ho0rsm0ker |
Group: Members Joined: 19th Nov, 2012 Topic: 2 Post: 17 Age:
24
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 6:54am |
|
|
Job Ki Shart Hai Keh Niqab Ya Burqa Nahi Pehne: Kia Hal Hai?
assalaam alaikum all
meri aik neighbour hain, bilkul meri bari behan jaisi. wo humesha se naqab ki paband rahi hain. ab unhein aik university mai 18th scale ki job mill rahi hai par is shart per k wo naqab nahi karein gi aur gaon (burka) nahi pehne gi. ye unke liye na-mumkin si baat hai.
unki family ko to koi aitraz nahi unke naqab na karne se par unka khud dil nahi manta, abhi unho ne join to kar liya hai kuch dino se aur naqab kr ke ja rahi hain par aagy problem ho sakti hai. meri mashwara to ye tha k KHUDA pe bharosa kar k jati rahein khud hi koi sabab bna de ga uper wala. but she is still confused.
aap ko kya lagta hai k Islam aur duniya k mutabiq unhe kya karna chahiye. yaqeenan aise moqy roz nahi milte par ye bhi sach hai KHUDA waseely bnaney wala aur madad karne wala hai..
|
hamza imtiaz sindho |
Group: Members Joined: 16th Nov, 2011 Topic: 0 Post: 8 Age:
23
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 7:14am |
|
|
ubaya is must for women dekhen hum ney 2sre logon ko nahi dekhna wo kese rehte han kese kapre pehnty han.humey islam ka hukam dekhna.islam me parday ki ijazt ha.han agar boss ki shart ha k naqab na kre to wo ubaya pehn len or chehry pe naqab na kren.baqi inka aiman or niyat inki apne dil me ha. |
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6482 Age:
54
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 8:50am |
|
|
pardah /hijab
walekum Assalam,
1. islam maiN hijab /pardah ka hukm hai, "burqah" ka nahi... go k butqah /abaya is the best kind of hijab... issi tarah chehray k pardah k baray maiN islamic scholars ki 2 roy hai... aik k motabiq chehray ka pardah bhi farz hai...doosray k motaabiq chehray (without make up etc) ka pardah lazimi nahi hai ... muslims scholars / ulema k iss ikhtelaaf say faidah oThaya jasakta hai
2. ap apni paRosan say kahiyeh k woh Allah ka naam lekar job continue rakhaiN... aur hijaab ko mundarjah zail tareeqay say nibhayaiN...insha Allah, Allah ki madad haasil rahegi... job nah choRaiN
hijaab sirf burqah /niqaab ka naam nahi hai... balkay yeh aik islamic way of public dealing ka naam hai iskay tehat:
a) naa.mahram relatives, class fellows, colleagues, ham.safar, aas paRos k jannay walay opposite sex k logouN say bila wajah free nah houN...sirf zaroorat k waqt rabitah /working relationship rakhaiN
b) ghar say bahar attractive (to opposite sex) clothing say avoid karaiN... phailnay wali khoosh.boo, dikhnay aur bajnay walay zewraat /singhaar say avoid karaiN
c) baat cheet k dauran niswaani nazaakat ko minimize karaiN... ghair zaroori gup shup /frankness say avoid karaiN
d) apnay kaam say kaam rakhaiN, ooper, neechay aur ham mansab males say kam say kam /naguzeer dealing rakhaiN
e) khushboo yaat say parhaiz karaiN
f) apnay kaam ko etna strong banayaiN k apki shanaakht apka kaam ban jaa.ay aur doosrouN k liyeh misaal... hatta k aik waqt aa .ay ap apni sharait pay job karnay ki ahal ban jaa.aiN
(Wallaho aalam bissawab) Allah apki help karay. aameen
|
ho0rsm0ker |
Group: Members Joined: 19th Nov, 2012 Topic: 2 Post: 17 Age:
24
|
|
Posted on:19th Nov 2012, 9:26am |
|
|
thanks sir. thank you sir. apke jawab ne bht madad ki. Khuda aapko Khush rakhe. sum'ameen
|
H/dr_Qasim |
Group: Members Joined: 10th Sep, 2010 Topic: 184 Post: 6350 Age:
35
|
|
Posted on:20th Nov 2012, 12:49pm |
|
|
حجاب و نقاب ماشا اللہ بہت اچھا جواب دیا ھے رضوی بھائ نے میں انکے جواب سے پوری طرح متفق ھوں
|
|