pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:9th Jan 2008, 2:45pm |
|
|
chalo ji beauty star ji aap wapis aa jau, zeb bhai tu nahi aa rahay. Main nay phir party badal li hay. hehehee |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:10th Jan 2008, 7:20am |
|
|
;-) hehehhehe |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:10th Jan 2008, 7:19pm |
|
|
Hmmm... Zeb-Bahi app ka buhat buhat shukriyah kah app ne hum logon ki dawat dey , Agar kabhi Multan anah howa tou app k haath ka khana zaroor kha kar jaoon ga ... waisey app ne jitney bhi dishes likhein hain mujhaey sab pasand hain :) App ko kitaab dena chahiyah Multan ka Sultan Zeb Bahi ... Zeb Bahi :)
Pinky7861 akhir louth k budhu ghar ko aye ... theek hai theek hai kal se maiyn hi kidmat kardiyah karoon ga .... bas app Dollars per se zara haath hata liyah keejyah or hamaiyn bhi Dollars ko choney ka mauqah dejyah :D
Bili-Miau aur kitney jaan banaoo gee .... kisi din atom bomb ki tarah blast ho jaoo gee ..... kuch tou reham karoo UK waloon per becharey pata nahi tumhara boojh kaisey bardahst kar rahey hoon gee ...... Tum bas eak dafah Pakistan ajaoo tumhain eak dam slim kardein gaey yahan k loog (lol)
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:11th Jan 2008, 9:34am |
|
|
:-) Most Welcome, Beautystar... :-)
wese main bi kabhi kabhi sochta hun k book likhun lekin phr sochta hun k koi faida nai hai....aur wese bi time bi kahan hai merey pas book likhney ka
lekin ab ajkal ye sochta hun k apni in dishes ki recipes one by one is forum per send kerun....daily ek recipe....chalo aur koi nai to merey is forum k friends hi mujh se kuch khaney seekh jayen gey.... ;-)
but ye tub hi mumkin hai jub members aisa chahyen to.......
kia khyal hai??? Mujhey pehle ap sub members ki opinion chahiye |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
27
|
|
Posted on:11th Jan 2008, 10:49am |
|
|
hmmmm.. Jab kisi ne apni mom se nahi seekha tou app se kiya seekhey ga ...... hahahaha
Internet per cooking sekhana buhat mushkil hia zeb bahi , pata nahi koi new dish hi na pak jaey (lol) .
|
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:11th Jan 2008, 6:59pm |
|
|
sweet and cute zebbi bhai itna makhan kafi hay ya aur lagoun. hahahaa
Waisay aap say main nay kuch dishes sikhnee hin, sikha dain gay na piyaray aur achaay zebbi bhai???
Maira aur mairay husband ka mutfiqa faisla hay kay main kuch khanay nihayat hi wahyat banati hoon, hahahahah, lakin kia kerain ham bhi, koi aur sulution jo nahi hay. Mairay bus main ho tu main aaj hi cook rakh loon, jab kay ager mairay husband kay bas main hota tu kab ka rakh lia hota, hahahahaa.
anyways,
aaap ko jab bhi moqa milay mujay derjzail khanoun ki tarkeebain batta dain, aalah aap ko naik aur shareef bachay atta keray ga. hehehe
vegetable pulao
chicken karahi
masalay wala chicken
chicken hot wings
hot shots of KFC
na bhi batain tab bhi aap ka shukeria.
aap ki piyari bahen pinky |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:52am |
|
|
:-) Dears,
Beautystar: Yar ue zaurui to nai hai k agar wo pehle apni mama se nai sikhna chahti thin ya nahi sikh sakhin to ab bi wo nahi sikhna chahtin....ho skta hai k ab wo willing hon sikhnay k liye lekin kisi majboori ki waja se na seekh skti hon...like he/she may be out of country, out of reach etc etc...aur wese bi ye to sub ki marzi hai...main kon sa kisi ko zabardasti sikha rha hun.....jese pinky ne farmaish ki hai wese un ki bi apni marzi hai.... ;-)
Pinky: Sweet sister, its my pleasure to tell u the recipes od ur desired dishes....main ap ki in dishes ki recipes zarur bataun ga, one by one, jese hi mujhey time mila karey ga.....ok.....agar aur bi kuch puchna chaho to tumhara Zeb bhai hazir hai :-)
All members: Ap logon ki marzi hai...main na to kisi ko force ker rha hun aur na hi koi demand....agar koi kisi recipe mein interested hai to he/she can ask me...then i will tell u.... |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:13am |
|
|
Zeb yaar mujhe ek recipe chahiyai ..........plz batado......... us dish ka naam hai "condoleezza rice" .....................yai rice kesay bantay hain my cooker man
--
|
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:13am |
|
|
to Pinky Here is ur first dish :-)
Vegetable Pulao:
(ye tarkeeb 1 glass chawalon k liyehai, ok) Sub se pehle 1 glass chawal ko achi tarha saf ker leyn, dho leyn aur pani mein bhigo ker rakh deyn
ek bartan mein oil ya ghee jo bi use kerna chaheyn, wo daleyn...1 cup....us meinonions dal deyn 1 bara, finley chopped...jub ye halkey brown ho jayen to is mein garlic aur ginjer paste dal deyn...dono k ek ek spoon....
phir jub ye teenon cheezen bhun jayen, i mean thora sa brown ho jayen to is mein tomatos ( 2-3 barey size k) dal deyn....is mein garam masalay dal deyn ( andazey se like 1-1 tea spoon) like sabit kali pirchen, long, dar cheeni, etc etc....
phir is k bad is mein potatoes dal deyn, cubes mein katey huye (of approx 1 inch size)...phir is ko medium aanch per bhoontey raheyn....sath ap is mein sabit green chillies bi dal deyn.......thora sa water bi dal deyn take aaloo gal jayen....
jub allo gal jayen...to is mein gajaryen (carrots) choti choti kati hui (of half inch)....dal deyn...ye carrots ap ko pehle se alag water mein galani hon gi....werna ye ziada time leyn gi chawal ko pakney mein...is liye ye pehle se gala lijiye ga is k sath hi peas (mutter) dal deyn...wo bi pehle se galay huye honey chahiye....
phir is mein ap 2 glass water dall ker dhakan band ker deyn (1 glass chawal ko pakanay k liye 2 glass pani dalna parta hai...) phir jub paani ubalney lagay to is mein 1 glass chawal jo pehle se dho ker aur bhigo ker rakhay huye they.....wo daal deyn aur dhakan band ker deyn....aur anch halki ker deyn
5-10 min bad check kereyn pani bi khushk honey lagay ga aur chawal bi gal jayen gey...phir ap is ko dum dey deyn....
2 minute bad dekhiye....ap k vegetable pulao bilkul ready hon gay :-p
yummyyyyyyyyyyyyyy |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:15am |
|
|
to Hitman yar ye kon se rice hain....jo main ne apko apni list batai hai....ye to us mein nahi hai.....
ye main ne kabhi nahi banaye aur na hi mujhey ye atey hain.... :-) |
nelish
|
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 25 Post: 1147 Age:
25
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 9:30am |
|
|
zeb bhai wah bhai wah ap ko to itni achi achi dishes aati hain.tu pher mujhe bhi batain cake ki tarkeeb
ok |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 5:27pm |
|
|
Ha Ha Ha Ha Zeb bhai app waki itnay masoom ho ya ban rahay ho...............app ko abhi bhi samajh nahi ayee meri baat.................interestinggggggg huuunnn
|
anotherOne
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 10 Post: 205 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 5:47pm |
|
|
re-: zeb-hittman condaleeza aik aisi cheeez hai jo africa aur america kay jangaloon main milti hai, north america main ziada pai jati hai, aur yeh aik waqt main duniya main aik hi jagha par mill sakti hai.............mothers apnay bachoooon ko us ki photo deekha kar darati hain. Is ka ghost acha to nahi hoota par bahot hi ziada constly hai, aur shaid kuch beemariyon main karamd bhi ho, research ho rahi hai, hittmaan app say isi liyeh shaid pooch rahay hain. |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 6:06pm |
|
|
Ha Ha Ha Ha Nice sense of homour anotherone brother .................... yaar wesay condaleeza rice main itna ghoosht hai hi kahan jo us ko khaya jaye........mujhe tu us k juice bana kar rice main mix karna hai............. shayad jabhi kehtay hain us ko condoleeza rice..........zeb plzzzzzzz mujhe talassh kar k do us ki recipe ....
|
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:28pm |
|
|
Hit-man, 2nd one conda---leeza---rice tu darasal rice aur lizard say bani hoi wo nayab dish hay jo kay sirf coonday main hi paka saktay hain aur aisi dish ko khatay hi insaan neela peela ho ker mer jata hay. Iss liay iss say perhaiz hi bahter hay, werna jis jis nay aaj tak iss conday ko choonay ki bhi koshish ki hay uss ka gher ab qabrastan main hay. umeed hay aap iss say 10,000 miles kay faslay ko berqarar rakhna pasand kerain gay. waisay ager kabhi aap donoun ko shoaq aay tu mujay call kerain main aap ko bijwa doon gi, akher iss mulk per maira itna tu haq banta hi hay itnay taxes dainay kay baad. |
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:28pm |
|
|
zebbi ji bohat bohat shukeria ji. ab main yah aik do din main try keroun gi inshallah. |
~~HITMAN~~
|
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4259 Age:
29
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:35pm |
|
|
Killer pinky : HA Ha hA hA (3RD TIME) Pinky ..........agar aesi baat hai tou mujhe appsay ye umeed nahi thi .......k app hamain katal karne ka bhi sooch sakti hain wo dish bhijwa kar .............very sad pinky........
|
anotherOne
|
Group: Joined: 01st Jan, 1970 Topic: 10 Post: 205 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:35pm |
|
|
re so its should be anaconda leeza instead of condaleeza :)
|
pinky7861
|
Group: Members Joined: 06th Oct, 2007 Topic: 44 Post: 1348 Age:
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:41pm |
|
|
by the way any one of u understand the meaning of COONDA |
sunehri76
|
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 100 Post: 4647 Age:
38
|
|
Posted on:12th Jan 2008, 8:50pm |
|
|
zeb jee vagitable baryani kaise banti hai? mujhe uska masala acha banana nahi ata?ek bar try ki thi par waisi nahi bani jaisi bazaron me milti hai...warna dusri baryani bohat achi ban jati hain par ye itni achi nahi banti..ap just masale ki tarkeeb bata sakte hain if you know.....my dera cook brother jee |
|