Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Family Problems: Mere Wife Ki Bhabi Se Nahi Banti

Social Problem   >>  Me and My Family
 
 
 
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13612  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2009, 4:35am
 

yasir

very bad yar

i think phr ap dono ka itna acha nibha nahi ho skta

im sorry to say buttttt

this is not a perfect match for u

:-(

tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 4:52am
 

Yasir

ab aap ki shadi ho gai he or MashaAllah ek bucha bhi he. ab prefect match tha ya nai but aap ko perfect banana he

sb sy bari zimadaari murd per aaid hoti he k wo apny ghar ko balaced rakhy. or being a girl men itna to yaqeen sy keh sakti hon k aap ko wife jo baat aap formal wording men ya gussy sy keh rahy ho wo pyar sy kaho gay to zror maany gi. os ko ehsas dilaaeen k wo aap ki life ka buhat important part he or aap os k bina adhoory ho. aap dono ko ek perfect couple banna he.

on ki baten buri lagen to bhi thora sa burdasht karen or Quraan-e-pak ki tilawat karen namaz ki pabandi karen or Allah rabul-izat sy dua karen k wo aap k or aap ki wife k dil men ek dosry k liy mohabat daalen or ek dosry ka ehtaram kerny ki toofeeq den.

aap on ko samjhaeen k agar aaj wo app k parents k sath bad-salooki karen gi ya ghar walon k sath bura behave karen gi to ye sub on ko bhi dekhan pary ga ek din.i will pray for you. Allah nay chaha to sub theek ho jay ga.
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13612  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2009, 4:56am
 

tena

ap ne ek bat ghaalt ki hai k mard ki hi zimadari hai

nooooooo

ye dono ki zimadari hoti hai k wo shadi ko khushnuma banayen aur shadi k bad apni life ko behter se ebhetr keryen

ye nahi k roz apne husband ko tang kerye...wo bechara shareef hai...daily samjahat hai...ziada sakhti nahi kerta to is ka matlab ye nahi hai k us ki sharafat ka faida uthaya jayeeeeeee

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7302  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2009, 5:00am
 

ok

totally agree with zeb ..........very nice.........Allah nay Marad koo aurat per Hakim banaya ha........Marad phlay piyar say samjain agar woo bat nahi samjti too pher us say sprate ho jain.............
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13612  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2009, 5:12am
 

yes

goodman ne bht acha refference diya hai

yasir ap unhen pyar se samjhayn aur unhen ye refference bi batayen

k Allah ne kaha hai k pyar na samjhay to phr sakhti ker sktey hain

tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 5:45am
 

ufff..... typical man priority

oh my GOD. kabhi kisi baat ko seedha bhi samajh lia karen. i said k bari zimadari murd par aaid hoti he q k wo ghar ka sarbarah hota he. offcource aurat ki zimadari bhi he. but aurat ko nakisul-aqal karar dia gaya he is liy murd pr zyada zimadaari he. murd ko zyada talqeen ki gai he k wo apny ghar ko balace rakhy....

or ye kia hakim hakim laga lety ho aap murd log? aurat koi janwar nai hoti. he needs love and care. or in do cheezon ko use ker k aap aurat sy kuch bhi karwa sakty ho... so please yaasir sb aap thandhy dimag sy beth ker sochen or thora sa barak-pan dikhaeen. i hope sub theek ho jay ga
tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 5:47am
 

separate... wah goodman

what you think shadi kerna or separate ho jana buchon ka khail he. koi aasan kaam he. ek bucha he on ka. so he should try their level best for his kid, ye nai k ek bar samjhay or wife na maany to alag ho jay. murd or aurat k esy hi jaghron men bechaary buchy tabaah ho jaty hen... :(
tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 5:49am
 

separate... wah goodman

what you think shadi kerna or separate ho jana buchon ka khail he. koi aasan kaam he. ek bucha he on ka. so he should try their level best for his kid, ye nai k ek bar samjhay or wife na maany to alag ho jay. murd or aurat k esy hi jaghron men bechaary buchy tabaah ho jaty hen... :(
yasir21 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2009  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:20th Jul 2009, 6:56am
 

Thanks for ur reply

yar mard sarbarah hota he to uske izzat bhi to karne chaye, main apne wife ke izzat karonga to log karange or ager  main nahen karonga to koi nahen karega, ishe tarhan wife ko bhi mare izzat to karne chaye, kiya app kisi ka dil zor or zabardsti se jeet sakte hain yar kase ke dill main badtamezi kar ke ya zabardasti karke jaga bana sakte hain.

maine usko buhut samjhaya ke apna nahen to apne bete ka to khiyal karo, izzat ke zindagi grzaro in larai gharon se kase zingai guzre ge, na izzat na sukon, lekin uske samajh he nahen ata, sari pareshani to yahi he. or koi dosra bhi nahen he jo samjhaye.

mare ghar walon ko to bura samajhte he, mujhe bhi bura samjahte he ke main unke himayat karta hon, lekin joint family main kuch chezon per compromise karna parta he, lekin wo kuch samajhne ko tayyar he nahen he.

Ahse roz roz ke larai ghagron se kase zindagi guzre ge or kase mare bete ke tarbiyat hoge.

plz mujhe batain ke main apne uncle ko baton yah sab mujh per ilzam wali bat or unke mamo se bat karon kiya pls suggest me.

take unke knowledge main bhi to aye, mare wase bhi buhut bezatti ho chuki he.
yasir21 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2009  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:20th Jul 2009, 7:09am
 

Reply

Yar seperation wale bat buhut asan hote he, lekin karna asan nahen hota, mere 1 bete he uske zindagi kharab ho jayege, lekin mare samajh bhi nahen ata ke usko itne dafa samjha kar le kar aye sirf ishe laye ke bache ke zindagi kharb ho ge kam az kam uske zindage ke he khiyal karo.

Sir mare bardash karne se gari nahen chal sakte, kyenke main ek joint family main rahta hon mujhe sabka dekhna hota he mare parents hain unko bhi dekhna hota he.

meri knowldege ke motabik ek ghar larki he banate he, main job kar lon ya yah maslon main he uljha rahon. mera to ab zehan he kam nahen karta.

Har tarhan se jo mujh se hota he us se cooperate karta hon, bete ko sambhalta hon, jo zarorten he unko ache se acha tor per puri karne ke koshish karta hon, lekin pata nahen wo Allah ke Bandi kiya chate he.

ab to man apne ghar walon se bhi itne bat nahen karta, maine usko bhayon ke us behave be bawajood apne ghar me ana allow kiya howa he, main kase ke man bap or behan bhai ko nahen chorwana chata.

Lekin wo shayed isko mare kamzori samajh kar mujhe presurize karnan chahte he, apne bhayon ko bhol gaye he jo unhon ne mare sath kiya sare muhalle walon ne dekha lekin wo bolte he wo log apko buhut karte hain.

kiya karte hain itne beizzati kar di.



made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:20th Jul 2009, 8:09am
 

yasir21

apni wife ko Us kay parents kay ghar chor kay 6 months tak bhool jao, keh tum shadi shuda ho, bacha bi un ko daina, keh mai nai sambal sakta,zabardasti.... 

     muje yaqeen hai, 6 months mai doodh ka doodh aur pani ka pani ho jaye ga. un ke parents na apni beti ko sambal saken gay aur na he us kay betay ko. azma ke dekho, sab theek ho jaye ga. tum nay nai lana wapis... apne parents ko bi samja daina, keh wo force nai karain.

    jab door raho gay, tou ho sakta hai, galti ka ehsas ho jaye... aisa karne se kuch bi nai ho ga siwaye halat theek hone kay.INSHA ALLAH

   Regards

   

yasir21 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2009  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:20th Jul 2009, 8:31am
 

reply for Made4u

yar pahle bhi ek bar 4 month betha chuka hon lekin un dinon main apne bete ka kharcha deta tha bus or kuch nahen, unke ghar main koi job bhi to nahen karta jo mere bete ke zaroraton ko pura kare, or unke father retired hain or bank main rakh kar pase ka sood kha rahe hain, to main kase haram khilo apne bete ko.

pahle bhi maine nahen pocha kafi dion tak lekin jab mere beta hopitalize howa or uske tabyat kharb howe to maine he care ke woran kon karta.

Yar wo log ahse sahe hone wale nahen buhut dheet hain, mujhe to lagta he sare ke sare nafsiyati mareez hain, warna kon apne ache bhale life is tarhan ghar main pare pare sab se lar ghargar ke akele para rahe, koi akal mand or sahe soch wala insan ahse kabhi nahen kar sakta,

ghar behta kar bhi dekh liya he yah kutte ke dum he na sahe hone wale, mujhe koi acha masware dain ke in sab ka demagh sahi ho gaye.
made4u Group: Members  Joined: 12th Aug, 2008  Topic: 11  Post: 439  Age:   
Posted on:20th Jul 2009, 8:46am
 

yasir21

acha sa mashwara kon sa chahahiye tum ko? talaq wala chahiye?wo tum daina nai chahte apnay betay ki waja se.... 

  Tou mera mashwara hai aise he zindgi guzarte jao, jab mukamal toar pay pagal ho jao, jab La ilaj ho jao tou forum pay a kar batana koi acha sa mashwara do....

   kitnay mashwaray chahiye tum ko? mashwaray un ko diye jatay hain jo decision laine walay hon, tum tou sab kay mashwaron ki hawa he nikal daite ho....

  Last mashwara from myside.... namaz ki pabandi karo, Allah pak se rasta mango, Allah pak se behtar mashwara(rehnamai)tum ko koi nai de sakta..

¨Surah Fatiha¨ ki in ayaat ka ward kiya karo.

    ¨Iya ka na´ budu , wa iya ka nasta-ee-n ¨

 Translation:  Ay Allah mai teri hi ibadat karta hon aur tuj hi se madad mangta hon..

    kasrat kay sath, chaltay, bethatay, sotay , sab theek ho jaye ga. INSHA ALLAH.

goodman Group: Members  Joined: 11th Oct, 2007  Topic: 59  Post: 7302  Age:  31  
Posted on:20th Jul 2009, 9:39am
 

ok

yasir ap to bohat try ker rahay hoo leekan agay ap ke wife coperate nahi ker rahi ha.........

@ miss tena

ap khud ka rahi kay aurat naqas ul aqal hoti ha ...........is liyay aurat koo kaha giya ha kay woo marad kee FARMABARDARI karay...........agar aurat marad kee farmabaradari nahi keray gee too woo marad kassay us say khush ra sakta ha agar woo uskee care be kerta hoo.........aur achi bat to yeah kay doonoo aik dosray kee care aur respect keray.......

tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 10:58am
 

totally agree with made4u

sub aap ko mashwara dy rahy hen or aap kisi ek rasty ko select ker k try kerny ki bajay esi baten kerty ho k sirf na-umeedi hi na-umeedi nazar aati he

ary agar aap hi kud per bharosa nai kero gay to kia ho ga or kia faida esy mashwaron ka....

aap ki wife nahi samajh rahi to samjhao, pyar sy ......... phir thora si khamooshi ikhtayar karo... thora sa avoid karo os ko.... or namaz purho Allah pak sy madad mango

or aap k liy men nay apny wazaif ki book sy ek wazeefa talash kia he wo zror karo pory yaqeen sy wo kuch esy he



tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 11:00pm
 

Miyan bewi men mobahabat or ittifaaq burhany ka wazeefa


juma k din fajar ki namaz k baad sorat Juma awal-o-aakhir 11 bar daroord-e-ibrahimi k sath 3 bar purho or 7 jumon tak esy karo inshaAllah her jagra or fisaad khatam ho ga or mohabat burhy gi
tena Group: Members  Joined: 30th Mar, 2009  Topic: 11  Post: 197  Age:  28  
Posted on:20th Jul 2009, 11:02pm
 

one more thing

 jab bi free ho to Ya-salaamo ki tasbeeh karo.. beshak Allah pak salamti deny waly hen.... Ya-Allah, Ya-rahmaan,Ya-raheem ki tasbeeh bhi karo. or apni bewi ko bhi namaz ki talqeen karo......... suchy dil sy pooory yaqeen k sath ye amal karen .... INSHA-ALLAH sub bilkul theek ho jay ga
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 39  Post: 1825  Age:  25  
Posted on:20th Jul 2009, 4:38pm
 

yasir

agar apky susral wale itny uneducated he to apne kia soch kr wha shadi ki hai kia apko pehly nhi pta tha k unka baap kis paisy se apny bcho ki prwrish krha hai jiasa unho ne apni beti ko khilaya whi abhi nikal rha hai aqal htm hogai hai apki wife ki apko itny ziada mshwray diye apne ek hi din me hr mashwray ko nakara smja ye mamly saber aur husly se tay hoty he jald bazi se nhi agar apny betay ka acha chahye to apni biwi ko mayeka bhejna chor do wo ye sara ftoor whi se lati hai jo k apky bety me b muntqil hojaye ga..............aur ap kuch nhi kr pao gy dosto ne itny achy mshwre diye he kisi ek per amal kre apni wife ki thori si ezat kre usko poche k wo kia chahti hai ilzam lga kr aur tang kr k ye bate gusa me nhi aram se pochna purskoon hokr paas pani ka glass rkh laian jb wo gusa hone lgy to pani pilana aur TAUZ prna jb apko gusa ane lgy to ap b pani pi laina aray apki to married life hai apna nhi to bchy k ahyal kr lo apni wife ko islamic books la kr do usy shohar k haqooq ka ehsaas ho aur apny aurat hony per b twja ho kio k is mashre me shohar k bgair aurat ka koi muqam nhi hai jo ezat usy shohar daita hai wo khi aur se nhi milti hai 

apki wife ki islah bht zrori hai usy taleem ki zrurat hai jis se wo na ashna hai aur bhtak chuki hai agar apne usko iswaqat nhi smjaya aur usy usky hall per chor dia to halat bht harab hongy yhi waqat hai ap uski islah kro usy islamic book la kr do usko kho k namaz ki pabndi kre namaz buraio se rokti hai jo usky dil me hai wo b saaf hojaye bjaye guzri bato per behas krny k ap inko nzar andaz kro apny bety se bht pyar kro is baat ka ehsas dilao k apky bety ko apky aur apki wife k pyar ki zrurat hai aur ye apka farz b hai na k kisi aur ka.................i hope k ap smj jao gy
yasir21 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2009  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:21st Jul 2009, 3:12am
 

Thanks for ur reply

Thek hain main ap logon ke masware per amal kar raha hon, maine usse piyar se samjha raha hon, lekin wo samajh nahen rahe, lekin main namaz main or dua parh kar is kam ko jare rakhonga apne ache zindagi ke laye or apne bete ke liya.

Plz app log bhi mare liye dua karen,
yasir21 Group: Members  Joined: 14th Jul, 2009  Topic: 1  Post: 14  Age:  32  
Posted on:22nd Jul 2009, 3:21am
 

Reply

ap logon ke kahne ke motabiq maine usko kafi piyar se samjhya, lekin wo mare bat manne ko tayyar he nahen he, last week bhi wife ne yahi harkat ke the or mujh par ilzam laga rahe the ke tum apni cousion ke sath bat karte ho usse milte ho jabke wo shahdi shuda he, mere kabhi bhi usse koi taloq nahen raha.

Lekin uske kahne per ke abne bete ke kasam kho to maine mamla khatam karne ke laye kasam kha le ke ahse koi bat nahen he na the.

lekin is week phir is ne yahi shru kar diya ke tum usse milte ho bat karte ho, pata nahen kis tarhan uska dimagh sahe ho ga wo or mujh se badtamezi karna shoru kar de, kal bhi maine piyar sa samjhaya, lekin aj abhi office main hon, to mujhe sms kiya wife ne, itna badtamezi or ghalat zaban istemal ke he mere or us cousin ke bare main, pata nahen wo ahsa kyen kar rahe he, maine usko bola ke tumhare ahsa karne se kase ka kuch nahen hoga tumhar he ghar barbad hoga, agar yah bat unke ghar walon or husband ko pata chal gayen to alag masla ho ga ke yah pagal ho gaye he kase kase ilzam laga rahe he, kon apne behan or beti par is tarhan ke ilzam kon bardash kare ga.

Yah baten uske samajh he nahen aa rahe hain, pata nahen kyen apne izzat barbad karne ke beche lage he.

mujhe to yah koi nafsiyati bemari lagte he, warna kon istarhan apne haton apna ghar barbad karega.

ab app log batain khin yah masla bar giya to nuksan kis ka hoga.

muhe sms main itna bura bula he or itne gnade zaban istemal ke he shayad he koi hasband bardash kare is tarhan ke zaban.
1 2 3  >>
 
 
 
 
 
Urdu Magazine Islam In Urdu Urdu Greeting Cards Urdu Jokes Urdu Funny Stories Urdu Stories Urdu Recipes Urdu Poetry
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Terms and Conditions Dr. Rizwan Contact Us Last Updated: 22nd July 2012