doctorpk |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 25 Post: 593 Age:
41
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 2:52am |
|
|
Statistics of Noor Clinic May 2007
Unique visitors: 37755 Number of visits: 104976 Pages: 2047706 Hits: 4140191 Day Number of visits Pages Hits Bandwidth 01 May 2007 3241 59645 119843 2.08 GB 02 May 2007 3335 64079 127295 2.26 GB 03 May 2007 3352 58994 118856 2.10 GB 04 May 2007 3189 54145 108802 1.93 GB 05 May 2007 3339 62269 129510 2.26 GB 06 May 2007 2883 51667 104620 1.86 GB 07 May 2007 3579 60488 122822 2.18 GB 08 May 2007 3446 66124 133228 2.38 GB 09 May 2007 3385 66416 139262 2.50 GB 10 May 2007 3413 61573 123366 2.22 GB 11 May 2007 3295 62472 131745 2.30 GB 12 May 2007 3284 68042 137296 2.47 GB 13 May 2007 3091 61627 125358 2.26 GB 14 May 2007 3435 66227 137567 2.44 GB 15 May 2007 3470 67507 136959 2.50 GB 16 May 2007 3569 74697 151374 2.71 GB 17 May 2007 3597 69708 145315 2.59 GB 18 May 2007 3242 57819 119808 2.17 GB 19 May 2007 3329 61959 126928 2.26 GB 20 May 2007 3035 99409 163821 3.00 GB 21 May 2007 3683 70041 145617 2.56 GB 22 May 2007 3558 75264 152253 2.69 GB 23 May 2007 3732 68004 141339 2.44 GB 24 May 2007 3742 76764 153054 2.73 GB 25 May 2007 3595 71489 146065 2.65 GB 26 May 2007 3698 69739 146575 2.55 GB 27 May 2007 3095 60279 123774 2.18 GB 28 May 2007 3631 73256 146741 2.64 GB 29 May 2007 3729 70970 143496 2.52 GB 30 May 2007 2470 46851 97326 1.72 GB 31 May 2007 3534 70182 140176 2.52 GB Average 3386.32 66055.03 133554.55 2.38 GB Total 104976 2047706 4140191 73.65 GB List of Top 25 countries out of 140 countries Countries Pages Hits Bandwidth pk Pakistan pk 625111 1270287 21.78 GB us United States 533981 1112866 19.46 GB au Australia au 294686 609100 10.71 GB ae UAE 137941 237567 4.98 GB hk Hong Kong 81140 168258 3.07 GB sa Saudi Arabia 58104 110190 2.18 GB eu European country 38209 80849 1.45 GB gb Great Britain 36724 77970 1.41 GB jp Japan jp 33887 69766 1.19 GB tw Taiwan tw 23995 46295 1.02 GB Unknown Unknown ip 22441 29496 636.71 MB ph Philippines 21857 39613 462.39 MB fr France fr 21783 42587 894.44 MB kw Kuwait kw 20645 39724 854.89 MB ca Canada ca 16583 35545 608.46 MB de Germany de 15059 33330 596.05 MB in India in 12302 25007 466.71 MB es Spain es 7581 17003 278.37 MB kr South Korea 4141 9439 126.96 MB eg Egypt eg 3436 6324 147.82 MB no Norway no 3132 5624 101.42 MB nl Netherlands 2795 5828 106.92 MB gr Greece gr 2566 5424 104.34 MB at Austria at 2237 4768 91.30 MB se Sweden se 2073 3533 71.99 MB Others 25297 53798 998.10 MB
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 3:29am |
|
|
Re: doctorpk hmm Impressive. well done.
waisay 1 lakh visit tu is main meray hi hon gai :)
unique visitor you mean, the visitors who registered?? if not registered, do u have any mechanism of keeping track of unregistered visitors too or how can u say those were unique??
waisay if you can distinguish per country, can you check that the visitors who write their countries false that whehter they r from that country? |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 3:57am |
|
|
Re: profit stats also you forgot to mention the profit stats and their distribution. :)
please dont mind as if you consider us the member of forum, then there wont be any problem in sharing that too. (not kidding) dont mind.
Bewaqoof: see this time agar kisi ko meri baat buri bhi lagi tu bhi main sorry nahin karoon ga. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4305 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 4:10am |
|
|
mai aik international bewaqoof hoo ham yaha jo kuch kahte hai woh sirf forum mai post karne wale member hi nahi read karte balke forum ke silent member bhi read kar rahe hai. jaisa ke statistics se pata chalta hai keh aik month mai aik lakh se ziadah log is forum ko visit karte hai. yeh website na sirf Pakistan mai dekhi jati hai balke dunia ke 140 countries mai muqeem pakistani/indian dekhte hai. is ka matlab yeh hua keh is forum mai hissa lene wale tamam log international figure hai.
khan_80: ap ko mubarak ho keh ap aik international doctor hai jis ke medical suggestions har month aik lakh se zaid log read karte hai.
tsalam: is forum ke expert jo kabhi kabhi ate hai. sari dunia ke logo ne in ke jawab se faida uthaya.
khansaab & hypka: is forum ke banio mai se hai. aj kal silent reader bane hua hai. inho ne forum ke reply ko islamic point of view dene mai bahut hi aham role ada kia hai.
zain: aik bahut hi achcha aur active member, naraz ho kar forum se chala gia hai. mujhe umeed hai keh woh bhi silent member ke tor par mojood hoga.
slm pn: aik bahut hi achcha member. kali zuban ke post ka ghalat matlab samajh kar naraz ho kar chala gia. mujhe umeed hai keh woh forum par wapis aye ga. ham sab ko os ki zaroorat hai.
noor123: aik intehai active member rah chuki hai. aj kal bhi kabhi kabhi in ki post nazar ajati hai.
dil jala & sahirsani: dono bahut hi achche member the lekin aik dafa apas mai lar pare dono ne aik doosre ko kuch ......... ziadah hi sunai aur dono chale gai. yeh dono forum ki zaroorat hai. in dono se request hai keh dobara forum mai akar logo faida pohchai.
cherry: shadi ho gai lekin abhi bhi woh silent member hai. shadi se pahle kali zuban ke style mai jawab dene ki koshish karti thi. shadi ke bad kali zuban ko pahchanti hi nahi.
khoobsoorat: ap ne bhi kuch soch kar hi yeh id rakhi hai. ab pata chala keh sirf ham log hi nahi balke lakho log ap ko khoobsoorat ke nam se read karte hai. ap ko ziadah khooshi is bat se bhi hogi keh ap ki ghazal poori dunia mai read ki jati hai. aik shair ko is se ziadah aur kia khooshi ho sakti hai keh sari dunia ke log os ki shairi read kar rahe hai.
Safeena: mujhe ap ke nam se paseena aata tha lekin ab aap par rashk aaraha hai. ap ne is forum ke zaria jetna sawab kamaya hai shaid kisi aur ne nahi kamaya hoga. ham soch bhi nahi sakte the keh sex education ki website se koi sawab bhi kama sakta hai. lekin ap ki deeni batai poori dunia mai read ki jarahi hai. jis se lakho logo ka iman mazboot ho raha hai.
Kali Zuban: ap ko bhi dunia ke tamam log read kar rahe hai. ap ki knowledge se ho sakta hai keh kuch impress bhi horahe ho lekin mera zati khial hai keh ap ki shakhsiat ko koi bhi like nahi karta hoga. ho sakta hai keh ap aik internation na-pasandeedah shakhsiat ke tor par jani jati ho.
Faisee: aaj pata chala keh tumhari ketni silent sisters poori dunia mai mojood hai. ugly sana bhi aik hafta qabal tak silent visitor thi. os ke post se andaza hua keh wo tumhai kafi dino se janti bhi thi, pahchanti bhi thi aur like bhi karti thi.
Kim84: yar tumhara mohabbat, dosti aur bhi chara ka paigham bhi sari dunia mai pohonch raha hai. yar tum waqai bare khooshnaseeb ho jo ghar par baithe baithe poori dunia ko naik raste par chala rahe ho. don ki misal mojood hai woh kisi aur country mai rahta hai aur tu is forum ke zaria ghar par baithe baithe ose naik raste par chalane mai kamiab ho gai.
Josh: is forum ka aik bahut hi achcha aur active member, jo apne reply ke zaria lakho logo ki knowledge mai izafa kar raha hai.
Mrs. Ahmad: aik intehai nafees khatoon jin ki post bhi poori dunia mai read ki gai. aur logo ko sochne ka aik naya andaz mila.
Prozak: aik intehai taleem yafta shakh jis ne beshumar aham post ke zaria logo ki knowledge mai izafa kia. afsos ke kuch point par ikhtilaf ki wajah se woh mujh se naraz hai. meri khahish hai keh woh is forum par members ke sawalo ka jawab de kar lakho silent visitor ki maloomat mai bhi izafa kare.
Bewaqoof: mujhe afsos hai keh mera id bewaqoof hai. mujhe agar pahle pata hota keh har mahina aik lakh se ziadah log mujhe bewaqoof ke nam se read karte hai tu mai yeh id kabhi nahi rakhta. ab mujhe lagta hai keh mai bain-al-aqwami bewaqoof hoo.
beshumar members aur hai jin ki badolat forum ko char chand laga aur aj 140 countries mai lakho log is forum se mustafeez ho rahe hai. bahut sare members aur hai jin ka nam is waqt yad nahi araha hai. faisee bhi tum hi zara madad karo. is forum ke mazeed active members ke nam batao.
aj mujhe ehsas hua keh yaha par agar koi kisi ko gali deta hai tu woh bhi 140 countries ke lakho log read kar rahe hoge.
tamam members se guzarish hai keh oopar statistics par apni apni rai ka izhar kare. |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4305 Age:
38
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 4:27am |
|
|
faisee e-commerce bhi parh lo faisee bhai tum website ki technology ko nahi samajhte. pahle bhi tum ne isi qisim ki batai ki thi aur naraz ho kar chale gai the.
website ki statistics koi human made nahi hoti aur na hi koi member khood apna country likh kar batata hai. balke yeh server based hoti hai. software ke zaria record ki jati hai.
server har visitor ka ip address aur country note karta hai. is ke ilawah bhi bahut kuch note karta hai maslan visiting duration, search keywords, bandwith waghaira. ab tum poocho ge keh bandwith kia hota hai. yeh aik lamba jawab hai.
unique member ka matlab hua keh nique ip address. 37,755 unique address ka matlab hua ke 37,755 unique location. waise aik unique ip address se kai member bhi asakte hai. maslan baz cable internet ke zaria aik hi ip par sainkro member login hote hai. isi tarah cyber cafe ke tamam members ka aik hi ip address hota hai. china mai tu aik ip par aik aik lakh members hote hai.
faisee bhai tum forum discussion se sawal banane mai expert ho. tum is post par bhi sawal banate joa. jawab ke zaria tum poora e-commerce seekh jao ge. tumhare reply se andazah ho gia hai keh computer ke bare mai tumhari ketni knowledge hai? waise mai tu aik bewaqoof hoo lekin tum ko poora e-commerce parha sakta hoo. |
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 5:06am |
|
|
Re Bewaqoof: Bewaqoof bhai...........Kamal kiya ap ny yee post kr k.....bcoz ap ny jo statistics ki hi...mjy wo dekh kr badi khushi huwi....k ap ny kabool kiya k ap ko 140 countries k loog aur visitors dekh rhy hi......Jis ki waja sy aur mry PYAR ki waja sy ap k bolnay ka style change hota ja rha hi...
Jesa DON ki misal mjy ap dety hi k wo sudhar gaya hi.......Kashi kal mjy koi aur aap ki misal dy to woo mri khushi ka makam ho ga......
My to smjhta tha k bas yee genay-chunay 20-30 members hi mjy read kr rhy hi......ab to mri+ham sb ki zimawariyaaa aur badh gayeee,,,,
Sb ko mera muhabat bhara SALAM...
Maa Salama |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 5:22am |
|
|
My Comments! doctorpk many thanks for sharing such a wonderful information with us. very very nice reply from a very nice person of this forum "bewakoof", afsos i have to cal u bewakoof while u are not at all. brother, bohat hi khoobsurat details ham sab say share ki, i am sure everyone will like your post.
tamam dosto say guzarish hai k kisi say ikhtalaf uski galat thoughts par karain, na k us insan ko hi apna dushman bana lain. naik niyati say ki gaee har bat ka faida hi hota hai, or yahan is forum par bi koi insan naik niyat say koi bat karta hai to uska inam Allah usey zaroor day ga. gali dena aik gunah ka kaam hai, to gunah ka koi gawah nahi banana chahiye, or yahan forum par gali denay walay soch lain k wo apnay gunah kay kitnay gawah bana rhaay hain.
plz sab members in doctorpk k bataye gaey statistics or bewakoof ki is post par apny apny comments zaroor dain. |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 6:24am |
|
|
International khoobsurat! oh my God!
mujhe to pata hi nahi tha ke mai ek International khoobsurat hoon, it means I am Miss.world or Miss. unviverse :)
Statistics parh kar maza aya, yeh alag baat hai ke bohot se words ka matlab samajh nahi aya but over-all its good to share this information with all of us. |
safeena |
Group: Members Joined: 02nd Jul, 2007 Topic: 15 Post: 240 Age:
33
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 7:26am |
|
|
Re : Statistics Assalam O Alikum all members
buhat accha laga ye sab parh k kay ye alag baat hai k khubsoorat kee tarah main bhi kahon gee k kai words samajh nahi aaye lekin accha ye laga k is forum per hum GINAY CHUNAY loog hee nahi LAKHOON loog aatay hain
aur Bewaqoof kee post sab k liye buhat acchi lagi Bewaqoof aap ka style kafi change laga aap plzz apna nick bhi change ker lain accha nahi lagta aap ko bewaqoof bewaqoof likhna kion mujhay pata hay aap bewaqoof tu nahi aur ab dekhain international bewaqoof ban gaye hain aap.aap ne tu mayray liye buhat kuch likh dia us ka shukria
Alllah qoubool karne ya na kernay wala hay her amal ko is forum per Ahadeess aur Aayat k refrences dhoond dhoond k lanay main mayri apni information islam k liye kafi barhi is liye is FORUM ka tu mujhay buhat buhat shukria ada kerna hay is forum k bahane main ne informations hasil kain
thanx
safeena |
HUM TUM |
Group: Members Joined: 13th Aug, 2007 Topic: 0 Post: 41 Age:
33
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 9:48am |
|
|
forum stat: hi to all members.
i am new on this forum but i like all the comments of permeanant members on this forum.this is to bring me very happy that more than 100,000 ppls suffering on this forum.
reply to bewaqoof i like KALI ZABAN,KIM84,KHAN_80 & KHOBSURAT comments.so i can say i love this 4K combination.
HUM_TUM |
Ugly-Sana |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 7 Post: 539 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 9:55am |
|
|
Forum Statistics Great, United states was the second highest county in posting the discussions on this forum. Interesting.
Nice tracking of Internation postings, Gives us a great idea of how many people are reading information from this forum. |
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 10:14am |
|
|
bhai hum tum bhai tum ne mujhe aur mere bhai kim ko khan_80 ke sath mila kar sharminda hi kardiya, but, nice observation, bohot khushi howi read kar ke. aap bhi bohot ache ho. but plz mujhe kali zaban ki line mai khara naa karo, i don't like her.
mujhe pata hai ke ab bewaqoof ka koi tarapta howa reply aega ke khoobsurat ko sirf apni tareef karne wale ache lagte hain, blla blla blla.....i don't care. dekh lo bewaqoof! im so popular on forum.
kim tumhare reply ka intezar hai. |
kim84 |
Group: Members Joined: 02nd Aug, 2007 Topic: 113 Post: 786 Age:
29
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 10:22am |
|
|
Mee Hazir Hoo.. Khobsurat de de......Mera dil krta hi k my ap aur Kali Zaban ki sulah kra doo...bcoz ik PEACE FULL KIM84 ki de de...hamesha PEACE ki baat hi kry gi...Right na...
Re humtum: Aap ny hamra naam likh kr jo hamay izat de us k liyee shukriya but mry khiyal my ap ko word "K" bhut pasand hi isi liyee sb K wali nicks ap ko pasand hi......Ik nick aur bhi hi KHANGI kr k us k baray my kiya khiyal hi..
Maa Salama
|
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 11:37pm |
|
|
Re: Bewaqoof aap ka reply buhut acha laga. woh bhi jis main aap nai is forum kai kai pioneers ka zikar kia aur un sab ka bhi jo currently participate kar rahay hain. waisay aap ki writing and marketing skills bhi buhut achi hain.
waisay aik baat kahon, jab aap meri kisi post sai chir jatay hain tu mujhay pata chal jata hai :) e-commerce aur computer per aap ka reply acha laga. asal mai mujhay yeh computer, internet, forum ka kuch nahin pata kai yeh forum ya website kaisay bantee aur chaltee hai. thanks for sharing such nice information, I learnt significantly.
baqi aap meray 2nd question ko khoobssorti sai taal gaye, balkay aap kion, main nai tu doctorpk sai poocha tha, aap ko pata hai tu aap bhi bata daitay,because ham aap kai profit kai liye dua hi kartay hain, nazar nahin lagatay. :)
baqi janab, its true kai this information and talks are being read all around the world, but it was useful for knowledgable members if they share their knowledge with real identities, so that agar internationally kisi ko acha lagta tu woh usay properly admire bhi karta. (dont think negatively). this whole world is like a global village. now no country is thousand miles away but just away by some keys of keypad.
Bewaqoof: aap nai sahee kaha, aisay question main nai pehlay bhi poochay thay, aur aap(I mean moderators) khoobsoorti sai us main bhi taal gaye thay. waisay tu bara family ka hissa samjhtay hain, aur is baat ko khufia hi rakhtay hain. :)
anyways, wish you best luck for your forum and may it grows more and people get more benefits. |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:16th Aug 2007, 11:46pm |
|
|
Re: continue... in continuation to paragraph:
"now no country is thousand miles away but just away by some keys of keypad. ", but its not possible here because of the sensitivity of thi issue discussed here, so I would advise specially girl members kai never ever show any relevance to their real identity because in this society this may cause problems too.
Bewaqoof: aap nai tu khud forum ko May main join kia, aap ko kaisay pata kai kon pioneer tha is forum main.
khoobsoorat: mujhay tu lagta hai kai yeh forum mera valentine hai ( jaisay kai aap ko valentine day buhut pasand hai) isi liye main nai isay 14th Feb ko join kia tha :)
Kim84: aap khushnaseeb hain kai aap ki wajah sai log badal rahay hain. don ka tu mujhay pata nahin, yeh Bewaqoof kisi kai kehnay sai nahin badal sakta, there is some reason behind it.
Bewaqoof: I hope this time aap question ko nahin talain gai, aur poori post kai every major , minor thing ko reply karain gai. baqi logon ko itna time aur mujhay thora sa bhi nahin :(
|
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 253 Post: 4305 Age:
38
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 4:38am |
|
|
tamam friends ke nam
khoobsoorat sahiba ne aik dafa kaha tha keh mai aik be-kar shakhs hoo lehaza mere pas time hi time hai. aur mai sara waqt net par baitha hota hoo. lekin aisi bhi bat nahi hai mai bhi job karta hoo. mai bhi nokri pesha wala shakhs hoo aur mujhe bhi job par jani hoti hai. lekin meri job shifting wali hai is lia mujhe night duty bhi karni parti hai. kal bhi mai night duty par tha aur is doran aap logo ke etne sare reply jama ho gai hai keh samajh nahi araha hai keh kis ko jawab doo aur kis ko chor doo. ab mai tarteeb se post read karta jata hoo aur sab ko reply deta hoo. mera post kuch ziadah lamba ho jai ga lehaza mind nahi kijia ga. Kim84: meri taraf se tum ko ijazat hai tum har aik se kah sakte ho keh mai Kim84 ki wajah se sudhar gia hoo. yeh haqeeqat hai keh meri yaha mojoodgi ka asal maqsad irrelevant aur abusive post karne walo se nibatna hai. lehaza meri har aik se larai hoti rahti hai. kafi talkhi ho jati hai. lekin tumhari kai batai mere dil ko lagi. mai abhi bhi on hi logo se nibatne ke lia hi baitha hoo lekin ab mai onhai piar se qail karne ki koshish karoo ga keh wo irrelevant aur abusive post na kare. mere andar yeh change tumhari wajah se aai hai. mujhe tumhari yeh bat bhi pasand ayee keh tum kalizuban aur khoobsoorat mai dosti karana chahte ho. khoobsoorat ki noor123 se bhi larai ho gai hai os se bhi dosti karani tumhari zimmadari hai. waise khoobsoorat ko qail karne ki koshish karo keh koi kisi ka dushman nahi hota. aur aurtai bhi piar muhabbat ke sath rah sakti hai. Josh: tum bahut hi achche ho tumhari soch bhi achchi hai. hamare darmain kuch ikhtilafat (masturbation ke hawale se) zaroor hai lekin in ikhtelafat mai mai tumhara qasoor nahi samajhta. mai achchi tarah samajhta hoo keh tum wahi kah rahe ho jo tumhai sikhaya gia hai aur mai wahi kah raha hoo jo mai ne seekha hai. lehaza ham dono apni apni jaga drust hai. hamari zati koi larai nahi hai. Khoobsoorat: ap ko statistics mai kis word ka matlab samajh nahi aya. aap mujhe batai mai samjha doo ga. meri id par na jai keh yeh tu bewaqoof hai. yeh kia samjhai ga. shaid mai ap ko computer science ke bare mai etna achch samjha doo keh ap mujhe koi computer science ka professor samajhne lage. waise mai computer science ka professor nahi hoo. mai tu waqai aik be-waqoof shakhs hoo. mai aap ki is khooshi mai shareek hoo keh aap aik international khoobsoorat hai. ap ne ham tum ko likha hai keh ap forum mai kafi poppular hai. mai agree karta hoon keh noor123 ki tarah ap bhi forum mai kafi poppular hoti jarahi hai. ab ap ka jawab aye ga keh mujhe noor123 se compare na karo. tu batai keh mai kis se compare karoo. mujhe maloom hai keh ap kahe gi keh kisi aurat se compare nahi karo kio keh aurat hi aurat ki dushman hoti hai. Noor123: mujhe maloom hai keh ap sirf faisee aur khan_80 se batai karna pasand karti hai. achchi bat hai ham sab bhi yahi chahte hai keh yaha fasad na ho aur ap ki guftagoo ka daira faisee aur khan_80 tak hi mahdood rahe. ap koshish kare keh faisee aur khan_80 ke ilawah na kisi ko reply kare aur na hi kisi ki reply ka bura manai. mai ne zain ali ki hi bat ki hai. woh naraz ho kar chala gia jis ka ham ko afsos hai. agar zain ali silent member ke tor par yaha forum par mojood hai tu ham sab request karte hai keh ghar wapas ajao kuch nahi kaha jai ga. ap ne mujhe pagal kaha. ap mujhe pagal nahi jahil kahe. ap ne mujhe is lia pagal kaha keh ap ke khial mai mujhe computer ke bare mai knowledge nahi hai. aap BCS hai jab keh mai BCS nahi hoo. lehaza aap ko haq hai keh ap mujhe computer science mai jahil kah sakti hai. lekin pagal ka lafz ap nahi kah sakti kio keh yeh lafz koi nafsiati amraz ka doctor hi kisi ke lia istemal kar sakta hai. waise ap ki maloomat ke lia bata doo keh medical science ne lafz mad ya pagal ke lafz ko gali qarar dia hai. aur is lafz ko text book mai likhne par pabandi lagai hui hai. aur jise dunia pagal kahti hai ose medical science patient (nafsiati aur zahni) kahte hai. aur os se aik patient jaisa salook aur hamdardi rakhte hai. Safeena: agar ap bhi kuch word ka meaning poochna chahti hai tu mujh se pooch le mai bata doo ga. mai apni id change kar ke aqalmand rakh loo ga tu kia hoga. har koi os per tanzia reply kare ga keh yeh asal mai bewaqoof hai yaha id change kar ke agia hai. lehaza ab mujhe bewaqoof hi rahne de. waise mai sach much bewaqoof hoo. jis tarah news paper mai likhne wale sirf chand afrad hote hai lekin lakho log read kar rahe hote hai. isi tarah is forum par bhi sirf chand afrad apas mai discuss kar rahe hai jab ke dunia bhar ke lakho log ise read kar rahe hai. lehaza ham sab ko kuch bhi likhte waqt yeh ehsas hona chahia keh un ki tahreer lakho log read kare ge. lehaz bahut hi mohtat ho kar likhna chahia. Ham Tum: tum ko 4k's pasand hai. sab hi log 4k's ko pasand karte hai albatta 4k's mai mojood khoobsoorat aur kali zuban aik doosre ko pasand nahi karti. is ki asal wajah yeh hai keh yeh dono auratai hai. aur baqol khoobsoorat ke keh aurat hi aurat ki dushman hoti hai. mera mashwarah hai keh kabhi bhi aurto ki larai mai shareek nahi hona chahia. door se dekho, larti hui aurtai bari achchi lagti hai. Ugly_Sana: yeh statistics forum mai posting ki nahi balke visitors ki hai. woh tamam afrad jo forum par ate hai aur read karte hai. in mai woh log bhi hai jo keh baqaida registered nahi hai aur sirf silent reader ke tor par mojood rahte hai. forum mai post tu sirf gine chune log karte hai. jis tarah newspaper mai sirf chand logo ke article hote hai lekin lakho log read karte hai. isi tarah yaha forum par bhi sirf chand log hi post karte hai lekin lakho log read karte hai. Faisee: aik tu tum shakki mizaj ho doosre nazuk mizaj bhi. tumhare post ka jawab dete huye yeh bhi dar rahta hai keh tum naraz na ho jao. dekho bhai mai kisi sawal ka jawab nahi talta. mujhe bahut se sawalo ka jawab nahi maloom. tum pahle jab naraz ho kar gai the tu tumhara sawal tha keh kia yaha par mojood doctors paid mulazim hai. tu mujhe is sawal ka jawab nahi maloom tha. kia jawab dete. 1. Noor clinic: Is it welfare? 2. Cant find post 3. Leaving the forum!! 4. sorry for misunderstanding!!! ab tumhara sawal hai keh profit ki detail batai jai. yeh tu kisi ko nahi maloom. mere tu khial hai keh moderator doctorpk ko bhi nahi maloom hoga. profit aur loss ki tafseel tu site owner ko hi maloom hoga. lekin mai etna janta hoo ke profit or loss ka taluq expenditur aur income se hai. is forum se owner ko kis tarah income horahi hai yeh tu owner hi bata sakta hai. albatta expenditure tu saf nazar arahe hai. expenditure mai web development, weh hosting, web marketing, web security aur is ke peeche work karne wale tamam afrad maslan programmer, graphic designer, content writer, typist, aur equipments maslan computers, cable, telephone aur beshumar ikhrajat hai. agar income in ikhrajat se ziadah hai tu lazman profit bhi ho ga. jab keh income kam hone ki soorat mai loss bhi hoga. tum ne sirf profit ki bat ki hai jab keh har business mai loss bhi hota hai. kia pata yaha bhi loss ho raha ho. tum ko yeh bhi shak hai keh mai is website ki marketing kar raha hoo tu tumhai bata doo ke web marketing aur land marketing mai zamin asman ka farq hai. web marketing forum mai baith kar nahi ki jati balkeh SEO, link exchang, banner add, google adwords aur email marketing ke zaria ki jati hai. ab agar tum poocho ge yeh SEO aur AdWords kia hota hai tu woh bhi samjha doo ga. waise yeh shak kafi arsa qabal zain_ali ne bhi kali zuban par kia tha. aur aj tum mujh par kar rahe ho. tum ko tu yeh bhi shak hai keh mai hi kali zuban hoo aur mai aik mard nahi aurat hoo. yar mai kahi se bhi tum ko aurat lagta hoo Bewaqoof, Kali Zuban Are You MBBS?. kali zuban ke bare mai sab samajhte hai keh wo aik doctor hogi. lekin mai tum ko kahi se doctor lagta hoo. tum mujh se medical ki bajai computer language C, Java, VB, ASP, PHP, .Net, Oracle aur computer ke degar field maslan security, e.commerce, graphic designing aur marketing par bat kar sakte ho. tum ko mere asal profession ka andaza ho jai ga.
rahi real identity ki bat tu is forum mai har koi aik doosre ke lia ajnabi hai. tum ne bhi aik post mai kaha hai keh faisee kia hai koi nahi janta kio keh yeh aik character hai. Re: Bewaqoof. yaha bhi sab character hai. koi khoobsoorat likhta hai tu koi zaroori nahi keh woh waqai khoobsoorat ho aur koi ugly_sana likhe tu is ka matlab bhi yeh nahi keh woh waqi ugly hai. jaisa ken noor123 ko aik member ne mashwara dia tha keh os ki id ghalat hai ose noor ki bajai andhera123 hona tha. aakhir mai tum ne () mai moderator ka lafz likh kar shakki mizaj ka saboot dia hai keh mai moderator hoo. allah kare keh mai moderator ban jao, mai bhi moderator ban sakta hoo aur tum bhi. jis tarah khan_80 moderator hai doosre members bhi moderator ban sakte hai. being moderator!!. lekin moderator ban kar faida kuch nahi zimmadari barh jati hai. ap ka etraz keh mai May mai aya hoo aur purane member ke bare mai kaise janta hoo. pahle ap yeh batai keh ugly_sana ko aye huye tu sir 1-2 hafta hua hai woh ap ke bare mai bahut kuch kaise janti hai. jis tarah woh ap ko janti hai osi tarah mai bhi purane members ko janta hoo. yeh bat durust hai keh Kim84 ke post aur style se mai ne bahut kuch seekha. mai ne safeena ko kabab mai haddi kaha (mazaq mai) lekin mai ne on se bhi bahut kuch seekha. haqeeqat yeh hai keh tum se bhi bahut kuch seekha. tum ko ghussa nahi ata, tumhari yeh bahut bari khoobi hai, meri khahish hai keh mujhe bhi ghussa bardasht kar ke muskarana ajai. lekin aisa nahi hoga. kio keh insan ki personality change nahi hoti. mera khial hai keh tum ko shikwah nahi hona chahia keh mai ne tum ko tal dia. main ne tumhare tamam sawalo ka jawab de dia. mai 12 ghanta ki night duty ke bad aya hoo lekin tumhari mohabbat mai tumhai jawab de raha hoo. aise sawalo ke bhi jo keh is forum mai nahi dena chahia tha. hosakta hai keh meri kuch batai moderator delete/edit kar de. lehaza edit/delete se qabal parh lo.
|
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2296 Age:
36
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 7:49am |
|
|
My Comments! bewakoof! mere dost, tumhara reply par kar pata nai kyo kafi dukhi sa hogaya hon. yar tumnay itni achi batain likhi thi sab k liye, lekin afsos hai un logo par jo achi bat par bi tanz karnay say baz nai aatay afsos hai tumharay un dosto par (jinko tum apna dost manty ho) jo tumhari khubsurat bato par shak kar rahay hain. tumhari personality par shak kar rahy hain. shayed wo ye chahty hai k log kahin wah ye banda bohat genius hai, bat say bat nikalta hai.
jo kuchh tumnay likha or jitni mehnat say sab k baray mai achay words ka izhar kia, agar yehi kuchh kisi larki nay likha hota, to bohat logo nay excellent pehlay likhna tha or comments baad mai denay they. Bewakoof mere dost, agar bohat say log ab bi tumhary khilaf hai, to un bohat say logo say ziada log tumhari batain pasand bi kartay hain, is liye disheart na hona. tumhari positive criticism say yakenan logo ko faida hoga. |
shakir316 |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2007 Topic: 35 Post: 104 Age:
26
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 8:33am |
|
|
Dr. Rizwan Assalam o alaikum . Bhai aap sab Dr Rizwan ko to bhool he rahay hain jinhun ne ye poda lagaya aur sab iss ka phal(fruit) kha rahay hain.DR Rizwan sahib ki books aur posts ne Lakhoo logon ki zindagi badal di ho gi. Allah un ko zroor ajr de ga aur bohat ziada de ga. aur jab tak ye website qaim hai un ko sawab milta rahay ga. Dr Rizwan u r great. Allah aap ko lambi umar de. Khuda Hafiz |
faisee |
Group: Active Members Joined: 13th Feb, 2007 Topic: 79 Post: 776 Age:
30
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 11:18pm |
|
|
Re: Bewaqoof I would just say awesome. You have given detailed reply for each and every question of mine laikin thori narazgi kai saath. which I can understand kai you must already be tired after long hours and then wrote such a long reply just due to my "shakki" and "nazuk mizaj" tabiyat.
brother, its not about shakki, but actually if I feel myself about part of this family, then I dont feel shy to ask each and everything which comes in my mind and I ask openly. Now it depends on others that if they want to reply or not. I liked that you replied it in whole detail with whole history. I like your effort alot and it alleviates many confusions out of my mind now. infact I am a jahil person in this field not you, rather in any field. thats why always use to sit here and do nothing. :)
secondly I am not shakki, but asking questions for clearing any confusion is not shakki, you can say it like this way but I dont think this way.
Regarding profit thing, you answer is so detailed and i have understood many things now, take my words, I wont raise it again.
in all of my posts or all of my questions, if I ask anything serious in them, sometimes I used to write in joking style which shows that this matter shouldnt be taken seriously and it shouldnt hurt anyone.
waisay My Reply, aur aap kafi din sai meray personality analysis ki baat kar rahay thay, since last some days, yeh chal raha tha aaj aap ki post sai I have got my complete personality analysis. :) nazreen ab aap mera asli chehra jaan gaye hon gai :)
Bewaqoof aap ki muhabbaton ka buhut shukria. I really inspired by your feel of responsiblity and care. thanks again
|
khoobsurat |
Group: Members Joined: 06th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 326 Age:
28
|
|
Posted on:17th Aug 2007, 11:36pm |
|
|
ufffffffffffff etna lamba reply! bhai bewaqoof tumhare pass waqai bohot faltoo time hai jo har waqt net par bethe rehte ho, magar pata nahi kiyu tum mujh se har waqt larte rehte ho. kiya tum kabhi tameez se baat nahi karsakte mere saath? |
|