Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
New Topics (General)
Recent Reply (General)
Social Problem
  Start New Topic  My Profile
   

Sakht Saaas: Bahoo Kia Kare?

Social Problem   >>  Me and My Family
   
 
 
goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 64  Post: 7703  Age:  33  
Posted on:10th Aug 2009, 4:54am
 

ok

saim  je joo professional hotay unkoo next admi kee sab weakness ka pata hota ha is liyay woo preasure day ker rekhtay ha..............
saim1 Group: Members  Joined: 23rd May, 2008  Topic: 44  Post: 2214  Age:  36  
Posted on:10th Aug 2009, 4:56am
 

heeee heeee

wow goodman

app ko tu sab pata hey

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:10th Aug 2009, 5:48am
 

saas bahoo ki professional training

re: "profesional sas"

ji haa saas professional bhi hoti hai, aksar saas iss baat ki baqaida training leti hai keh bahoo ko kaise qaboo mai rakha jaaye. yeh training woh apni bari beti, sister, parosi khawateen se leti hai. complete training aur tajarba ke baad woh doosri saas ko bhi training deti rehti hai keh bahoo ko kaise qaboo kia jaaye.

waise iss waqt dr. noor saas ko qaboo kerne ki training le rahi hai, Inshaallah woh saas ko qaboo kerne mai kamiab ho jaaye gi, os ke baad woh khood bhi doosri bahoo ko training de gi keh saas ko kaise qaboo mai rakha jaaye.

haqeeqat yeh hai keh iss qisim ki training ka baqaida centre hona chahiye, baqaida training centre na hone ki wajah se aksar saas aur bahoo pareshaan rehti hai.

Saas ko qaboo mai kerne ka trick no - 1

mai ne iss trick ke zaria kai gharo ko barbad hone se bachaya. mere paas aise beshumar cases aate hai jis mai bivi apne maika mai 2-3 saal se baithi hoti hai, aur nobat talaq ki taraf jaa rahi hoti hai.

mai jab aisi khawateen se baat kerta hoo tu woh apne husband ki burai ker rahi hoti hai. lekin mai on se poochta hoo keh husband mai koi na koi khoobi tu zaroor ho gi woh aik do khoobia bhi batati hai.

phir mai os ke husband ko alag se call kerta hoo aur os se os ki wife ke baare mai opinion leta hoo, tu woh bhi apni wife aur susraal walo ki burai kerta hai. mai saari baatain sunne ke baad ose yeh kehta hoo keh aap tu apni wife ki burai ker rahe ho lekin aap ki wife tu aap ki tareef kerti hai, aur mai woh aik do khoobia ose batata hoo jo keh os ki wife ne bataya tha. meri baatai soun ker woh soch mai per jaata hai.

phir mai os se sawal kerta hoo keh aap ki wife mai bhi koi na koi khoobi zaroor hogi, jis per woh bhi koi na koi khoobi batata hai, mai next call mai bivi ko yeh kehta hoo keh aap ke husband tu aap ki tareef ker rahe the, aap bila wajah on ki burai ker rahi thi. aur phir mai woh khoobia bian kerta hoo jo keh os ke husband se suni thi. bivi bhi soch mai per jaati hai.

hala ke dono ne aik doosre ki burai bhi ki thi, lekin mai on ko woh baatai nahi batata, balkeh sirf woh batai batata hoo jo onho ne aik doosre ke favour mai ki thi. teen char session ke baad mai dono ko aik saath betha ker guftagoo kerta hoo, dono mere saamne aik doosre shikwa shikayat kerte hai, aur phir mil jaate hai. on ke dialogue kuch iss tarah hote hai,

mia: mai ne tumhara intezar kia tum kio nahi aaye. tumhai kia pata tumhare beghair mai ketna disturb raha.

bivi: mai tu aana chahti thi lekin aap khood hi lene nahi aaye, mai bhi maike mai koi khooshi se tu nahi reh rahi hoo

mia: tum khood gayee thi tu khood aati

bivi: lekin aap ko bhi tu chahiye tha keh aap mujhe le jaate. aap agar aa jaate tu aap ka kia bigar jaata.

mai ne tajarba se yahi dekha hai keh 2-3 saal ki judai ke baad dono mia bivi milna aur saath rehna chahte hai lekin dono mia bivi  ke ghar wale on mai dosti hone nahi dete.

aap bhi yeh trick aazmai, agar larayee lagani ho tu sirf woh baatai batai jo ke os ke khilaf ki gayee ho, aur dosti karani ho tu sirf woh baat batai jo keh favour mai ki gayee ho. zahir hai keh ham log larai karane nahi baithe hai, lehaza aap log kisi ke peeth peeche os ki achchi hi baatai kia kare.

dono mia bivi mai dosti sirf aur sirf iss liye huyee keh os ne teesre fard (me) ki zuban se apni woh tareef suni jo keh onho ne aik doosre ki ghair mojoodgi mai teesre fard se ki thi. bivi ko ehsaas hua keh mera mia meri ghair mojoodgi mai meri tareef kerta hai, isi tarah husband ko bhi yahi feel hua keh os ki bivi os ki ghair mojoodgi mai os ki tareef kerti hai. aur yahi feeling dono ko milane mai kamiab hoti hai.

mai dr. noor ko yahi mashwarah doo ga keh woh saas ki ghair mojoodgi mai doosro se sirf aur sirf os ki jaiz khoobia (jhooti khoobia nahi) bian kare, os ki manfi baato ke zikir se etheraz kare, jab os ki saas ke kano mai yeh baatai jaaye gi keh os ki bahoo os ki ghair mojoodgi mai doosro se os ki khoobia bayan kerti hai tu os ki feeling mai zaroor changes aaye gi.

doosri taraf woh poori koshish kare keh khah kuch bhi ho jaaye woh apni saas ki kisi ke saamne burai na kare, kio keh kisi ne bhi os ki saas ko bata dia keh os ki bahoo os ke liye bad feeling rakhti hai tu woh kabhi bhi dr. noor ke liye achchi feeling nahi rakhe gi.

physically and mentally fit rehne ka tareeqa yahi hai keh apne dil ko doosro ke liye bad feeling se azad ker de, aap dunia aur dunia ke logo ko achchi feeling ke saath dekhe aur aap ko mahsoos ho ga keh dunia bhi aap ke liye good feeling rakhti hai. dr. noor aaj se mere iss mashwarah per amal kare, woh dekhe gi keh os ki saas qaboo mai aaye ya na aaye woh khood physically and mentally good feel ker rahi hogi.

dr. Noor Group: Members  Joined: 04th Jun, 2009  Topic: 3  Post: 42  Age:  33  
Posted on:10th Aug 2009, 1:43pm
 

God bless you all!

aoa!

thank u so much for such a useful discussion..

I love the word "professional Saas" and its definition by goodman..
its perfect and very true here...

I agree with Bewaqooof bhai that i came here to get the training of a professional  bahoo. actually my mother died before my marriage, and i am the eldest sister. So i don't have anyone in my life to guide me in this matter, and i don't want to involve the people who know me, in such a personal matter of my home.

Bewaqoof bhai! I will try my best to do that. Bunda bashar hoon, shayd ye kerna kafi mushkil ho ga. untill today, i used to praise her in front of my husband, but when other people (who never let anyone sleep in peace) used to tell me what she says abt me, i always kept quiet.
Now i will try to praise her in front of those as well.
Thanks for the guidance.

I also want to highlight another point here. In our society, if you say something bad for someone, people will try to multiply it with 10 and then convey it to others as soon as possible.
However, if you share good feelings abt someone, they might not even bother to convey them.
I think this is also a factor which is affecting the emotional status and the peace of mind of so many of us.

Thanks all!


Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:11th Aug 2009, 6:44pm
 

re: saas bahoo conflict

aap apni habit bana le keh aap ne saas ke khilaf kabhi bhi nahi bolna hai chahe woh aap ke khilaf jo bhi keh de, isi tarah aap saas ki sirf positive batai (manfi baat nahi) doosro se discuss kare, aur iss baat ka intezar na kare keh doosre log on ko aap ki sari achchi baatai convey kare ge.

bas aap apni habit bana le, inshaa-alla aap ka masla hal ho jaaye ga.

dr. Noor Group: Members  Joined: 04th Jun, 2009  Topic: 3  Post: 42  Age:  33  
Posted on:12th Aug 2009, 3:38am
 

Thanks Bewaqoof bhai!

aapka naam lay k thanks kehna kitna ajeeb lagta hai..

:)

ab aap itnay helping hain to aaap se aik aur baat bhi pooch he loon..
mein apnay husband k samnay bhi apni saas aur sub in-laws ke kafi tareef kerti the.. but then i noticed k wo meray mooonh se tareef sun k ye assume kertay hain k wo sub log meray saath boht achay hain.. aur jub meri saas aur nund unsay meri burai kerti hain, to wo ye samajh laitay hain k mein buri hoon..

actually, once he said this.. when I said k wo sub boht achay hain.. he said, isi baat ka to mjhay afsos hota hai.. k jub tum khud maanti ho k wo sub itnay achay hain to phir jub mein samnay nahi hota, to unkay saath bura salook q kerti ho? kia tum bhi achi nahi bun sakti ho?
i was shocked.. and when he asked for an example.. he mentioned k meri nund jub vacation may ghar ai to apnay saath meray kapray press ker deti the.. and i never did this for anyone at his home;//
actually, i always used to press clothes of all the family members, but never felt the need to mention it to anyone.. and they told him when my nund did it .. but never told him whatever i used to do at home..

so i sometimes get confused.. mein unhain bother nahi kerna chahti, her waqt kaan nahi bhurna chahti.. but most of the times, men are too busy to observe and are not at home for most of the day... so they tend to know only what they are being told..

what do u think?
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:12th Aug 2009, 9:24am
 

re: saas bahoo conflict

re: "when I said k wo sub boht achay hain.. "

aap ani saas ki ghalat tareef kerti hai, jab keh mai ne kaha hai keh aap sirf on ki khoobio ki tareef kare (khamio ki nahi), har cheez ki tareef na kare, agar har cheez ki tareef kare gi tu woh log yahi samjhe ge keh woh achchi hai aur aap buri, ya phir woh yeh samjhe ge keh aap maska laga rahi hai. jab woh sab aap se achchii nahi hai tu on ke liye yeh sentence istemal nahi kerni chahiye "..... wo sub boht achay hain.. "

aap ne na tu jhooti tareef kerni hai, na on ki ghalat baat ki tareef kerni hai aur na hi maska lagana hai. agar on mai 99 kharabi aur sirf 1 khoobi ho tu aap ne sirf aur sirf 1 khoobi ki tareef kerni hai, 99 kharabi per apna koi comments nahi dena hai. na ose achcha kehna hai aur na hi kharab, 99 kharabi per kuch kehna hi nahi hai.

aap agar sirf 1 khoobi ki tareef kare gi tu woh 1 hi khoobi kehlaye ga, baqia 99 ki jhooti tareef ya maska nahi kehlaye ga. aur 99 khamia apni jagah mojood rahe gi aur aap ke husband bhi yeh baat samajh rahe ho ge keh aik khoobi tu hai lekin beshumar khamia bhi hai (bhale woh aap ke samne etraf na kare).

dekhe aap ke susral wale deleberately aap ko neecha dekhane ki koshish ker rahe hai, aap on se hoshiar rahe, aur kisi munasib tareeqa se on ka tor kerti rahe, aap yeh na bhoole keh aap ke husband bhi osi khandan se taluq rakhte hai, yeh mumkin hi nahi keh aap on ko on ki mother ya sister ke khilaf ker sake, aap ka kam sirf aur sirf apne aap ko munasib tareeqa se defend kerna hai, na keh on ki harkato ka jawab dena hai.

matlab yeh keh agar aap ki nand ne kapra press ker ke sab ko bata dia keh os ne aap ke kapre press kiye hai, tu aap bhi bahut se kam kuch iss tarah kare keh logo ko nazar aaye, iss ka yeh bhi matlab nahi keh aap sirf dekhawa ke liye kaam kare, matlab yeh keh aap dil se hi kam kare lekin thora aqal ka istemal kerte huye ose doosro ki nazro mai bhi laaye.

bahas mubahisa, bad zubani, bad kalami, doosro ko neecha dekhane ki hargiz hargiz koshish na kare, agar kisi moqa per woh log aap ko najaiz neecha dekha de tu os per bhi ose dil mai lene ki zaroorat nahi hai, aur na hi badla lene ki zaroorat.

lekin iss ka yeh bhi matlab nahi keh aap on ki ghalat baat bhi tasleem ker le. aap munasib andaz mai apni sahi baat per qaim rahe, on ki ghalat baat ko kabhi bhi tasleem na kare, lekin on ki ghalat baat ko base bana ker jhagra bhi na kare. jhagra se jaha tak mumkinhai door rahe.

dr. Noor Group: Members  Joined: 04th Jun, 2009  Topic: 3  Post: 42  Age:  33  
Posted on:12th Aug 2009, 4:40pm
 

this was an eye-opener!

thanks a lot Bewaqoof bhai!

aap ne boht achi baat ke aur its very true.. k meri ye statement actually jhooti tareef the..

i agree k aapke is post se meri boht se misconceptions theek hui hain.. k tareef sachi he kerni hai,,, chahay sirf aik baat ke karoon..

aur apke ye baat bhi boht achi hai k jhagray se buchna chahiyay. aur apni sahi baat per qaem bhi rehna chahiyay.. but politely..
meray husband aik baar mujh se yehi keh rahay thay jo ap ne kaha k wo usi family ka part hain aur agar koi unhain us family ke kharaabiya bataey, whoever, aur beshuk wo dil may jaantay ho k agla bunda bilkul such keh raha hai aur is k saath ye sub hua ho ga, phir bhi unhain ye baat bhi buri lagti hai.. aur aisa such batanay wala bhi..
still sometimes I feel so humiliated.. which makes me upset.. I just want to keep my self-respect. laikin i think shadi k baaad sub se zyada jis cheez ko target kia jata hai, wo larki ke self-respect he hoti hai..

i appreciate your wisdom and guidance..
i will be back with some more questions. I hope you will keep on guiding me.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:13th Aug 2009, 8:26am
 

Bewakoof

lagta hai ap is saas bahoo ke conflict ko bohat kareeb se jante hain...??

aur lagta hai apne apni wife ko bhi kafi help ki hogi..apni saas ko samajhne me ?

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:13th Aug 2009, 8:50am
 

saas bahoo conflict aur meri wife

sunahri: mai apni baat tu nahi kerta lekin jaha tak meri wife ka taluq hai os ka iss dunya mai kisi se bhi koi conflict nahi hua, os ke khaandan ke saare log yahi kehte hai keh na woh os jaise hai aur na hi os jaise ho sakte hai.

exactly mere bhai bahan bhi os ke baare mai yahi statement dete hai keh bhaabhi tu ham logo se bhi achchi  hai. meri mother, father mere muqable mai ose ziadah like kerte the, aur mere bhai bahan bhi mere muqable mai meri wife ko ziadah pasand kerte hai.

mere second bhai ki wife kafi tez hai, woh apna zimma kaam kisi na kisi bahana meri wife ke hawale ker deti thi, lekin meri wife ne na tu os ki chalaki samjhi aur na hi kabhi iss andaz se socha keh ose bhi koi bewaqoof banata ho ga, kuch arsa ke baad mere bhai ki bivi ko bhi ehsaas ho gaya keh woh woh ghalat ker rahi hai, phir os ne bhi meri wife ke saath chalaki chor di, albatta os ki meri bahno se kabhi nahi bani.

waise ab tu ham sab ki family alag alag rah rahi hai, sab ko hi kisi na kisi se koi na koi shikayat hai, lekin meri wife ko na tu kisi se shikayat hai aur na hi os se kisi ko shikayat.

sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:13th Aug 2009, 1:26pm
 

Bewakoof

thanks for you replay..mai samjhi shahid ap ye massla apne ghar me itna kareeb se dekh chuke hain :-)
well apke mashware bilkul thik hain (to dr Noor)
khamoshi sab se best zarya hoti hai.

dr .Noor...
husband bhi do types ke hote hain..ek wo jo apni family ki har khami jan kar bhi bardash nahi kar sakta ke koi ya wife hi unki ghalti ka zikar kare.
aur ek wo jo sab jante hain,par khamoshi ikhteyar kar lete hain.Aur Haqeeqatpasand ho kar apne ghar walon ki ghalti ka aitraf apni biwi ke samne bhi karte hain.
aur agar apke husband pehle wali kisam ke hain,to apko unke samne kabhi bhi unki family ki kisi ghalti ka zikar nahi karna chahye. na chahte hue bhi apko apne ap par ek chehra sajana padega.
lekin agar apke husband dusre type ke hain ,to apko unki is bat ka faida nahi uthana chahye.balke jab apko malum hai ke unhe apni famly ki ghalti ka ehsas hai to unhe bar bar keh kar takleef nahi deni chhaye.

baki saas bahoo ,ya nand bhabi ka rishta hi aisa hai jis me compromise aur siyasat ki zaroorat hai.agar ap mukamal tor pe strate forward ho kar chalenge to bohat se jhagre honge.

mujhe shuru shuru me apni nand se bht massle hote the..kuch arsa mai khamoshi se unke tanz bardash karti rahi,lekin ek waqt aya jab mujhse nahi raha gaya, aur humari bohat badi ladayi hui thi.... kuch arsa hum  ne ek dusre se milna chod diya.lekin ab hum milte hain to mujhe majbooran unke sath ek policy se chalna padta hai.aur tab se mera unse kabhi ladai ka mauka nahi aya..
apko bhi apni saas ke sath aisa karna chahye.aur ap unke bare me bura nahi kahengi na aur sochengi to unke dil me apke lye jaga ho ya na ho...ap khud to moetmin rahengi ke apne kuch ghalat nahi kiya.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 263  Post: 4444  Age:  39  
Posted on:14th Aug 2009, 4:11am
 

suheri as a khatarnaak saas

sunehri aap kab saas bane gi? aur kaisi saas bane gi?

mera khayal hai kehh aap aik khatarnaak saas sabit ho gi.

dr. Noor Group: Members  Joined: 04th Jun, 2009  Topic: 3  Post: 42  Age:  33  
Posted on:14th Aug 2009, 4:23am
 

Thanks!

I appreciate your comments Sunehri jee!

mjhay apke husbands ke types k baray may baat boht achi lagi... i think my husband is of the 1st type... but he keeps quiet after realizing it in his heart..
mera dewar kafi different hai.. wo ghar may sub se apni wife k liay lurr bhi laita hai.. aur boht protective hai , k koi bhi uske wife ke feelings hurt na karay..

my husband just realizes and keeps quiet.. never expresses..
i agree k mein bhi isi liay unhain zyada kehti nahi..k meri saas to her waqt meray baray may unhain bura bolti rehti hain.. agar mein bhi yehi karooon ge to unke to zindagi azaab ho jaey ge...
so i like your advice... a lot..
aur yeh baat bhi bilkul theek hai k wo jo bhi kerti rahain ... mera zameer to mutmain hai k mein ne kuch ghalat nahi kia..

thanks and take care!
sunehri76 Group: Members  Joined: 04th Aug, 2007  Topic: 100  Post: 4647  Age:  38  
Posted on:14th Aug 2009, 12:06pm
 

Bewakoof

sunehri aap kab saas bane gi?

abhi to booohat time hai..abhi mere bete 3 & 4 years ke hain..thats mean ke abhi 16 years pade hain mere saas ban.ne me...,

aur kaisi saas bane gi?

meri puri koshish hai achi hi banu....i think achi hi banungii.. apko kyoon lagta hai ke mai khatarnaak saas sabit hongi..?? aise kaunse khatarnaak batain dekh li hain apne mere andar??waise mai apne husband ke ilawah kissi se nahi ladtii...na sister se ,na friends se..,na realitive se..kyoonke mai dil me koi bhi bat ziyada der nahi rakh sakti..to is lye mera khayal hai ke mai bahoo se bhi nahi ladungii..aur koi bat ho bhi jaye to use jaldi bhula ke dil saf kar dungi.

lekin............ waqt/ Halat insaan ko bohat badal dete hain,islye mai Allah se yehi khwaish/Dua karungi ke jaisa maine socha hai waisa hi ho..!

made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 12  Post: 443  Age:   
Posted on:14th Aug 2009, 6:17pm
 

Bewaqoof

agree with your tricks...
b_bubbly Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2013  Topic: 3  Post: 47  Age:  26  
Posted on:18th Sep 2014, 1:04pm
 

BEWAQOOF SAAB

salam dosto, i have this same problem like dr noor

or problem ye he k main apni saas k saath hee rehti hun or mera husbnd abroad main .. meri saas mera khayal bhi rakhti hain or main unka or sab ghr walo ka khyala rakhti hun per wo mere sath mere munh pe achi hoti hain per mere husbnd ko meri bohat shikayaten lagati hain jab k main ghar ka kaam bhi krti hun apni ki huwi achaiya to wo apne bete ko batati hain per main jo jo kam ya unse jo bhi achai krti hun wo apne betay ko nhi batati kai baar mera shohr mujhse is baat pe lara he k mere ghar wale tumse khush nahi to main unko kehti hun nhi hum sab to khush khush ek dusre k sath reh rahe hain aapki ami mera khayal rakhti hain main unka rakhti hun to wo kehte hain haan mere ghar wale to rakhte hain tumara khyala per tum to nhi rakhti na tum jo karti ho wo aate main namak barbar bhi nhi he


plz BEWAQOOF saab mujhe koi trick batain k saas or shohr dono hee mere sath set ho jain

or mera shohar ki personalty aisi he k wo jaldi baaton main aate hain specially aPNI MOM ki her baat unk liye sahi he phir bhale hee merri saas mere liye unko jhoot bana k batati rahen phir main apni safaai main chaHHE KUch bhi bolun per wo meri baat ka yakeen nhi krte

or main kam aqal or seedhi baat krne waali larki hun mujhe baaten banani nahi aati jo baat jesi hoti hain main wese hee batati hun per meri saas kabhi seedhi baat nahi krti wo her normal baat ko bhi trcki tarha batati hain

khere mujhse EK BOHAT BARI GHALTI HO CHUKI HE

wo ye k meri jithaani k sath meri achi dosti thi to ek do baar maine apni saas ki ye buraai us k aagy kr di k wo mere saamne to achi hoti hain per mere shohr ko meri shikayten lagati rehti hain phir wo mujhse larti hain meri jithani ne bare mazay se merri baaten suni meri haan main haan milaai per phir A TO Z meri saari baaten mere jeth ko mere shoharr ko or meri saas ko or bata di usk baad se merre saasre sasural waale mere dushman ki tarha ho gai or meri jithani k sath group bana k rehne lage ab wo usko bohat acha or mujhe bohat bura samjhte or kehte bhi hain her kisi k aagy meri burai karrte hain or uski achaai mujhe advise den main kiya krun meraa maamla bohat ulajh chuka hain main bohat pareshan hun or ghar main ab kisi ki nazar main merri koi izzat nahi rahi ye sab dekh k mujhe bohat dukh hota he
bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 775  Age:  21  
Posted on:18th Sep 2014, 1:39pm
 

@b_bubbly

Ignore.

Kyun? Kyunke jab koi khamosh hota hai to har koi sochta hai - pata nahen iske zehen mein kia chal raha hai? To har koi khud he ehtyat karna shuru ho jata hai - samho phoonk phhonk ke qadam rakhta hai.

Ainda aapke husband aapse ye kahein ke tumne ye kia wo kia, to 2, 3 tareeqay hein aapke paas:

1. Kahein , hello hello hellloooo, awaaz nahen arahi shayad signal problem hai! Aur 2-3 martaba aisa karke line kaat dein.

2. Bilkul ignore kar dein. Aik taraf Japani casette chalti rahegi. Phir wo poochein ge kia suna, to keh dein wohi jo hamesha sunti hun. Phir agar wo poochein ke ainda kya hoga, to bata dein ke saas ke saath rehtay huay itna arsa hogya, jo pehlay hua tha wohi ainda bhi hoga...

3. Jab bhi shohar baat karna chahein aur aapko pata ke aapke malab ki baat hogi to hansi khushi wali batein kar lein. Jab andaza ho ke tension bhari batein hongi to sar dard etc. ka bahana bana dein.

4. Aksar aisa kia karein ke shohar se baat na karein. Ke mein to saasoo maan ka ye kaam karne lagi hun nahen karungi to aap he bura manaen gay. Kuch dinon ke baad aapko ye kaha jayga ke ye kaam kisi aur waqt kia karo - magar aap aisa na karein - balke keh dein ke aisay waqt mein kaam kar rahi hun jab notice mein ay. Warna karti to pehlay bhi thee magar notice mein nahen aata thaa.

5. Jo jo kaam karti hein unko karna chor dein. Phir jab aapki saas shikayat lagaen gi ke ye falan falan kaam nahen karti jo pehlay kia karti thee. To aap sachi ho jaengi!
b_bubbly Group: Members  Joined: 23rd Jul, 2013  Topic: 3  Post: 47  Age:  26  
Posted on:18th Sep 2014, 6:25pm
 

main apni saas ki favourite hona chahti hun

bushra baji thanx for ur advise but main na apni saas ko koi aisa jawab de sakti hun na shohr ko kyun k wo wese hee wo bahanp pe khare hote hain mujhse rothne k phir to unko solid reason mil jai ga ..
main chahti hun main jo kuch karti hun jo jo kam ya ghar main ghulna milna wo sab meri saas tasleem karen k main kaam karti hun wo jhooti baaten bana k logo ko or mere shohr ko na bataya karen or @Bewaqoof saab mujhe plzz koi aisi tips den k main shohr or saas ki fav ban jaaon wo mujhe pasnd karen
Evocative Group: Members  Joined: 03rd Sep, 2014  Topic: 0  Post: 93  Age:  18  
Posted on:18th Sep 2014, 8:32pm
 

b_bubbly

orat k bary mein aksr ye khiyal kiya jata hy k woh kamzor nehaty aur bybus hoti hy lakin us k pas sabar aur khamoshi aesy hathiyar hain jis ko istimal kr k woh apny ghar ki malika bun skti hy

apny bhtr Ikhlaq etc sy sab k dil; mooal lain....

bushra2012 Group: Members  Joined: 15th Oct, 2013  Topic: 2  Post: 775  Age:  21  
Posted on:19th Sep 2014, 1:01am
 

@b_bubbly

Mujhe yaad hai aapne pichlay saal bhi is se milta julta topic banaya tha aur lagta ke wo masle aapke abhi hall nahen huay.

Aap aik na-mumkin cheez chahti hein. Kyunke aapki saas kia sochein, kia karein, pasand karein ya na karein, wo jhoot bolein ya na bolein, chughli khaen ya na khaen, iss sab pe aapka bilkul bhi control nahen.

Lekin iss baat pe aapka control hai ke apnay aap ko fazool pareshaan honay se bacha lein. Aur zindagi ke ye 10-12 baras guzaar lein uskay baad saas apni umar poori karke intahai khush-asloobi se inteqaal kar jaengi aur husband aapke qaboo mein honge. Ho sakta hai aapke bachay baray ho chukay hon wo wese he unko qaboo karke rakhein ge.
For Detail Click On Page No: 1 2 3  >>
 
 15 Pakistani Matrimonial Website
 
 
 
 
 
Pakistani Student In Michigan University Usa  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Anita Dongre Fashion Designer In Dubai

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us
Last Updated: 11th Sep 2014