Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 2:33am |
|
|
Is It Possible The Baby In The Womb Could Change Its Posture?
Dear all members, Salam, Umeed krta hun k sab log khairiyat se hungay, Sawal ye hai k 2 din pehley mai ne wife se baat ki tu us ne btaya k dr kehti hai k baby ulta hai aur shayad delivery k qareeb tk position change kr ley warna operation hoga, Jab k aik Dayee ati hai hamarey ghar wife ko dabaney k lye....aur wo boht expert aur purani hai hamarey village mein, wo kehti hai k nahin baby seeda hai, mai poochna chahta hun k usko kaisey pata chala kia vagina mein hath insert kar k ya kisi aur tareeqey sey. aur un females se ye poochunga k is it possible k baby position change kar le, jab k wife ki pregnancy ko almost 6 an half month hogaye hein,yani almost 2 and half month baqi hein abi,,,, Thanks & Regards Jaffar My wife told me that the baby’s lie in the womb is reverse
and doctor says probably it would be corrected at the term. However, in case if
it will not be corrected automatically then delivery could be done via
C-Section.
There is a Dai that comes to my wife in our village and she
says that the baby’s lie is correct. She is very expert. I want to ask how she
comes to know that the lie is correct.
I want to ask from females whether it is possible that the
baby would change its lie. As this is the sixth months of pregnancy?
|
myrizvi |
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 111 Post: 6481 Age:
54
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 5:45am |
|
|
hmmmmm aap gynae /dayee k peshawaranah maamlaat main zeyadah dakhal dar maqoolaat nah karaiN to yeh aap k liyeh behtar hogaa :)
har 2 ki tashKhees ka apna apna tareqah hai. lekin baby ki position k baray maiN lady doc ka kahna zeyadah mostanad hota hai... aap koi 3rd opinion bhi lay saktay hain yaani ultra sound karwalaiN yaa kissi aur gynae ko dikhalaiN...
aap ko zehni taur par operation k liyeh tayyar rahna chaahiyeh yaani ikhraajaat ka intezaam, hospital aur surgeon etc ko finalise karnaa takay ain waqt par agar aisaa karnaa ho to pareeshani nah ho...
Allah say dua bhi kartay rahaiN k woh sab kuch normal karday. |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:24th Jun 2009, 1:26pm |
|
|
dont worry i agree with rizvi, bacha apni position change karta rehta hay yani move karta hay jiski waja se position ooper nechay ho jati hay aur by the end jab bacha nichay ajata hay tu head down position main ajata hay lekin khuda na khwasta aisa na hoa tu pehle doctors try kartey hain ke bachey ki position kisi tereh sahi karain ya normal delivery karen, aisa nahi hota tu operation kartey hain aur aisa koi masla nahi hay darney ki koi bat nahi hay, rahi bat daiyon ki tu maana ke unko buhut maloomat hogi lekin aisey risks na lain tu behter hay, dabaney se koi aur masla bhi ban sakta hay,
apko itni pareshani hay tu ap ultrasound karwayen balkey doctor tu apko until the end prescribe karey gi waqtan fawaqtan takay bachey ki position pata chalti rahay.sixth month is too early to be worried about delivery |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:25th Jun 2009, 2:52am |
|
|
Koyal Sis Salam,
Sis shayad mai is lye ziada pareshan hota hun q k mai pardes mein hun,,(Saudia)...aur meri jan ghar mein hai.waisey tu meri ma g us se boht pyar krti hein,,,infact wo meri phopo ki beti hai,,aur aik hi behan hai,,aur us ka ghar b hamarey ghar se 5 min k paidal fasley pe hai,,
koyal sis ma g us ko har month CMH le kar jati hein aur specialist ko check karwati hein,har month ki 9 ya 10 tareekh ko dr ki date hoti hai aur wo check krwati hein,
Sis is lye pareshan ho jata hun q k kehta hun k operation honey k bad phir women ki life adhi reh jati hai aye roz dard etc,,,aur phr pata ni q mje aik baat se nafrat si hai aur wo ye k operation mein gents dr b hotey hein,,pta ni q mje ye baat achi ni lagti,,Anyway plz do pray for me.
and for my sweet begum.
Thanks,,,Jaffar |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:25th Jun 2009, 7:57am |
|
|
You didn't reply koyal Sis Salam
Koyal Sis you didn't reply me. I am waiting for it.......
Jaffar |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:25th Jun 2009, 2:15pm |
|
|
Fiker not Ap bilkul tension met lain jab Allah paak ne aapko itni bari naimat ki khushkhabri di hay tu us nanhi si jaan ko duniya main lanay ki zimmedari uski hay apna imaan mazboot rekhain ye sochain ke Allah jo kerey ga behter karey ga, aap apna farz ada karen namaz parhain aur dua karain ke apki wife aur bacha sehatmand rahain, rahi bat door honey ki tu koi bat nahi majboorian har kisi ke sath hoti hain aur phir apki mom unke sath hain wo zada janti hain aur zada tajurbeykaar hain wo har mamla achey se handel karen gi
rahi bat operation ki tu darney ki koi bat nahi, jaan hay tu jahan hay Khuda na khwasta agar zaroret paish ayi tu zindigi sabse barh kar hay aur phir aisa koi masla nahi hota munasib care or ehtiat agar ki jaye tu koi masla nahi hota aur aurat bilkul normal hojati hay within 2 months bas ehtiat, munasib diet or apka sath hona chahiye lekin main dua karti hun aisa waqt na aye aur apki wife ki normal delivery ho, is silsely main, main ye kahungi ke last months main agar koi complications nahi hain tu apni wife se kahiye ga ke buhut walk karen aik jaga na bethen.
rahi bat jents ki tu phir wohi kahun gi sabse barh kar jaan hay aur phir doctor chahay mail ho ya female koi farq nahi parta jab tak wo poori imaandari se apki azaaz hasti ko zindigi de raha ho. Ye sochain ke us waqt wo aik mard nahi aik doctor hay jo koi ghalat nigah ya iradey se nahi balkey Allah paak ki teref se aik wasila hay jo apke pyaron ki zindigi bachaney aaya hay, yakeen manain aisa sochain gey tu koi masla nahi hoga.
In the end main buhut buhut dua-go hoon apke liye aur baki sab se bhi request karungi ke szagham bhai ki wife aur honay waley bachey keliye dua karen takey kher kheriat se wo nanhi jaan dunya main aaye aur szagham bhai hamain mithai khilayen |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:26th Jun 2009, 4:33am |
|
|
INSHALLAH Koyal sis.
salam, Aaap ka bohat shukrya k aap k is detail reply ne mje kitna hosla diya hai. sis infact my apni begum se be hud pyar krta hun aur yaqeen krein k ni dekh skta k us k even sir mein b dard ho.bs aap mje apna bahi smjti hein tu marey lye bht sari dya kijiye ga..beta ho ya beti ...ALHAMDOLILAH
mai ne wife ko mana kiya ha k pehley ni poochna dr se k kia hai,ye aik raaz rakha hua hai ALLAH G NE tu ise raaz hi rehney do.
sis aik baat ki mje smjh ni ati wo ye k meri wife ne kabi phone mje ni kaha k aap bht yad atey hein ya ajayein dil gabra rha hai,shayad islye k wo meri cousin hai aur ghr b nazdeeq hai uska ,,,waisey msgs mein likhti hoti hai k missu etc......
aur doosra ye k mje wapis aye huye 5 months hogaye hein,,shadi k bad almost 3 months raha ghr...aur kabi us ne phone pe mjse sex ki bat ni ki...ya wo din wo ratein jo hum ne ikathey guzareni......kia wo sharmati hai ...
bohat sari dua chahiye.thnkx...phir aap k reply ka muntazir rahunga.thnx k ap ne bahi kaha..hum sirf teen bahi hein..behan ni hai hamari..khair...take care
jaffar |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:26th Jun 2009, 6:22am |
|
|
szagham Hum sab apke liye dua karenge ke apka beta ho ya beti, sehatmand aur naik ho. Doosra ye ke apki wife agar phone pe izhar nahi karteen tu zaroori nahi ke har koi express karey apne pyaar ko, kuch log bagher bolay hi ehsas dila dete hain aur phir bar bar izhar apna charm kho deta hay, aur phir abhi apki shadi ko buhut kam time hoa hay frankness honay main time lagta hay, koi aisi biwi nahi hoti jisey apne husband ki kami na mehsoos hoti ho, main is bat ke buhut khilaf hoon ke shauhar apni bivion ko chor ke chalay jatey hain pardes, shadi isliye nahi ki jati ke dono alag alag rahain aur phir jab ap aik doosrey jismani aur ikhlaki zaroriat na poori kar pa rahay ho tu khuda na khwasta koi behek bhi sakta hay isi liye hamare Nabi paak bhi mana fermatey thay yahan tak ke jung ke doran bhi wo jinki bivian hoti theen unko 3 mahiney se zada jung ke mahaz pe rehne ki ijazet nahi hoti thi.
Apne kaha ke wo apse puranni batain discuss nahi kartin tu kya ye achi bat nahi hay, pehli bat tu ye ke pregnancy ke doran aksar aurton ki sexual desires kam hojati hain, doosra ye ke aap ye sochain ke agar wo apse aisi batain karen aur ap unse tu ap dono ke jazbat bekaboo ho saktey hain aur itni door rehte howey ye ap logon keliye sahi nahi hay. Aisi batain tab achi lagti hain jab ap dono aik doosrey ke paas hon. |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:26th Jun 2009, 2:31pm |
|
|
Koyal sis Salam
Ni sis infact mai sirf islye ruk gaya hun k delivery pk mein hi hojaye tu acha hai q k wahan sab log hein ..meri ma g hein us ki ma g hein,,yahan saudia mein marey pas kon hai jo uska kyahal rakhta aur phir ye pehli baar hai abi..aur abi uski umar b tu 21 hai tu shayad wo apni aur bachey ki itni care na kar pati..warna mai jab aya tha atey hi bula leta usey.
Uski delivery ramadan mein hogi INSHALLAH almost 23 ya 24 ramadan ko.aur meri chutti december k end pe hogi tu INSHALLAH INSHALLAH jatey huey sath visa le kar jaon ga dono ma aur bachey ka aur sath le kar aonga.
ap bht sari dua kiya krein..bs mje kbi kbi lagta hai k shayad usey yad ni ata hun..shyad mje miss ni krti...aur waisey b sirf 3 months tu sath raha aur ye arrange marriage hai..jo larki mje bahi bhai kehti thi aur aik dam se rishta hogaya...even sis engagement jb hui tu mai pk chutti gaya hua tha aur engagement k 2 month bad shaadi hogayee tu wo engagement k baad b aksar bahi jaffar keh diya krti thi..aur phir khoob hansa b krti thi..
sis shayad abi uski condition is trha ki hai k wo chirchiri si hogayee hai..shayad theek ho jaye gi..kehti ha k belly mein aik taraf drd rehta hai..dr kehti ha k baby ulta honey ki waja se hai..
ap bht sari dua kijiye ga.
thnks for such good replies which i was needed badly being a sister.....
Syed Zagham Jaffar ........ONce again thnkx |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:26th Jun 2009, 4:20pm |
|
|
szagham fiker ki koi bat nahi hay inshALlah sab theek hojaye ga
apka ye sochna ke ap akele hain apki wife ka khayal kon rekhta tu ye kehna theek nahi hoga ye sahi hay ke apki wife apke ghar walon ke sath hain aur wo behter jantay hain lekin aise waqt main husband ka sath hona ziada important hota hay kyunke apki aulad ap dono ka hissa hay us pal ko ap mil kar share karenge tu ziada kaeeb ayenge, rahi bat akele pan ki tu ye met bhoolain ke Allah paak hamesha hamare sath hay koi bhi apne aapko akela nahi keh sakta sabse mazboot sahara har waqt hamare paas rehta hay, main yahan apni personal life tu share nahi karti lekin apse itna kahungi ke i was 19 when my daughter was born aur main akeli thi apne husband ke sath yahan pardes main lekin mujhe Allah paak pe poora yakeen tha aur apni maan ki duaon pe bhi. main ye sab is liye keh rahi hun ke shadi ke baad mian biwi ka kareeb hona buhut zaroori hay kyunke shuru ke hi din hotay hain jab woh aik doosrey ko samajh saktey hain aur aik doosrey ki pasand ke sanchay main dhal saktey hain. Jin logon ne sari zindigi sath rehna ho unko dilse karib hona zaruri hay aur pyaar kurbat se barhta hay, choti choti khushian share karna hi shadi shuda zindigi ka sabse anmol khazana hay paisa ani jani cheez hay lekin waqt laut ke nahi aata, khaas kar shuru ke dino main door reh kar kuch arsey baad ye ehsas zarur hota hay ke apne kya khoya dia, aur phir jese apne kaha ke arrange marriage hay apki tu aisi soorat main aik doosrey ko samajhney aur is rishtey ko khubsurat bananey main thora waqt lagta hay aur ab tu apko Allah Paak ne aur mazbooti se jor diya hay aisi batain zehen main na laaya karen aur apni bivi ko jitna ho sakey khush rekhain
meri duaen apke aur apki bivi ke sath hain Allah paak uney har kisam ki talkeef se door rekhey Aameen |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jun 2009, 2:18am |
|
|
Koyal Sis Salam, Sis aap kesi ho?Umeed karta hun k bilkul theek hungi.
Sis mje yun lgta hai ya yun mehsus hota hai kbi kbi k wo pyar jo jb mai pk mein tha tu wo krti thi,,ya yun kahein k wo sath jo jismani tore pe wo diya krti thi,,pta ni ab jab jaon ga tu wo waisey hi sath degi ya phir ...........
Darta hun shayad.ap female ho,mje itna btao k kia realy wife mis krti hai apni husbnd ko....agr krti hai tu Api wo izhaar q ni krti,,mera b tu dil krta hai k koi udas ho marey lye,koi intizar mein ho marey liye,,,,plz mje reply zroor kijiye ga.ap reply krti ho na tu bht tasali hojati hai,
2 din pehley mjse begum kehti hai k aik chota sa blanket aur 2 pyarey se feeder beij dein...mai ne kaha k blanket tu theek baby k lye..lakin feeder is ney q mangey..Will she not let the baby feed by her own........
mai ne msg kr k poocha tu us ne reply ni kiya..kia aik aurat ka dil ni krta k baby us ka milk piye...ya phir us ne routine wise keh diya aur baad mein ehsas hua tu reply ni kiya....
MAY ALLAH G BLESS U AND KEEP U HAPPI IN UR LIFE. MAY HE FULFIL ALL OF UR DESIRES, MAY HE HELP U TO SPEND LIFE SMOOTHLY.
Jaffar |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:27th Jun 2009, 11:15pm |
|
|
szagham ap meri last post ghaur se parhain apko apke pehle sawal ka jawab mil jaye ga, rahi bat apke doosrey sawal ki ke apki wife n blanket or feeder mangwaya tu ye aik natural si bat hay har maan ko shauk hota hay apne honay walay bachey keliye cheezain khareedney ka aur wo har cheez jo baby se related ho khwah uske use main aye ye nahi wo zarur khareedti hai bas aik shauk hota hay usi shauk ki waja se apki wife ne aisa kaha abhi tu aap dekhtey jayiye wo itni shopping karengi aisi cheezain bhi ko 4 saal baad istemaal honay wali hongi,
chalain ap meri aik sawal ka jawab dijiye, apko pata chala ke apke haan baby honay wala hay tu ap ne toys khareedey hongey ya khwahish tu hogi na lene ki lekin apka baby paida hotay sath tu khelna nahi shuru kar dega aise hi maa bhi aisi cheezain khareed leti hay jiska use bhalay na ho lekin uske bachey ke anay ka ehsas dila raha ho uske liye wohi kafi hota hay.
Ab bat aayi feeding ki tu koi bhi maan bila waja apne bachey ko is hakk se mehroom nahi karti bhaley west ho ya east isi tereh tu maan apne bachey ko khud se kareeb mehsoos kar sakti hay, aur phir barey hokey usey emotional blackmailing bhi tu karni hoti hay doodh ka hisab maang ke ......hehehehe, just kidding, i hope apki samajh main aagaya hoga |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:27th Jun 2009, 11:43pm |
|
|
thnkx Koyal sis,
aap k in replies ne mje bht satisfy kiya hai.pata ni kaisey shukriya ada karun apka. KHUDA MRI BEHAN KO WO TAMAM KHUSHIYAN DE JO MERI BEHAN KHAWISH KREY..AMIN
hamesha khush rahey aur marey lye bht sari dua kijiye ga. aur ye b k KHUDA TALA karam karein aur delivery normal ho...aur Allah g meri Sweet sis sweetie ko sada bht sara khush rakhein aur usey apni hifazat mein rakhein.
bht pyar krta hun Qasam se Api apni sis ko....aik baat kahun ho sakta hai aap mjse choti hun..par Api kehney ki hasrat rahi na tu islye Api keh raha hun
meri koi baat buri lagi ho...kisi waja se dil dukha ho tu sorry.bs yunhi gabra jata hun..itni umar honey k bawajood bht darta hun,,is zamaney....choti si baat ho,jaisey koi ye keh dey k tmhari begum ka sir dard kar raha hai tu bht tense hojata hun.anyway...thnkx.
MAY ALLAH G KEEP U HAPPY AND SAFE .....
Jaffar |
Komos |
Group: Members Joined: 15th Jun, 2009 Topic: 3 Post: 95 Age:
43
|
|
Posted on:28th Jun 2009, 4:58am |
|
|
Jaffar Dear
app ki or sis koyal ki sari mails read ki pehla to ye k main hud in tumam halat say guzra hoon or phir main b saudi main hi hoon meri wife b mera saat hain or muja b doctor nay 8th month main bataya tha k baby ki position teek nahin or mera tajurba hai k doctor teek batatay hain kunk wo puri zamadari say ye bat kartay hain khair main b bahut perashan tha wo is liay k meri pheli 3 daughters ki normal birth hoi the lakin is dafa operation ka muamla tha dr. nay meri wife ko houb walk karany ko kaha lakin 9 the month main b baby ki postion teek na hosaki ye sub Allah ki taruf say hota hai or Allah appnay banda ko zarror azmata hai jub koi umeed na rahi normal delivery ki to hum na dr. k kahanay k mutabic operation karwaliay or Allah nay muja aik khoubsorat say beta attah kia jo k mashallah ab august main 3years k ho jay ga or mari wife b bilkul teek hain to app bilkul be is cheez say perashan mat hon
or bivi zaroor izhar karti hai some time ye hota hai k us ki sharam kul kar izhar us ki zuban tuk nahin anay dati or ye be Allah k aik has tohfa hai aurat k lia
aray yar feeder humari bahbi nay baby ko pani wagara pilanay k lia manga hoga kounk app abhi pehli dafa is sitution say guzro gay is lia abhi say perashan ho raha ho warna abhi humaray mushray main yeh bat buri hay k ma apany bachay ko feed na karay or app ki ma g bi app ki bivi ko is ki ejazat nahin dain gi
har waqat Allah say appni or appni bivi or anay wala babay k liay dua go raha karan or appni dua main muj nacheez ko b yad rakah karan or mazeed kisi information ki zarrorat ho to pouch la na
app ki khariat ki talib
|
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:28th Jun 2009, 8:04am |
|
|
Where are you Koyal Sis Dear Koyal Sis... Salam
Kahan hein aap, reply ni kar rahein,,, Koyal sis aap se aik aur baat b poochni thi wo ye k agar normal delivery ho tu kia us waqat b gents doctor hotey hein ya us waqat sirf female drs hi hoti hein..
Apna khayal..Pray for us..
Waiting for ur reply
Jaffar |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2009, 11:12pm |
|
|
szagham depend karta hay ke ap konsi country main hain, yahan europe main tu aik male doctor lazmi hota hay jo supervise kar raha hota hay, pk main sirf female docs hi hoti hain saudia waghera ka mujhe nahi pata. phir wohi bat karungi ke sahi hay ke hum apni teref se koshish karen ke female doctor hi ho lekin agar koi majburi ho tu us waqt compromise karna parta hay, aik male doctor ko us waqt sirf aik doctor samjhain, apki wife pk main hain wahan sirf female doctors hi hoti hain isliye dont worry |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2009, 12:50pm |
|
|
szagham yha saudia me male doctor lazmi hota hai chahay ultrasound k liye jao wo male ne hi krni hoti hai light off kr laitay he pas me ek nurse female b hoti hai jo dr ki hdayat pe amal krti hai but ultrasound doctor hud krta hai aur deleivery ka case b whi krwata hai jaisa k koyal ne kha yha b same aisa hota hai kuch hospital me nhi b hota but mostly male zror sath hota hai aur wo pehlay se btatay he k male hai koi problum to nhi laikin us waqat sbko apnijaan ki pri hoti hai kisi ko kuch yaad nhi rehta hai
mera bhai saudia me paida hua hai abhi MASHALLAH wo 7yrs ka hai isiliye mjy pta hai baqi jaisa k koyal ne kha hai k male doctor ko sirf doctor smjhna chahye
ALLAH behtar kre ga INSHALLAH |
koyal |
Group: Members Joined: 17th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 500 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2009, 2:37pm |
|
|
i agree hasna szagham bhai ki wife pk main hain abhi wahan tu surely female docs ho hoti hain rahi bat abroad honay ki aur male doctors ki tu maine yehi samjhaney ki koshish ki hay ke zindigi se barh kar kuch nahi hota, phir aik advantage ye bhi hay ke ap apne bachey ko duniya main atay dekh saktey ho sharing a beautiful moment with ur wife. I personally think ke husbands ko delivery time apni wife ke sath hona chahiye takay usko andaza ho sakey ke aik aurat ko kis takleef se guzarna parta hay uski nasal ko agay barhaney keliye |
Szagham |
Group: Members Joined: 23rd Apr, 2008 Topic: 38 Post: 217 Age:
30
|
|
Posted on:29th Jun 2009, 3:12pm |
|
|
hansa aur koyal sis salam...shayad aap log soch b ni saktein k mai api jan se kitna pyar krta hun.kaisa btaon ap ko k us takleef ko imagine kr kr k rota hun.k YA ALLAH YE TAKLEEF KASH MAI SEH SKTA..KASH AISA HOSKTA..ap ko ni pata k mai us k lye kitna trpta hun, Api mai usey apni jan se kahin ziada pyr krta hun,shyad jahan pyr ki baat ho,wahan meri zaat boht peechey reh jati hai.aur meri jan,meri begum bht agey........
hansa aur koyal sis mai male drs se nafrat ni krta.bs ye kehta hun k wife ki sharmgah etc...ye sirf us k husband k lye hai,,mai kaisa brdasht kr lun k koi aur male.....shayad ap meri bat k yaqeen na krein.MAI KISI AURAT KI TRAF ankh utha kr b ni dekhta. sochta hun ye nazar b meri aur sirf meri jan ki amanat hai...phir mai kaisey brdash krun.
sis wife CMH kharian mein regular Dr NAZLI ko check krwa rahi hai,plz plz bht dua krein k normal delivery ho,api ALHAMDOLILAH ALHAMDOLILAH mai 5 waqt ki namaz prta hun,bht bachpan se...shyd islye ziada islamic hun, dil ni krta na k marey siwa koi aur meri jan ko dekhey b,,,suney b,,,bs mai aur sirf ma..
plz ap sb se meri request hai k dua krein. k normal delivery ho,,aur srf females hun,,,mai usey saudia le aonga. pr jb b aisa moqa hua usey pk le jaya krunga.yahan kon hai marey pas.
with bundle of thnkx to hansa sis and koyal...waiting for ur reply.
jaffar mje btaye ga k cmh etc hospitals mein normal k waqt tu srf females hoti hein na? |
hasna |
Group: Members Joined: 25th Apr, 2009 Topic: 39 Post: 1836 Age:
26
|
|
Posted on:29th Jun 2009, 7:02pm |
|
|
koyal and sza gham i agree with u apne bilkul theek kha hai bs ye to smjny ki baat hoti hai mere husband ko kids bht chy lgty he wo mjy aksar kehtay thy k meri deleivery k last time tk sath rhay gy but abhi hmari life me us waqat ki amad nhi hui hai INSHALLAH hojaye gi jildihi
sazagham aap wo pehlay insan nhi ho jinhe wife se bepnah pyar hai chahat hai MASHALLAH mere husband b mjy bht ziada pyar krty he diwano ki tra meri ek aah pe trp uthtay he abhi me unkay pyar ko ilfaz b nhi dy skti hu aur aj tak unho ne apny is pyar ko koi ilfaz nhi diye he kio k wo kehtay he k pyar lafzo ka muhtaj nhi hota jha lafz dia wha pyar pyar nhi lafz bn jata hai jo chotay se hroof me sma jata hai isikiye pyar itna chota nhi k lafzo me sma jaye
apki mene pehlay b bht si post pri jha apne apni wife k bare me yu biyaan kia apko itni muhabbat hai me smjti hu aur honi b chahye ALLAH PAK aur brhaye is muhabbat ko ameen
baqi ek bat hai k ap yu preshan na ho k usky drd ko apna sko ALLAH PAK ne jiski qismat me jo likha hai usko milta hai ap ALLAH ka lakh lakh shukar ada kia kro jo ap father bn nay wale ho yu dil ko chota mat kre aur ek baat islam me to female ko female ki sharmgha daikhny ki b ijazat nhi hai laikin doctors insano ki jaan bchate he unko koi frq nhi parta hai k samnay kon hai aur kia hai
ap aisay sawal mat soche ap apni wife se kehy k wo apni doctor se pochay k labour room me male doctor hoga ya female kio k hum yha pardes me he hr hospital me alg alg asool aur treeqay hoty he is bare me wo apko behtar bta skti he kio k me kbhi b cmh me nhi gai hu arsa 9saal se ksa me hu yhi pra yhi bri hui yhi shadi hui aur inshallah yhi bchay b hongy....ameen
ap preshan bilkul mat ho hush hush rha kre aur kisib qisam k sawal na soche apki wife sirf apki he subkuch theek hojaye ga ghbraye nhi
apne apny baby k liye kia kia shoping ki hai agar abhi tak nhi ki to krna start kre aur advance me hi bej dy pakistan apki wife ko bht ziada hushi hogi aur is bat ka ehsaas b k ap wife se b aur any wale baby se bht pyar krty he
insaan bht nashkra hai ek trf apko dr hai k usko bht pain hoga takleef b aur ek trf next baby ka b soch rkha hai aur ye b k us waqat usy pakistan le jaye gy hud soche agar uska drd apky liye naqabile brdasht horha hai to ap kio 2nd baby ka sochty he......plz ap preshan nhi ho allah tala apny bnday pe utna hi boj dalta hai jitna wo brdashat kr sky be relax
be happy always smile
aur hmm agar shoping krni hai to baby k clothes ap baby pink and sky blue colour k laina aur aisay laina jo k baby boy b pehn sky aur baby girl b soft soft laina agar kuch jan na hoto mjse poch laina k kia kia laina hai baby k liye ok now smile plzzzz
and last me plz pray for me in your all prayers
me jb b shoping krny jati hu sochti hu ye b lu gi wo b lugi apny baby k liye plz ap dua krna k mjpe b ye waqat jaldi aye ameeen plz pray for me apni choti sister smj k dua krna
duao me hmesha yaad rkhna
thanx
|
|