Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:16th Jul 2009, 5:32pm |
|
|
Saim Mujhe challenge kia tum ne. Yani ma badolat Bhimji Sahib ko. Lo phir abhi btata hoon recipie. |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:16th Jul 2009, 5:37pm |
|
|
Chicken Macroni and salad Ladies and gentlemen, forum ke Run Mureedoon ki falah-o-behbood k liay main ne b socha hai ke jo wali 2-4 ulti seedhi cheezain main bna skta hoon woh unn se share karun ta-keh hamaray mazloom male members apni biwiyun yani hamari bhabiyun ke sweet se haathun se Chimtay khanay se mehfooz reh skain..lols So aaj main aap ko sab se aasan cheez yani Chicken and Macroni Salad bnana sikha raha hoon. Mujhe pata hai k yeh sab ko bnana aata ho ga lkn main tou phir b har haal main btaunga kyun ke mujhe aik yehi tou dhang se aata hai.
Sab se pehle iss ke ingredients btata chalun;
Ingredients:
1). Chicken breast pieces: (2 breast pieces)
Chicken le kar ubaalain aur chhote chhote boneless pieces bna lain.
2). Pine Apple Cubes:
Aik Chhota tinn
3). Salt:
Hasb-e-zaieeqa (Aap apne taste ke mutaabiq daal lain)
4). Sugar:
Aik khanay ka chamach
5). Chhilay huay badaam:
Aadhi peyaali (Badaamoon ke bhi center se 2 pieces kar lain)
6). Shell Macroni:
1 packet
7). Sufaid Sirka:
2 khanay ke chamach
8). Sufaid mirch pissi hui:
Aadha chaaey ka chamach
9). Salad Oil:
Aik khanay ka chamach
10). Lemon (Nimboora):
2 adad
Tarkeeb:
Macroni boil kar ke paani nikal kar thanday pani se dho lain. Kisi khoobsurat pyalay main Macronies daal kar Pine apple juice aur cubes daal dain phir oper di gai tamaam cheezain daal kar mix kar dain aur thanda hone ke liay freezer main rakh dain. Salad jitna thanda ho ga utna hi maza aayega aur yeh sab achi tarah thanda kar ke apni apni begums ko khilaayen.
|
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:16th Jul 2009, 5:38pm |
|
|
Note Agar tou murghi ka gosht aasani se available hai tou well and good lkn agar nahin available tou b masla nahin. Aap dopaher ke 3 bje ke lag bhag sar pe chaddar daal kar ghar se bahir niklain. Yaad rahe ke sar pe jo chaddar daal rahe hain who Abba ji ki dhoti ya dusting wala kapra nahin hona chaahiey. Aise barkat nahin aati chori main balkeh muhallay ke chowkidaar Barkat ke aanay ka andesha zaroor hota hai. Kheyal rahe uss time aap ke hamsaaey so rahe hone chaahieen. OK tou sar pe kapra daal kar kisi tareeqay se behla phisla kar humsaayun ki murghi chori kar laaieen. Murghi chori krne par jitni zeyada mehnat karain ge, aap ka Salad b utna hi mazedaar banega.
Aur agar aap ko oper btai gai tarkeeb main se kisi cheez ki samajh nahin aaiee tou b problem nahin hai kyun ke jab main yeh recipie amman jaan se pooch raha tha tab mujhe khud bhi kai cheezun ki samajh nahin aaiee thi..lols
Ab apne pyaare se aur cute se Cheff Nawab Chaudhary Agha Bhimji Khan Ludheyaanwii ko ijazat dain. Allah nighebaan. |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:16th Jul 2009, 6:45pm |
|
|
beeji kahan say chapi hey yeah recipe |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:17th Jul 2009, 5:58am |
|
|
heheheheh very good janiiiiiiiiiiii
shuker hai kuch to banana ata hai tujhey |
gustakh
|
Group: Members Joined: 27th Oct, 2008 Topic: 8 Post: 168 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jul 2009, 12:54pm |
|
|
lubna
wese men abhi tak khush hal hon. matlab shadi nahi hue. kion k abhi hamari aqal ghaans charne nahi gai, jis din gai samajh lia ga .......... han ho gai.
ye meri wife se mutaliq ap k jo FARMODAAT hen ise men dua samjhoon ya bad-dua??
bhale zeb bhaai se pocha ho ham ne apna farz samajh kar jawab dia. wese zeb bhai k bare men bataon wo office men beth kar kam k bajae noorclinic per chatting karte rehte hen. kisi din un k boss ko batadon ga to ap k zeb bhai marhoom ho jaen gay. yaqeen na ho to khud pochlen (zeb bhai gustakhi muaf)
apne kaha ap ko sab kuch bana na ata hai ye bataen k BEWAQOOF kese banaten hen?? bataen bataen.....
SYStem bhai panga lia to darna kia.
|
lubnamalik
|
Group: Members Joined: 31st May, 2009 Topic: 30 Post: 425 Age:
27
|
|
Posted on:17th Jul 2009, 5:26pm |
|
|
Gustakh app apne word ka istamaal theek krn mai kisi ko bad-due nahi de rahi or biwi ki baat se jalan kyoun ho rahi hai kyoun k app ki aqal to kabhi ghaas charna nahi chahti phir aisa kyoun khair main ny kaha tha k mujy khany mai sub kuch bana-na atta hai app itney aqal mand ho phir samajh kyoun nahi aye khair aqal mand k liye ishara hi kafi hota hai ........rahi baat bewaqoof ki tu acchey log kisi ko bewaqoof banana nahi janty or mai b nahi janti
once again app pangey wala lafz use na kren meri apse koi dushmani nahi hai
ok |
gustakh
|
Group: Members Joined: 27th Oct, 2008 Topic: 8 Post: 168 Age:
30
|
|
Posted on:17th Jul 2009, 6:28pm |
|
|
lubna
gussa chorren men ap ko chicken petties banane ki recipe batata hon note karen .....
ingredients : kuch pese aur thorri si himmat
method : pese ko jeb men dalen aur himmat pakarr kar ghar se bahar ajaen. kisi ache se pakwan shop se chand adad chicken petties khareden aur ghar akar husband ke agay dal den. agar to husband tareef kareen to foran kahen
" sartaj ye mene apne hathon se bana ya hai, is men sirf chicken hi nahi balke meri muhabbat, khuloos, wafa, aur shop wale ka khoon pasina bhi shamil hai" (akhhhhhhhh thoooooooooo thoo thoo.......)
bas bas ab ziada " thank u " kehne ki zarorat nahi agar husband khush hon to 1, 2 petties mere lia bhi bhijwa dejye ga akhir mashwara muft thorri hay
u r like my sister |
lubnamalik
|
Group: Members Joined: 31st May, 2009 Topic: 30 Post: 425 Age:
27
|
|
Posted on:17th Jul 2009, 7:11pm |
|
|
Elder, brother Listen to me mujhey thanks nahi karna because i do not like this recipe |
Bhimji
|
Group: Members Joined: 07th May, 2008 Topic: 13 Post: 1868 Age:
31
|
|
Posted on:18th Jul 2009, 8:25am |
|
|
Saim Shukar karo tumhain itni aala recipie bta di hai. Aik tou tum logoon ko recipies btao aur oper se baatain b suno. hehe |
gustakh
|
Group: Members Joined: 27th Oct, 2008 Topic: 8 Post: 168 Age:
30
|
|
Posted on:18th Jul 2009, 10:18am |
|
|
sorry
agar andaz-e-takallum behna k sama-at per nagawar-e-khatir guzra ho, to banda tahe dil se muazrat ka talabgar hay.
sorry and byyyyyyyyyy ..... |
gustakh
|
Group: Members Joined: 27th Oct, 2008 Topic: 8 Post: 168 Age:
30
|
|
Posted on:18th Jul 2009, 10:35am |
|
|
re
elder brother nahi chota bhai, u r senior (married woman) i m junior (bachelor) wese bhi larrkian apni umer 10 saal kam batati hen (21+10 =31 bap reeeeee....)
taataaaaaaa byyyyyyyyyyyyy..... |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:20th Jul 2009, 5:50am |
|
|
okies tata byeeeeeeeeeeeeeeeee |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2214 Age:
36
|
|
Posted on:21st Jul 2009, 4:49am |
|
|
system app ko puff pastry mili ya nahi? |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:25th Jul 2009, 8:12am |
|
|
system system tum ne akhir dhoond hi nkali ho gi
din raat ghoom ghoom ker
hai naaaaaaaaaa |
System
|
Group: Members Joined: 03rd Jun, 2008 Topic: 40 Post: 2280 Age:
33
|
|
Posted on:21st Aug 2009, 7:17pm |
|
|
nahee yaar abhi to time nahe mila.... |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
33
|
|
Posted on:24th Aug 2009, 9:14am |
|
|
system oye
ek maheena ho gya hai
abhi tak nahi banaye pattoies?
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|