mein pupity ko shamal kerein naaf k ouper waly hisay mein mustard oil ka missaj kerein her khany k bahdh limoon k joos mein sounf daal ker chubaein aik glass mukhan waly dhoodh mein ajwain ka powder aur kala namak mix kerein aur din mein do murtaba istemaal kerein.
|
Smat
|
Group: Members Joined: 05th Oct, 2008 Topic: 7 Post: 106 Age:
22
|
|
Posted on:9th Oct 2008, 5:20pm |
|
|
Mausam-e-Sarma main Nazla Zukam say Bachao. Ingredients:
- Daar Cheeni --- Chhota sa tukra
- Long --- 2 to 3
- Sabut Kali Mirch --- 2
- Adrak --- Aik chhota Tukra
- Salt --- 1/2 tea spoon
- Water --- 1 Cup
- Sugar --- 1 Table Spoon
- Tea (Patti) --- 2 Chutki
(These all Ingridients are easily available at your Kitchen)
Method:
Aik bartan main paani garam kernay rakhain aur uss main tamaam ajza shaamil kerdain aur isay achhi terha pakain (For at least 5 min). Chaey kee channi say chhan ker nikaalain aur Garam Garam peejiyay.
NOTE: Isay aap Winter Season main rozana bana ker pijiay ZAIQA DAAR bhi hay aur FAAIDAY MAND bhi.
|
Maryam
|
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:11th Oct 2008, 12:44am |
|
|
Alla tips r good bohat achi tips hain umeed hain aienda bhi aisi tips milti rahengi thanx:) |
|