reply: Itching After Menses
App aik kaam kerain kay kisi doctor ko check erain kayounkay yah ilamaat YEAST INFECTION ki bhi ho sakti hain, lakin yah koi zaroori bhi nahi hay. Lakin ihtiyatan doctor ko dikha lain.
Iss kay sath sath tang pants/painties pahnnna bilkul band ker dain. Sirf aur sirf cotton ki panties istimaal kerain. Napkins bhi achi brand kay istimaal kerain, STAY FREE is a good brand. Yahan baher ja ker bath room main paani ka masla hota hay haas toar per full time job kernay waloun ko.
App koshish kerain kay jab bhi periods kay doraan bathroom jain, ziada pani use kerain, gher say baher paani ki bottle sath lay ker jain aur plz toilet seat paper zaroor istimaal kerain, kayounkay yahan kay loag iss mamlay main kitnay ganday hotay hain yah aap ko patta ho ga.
Ho sakay tu napkin geela ker kay toilet seat ko saaf ker lain. Yani sab say ziada saffai ki ahmiyat hay iss tara ki problem main. Napkins ko baar baar change kerain aur her mumkin koshish kerain kay vaginal area specially periods kay doraan saaf ho. Hope it will help u.
|