sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 8:41am |
|
|
Share Your Feeling About Death
mai apse ye jan.na chahti hun ke ap Death ke bare me kitna sochte hain..? apke sath kabhi koi aisa waqya pesh aya,jiske bad ap keh sakte hain ke apne maut ko bohat kareeb se dekha..?i mean an accidennt..?or anything else...? jabke hum jante hain,ke humain age ja kar Jannat me is dunya se achi zindagi millegi,phir bhi hum kyun maut se ghabrate hain..? mai un logon ke statemant pe aksar ghaur karti hun jo ye kehte hain.."humain Maut se darr nahi lagta..hum sab ne jana hai ek din,...aur khuda se darrte hain " par phir bhi mera khayal hai har koi kahin apne andar jhanke to wo maut se darrta hoga... asaan maut aur mushkil maut apki nazar me kaunsi hai..? mujhe maut se bohat darr lagta hai,lekin specially jab mai kisi ki death ka sunti hun,ya kabristan dekhti hun to mere zehan me ajeeb se khayalat ate rehte hain maut ke hawale se...mai ye bhi bohat sochti hun ke insan ko kitni takleef hoti hogi jab uske jisam se Rooh alehda hoti hai,ya jab saans na ata ho..kaisi feelinghongi..? afsos ke har ek ko is tujarbe se guzarna hai par koi share nahi kar sakega ke kaisa hota hai,..? kya ap kabhi sochte hain ke ap agar is waqt(kisi bhi setuation me hon) marr jayen to kya setuation hogi?? ya phir mai hi pagal hun aur is kisam ki batain sochti rehti hun???
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 11:16pm |
|
|
Good Topic sunehri Sab say pehley tou main app ko ye bata doun k sirf app pagal nahi hain main bhi pagal hoon .kyunkay main bhi yehi batain kabhi kabhi sochta hoon ..........he he he he he
mujhey nahi pata k dosray loag is baray main kya nazarya rakhtay hain magar mera nazarya yai hain muat say dar lagnay ka ..........k jab hum loag is dunya k jhamailoon main guom hojatay hain aur akhirat ko bhool jatay hain plus Allah Talah ka dar hamaray dilon main kam hojata hai tab hamaray andar dunyawi batain peda honay lagti hain ................jin main say ek muat say dar hai......
kyunkay maut ka dar ek dunyawi baat tou hai ............ kyunkay hum nahi chahtai k hum zindagi k beech main maray ......... hum chahtay hain k hum pori zindagi jee kar maray ............. kyunkay hum ye baat sochna hi bhool jatay hain k ye life temporary hai aur kabhi bhi hamari maut waki hosakti hai...........is liyain hamaray andar is dunya ki zindagi say pyaar peda hojata hai ..........................................continue...............................................................
Moderator Note: Please don't use any word more than 25 charachter. dot (.) is also considered as character.
|
Alveena20 |
Group: Members Joined: 15th Dec, 2007 Topic: 10 Post: 922 Age:
28
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 11:28pm |
|
|
mujhay bhi dar lagta hai .main to din mein kahi baar aisa sochti hoon. aur jab main qabar ka sochti hoon to bahot dar lagta hai.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 12:41pm |
|
|
hitman do you mean,jo maut se darrta hai wo Dunyawi baton me pada hua hai..?
hmm sahi keh rahe honge ap ,..but jo insan bled nahi dekh sakta wo maut se darrega na....?
and shukar hai mai akaili nahi hun jo aisi waisi batain sochti hai....
han alveena u r right..... |
Kali Zuban |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1792 Age:
28
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 1:25pm |
|
|
Death and Zindagi is nothing Insan aik matter hai. matter na tu paida kia ja sakta hai aur na hi fana. albatta matter ko aik state se doosri state mai tabdeel kia jaa sakta hai. Death kuch nahi hai, balke yeh aik state se doosre state mai change hone ka nam hai. ham jab mer jaate hai tu hamara wajood mojooda state se change ho ker doosre state mai tabdeel ho jaata hai, iss se ziadah aur kuch nahi.
mukhtalif mazahib ke log death ko mukhtalif andaz se bian kerte hai, beshtar ka aqeeda hai keh insan dobara zinda ho ga, musalmano ka bhi aqeeda hai keh akhrat ke din sare insan zinda ho ge aur on se on ke gunaho aur sawab ka hisab lia jai ga.
kainat ki her cheez mai zindagi hai, dunia ke logo ne sirf haiwanat aur jamadat ko hi zindagi qarar dia hai, warna haqeeqat yeh hai keh iss ke ilawah bhi dunia mai jetni cheezain hai, on ki bhi aik makhsoos zindagi hai, aurk aik makhsoos waqt mai mar jana hai. dunia ki tamam cheezain aik makhsoos waqt mai aik state se change ho ker doosri state mai tabdeel ho jaati hai. isi ka nam death hai.
jab tak insan aur janwar zinda rehte hai, zindah rahne ke liye strugle kerte rehte hai. warna haqeeqat yeh hai keh koi bhi jandar na tu apni marzi se paida hua hai aur na hi apne marzi se os ki death ho gi. aik ghaibi qoowat (God) hai jo keh sab ko paida kerti hai, aur sab ko marti hai. kon kab inteqal kare ga aur kis tarah inteqal kare ga nahi jaanta.
Inteqal per takleef ho gi keh nahi iss ka daromadar is per hai keh aap ke brain ka sensory system ketna kaam ker raha hai. kio keh agar aap ka sensory system kam nahi ker raha hai tu aap ko koi takleef mahsoos nahi hogi. behosh aadmi, coma state, falij state mai sensory system kam nahi kerta, lehaza aisi halat mai agar death ho tu koi takleef nahi hoti.
death aur zindagi jab apne ikhtiar mai nahi hai tu phir death se derna aur zindagi ke liye strugle dono bekar hai. ham jo death se derte hai aur zindagi ke liye strugle kerte hai is ka bhi hamai ikhtiar nahi, aik ghaibi qoowat (God) hamare brain mai death ka khof aur zindagi ke liye struggle ka jazba paida kerti hai. agar yeh ghaibi qoowat hamare brain se death ka khof nikal de tu hamai koi khof nahi ho ga, bilkul isi tarah agar zindagi ke liye strugle ka jazba nikal de tu ham zindagi ke liye strugle hi nahi kare ge.
haqeeqat yeh hai keh hamare ikhtear mai kuch bhi nahi hai. hatta ke death ke bare mai sochna, ya aisi soch ko zehan se nikalna.
kabhi kabhi death ka khof zaroorat se ziadah ho jaata hai. jis ko Death Phobia kehte hai. yeh aik nafsiati bimari Anxiety ki qisim hai. jis ka ilaj zaroori hai. yeh bimari bhi God ki taraf se hai aur is ka ilaj/shafa bhi God ke hi haath mai hai.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 1:54pm |
|
|
kali zuban very nice replay... |
nadeem AOL |
Group: Members Joined: 26th Nov, 2007 Topic: 8 Post: 265 Age:
30
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 2:36pm |
|
|
I have seen... myself dead in my dream. I found myself alive in my grave after i was burried and looked around my grave........
In addition to that i started feeling death 2 years ago when i was in B.com.
We were on trip to "Khiora" (salt mine) and "Kallar Kahar". On the way back to home we had some girls in our bus. One of those had a Breathing Problem (Asthema). When she started suffering breathing problem, i saw her like her soul is being seperated or pulled from her body. She was yelling and crying like a crazy "M dying, M dying".....I still remember her expressions of pain. It makes my imaginations occupied with the fear of going to be dead. But when i realize that everyone has to go through this stage my fear tends to be decreased, makes me realistic and helps to go for good deeds.
Cheers. |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 4:26pm |
|
|
re agreed with kali zuban.me also afraid 4rm death zayada ter tu mujhey es baat se der lugta ha that agay ja ker k kiya jawaab dan gay jab humara Rab hum se hisaab lay ga.jo mout se derta ha aur Allah k agay kharay honay se derta ha wo dunia me her qadum phoonk phoonk ker rukhta ha.tc and Allah Hafiz |
nelish |
Group: Members Joined: 13th Jan, 2008 Topic: 24 Post: 1151 Age:
24
|
|
Posted on:8th Feb 2008, 10:08pm |
|
|
kali zuban nice,,,,,,,,,,,,, |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 7336 Age:
32
|
Blocked |
Posted on:8th Feb 2008, 11:13pm |
|
|
MOOT SAY KIYA DRNA I totally not agree with Kali Zuban article.To negotiate on this article i need time but i will quote only my statement here.
According to me WE should not afraid with death and a person always prepare to DEATH.Because life logic result is death.
I have seen myself one stage that i am dieing.But i can not die this spot.Any how i am thankful my ALLAH he gave me life and give the chance to better my life to sucess in AKHRAT.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 1:39am |
|
|
:-( mujhey to maut se bohat dar lagta hai aur agay k hisaab se bhi :-(
aur merey zehen mein bi aise baten ati rehti hai jese sunehri k zehen mein ati hain
aur main bi jub bi kabristaan jata hun to merey zehen mein bi aisi baten ati hain k mujhey bi yahan ek na ek din ana hai...aur main jub yahan hun ga to merey ghar waley bi mujh se aise hi milney aya keryen gey :-(
bht bar aisa bi sochta hun k jub main mar jaun ga ya agar main abhi abhi mar gaya to kesi situation ho gi...ghar mein kesa kohraam machay ga...sub k kese reactions hon gey....mera janaza kesey ho ga....etc etc...ye sub main ne bht bar imagine kiya hai....aur ye sub soch ker rona bhi bohat ata hai aur agey ki hakeeki life k barey mein soch ker dar bhi bohat lagta hai :-( |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 2:04am |
|
|
feeling about death... death k baray mai sochta hon lekin death say darta nahi hon, kyonkay dunia aik guzar gah ki tarah hai... yahan say guzar kar jannat mai jana hai. inshaAllah , (bcoz Allah is ghafoor-ur-Raheem)..
In my opinion, asaan maut wo hai jismai bemar na rehna paray ... mushkil wo jismai ziada arsa bemar rehna paray... |
raazdaar |
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
24
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 2:21am |
|
|
Death Will Not Stop Coming... SALLAM TO ALL FRIENDS
1st of all we should be prepare for death.And those who are afraid of death should be non-muslims.Bcoz their paradise is only this World.Althought we all should do that what and for ALLAH send us to do in this world.Bcoz if we imagine one life cycle.It starts of good thinking,funny moments,laughting,etc.But one thing to remember that the life has no value in this world.It is just breath that we inhill and outhill.
For example i will show one pair of poetry in urdu..
Ayee Hoyee Azan Hoyee Gayee Hoyee Namaz ::::
Itnai Qaleel(less) Waqt Main Ayee Aur Chalai Gayee.
After reading this u all will know what i mean.Our life is just gripped only in one time prayer.Which starts From AZAN and ends on NAMAZ.But one thing more that seems me OK.It that when a child born is also in crying stage.And when death comes also the same stage.One thing to note that here the act also change as same as the child.An old man and a baby.Althought both are not same but in acting both are equal.
Well I Hope u better understand what i said.ALLAH Bless Us All.Thank u all...
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 3:12am |
|
|
sunehri : continue maut say dar kyun lagta hai , kyunkay hum ye sochtay hi nahi k hamary life temporary hai aur kabhi bhi hum mar saktay hain aur kisi bhi wakt hamari death hosakti hai ...........is liyain jitna is baat ko ignore kiya jaye ga utna hi dunya say mohabbat dil main peda hoon aur maut say dar peda hoga...............
jabhi tou kehtay hain k maut ko har pal yaad rakhna chahiyai takay hum is dunya ki mastiyoon main guom na hojayeen ...............jab app maut ko yaad rakhna seekh jaoo gay tou phir is say darna bhi bhool jaoo gay .......kyunkay app ye realize karlo gay k maut kabhi bhi asakti hai
app nay jo blood wali baat ki hai tou har koi blood kay nikalnay say nahi marta hai ............ aur hamesha Allah talah say dua kiya kijiyai k wo hum ko asaan maut dey .................ameen
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 3:25am |
|
|
zeb&hitman;&goodman;&raazdar; @zeb
same feeling here,meri bhi aankhonme ansoo a jate hain,aur kabristan me ja kar ya wahan se guzarte hue bhi ajeeb-o-gharib khayalat ate hain...
--
i know,ke ye dunya bas waqti hai,aur maut barhaq hai,aur mai jitna maut ke bare me sochti hun,utna mera zehan mujhe kehta hai ke mujhe khud ko behtar karna chahye maut se pehle...like apni ghaltiyan door karni chahye,Namazain bakaidgi se.... ek taraha se ye darr,aur is ka zikar mujhe mazeed khaufzada bhi kar deta hai,par also ye bhi ehsas dilata hai ke akhrat ke lye kuch karna chahye....
is lye mera to khayal hai maut se darrna hi chahye,aur hum darrainge nahi to khud me behtari kaise layenge..?
maine ek bar ek immam ki speach suni thi,jisme unhon ne kaha tha ke ye ho nahi sakta insan maut ke bare me soche aur use pata na ho ke uski akhrat kya hai..to kyun na hum apni akhrat behtar karain...etc
unke ye words mai aj tak nahi bhooli,jabke unki death ho chuki hai,par ye unke ilfaaz mere zehan me aise bethe hain....aur jab mujhe yad ate hain to khud se yehi kehti hun ke ab is pe ammal bhi karungi...par phir kuch dinon bad dunyawi baton me maggan ho jate hain..
@raazdar
you are right...
|
Bindiya200 |
Group: Members Joined: 13th Dec, 2007 Topic: 0 Post: 29 Age:
26
|
|
Posted on:9th Feb 2008, 12:10pm |
|
|
maut to aik din sab ko aani hai. Zindaagi
aik arzi sheh hai.kitna he jee leyin. Kitne he maut se bachne ki koshish kar leyn.Wo din aa
ke he rehe ga jab aap ki zindagi ki shama_e_heyat bujhi ja rehi ho gi. Aap ke
walidain aap ki pyari olaad . aap ki ghamkhawar wife aur aap ke wafadaar rishtedar
dekhte reh jayn ge.aap ki
zindaagi ka saaz ahista ahista khamosh ho jaye ga. .ye din sab ne he dekhna
hai. Koi aap ke haath mein dum torhe ga. Aur kisi ke haath mein aap zindaagi ki
aakhri saans leyn ge. Khushnseeb hai wo shakhs jis ko Allah Tallah ke raste
mein maut aaye . is hal mein maut aaye ke us ne Allah Tallah ko razi ker liya.
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 11:56pm |
|
|
My feelings.....
Maut se tou sab ko hi darr lagta hai tou mujhey bhi lagta hai ... Maine
maut ko 1 hi baar kareeb se dekha hai bas... lekin uss din k baad se
abb itna darr nahi lagta thordah buhat tou lagta hai lekin itna nahi.
Maut se zayadah tou mujhey ALLAH or Muhammad(S.A.W) ko shakal dekhaney
se darr lagta hai kah BeautyStar jaisa gunah gaar bandah kiya shakal
dekhaey ga aur phir Qabar k azaab ... :(:(:(.. phir eak lamba intezaar Qayamat ka ... In sab batoon ko jab maiyn soochta hoon tou merey Rooh kaanp uthtey hai :(
|
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 12:10pm |
|
|
My Experience....
Maine tou maut ko eak hi baar kareeb se dekha hai takreeban 1.5 years
pehley ki baat hai shayad... Jab hum sab dost apne
Educational-Institute k bahar khardey howey hansi mazakh kar rahey thee
... Eak dum se eak Corolla Car aakar ruki uss ma 4 bandey baithey
howey thee buhat hi Sophisticated bandey jo kah Tie Shaei lagay howe
the... Tip-Top Personality thee .. us ma se eak ne mujhey bulayah aur
phir mujhse koi address poochna chahtah jab ma kareeb gaya tou uss ne
merey Waiste per Pistol rakh dey thee....
Bas phir tou mujhey Zindagi aur Maut ka farq samajh aanag surooh hogaya
tha.... Aur mujhey laga jaisey ajj tou maiyn gaya ... foran maine
Kalima pardh liyah magar apne Nerves ko Control karliyah ... aur un ko
aaisa show kiya jaisey ma dara nahi hoon... lekin uss waqt merey Zehan
ma merey ghar waley or mukhtalif baatein ghoomne lag gaey thein.
Phir uss ne mujh se kaha jo kuch hai woh daey doo ... Maine Mobile or
Kuch paisey thee woh sab kuch daey diyah tha... phir uss ne eak Rs.100
ka note mujhey wapis kardiyah or eak dum se Car ko speed ma bhagatah
howa laey gaya... aur seconds ma car gaeb ho gaey.
Ghar jaa kar maine sab se pehley ALLAH ka shukar aadah kiya aur phir
uss se rou k apne Gunahoon ki maafi bhi maange. Maine yah waqiyah ajj
tak apne ghar waloon ko nahi batayah hai... lekin jab bhi yaad karta
hooon jaisey ajj yaad agay tou Demagh ghoom sa jatah hai aur yahi
soochta hoon kah yah sab merey saath kyun howa tha? Merey kaun se
Gunahoon ki wajah se howa tha? ... Aur phir inhi sochoon ma ghum ho jatah
hoon!!!
|
mild2me |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2007 Topic: 9 Post: 54 Age:
31
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 12:57pm |
|
|
for miss sunehri well miss sunehri aap ne aik acha topic start kiya hy.
mujhy bhi death se bohat darr lagta hy.lykin yeah darr sabhi ko lagta hy becos martay waqt pain to bohat hoti hay.iss ka andaza ham iss tarah kar sakty hyn ke jab Prophet(PBUH) ka naza ka waqt tha tu aap ne farmaya ke mujy yun lag rha hyn jaisy bohat se needles mujhy chub rhi hyn oar aap ke mathay mubarak par paseena aa gya tha.
oar sab se ahmiyat wali baat tu yeah hay k agar hum ne moat se pehly moat ki tiyari kar li hay tu phir moat se bhi darna naye chahye. iss ki misaal bilqul iss tarah hay ka jab hum kissi exam ki apni life tiyari karty hyn tu hum confident hotay hyn ke hamari tiyari full hay examiner jahan marzi se question de day mujy answer aata hy. bilqul issi tarah hamaray hisaab ka maamla hay jo ke moat ke baad ho ga.
agar tu zidagi ALLAH ke ehqamaat ke mutabiq guzri hay oar koyee kabeera gunah nahi kiya tu phir tu exam myn paas ho jayen lykin agar aamal achay na howay tu fail ho jayn ge ,,,,,,oar moat se darna bhi durrust ho ga.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:10th Feb 2008, 1:06pm |
|
|
Beautystar interisting...ye wakya Pakistan ka hai??
han jab insan ye realise karta hai ke maut aur zindagi me zarah sa hi Fassla hai to toote urr jate hain...aur insan Zindagi ko mazeed realise kar ke guzarta hai..
humare sath 3 years ago ek car accident hua tha,aur mai aj tak wo second nahi bhool sakti,ek film ki tarah ab bhi mere zehan me hain, ke jab ghadi ruki to pata chala ke zinda hi hain.aur khuda ka shukar hai hum sab khairiyat se the,aur agar mere husband 1-2 seconf bhi brake lagane me der kar dete,to dusri ghadi ya mere husband ke drivingseat ke darwaze me lagti,ya phir unke piche humare 3 month ke bache ko lagti,aur ye 1-2 second ki hi bat thi, yahan se pata chalta hai khuda kaise kaise apne bandon ka bacha leta hai,jisko usne bachana ho to...
3 years ho gaye hain is waqye ko,tab se mai Dead ke bare me bohat sochti hun.kyunke yahan agle Pall ki khabar nahi hai... |
|