infact life ki haqeeqat hi yeh hay sunehri g.oar aik oar baat batata chalon k ap apni life myn kabhi ghor karyn tu aap mehsoos karyn ge k agar ap ka behaviour dosron se acha hay tu aap apne aap ko bohat pursakoon feel karyn ge oar reply myn log bhi aap se achi tarah baat karyn ge.
meray nazdeeq sab se achay aamal achay akhlaaq se hi bantay hyn.thats y be a gentle person.love other.
this things will prove as a starter to strive for jannah(jannat)
App kay waqaiy jaisa incident mairi apni bahen kay sath bho houa hay. wo aur uss kay husband kahin ja rahay thay raat ko, kay kuch logoun nay ghari rukwaai raasta poochnay ka bahana ker kay aur phir yahi kia jo aap kay sath kia. Mairi bahen tu baad main shdeed baymaar ho gai, kayounkay uss kay saath uss ki bachhi bhi thi, jis ko ager wo saaath lay jatay tu phir........yahi soch soch ker uss ka haal kheraab ho gaya tha. Khair................kia ker saktay hain.
Sunehri:
App maut say dernay ki baat ker rahi hain, mujay maut say bilkul der nahi lagta. Mujay bas aisa lagta hay kay hmara jism hamara libaas hay, aur aik din ham iss libaas say nikal ker halkay phulkay ho ker ur jain gay. Phir allah kay paas jain gay aur wo hamain aik aur jagga per rahnay ko baij day ga. mujay yah lagta hay kay dunya say nikal ker jab ham kaber main jatay hain, tu wo kaber sirf aik rasta ki tara hay, aur wahan say ham ander hi ander chalain jain gay aur kisi aur dunya main pohanch jain gay.
bas aisi hi batoun ki wajja say mujay mernay say der nahi lagta balkay kabhi kabhi dil chahta hay kay wo different world akher kaisi ho gi patta tu chalay!!!! bas.
Waisay aik aur baat bhi hay, main samajti houn kay ager mertay houay ham IMAAN per merain gay tu bas yahi sab say beri kaamyaabi hay. iss liay main allah say her roze yahi doua kerti houn kay jab bhi main meroun tu IMMAN per meroun, kayounkay sirf issi soorat main hi hmari bhlaai hay. Aur iss dunya main aik achha muslim ya aik ghatya tareen mushrik ...main say koi bhi yah nahi janta kay kon immaaan per meraay ga. Ager ham yah sochtay hain kay ham tu muslims hain aur beri ibaadat bhi kertay hain tu hmara thikaana tu phir definitly janat hi ho ga, tu yah theek nahi. Iss liay main sirf issi aik baat say derti houn aur allah say dua kerti houn kay main khood bhi dil aur dmaag aur zubaan per IMAAAn lay ker meroun aur mairay sab musalmaan bahen bhai bhi. Ameen
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
Posted on:11th Feb 2008, 11:30pm
excellent reply pin-key
pinky buhut hi barhiya reply hai app ka ............. meray khayaal main reply of the topic yehi hai..................
Main bhi kuch app ki tarha hi sochta hoon aunty .............. like hum asal main ek rooh hain jo k ek jism main qaid hai ......bilkul us hi tarha jis tarha hum clothes pehen kar us main qaid hojatay hain .................... marnay k baad hi ham is jism say azaad hoon gay................
main ye topic shuru karna chahta tha laikin phir ruk gya , acha kiya aap ne ye death ki baat ki. lsast year mere 3 uncle (eik Ammi ke bhai aor 2 un ke couisn) ki death 2/2 month ke waqfa se heart attack se hoi , us ke baad main mot ke bare main daily socha hoon .... eik soch meri apni zaat ke bare main hian main sochta hoon ke pata nahi meri death kaisi ho gi??? accident se... ya aaj kal ke halaat main kisi bomb blast main.... ye phir kisi beemari main bister par... doosri soch jo main aap sab members ke sath share karna chahta hoon jab se mere uncles ki death hoi hae muje apne parents ki death ka khyal aata hae aor muje bohat dar lagta hae i mean jab un ki judai ka khyal aata hae ke eik na eik (agar main zinda raha) to mere parents meri zindgi main nahi hoon gay aor some time ye soch ke meri aankhoon main aansoo aa jate hain... kya mera is tarah sochna ghalt hae ??? ye main is soch pe kis tarah control kar sakta hoon???
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
Posted on:12th Feb 2008, 3:22pm
ch babar sahab
app ka is tarha sochna natural hai aur is baat ka izhaar hai k appko apney parents say kitni mohabbat hai........main bhi kabhi kabhi is tarha sochta hoon...........aesi soocho ko ignore karna hi best hai plus apne appko is type k accidents k liyain pehley say hi tayyar rakhna chahiyai ye soch kar k Allah Talah kisi wakt bhi kisi ko bhi apne paas bola saktay hain ................apna khayaal rakhiyai ..................
thik isi tarah mai bhi sochti hun..infact maine canser se bohat log marrte dekhe hain aur mujhe is se bohat zyada darr lagta hai
aur mai bhi parents ke bare me aisa hi sochti hun,aur ansoo kya..sahi rona a jata hai mujhe to,phir mai jaldi se astaghfaar parhti hun,aur unki lambi umar ki dua karti hun,..kyunke mujhe darr lagta hai apni soch se hi..
but sach to hai,ke hum sab ko ye waqt dekhna padega,aur hossle se bardash bhi karna hoga...
bilkul is tarhan ki sochen merey zehen mein bhi ati hain like ch Babar...aur main bi sunehri ki tarhan poora roney lag jata hun....
bus phr Allah se dua kerta hun k merey parents ka saya hum sub pr bht der tak kayim rakhna...jub tak main khud lambi bari umer ko na pohnch jaun...boorha na ho jaun....
re "apke sath kabhi koi aisa waqya pesh aya,jiske bad ap keh sakte hain ke apne maut ko bohat kareeb se dekha..?i mean an accidennt..?or anything else...?"
yes mery sath aik baar aysa howa k main office sy ghar araha tha buhat shadeed garmi thi main bike par tha sarrak sunsaan thi , peechy sy aik taiz raftaar van ayee aor mujhy rond'ti hoi chali gayee , log kehty hain k main 40 mint tak behosh raha tha . aik choty sy clinik main mujhy hosh aya to pata chala k mery sary jism main bandage lagi hoi hay , taqreeban 50 stitches lagy howy hain mukhtlif jaghon par , tab shaid mujhy mehsoos howa k main mout k qareeb tha laiken qabar sy ho kar wapis ageya hon ...
iss k ilawa jab hamary city main bomb blast howa to main ussi jaga majood tha jahan blast howa tha , blast main 34 log begunah log shaheed howy aur 70 k qareeb zahmi howy thy , laiken pata nahi main kaisy bach geya , iss k baad main ny apna khoon atiyaa kiya zahmi hony walon k liye ..uss time b laga k main qabar sy ho kar wapis ageya hon ..:)
re "jabke hum jante hain,ke humain age ja kar Jannat me is dunya se achi zindagi millegi,phir bhi hum kyun maut se ghabrate hain..?"
chacha ghalib farmaaty hain ...hum ko maloom hay jannat ki haqeeqt laiken + dill k behlaany ko ghalib yeh khiyaal acha hay :)
(shair ki ghalti khud drusat kar lijiye ga agar hoi to)
baat yeh hay sunehri g k jannat dozakh aik aysa muqam hay jisy kisi insani ankh ny daikha nahi hay sirf iss k milny ya na milny k wada par yaqeen hay , aur jis ka yaqeen jannat k hasool par pukhta hay wo to kabi b mout sy nahi ghabraata , wazy rahy k sirf yaqeen rakhny ki baat ho rahi hay , agy ja kar kis k hissy jannat aur kis k hissy dozakh aati hay yeh to allah hi jany , fil haal yeh duniya mehaz wady par jee rahi hay , wo b iss liye k wada karny wala koi insan nahi balky khud khuda hay aur khuda jhoota wada nahi karta..:)
fill haal time ki kami ki waja sy itni baton par hi comments kar saka hon , aap yeh parr lain baqi baton par baad main fursat k doran comments kar don ga ..:)
Well sunehri sister abi tak kuch aesa accident nahe howa jo mai mouth ke muh mei betha hoo or agar beth bi jaw to pir kiya karo oss se tho bachna nahe chaye. Mai nahe darta mout se kiyo wo mere sath hi he kiyo ke agar kitna bi apne apko chupaw pir bi mout apki sath hogi. Mout ek aesi chez hai jo ke oss se jan churana mushkil nahe balke na mumkin bi hai. Thank you..................................
Mot be koi Bhoolny wali cheez hay,? Roz hum soty hen, Roz khiyal ata puta ni sobaa othna nuseeb hoga kay nahi,? roz hum ghur say baher nikulty hen , sufur kurty hen, roz pul pul yeh khiyal ata puta ni wapis ponchanaa ghur ana be nuseeb ho gha kay nahi, Mot tu kubi be kain be aaa sukti hay, mot ko jo yaad rukhta woh Gonaho say buch jata , jo mot ko bhola data woh Ghafil ho jata hay ku kay oski soch yeh bun jati kay osy wapis Allah kay pas jana he nahi hay kay jaa kur osy koi pooch kuch be honi hay ,
Mot ko yaad kurna or Mot kay bhad ki zindghi ko yaad kurnya insan kay leyeh fayda mund hay, Allah tu Quran meah kehty hen Doniya ki zindghi tu Kahyil or tumashaa hay, real life after death hay, Allah nay Furmaya Qollo Nufsen Zayiqa tul mot, Hur jandaar nay Mot ka zayiqa chukna hay, so essy kasy bhola dain,
hindu myth k motabiq insan janam dar janam marta aur paida hota rahta hai. aur yeh tasalsul jari rahta hai...dunya main jetnay bhi "ghalat mazhabi aqeeday" haiN, woh kissi nah kissi "real truth" ki bigRi howi shakal hai... jaisay yeh janam janam ka bigRa howa hindu aqeedah.
as islamic teaching, humna being k chaar "janam" haiN... sab say pahlay Allah nay "aalamay arwaah" tamaam insaanouN ko paida kia... phir Allah nay tamam arwaah k "ijtemaa" say khataab kia aur onhaiN batlaya k WOH onsab ka Rubb hai... ab WOH onhaiN bari bari dunya maiN bhejega, lehaza woh Allah ko as Rubb nah bhoolaiN.... iss baat ka ajmaalan zikr quran maiN bhi hai.
"aalamay arwaah" maiN ham insaanoun ka pahla "janam" howa thaa... 2nd time ham iss earth par apnay waledain k ghar 'paida" howay...yeh hamara "doosra janam" hai.yeh janam chouNkay khaki hai, lehaza hamari bahoot si "limitations" haiN...ham pahlay janam ko "bhool chukay haiN yaa yeh hamaray laa.shaoor / tahtush sha'oor maiN "inactive" hogaya hai. hamara yeh janam bahoot aham hai... yeh hamaray liyeh examination hall ki manind hai. ham yahaan jo kuch karengay, iska hamaray next "janam" par asar hoga...kaamyaabi yaa naakaami ki soorat maiN.... exam hall maiN jiss tara hamaray aagay peechay left right kuch log paper day rahay hotay hain... yeh hamaray iss waqt "qareebi azeez /paRosi" hotay hain...exam hall k baad zaroori nahi k yeh "rishtah" isis tarah bar.qarar rahay...
iss earth maiN hamaray parents /kidz etc ham say ketnay hi qareeb /azeez kiyoun nah houn, next janam maiN aisaa hona zaroori nahi.... rozay hashar to aik mother apnay doodh peetay bachay ko bhi choR kar bhagegi... aur issi din aik naiki ki kami say jannat jannat maiN nah jaasaknay wala jab aik naiki maangnay apnay maaN baap k pass aayega to ossay NO maiN jawaab milega. yeh dunyaa bhi aarzi hai aur yahaaN k rishtay naatay bhi
iss dunyaa main aankh band hotay /martay hi ham aik 3rd janam main "paida" hojatay hain... iss dunya maiN marnay ko "inteqaal karna" bhi kahtay hain yaani iss world say nex waorld ko "muntaqil" hojana... yeh teesra aalam...aalamay barzakh hai... jo jannat /jahannam nomaa hai...til qayamat ham maiN say 'naik log" aalamay barzakh main araam o sakoon say qayamat ka intezaar karengay jabkay "boray log" sazaak saath takleef ki haalat main ...
qayamat k roz hissab kitaab k baad ham log apnay 4th aur last stage main daakhil hongay jo jannat ya jahannam hoga... wahaan ham dunya k jumlah logoun ko shanakht kar lengay... jannat maiN to hamaray pass option bhi hoga k dunyaa k azeez o aqaarib k pass rah sakaiN
iss dunya main insaan k martay hi oska namaah aamaal closed hojata hai...sirf "sawabay jaaria" ka dar khola rahta hai,...yaani agar woh koi aisaa naik kaam kar gayaa jo oskay marnay k baad bhi ahlay dunyaa k kaam aataa rahaa...jaisay oski banyee howi masjid, madarsah, likhi howi, print karwayee howi koi achi kitaab... yeh jab tak baqi rahengay, iska ajar o sawaab ossay milta rahega.
islami taleem yeh hai k har insaan ki aik expiry date hoti hai... har aik nay apnay fixed waqt aur fixed place par hi marnaa hai...apnay azeezoun ki maut par afsordah hona aik fitri baat hai...magar iss pay aah o abak karna, maatam karna, Allah say ehtejaaj karnaa etc etc yeh sab HARAM hai. sirf ham ossay eesalay sawaab kar saktay hain...magar asal kaamyaabi aur naakami oskay apnay aamaal k sabab hogi... ham sab ko apni apni maut ko yaad rakhna chahaiyeh k hamain bhi marna hai...aur marnay say qabal apnay aqeeday, mazhab, deen ki sadaqat ko har kasauTi, specially quran aur hazrat Muuhammad bin Abdullah sallallaho alaihay wa aalehi wasallam, makkii madani k aqwaal o aamaal ki kasauTi pay parakh kar check karlena chahaiyeh k khoda nah khaastah kaheeN ham by birth yaa by opt kissi baatil deen o mazhab pay to naheen... iskay baad apnay aamaal ki fikar karni chahiyeh k kia hamara aamaal iss deenay haq ki taleemaat k ain motabiq yaa kam az kam ossi samt hai yaa nahi.... ye sab kaam marnay say pahlay pahlay kartay rahna chaahiyeh...marnay k baad agar khoda nah khaastah pata chala k ham false deen par maray hain tab kuch nahi hosaktaa...hamara moqaddar sirf aur sirf jahannam hi hoga...
Allah ham sab ko deenay haq pay naik amala kartay howay marnay ki taufeeq day taakay maut hamara kuch bigaaR nah sakay...just hamain transfer karday...iss dunyaa say oss dunyaa main jahaaN ham aish o araam wali yaani jannat wali zindagi ko paa sakaiN aameen summah aameen yaa Rabbul Aalameen
Sunehri Sis...... Maut..... Meeting with our Creator
aik artist k hath main pencil ho, jis se woh koi tasveer bana raha ho, aik wakt aey ga jab uski ink khatam ho jaey gi, lekin agar woh pencil aik "khubsurat" tasveer bananay main khatam ho, tau woh tasveer hamesha yaad rehti hai, "pencil ki maut ka gham" koi nahi karta..
har insan aik pencil ki tarhan hai, jiska artist bhi woh khud hi hai... hmari zindgi is pencil ki ink hai, jo musalsal istemal ho rahi hai, aur ham musalsal is ink ko ya "zaya" kar rahay hain ya is se koi "tasveer" bana rahay hain.... aik wakt anay par hmari ink khatam honi hai. lehaza ham iski qadar karain tau hmari tasveer "shahkar" hogi jis par "ink khatam honay" ka gham nahi hoga, warna "aari tirchhi lakeerain" hi hongi.
apnay jis andaz se sawal poocha hai us se apka topic, public discussion ki bjaey apka personal problem hai.
agar aap sirf "takleef" ki wja se maut se darti hain tau yeh koi bara problem nahi hia..
takleef aur enjoyment, asal main kuch bhi nahi hain, asal cheez hai satisfaction..
farz karain ap aik maheenay k liay apni family se dur dunia k akhri konay bhej di gai hain, jahan koi bhi apka apna nahi hai, sab ghair hain....wahan apko har woh cheez di jaey jis se aap enjoy karti hain, maslan apki pasandeedah dishes, ghoomna phirna, luxury appartment, fancy dressing.. kia aap sab kuch hasil honay par "satisfied" hongi?.....hargiz nahi qk aap satisfied nahi hain.
isi tarhan farz karain k aap apni family aur apnay loved ones k sath (Allah na karay) kisi "takleef" main hain, maslan apko bukhar ho aur bukhar main apko har cheez khanay se mana ho, aur apko apni koi napasandeedah tareen chiz parhaiz main khani paray, jo medicine khani paray woh intehai badzaiqa aur karvi ho, phir injections ki takleef alag ho, pori body main dard ho, lekin is k sath ap k sab loved ones aap k aas paas hon, apka haal poochain, apkay theek honay main apka khayal rakhain, kia aesi surat main apko apni "takleefain" mehsoos hongi?.....bilkul nahi hongi isliay k aap "pursakoon aur satisfied hain" balkeh apko apni takleefain achi lag rahi hongi jo apkay loved ones ko apkay aur kareeb le ain...
Allah Talah ham se 70 mothers se ziada pyar kartay hian, dunia main hmari aik mother hmaray bimar honay par hmari itni khidmat karti hain k hamain bimar honay main "maza" anay lagta hai..... tau hmaray marnay k wakt, jo aik tarhan se hmari bimari ki takleef ki tarhan hi hogi, Allah Talah ki 70 mothers se ziada mohabbat wali "teemardari" kesi hogi? k hamain marnay main bhi "maza" hi aa raha ho ga..
sirf Allah Talah ko raazi kar lain aur kuch nahi... aik riwayet main hai k kuch logon ko maut k wakat Allah Talah ka deedar naseeb ho jata hai, aur woh Allah Talah k deedar main aesay magan ho jatay hian k unhay pata bhi nahi lagta k unki rooh kis wakt nikli,...hazray Yousaf AS k husn ko dekh kar aurton nay apnay haath kaat liay aur unhay pata na laga, Allah Talah ka husn kesa ho ga?
dunia main "enjoyment" sirf yeh samajhnay k liay hai k "enjoyment" kia hoti hai...asal enjoyment sirf jannat main hai...agar dunia main ham enjoyment ko feel na kartay tau jannat main "luxury life" ka charm kesay samajh letay?
dunia main "takleef" sirf yeh samajhnay k liay hai k "takleef" kia hoti hai.....asal takleef sirf dozakh main hai.. agar ham dunia main takleef ko feel na kartay tau dozakh ki takleef ka tasawwur kesay kartay aur ghalat kam se kesay bachtay?
aap k zehen main maut k baray main aesay khayalat kisi gham ya kisi khof ki wajah se ho saktay hain jo aap nay apni life main kisi wajah se aesay feel kiy hain k ap k zehen par naqsh ho gaey hian... aur is kefiat se nikalna koi mushkil baat nahi hia..... ap apni "reasons" khud talash karain, aur un k asar ko apni zahanat se khatam karain........quran e kareem bhi gham aur khof ki kefiat se nikalnay k raastay samjha deta hai....
alBaqra: 112
"yakeenan jo apna chehra Allah k liy jhuka dy, aur woh ahsan karnay wala ho, unka ajar un k Rab k pas, aur un par na koi khof ho ga, na woh ghamzada hongay"
alBaqra: 262
"jo log apnay maal Allah ki rah main kharch kartay han, phir na ahsan jatatay hain, na takleef detay hian, unka ajar un k Rab k pas, aur un par na koi khof hoga, na woh ghamzada hongay"
alBaqra: 274
"jo log apnay maal Allah ki raah main raat aur din, chhupa kar aur ailania, kharch kartay hian, unka ajar un k Rab k pas, aur un par na koi khof ho ga, na woh ghamzada hongay"
alBaqra: 277
"jo log iman laey aur naik kaam kiy, aur namaz qaim rakhi, aur zakat detay rahay, unka ajar un k Rab k pas, aur un par na koi khof ho ga, na woh ghamzada hongay"
aur special ap k liay....
alBaqra: 286
"Allah kisi nafs ko uski taqat se ziada takleef nahi deta, naiki ka faida karnay walay par, gunah ka nuksan karnay walay par, ae hamaray Rab hmari bhool ki khataon ki pakar na farma, ae hamaray Rab ham par bhari bojh na dal jo tu nay ham se pichlay logon par dala tha, ae hamaray Rab ham par woh bojh na dal jo ham seh na sakain, aur hamain maaf farma, aur hamain bakhsh de, aur ham par reham farma, tu hi hmara karsaz hai, pas hamain kafiron ki qom par nusrat ata farma"
Main aik dafa jahaz pe sawar tha aur jahaz hila, us k hilnay k waja say, tufanj barpa ho gaya aur un main say chand logon ko udhar hi heatatack ho gaya. main bi bara panic ho gaya. jo saath main mery larki bethi thi wo shakal say masi lag rahi thi... us nay mera hath itni zor say pakra k kuch dair tak mujay apna hath tak mehsus na huwa.... mery agay ka private part... wesay to thiek thak rehta hai, lekin us waqt panic waja say wo meri skin k andar chala gaya.... main sochta raha k ub to main gaya.... lekin phir shukar hai k sab bach gaey.... air hostess nay un k moun main moun dala huwa tha.... aur apnay haton say un k chest pe mukay aur hath mar rahi thi.......
Masha Allah apnay iss khoob.soorti say maut ko "qaabilay qabool" banaa dia hai k issay paRhkar shayad hi koi maut say Daray... waisya bhi aik momin ki shaan yehi hai k woh maut say kabhi nahi Dartaa...yeh haqeeqat jannay k bawajood k maut aik takleef dah haalat ka naam hai...iss liyeh k momin ko maut ki takleef k baad aik baRa inaam... jannat ki soorat main milnay wala hota hai
baRay say baRay inaam k liyeh log shadeed sy shadeed takleef ko jaan boojh kar galay lagaa letay haiN... aik aur misal:
har aurat ko pata hota hai k child delivery aik "takleef dah" amal hai. iskay bawajood aik normal female iss takleef ko jheelnay k liyeh hansi khushi tayyar hojati hai... balkay aik baar takleef say guzarnay /feel karnay k baad woh iss takleef dah amal say dobarah guzarnay k liyeh bhi tayyar hojati hai...kia yeh takleef kam hai? iski wajah yeh hai k iss takleef k baad woh aulaad ki neimat say sarfaraaz hoti hai, maaN banti hai... shauher ki mohabbat main izafah paati hai, khandaan maiN ooncha moqaam paati hai, boRhapay k liyeh saharaa paati hai.... etni saari neimatoun k liyeh aik samajh.daar aurat khushi khushi bar bar iss takleef k liyeh "tayyar" hojati hai
lekin agar kissi aurat ko medicval check up k baad pata chal jaa.ay (khodaa nah khaastah) k iss pregnancy ka result "incomplete /mordah /disabled etc" type ka child paida hoga to woh kabhi bhi "delivery pain" ko welcome nahi karegi aur koshish karegi k 9 months say qabal hi iss "bojh" ko zaya karday
maut ka khauf... agar unmatured, kam parhay likhay yaa nafseyati fard ko ho to yeh alag baat hai... warnah aik normal, aaqil baaligh fard ko maut say khauf khaanay yaa nah khaanay ki basic "wajah" yeh hoti hai k ossay "confirm" nahi hota k marnay k baad kia hoga... aik true momin maut say issi liyeh khauf nahi khataa k ossay pata hota hai k maut aur qayamat ka din shadeed mushkil aur takleef wala hoga...magar woh yeh bhi jaanta hai k woh iss say guzar kar jannat main enter hoga iss liyeh maut ko jaan boojh kar bhi galay lagaa leta hai, jehaad main ... maut ko saamnay dekh kar ... bay khatar aag o khoon k daryaa main kood parta hai... logoun ko takleef say martay dekh kar bhi "baaz" nahi aataa balkay shahaadat k hasool k liyeh josh o jazbay say maut ki taraf chalaang lagaa deta hai
jabkay, kaafir, mushrik, monaafiq ... maut k baad pesh aanay walay waqe'aat par tashkeek ka shikaar hota hai, ossay yaqeenay kaamil nahi hota k marnay k baad sakoon moyassar hoga...lehaza woh issi dunyaa main "panaah" talaash karta hai k jab tak zindah rahsakta hai, zindah rah kar maut aur oskay baad ki mumkinah takleef say bacha rahay...magar bakray ki maaN kab tak khair manaayegi...aik nah aik din to maut ki churi k neeche aayegi :)
Allah ham sab ko maut say pahlay pahlay apnay apnay imaan o amal ka jaizah letay rahnay ki tafeeq day k maut achanak aa jati hai...aur kissi ko yeh khabat=r nahi hai k woh kab aur kahaaN marega (quranic ayat ka mafhoom)
"........lehaza woh issi dunyaa main "panaah" talaash karta hai k jab tak zindah rahsakta hai, zindah rah kar maut aur oskay baad ki mumkinah takleef say bacha rahay...magar bakray ki maaN kab tak khair manaayegi...aik nah aik din to maut ki churi k neeche aayegi....."
aur bhagnay ki zarurat bhi tau nahi hia, ham sab insan, jab se peda huway hain, raat ko neend ki surat main "mar" jatay hian, aur baqaida us "maut" ki halat main kisi aur hi khwabon ki dunia main ghoomtay phirtay rehtay hian (alam e barzakh ki tarhan) aur subah jaagnay ki surat main "mar kar dubara zinda" bhi ho jatay hian........ yeh neend aur jagnay wala system kisi bhi janwar main aesa mechanized nahi hia jesa insanon main hai... takeh insan is baat ka bhi mushahida kar lain k maut k bad dubara zinda bhi hona hai.....
2 woh jo derta ho k us k baad us ki family ka kya ho ga
3 woh jo Allah k samnay janay se derta ho k pata nhn us k aamaal ka kya banay ga
pehli 2 type walay 90% milain gay duniya main
teeseri qisam walon k sath problem yeh hai k jo log dikha dikha ker rotay hain Allah k khoaf se main nhn smajhta k un main mukhlasi hai kiun k Allah k khoaf se insan tab derta hai jab woh sochta hai Allah k baray na k TV per munh ban abana ker roai to hi usay Allah ka khoaf hai
mujhay moat se der nhn lagta lakin achanak moat se derta hun k pata nhn toba ya kalma naseeb na ho
kiun achanak moat se Nabi SAW ne bhi panah mangi hai
main ne moat ko qareeb se dekha hai afghanistan main aur kashmeer main
itnay qareeb k dermiyan main hawa bhi na ho
shayed isi liyay mujhay der nhn k mernay k baad kya ho ga
main samjhta hun k mernay k baad jab qaber main 3 sawal hongay to meray pass un k jawab hain
1 MAN RABBO KA TERA RABB KON HAI ALLAH RABBI
2 MAN DEEN O KA TERA DEEN KYA HAI IMAN BILLAH
3 MEEN HAZA YEH KON HAIN NABI SAW
qayamat main honay walay sawal
ZINDAGI KAHAN KHERACH KI
AI ALLAH TERI DUNIYA MAIN TERAY DIYAY HUWAY MASSAIL KO HAL KERNAY MAIN
JAWANI KAHAN KHARACH KI
AI ALLAH AISA KUCH NHN KIYA JIS KI WAJAH SE TERAY SAMNAY SHERMINDA HUN
DAOLAT KAHAN SE KAMAAI AUR KAHAN KHARACH KI
AI ALLAH NA ITNI DOALAT KAMAAI K HARAM KI HO AUR NA HI AISAY KHARACH KI K MERAY PASS JAWAB NA HO
ILAM JO HASIL KIYA US PER AMAL KIYA DUNIYA K HALAT MAIN JITNA HO SAKA AMAL KIYA AUR LOGON KO BHI TERGHEEB DI
yeh aik beri ideal situation lagty hai lakin yeh haqeeqat hai k ager insaan Allah k pegham ko samjhay to Allah khud usay kuch gunahon se bachata hai
hum baaz auqat samjhtay hain k yeh humain Allah ne kiun nhn diya lakin yeh nhn sochtay k ager diya hota to hum us ka kya kertay ????
99% chance hai k hum us ka ghalat istemaal kertay
jesay jo diya hai us ka kertay hain
1 misaal hai k jin k pass bherpoor jawani hai woh kya kertay hain ya kya kuch kerna chahtay hain kisi ko moqa nhn milta to bach jata hai ya koi buzdil ho to bach jata hai
doalat jin k pass hai woh kya kuch nhn kertay kitnay % hain jo Allah se der ker doalat ko najaiz tareeqay se nhn kamatay aur najaiz jagah kharach nhn kertay ????
merad jawan hai to ghalat kariyan kerta hai ager moqa na milay to ghalat tareeqay se jawani zaya kerdet ahai jesay masterbation etc
aurat haseen ho to khud numaai ki koshish kerti hai aur itna agay bhi chali jati hai k nangi ho janay se kam nhn kerti
aalim jo hain unhain dekh len apnay ilam per gharoor k sath sath kesay kesay bechtay hain ilam ko
is liyay akhir main dertay hain k mer gai to kya ho ga
yahan ager hum sab ghor kerain to andaza ho ga k hum ne kya ais akiya hai jis per hum Allah se dertay hain
aisa hi hai na k ager koi bacha koi nuqsan ker de to gher aatay huway derta hai lakin aan to gher hi hai na is liyay aat ahai gher hi aur btata hai k kya huwa akser thori si dant phitkaar k baad usay muaf ker diay jata hai
yehi haal humara aur Allah ka hai k dertay hain Allah se lekin us se bhag ker kahan ja saktay hain
jo bhagtay ya bhagnay ki koshish kertay hain woh bhinhn bhag saktay
Sura REHMAN main hai na
AAI JINO INS AGER IS KAINAT SE NIKAL KER KAHIN AUR JA SAKTAY HO TO CHALAY JAO LAKIN TUM JA NHN SAKTAY
is liyay moat se der hai to moat ki tayari kerni chahyay na k bas munafqana tor per zuban se to kahain k moat ka der hai lakin samnay indian movie chal rahi ho ya kuch aur
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.