Stool Culture stool ke andar jaraseem maslan bacteria check kerne ko stool culture kehte hai. kuch beemari especially dysentry mai stool culture ker ke dekhte hai keh yeh dysentry kis jaraseem ki wajah se hai.
culture test wale sensitivity test bhi kerte hai. matlab yeh ke laboratory wale na sirf stool test ker ke yeh batate hai keh yeh beemari jaraseem ki wajah se hai keh nahi, agar hai tu os ka name kia hai, aur yeh jaraseem kis antibiotic se kill ho ga.
yeh test iss liye zaroori hota hai keh baaz jaraseem aksar antibiotic se resitant hote hai, on par os anti biotic ka koi asar nahi hota. doctor bechara aik antibiotic deta hai, kuch din baad doosra lekin koi faida nahi hota. lehaza Stool Culture/Sensitive test se na sirf yeh pata chalta hai keh yeh beemari kon se jaraseem se hai balke yeh bhi pata chalta hai keh iss ke liye konsa antibiotic dena chahiye.
Stool ke ilawah Blood ka bhi culture and sensitive test hota hai. iss test ke zaria bhi yahi pata chalaya jaata hai keh beemari kis jaraseem se huyee hai aur os ke liye kon si antibiotic sahi rahe gi. |