Good Morning Sir....... Ajj bio ki claas horahi hai, acha.....bio ka hi question bhi hai....main jawab dene ki koshish karta hon sir bari mushkil se ratta lagaya tha kal.
Question.........kissi
aissi khatoon ka name butao jo subah hoty hi 20 aurtoon se jugrha ker
k apni suba ka aghaz kerti he aur raat sony se pehly 30 aurtoon ko be
araam ker k soti he....
Is khaton ka taluk macharon(mosquito) k khandaan se hai (yani ek machar khatoon hai)....ye machar aurat har 10 machron main se 1 paye jati hai jo raat sonay se pehle specially 30 aurton ka khoon pi kar soti hai, .........aur agar iske saath iski saas bahu nandain bhi khon penay jaati hain aur isay khoon na mil paye tou ye subah chirchiri uth ti hai .....is wajah se ye 20 machar aurton se lar kar subah ka aghaaz karti hai........ biology main is machar ko kehtay hain "laraka Machar-ni" mazid ye k uss aurat k demagh mein kon kon se mineral vitamin paye jaty hein ab ye baat khoon pene par munhasir karti hai, machar-ni jis aurat ka khoon piti hai uske khoon main jo vitamins paye jatay hain wo machar-ni k demagh ko mil jatay hain, specially jo vitamin miltay hain unmain vitamin dengue, vitamin malayria aur vitamin jarsomay kaable zikar hain.... kya mera jawab sahi hai sir ?....plz is baar paas kardena sir pehle bhi appne us student ko paas kia tha jo apko apna lunch khilata tha.....main apko lunch agar dedonga tou miss saima arif ko kya khilaoonga ?.......
|