1. Medical Discussion: agar koi zati sawal kerne ki bajaye sirf medical information chahta ho ya batata ho tu woh post Medical Discussion mei jaaye ga. maslan blood group kya hota hai? Khoon kaise banta hai waghira waghaira
2. Unmarried Boys Problem: agar sawal unmarried boys ke sex problem ke baaray mei poocha jaa raha hai tu woh Unmarried Boys Problem mei jaaye ga. maslan ehtelam, jaryan, musht zani, qatra etc.
3. Unmarried Girls Problem: iss category mei sirf woh sawal jaaye ge jo unmarried girl ke sex problem se taluq rakhta ho maslan small breast, menses etc
4. Married Men Problem: Yaha per shaadi shuda mardo ke jinsi sawal hotay hai. agar aik aurat bhi apne shohar ke baaray mei poochae tu woh bhi isi category mei jaaye ga. maslan na-mardi, surat e anzal, semen problem etc
5. Married Women Problem: iss section mei shadi shuda aurto ke jinsi masail maslan pregnancy, lactation wghaira jai ge.
Note: Birth control ka male tareeqa ya mardo ka poocha hua sawal married male mei jab keh aurat ka tareeqa ya aurat ki taraf se poocha hua sawal married women mei jaayega. issi tara aurat ka banjhpan married women mei aur mardo ka baanjhpan (semen etc) married men problem mei jaaye ga.
6. Religion and Sex: aise tamam jinsi masayel ke sawal jis ka jawab mazhabi nuqta nigah se poocha gaya hai woh iss category mei jaaye ge.
7. Religion and Culture: tamam mazhabi sawal ya topic iss category mei jaaye ga. lekin yaad rahe keh jinsi masaye se mutaliq tamam mazhabi jawab oopar bayan kiye gaye category yani Religion and Sex mei jaaye ga.
8. Social Problem: yaha per muasharti aur samaji masail wale sawal aur topic maslan shaadi, talaq, mohabbat, waghaira. lekin agar yeh masail mazhabi nuqta se poochey jaai tu woh oopar wale category Religion and culture mei jaaye ga.
9. General Health: yaha per tamam medical problem jis ka taluq jinsiat se na ho woh sawalat jaai ge. khayal rahe ke ksi ne apne ya kisi relative friend ki beemari ke baaray mei sawal poocha tu yaha jaaye ga. lekin medical sawal ke bajaye general discussion kerna chahta ho tu woh pehli category Medical Discussion mei jaaye ga
10. Non Medical Discussion: woh tamam topic jis ke liye iss forum per koi category nahi bani hai woh sab ke sab iss category mei jaaye ga.
11. Food and Recipe: yaha per khana pakane ki tarkeebo wale topic jaaye ge. lekin agar koi poochata hai keh fever mei kya khana chahiye tu woh oopar general health wale category mei jaaye ga.
12. Sports and Game: yaha per khail ke baaray me maslan cricket hockey etc
13. Politis: yaha per siasi khabrain aur siasat wale post jaaye ge
14. Urdu: iss category mei urdu adab maslan lateefa, shayeri waghaira jai ge.
15 Career and Success: yaha per job aur education wale post jaaye ge
16 Articles: yaha per aise post jaaye ge jo na sawal ho aur na hi discussion balkeh woh aik article ho.
17. Chatting: yeh hissa har aik ke liye nahi hai balkeh sirf on members ke liye hai jo forum per jawab dete hai aur topic divert se bachne ke lye iss section mei batain kerte hai. yaad rahe keh noorclinic koi chatting website nahi hai. aur agar kisi ko chatting ki khahish hai tu woh kisi aur chatting website per jaaye.
18. Suggestion: agar kisi ko forum se koi shikwa shikayat hai ya admin ko koi mashwara dena hai tu woh iss category mei post karain.
19. Junk and Spam: jo sawal bar bar pooche jaaye ya aise post jis ka maqsad forum aur forum ke member ko pareshaan kerna ho woh iss category mei jaaye ge.
20. Men Health and Women Health: filhal iss category mei koi post shift na karain iss category mei noorclinic office wale log post shift kerte hai.
jab aap kisi post ka category set kertatay hai tu foran os ke subcattegory list bhi aa jata hai. aap os mei se munasib subcategories set ker saktay hai.
Group: Members Joined: 16th Mar, 2012 Topic: 5 Post: 570 Age:
30
Posted on:2nd Apr 2013, 4:10am
thanks
will try, iA
1
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.