reply...pain in empty stomach : apko ye dard pait ke zada deer khali rehney ke waja se ha ,apne ye notice keya k jalan aur dard iftari se kareeb ya din ka kafi time guzar janey ke baad hoti ha....
ap aphley sehri mai ehtiyat karain...iftari ka baad mai dekhain
sehri mai dahi(yogurt) aur milk zada use karain...prefer dahi ko kya jata he agar acidity ho according to new research...ye pait mai ja kar stomach ko line kar laita he aur acidity ka asar kam karta he
paratha aur excess oily thing sehri mai nai laina.....rice ya simple bread lain
aur agar ap sehri karti he nai ya bohat kum tu ye bhe acha nai bohat heavy na karain but halka sa lain like yogurt with white rice..etc
aur most important...sehri mai jaldi jaldi time ke kami ke waja se nai khana.....ahista ahista chew kar ke khain....
juices lain magar khatta juice nahe...mango etc ka lain...lemonade nai..ok ..ap dahi etc naram gaza se start karain...thora thora khain...constipation na honey dain..isapgol husk lain...
dard ke waja se kuch na khana hargiz acha nai warna jalan hoge
iftari:
mirchi se parhaiz karain
iftari ke baad foran daheer sara nai khana...balke waqfey waqfey se thora thora kha lain...aur wohe k oily na ho zada...
late at night khana mat khain....fruits wagaira lai lain...water n juices zada use karain..ok |