5. Cricket World Cup 2015
 

Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
a
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic| Forum | Health| Sex | General |Pakistani Matrimonial| Site Map
Procedure | Recent Post |New Topic | Most Viewed| Paigham e Quran and Hadees
 
Warning: This Website is not for people who are less than 16 years of age. Please exit
 
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
NoorClinic
Home(General)
Home(Health and Sex)
Forum Procedure
Noor Clinic Home
Book For All
Book For Women
Book For Men
Baby Care
Daily Questions
  Start New Topic  My Profile
   

Is It Possible The Baby In The Womb Could Change Its Posture?

Married Women Problem   >>  Multiple Pregnancy
   
 
 
Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:30th Jun 2009, 6:18am
 

Why not Hansa SIs

Salam,.,,, Bundle of thnkx k aap ne mje bahi kaha aur ap dono(Koyal sis aur aap) meri bht help kar rahi hein,mje bht hosla de rahi hein, Aik baat mai ne koyal sis ko b btayee thi k hum srf 3 bahi hein behan ni,,lakin ap dono ne mje bahi kaha bht thnkx,,,behan ki qadar kia hoti hai shayad mjse ziada koi ni janta hoga..Anyway jaisey wo PAK ZAAT RAZI HAI,,,,,,,,,,

sis mai ne socha hai k baby k lye blanket,,feeders,,powder,lotion,Special soap,Sweet sa shampoo,khiloney,clothes,sweets ki socks, piyari si caps..

baqi aap mje zara detail se batayein na,,ap tu female hein,,marey abu g next month yani july mein pk ja rahey hein, tu un k hath ye sb beijun ga. Delivery INSHALLAH INSHALLAH Ramadan k mid mein....Allah G ne Kia Behtareen Month diya hai na,,,almost 24th Ramadan hogi

Api pareshan bnd kis kl ye hota hai? Jis se bht pyr krta hai,,meri dua hai k ALLAH G AAP KO B MAAN BANNEY ki taufeeq ata krey.Bura na manaye ga aik baat kahun,,jb aap apney husbnd se jismani taluq qayam krti hein na tu us se pehley Isha ki namaz parh k 2 nawafil ada krein aur khoob ro ro k ALLAH G MANGEIN....aur han koi manat b maan lein.

shadi hui tu 2 months ki wife pregnant na hui,mje wapis b ana tha.bht pareshan hua,,,Infact wife k periods Irregular they.almost 35 days,,kabi 36 yani Harmons k masla tha..tu dr ne Ultrasound kiya aur btaya k eggs tu theek hein,phr periods k start hotey hi us ne medicine di aur right after periods wife meri jan meri sweetie pregnant hogayee. mje yad hai mai medial store se strip laya aur jb positive aya tu hm dono ki khushi ki intiha na rahi,,,,,,

BEST OF LUCK,,,ALLAH G KARAM KAREIN GAY. DO NOT WORRY. DO PRAY ...

Jaffar

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2015  Age:  28  
Posted on:30th Jun 2009, 7:10am
 

sazagham

bhai mjy apki koi baat buri nhi lgi hai najane kio dil kia k apko bhai khu aur friend b

mere MASHALLAH 2bhai he dono choty he chota to abhi 7yrs ka hai aur bra 17ka MASHALLAHi 


ME ABHI ABHI HOSPITAL SE WAPAS AYI HU doctor ne ek medicine di hai kha hai k khao aur mzeed 2month wait kro k date theek ati hai k nhi jbky mere sath aisa 1st time hua hai mene kha k shadi ko 6month hogye he me conceive nhi kr pai kehti hai koi problum nhi abhi dair nhi hui ghbrao nhi mene kha k mjy conceive krna hai kehti hai k normal hojao phir mere pas ana achi doctor thi 

asal me ye SAUDI ARAB haina yuhi medicine nhi daity pehlay daikhty he phir kuch krty he aur me hu k mjse sabar nhi horha hai kio k doctor ne b btaya k medicine khane se conceive hojata hai aur abhi apne b bta dia 

konsi medicine hai wo plz plz plz mjy b btaye me b khau aur meri jaan b hush hojaye aur mere dil ko b skoon ajaye kio k hmare mashray me 6month bht ziada he khas k hmare ghrano me aur waisay b i want my baby...............

plz bhai ap mjy wo medicine ka naam bta dy me dr se poch k use krna chahti hu mere sbhi test theek he alhamdulillah  

plz pl z plz mjy medicine ka naam btaye

apko bht bht bht duaye dugi abhi b dy rhi hu plz helpme
koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:30th Jun 2009, 10:57am
 

hasna n szagham

bhai aapka jo dil chahay aap kharidain is tereh apko khushi bhi miley gi aur ap apni wife aur bachey ko kareeb mehsoos karenge, meri buhut si duaen apke aur apki wife ke sath hain Allah paak apko sehatmand aur naik aulad ata karey Aameen, apni wife ko kahiye ga ke namaz ke baad roz surah Maryam perha karen inshAllah Allah paak unhain bacha honay ki takleef main aasani paida karay ga

Hasna I really feel for you, ap meri behen jesi ho isliye pase keh rahi hun ke ap aisi koi dawa met lo jis se apko faidey ke bajaye nuksan ho, apka doctor jo apko de ga wo sabse behter hoga kyunke har kisi ki body requirements aur problems different hoti hain, doosri baat aap itna pareshaan met ho aur Allak paak pe apna imaan mazboot rekho usne apki kismet main jo likha hay wo apko zarur miley ga aap bas dua karo aur namaz perho inshALlah apki muraad zarur poori hogi, aik aur baat ke stress met lo is tereh apko concieve karney main mushkil hogi, stress ap main hormonal imbalances paida kar de ga aap befiker raho aur sab Allah paak pe aur sahi waqt pe chor do, Allah paak jo karta hay bandey ke achey keliye hi karta hay

Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:30th Jun 2009, 12:15pm
 

Hansa Sis

Salam, Api pareshan ni hun, ALLAH G KARAM KAREIN GAY. Api 1 baat bataon shayad ap meri mohabbat ka andaza laga sakein..Wo Report aur wo recipt jis pr dr ne meri wife ko medicine likh kar di thi wo aj tak marey wallet mein hai.mje yad hai meri jan k periods ka 2nd day tha..08.12.2008 date thi jis din check krwaya aur med li. aur 13th ki raat hum ne mubashrat ki ,ALHAMDOLILAH jan pregnant hogayee,,SUMMA ALHAMDOLILAH.jb 25 december ko mai strip laya aur wife ne check kiya tu khushi ka ye alam tha k kaha Jaffar jaldi se idher ayein..aur ap aik dafa khud check krein. mai 2 stips laya tha.

aur really we both were so happy.jaldi se meri ma g k pas gayee.mami g mami g dekhein jaffar strip laye aur its positive..Meri ma g b bht khush huein..(Cerophen 50mg) Medicine ka naam hai.Dr ne kaha k 7 din khani hai. aur har roz aik hi time ho.matlab agar 9:00 pm pe khayee tu continue 7 days 9:00 pm pe with milk...13 ko hum nana g k sath Un k peer g k darbar par gaye aur dua mangi..aur Usi din raat ko.......AHO.........

bht pyr krta hun api apni jan se. mje shadi se pehley bahi kaha krti thi. 8 August ko pk gaya chutti pe,,,15 August ko un k ghar pura khandan jama hua.wahin pe mai b..sath bitha k mangni hui..mangni 2 months rahi...bht dair tk aksar bahi keh deti..phr hans deti..6 October ko shadi hui,,hum aik hogaye.dono aik doosrey se bht pyr krtey hein..Even it is arrange marriage..

13th December ko wo pregnant hui....25 ko hum ne check kiya.....22 January ki raat Lahore aya uncle k ghr...23 ki subo meri flight thi...Ghar se le kar Lahore tk,,lahore se Behrain tk..Behrain se Riyadh tak rota raha....Aney k baad musalsal 2 months boht roya.........

KOYAL SIS AP DONO BEHNUN KA KAISA SHUKRIYA ADA KRUN..PLZ DONO MIL K SUGGEST KRO NA  K APNEY SWEET BABY K LYE KIA KIA KHARIDUN..1 LIST BTA DO..AUR HAN AP FEMALE HO..BTAO APNI JAN K LYE KIA KAHRIDUN...

thnkx...

Urs Brother Jaffar

Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:30th Jun 2009, 12:53pm
 

You are so helpful to me

Dear Koyal Sis... Salam.   Api aap ne bht help ki ...sahi saboot diya k ap behan ho aur bahi ko hosla de rahi ho...Allah G aap ko hamesha bht sa khush rakehin Aik dua k lye request krunga. k plz dua krein k Hum dono mian bV mein bht ziada pyr rahey..aur yunhi bharta chala jaye.Specially hum dono mein eitmad ka rishta sada qayam rahey..

Waisey tu us ne kabi shaq ni kiya mj par aur na hi mai ne..wo hamesha kehti hai k jaffar..Ap k lye paida ki gayee hun..ap ki hun aur sada rahun gi....Bs ye k ye eitmad ka rishta hi hota hai jo pyar bharney ki waja hota hai..agr kabi isey thais pohanchey tu har cheez khatam..Take care.

must U & Hansa sis suggest me to what shop for my sweet baby and for my sweetie..........Thnkx.

jaffar

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:30th Jun 2009, 5:56pm
 

szagham

wese tu ap kuch bhi khareed saktay hain maslan pampers, toys, feeder, blankets, pram jo dil chahay

lekin mujhe lagta hay ke kuch yaadgaar honnay kelie ap apne bachey ka pehle din ka dress lain, yahan tu jab bacha paida hota hay tu yahan ke culture ke mutabik aik shirt hoti hay bari cute si white jo larka aur larki dono keliye hoti hay wo sabse pehle pehnayi jati hay aur kehte hain ke it brings luck apki teref pata nahi ho ya nahi, aap aik complete dress jis main trouser ,shirt, bodysuit, socks aur shoes hon, in case larki ho tu romper ya frock lay lain baki cheezon ke sath, wese tu romper unisex hota hay agar white ya yellow ho colour apki merzi, sath main aap johnsans ki kit lay lain jis main lotion,oil,powder waghera sab ho is tereh apka bacha jab paida ho tu wo sab pehne pehli baar jo apne bheja ho aur uski foto lain aur apko bhejain wo apke liye yaadgaar hogi.

H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6551  Age:  37  
Posted on:30th Jun 2009, 6:37pm
 

salam

hmmmmmmmmmmm good suggetions jinaab i will do the same

as koyl said

Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:1st Jul 2009, 6:10am
 

Thankx Koyal sis

Salam .........Api how are you! Hope fine.

Bundle of thnx for the suggestions. Allah G aap ko bht sari khushiyan ata krein aur Hansa sis ko b..Allah G Apney Habib K Sadqey Un k dil ki muraad b puri karein aur unein naik aur saleh Ulad ata karein. Aur unko bht sari khushiyan ata karein Amin..

Koyal sis kch dinun k baad market mein jana shuru karun ga...jo jo dil ko acha laga wo wo kharidun ga...Ap ne meri Jan k lye tu kch bataya hi ni k females mostly kia like krti hein,,plz suggest krein na...1 tu perfume lunga apni sweetie k lye..usey choclates bht passand hei wo b beijun ga..kch aap batayein na k females ka kia dil krta hai k falan cheez honi chahiye.......

Hansa sis where are you..Not replying..Kia khafa hogayee hein bahi se...koi aisi baat jo ap ko achi ni lgi tu mai sorry bolta hun,,

Take good care

Jaffar

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:1st Jul 2009, 10:44am
 

szagham

mere khayal se apko apni wife ke liye gold ki koi cheez maslan koi kangan ya pendant le lena chahiye, wo yaadgaar rahay ga aur hamesha paas bhi, rahi bat doosri cheezon ki tu uski tu never ending list hoti hay, aksar pk main pregnant ladies breast pads mangwati hain wo jo feeding ke doran use hotay hain takay kaprey na gandey hon wo bhej dijiye ga wo buhut usefull cheez hoti hay aur bar bar kaprey nahi change karne partey
Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:1st Jul 2009, 12:06pm
 

Koyal Sis

Salam,,Koyal sis yani aap ka matlab brezier hi hai magar wo jis mein shayad foam lagi hui hoti hai,,,agar ye ni tu phir plz zara detail se bta dein...Jan ko beijney k baad bataon ga...As a surprize...

Api us k pass gold itna hai k bta ni skta aur janab bht kum hi pehanti hein,,Anyway ap kuch aur soch k batayein na....aur ye jo mai ne poocha hai ye zara detail se bata dein.....k mje kaisey pata chaley ga k pads hein whatever na zara confuse horaha hun,,,

bs itna bta dein k Pads breziers se differ hotey hein ya phir hotey brezier hi hein par in mein wo foam si lagi hui hoti hai......????

Apna bht sa khayal aur khush raha krein..bht sari duayein krta hun ap k lye...Ab agr bhai kaha hai tu bhai hi smjna hai..Bhai aur bhabi dono k lye bht sari duayein b krni hein..

WIsh U al the best.

Jaffar

 

Lagta hai Hansa sis khafa hogayee hein,,,koyal sis mje bht dar lgta hai k kbi kisi ka dil na dukey meri waja se,,dil azaari na ho...plz mje muaf kijiye ga agr kch bura lagey..

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:1st Jul 2009, 5:15pm
 

szagham

ye pads hi hotay hay circular in shape ye undergarments ke ander rekha jata hay, kuch special undergarments bhi milti hay feeding ke doran pehenney keliye jis main front open hojata hay aur feeding ke baad pad rekh ke usey clip kar saktey hain wese tu ye pads normal undergarments ke sath bhi use ho saktey hain aap pharmacy se jakay poochain wo apko de dain gey.

Gold maine isliye kaha ke ye hamesha unke paas rahega yaadgaar aur jitna bhi ho aur le lene se koi farq nahi parta, is baat aap kuch special karen jo bhi cheez khareedain uspe special message with date carve karwa ke bhejain, phir shadi ke 50 saal baad ap dono jab usey dekhain gey tu apko ye waqt yaaad aayega :)

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2015  Age:  28  
Posted on:1st Jul 2009, 5:37pm
 

sazagham

salam bhai kaisy ho ap koyal ne bht achi bate khi he ap inko follow zror krna ok

rhi bat meri to suba se mera net nhi chl rha tha aur me soi b hui thi abhi hu uthi hu aur thori upset b hu ghar k maslay meisiliye aj suba ka na kuch khaya hai na piya hai na bhook lgi hai dill krta hai k apni ami k ghar chli jau but phir dill nhi b krta hai k jau................

himmat se kaam laina hai aur laiti rhu gi bs dua kr dijiye ga bht akaila feel krti hu jbse shadi hui hai aksar problum hojati hai budget ki bs usi wja se kuch tens hu aur koi baat nhi hai aisa nhi k merehusband kaam nhi krty MASHALLAH lakho riyal kmaye he unho ne but apny liye nhi mgr unka hisa hai unme but abhi shadi k baad hmara budget mehdood ho kr reh gya hai jise hmara guzara to acha hojata hai but future k liye 1riyal b nhi save horha.....3month hogye he saudia aye huye but mere husband ko hudki life ki parwa nhi hai humne alg ghar lia kio k inky bhai chahty thy jo k yha ksa me hi hoty he meri ek jaithani b yhi hai meri khala b hai wo...............

khair jane dijiye ye sb to life ka hisa hai abhi inko sochny betho gi tobht takleef hogi mjy kio k mene bht kuch brdasht kia hai sifr apny husband k liye aur unho ne alg ghar le kr mjpe ehsan kia hai 

bhai in bato ko yhi bnd krna behtar hai isi ziada kia khu k shadi pe mere susral walo ne kuch nhi bnaya tha mere liye jbky 3saal mangni rhi jbky ye hmare apny relatives he mjy jtna shadi se pehlay aur nikah k baad mere susral walo ne mu chraya hua tha abhi yu lgta hai k nzro me agai hu tbhi abhi tk olaad ki hushia nseeb nhi hui................husband MASHALLAH bht achy insan he kbhi kuch kha nhi mjko jo qismat me ho milta hai YA ALLAH MERI B SUN LAY AMEEEN

ap bs dua kr daina aur apki wja se kio meri dil azari hogi bhla apmbht achy ho ok

depress bht rhi hu shadi se pehly aur baad me b shaid usi wja se baby nhi hua hontho pe muskrahat sjane se dill ko hushi nhi milti hai husband ne bht sath dia hai par jin logo ne takleef di wo nhi bholtay...na bhool paye gy

hair jane dijiye kuch lkogo ki qismat me hushiya nhi hoti he jaisay k meriii
Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:1st Jul 2009, 6:25pm
 

hansa sis

salam. Api aap tu kham kha pareshan ho rahi hein,yunhi pareshan ni hotey..mai aik baat kahun " ap in choti choti batun se pareshan na hua karein q k pata ni hm logon ki qismat mein agey chal kitni takaleef hun,aj hi gabra jayein gay tu kia hoga..budget k lehaz se kahun ga k fajar ki namaz parh k SOHNEY ALLAH G SE US K HABIB K SADQYE mangein. ALLAH G ZAROOR DEIN GAY. aap ko qasam hai k aap aj k baad bilkul pareshan ni hungi..aap k husband ko aap ki bht zarurat hai..aur ap ko unki. agar aap unhein hosla ni dein gi tu wo pareshan ho kr rah jayein gay. mai male hun smjta hun

shadi k baad bv bht bara sahara hoti hai.aur pata banda 12 hours b duty krey na aur begum ki aik piyari si muskurahat dekh le.ya bv k 2 bol pyar k sun le na tu bs...sari thakawat door hojati hai..mai ne medicine ka naam bataya tha...

api ap k hsbnd ki aur un k barey bahi ki jb b baat aye na tu aap apney hsbnd se kaha krein k aap behtar smjtey hein..aur jaisey wo faisla krein ap ne khushi khushi amin kehna..KHUDA US AURAT PAR REHAM FARMATA HAI JO hsbnd ki hr baat ko follow krey. na k jagrey.larayan etc krey.

MASHALLAH meri sweetie bht achi hai.bht pyr krti hai mjse.aur baat ha k ph pe izhaar ni kr paati wrna aik din ph na karun tu tarap uthti hai..shayd yehi pyr ha..

ALLAH G AAP KO KHUSHI DEIN GAY.ap medicine ka dr se pooch k apney periods k dinun mein shuru krein..

hnsa api ..koyal api ne wo pads tu bataye hein par mje smjh ni ayee na..kisi shoping market se milein gay...ya kisi aur jaga se...shopkeeper se kia kahun k mje kia chahiye..........Take c.

Urs brother.jaffar.

aur han yad rekhein ...acha insaan ni...uska kirdar acha hota hai jo usey acha bana deta hai..aur mai bilkul ni..bht gunegar se banda hun.MAY ALLAH BLESS ON U.AND MAY U HAVE SWEET BABY..VERY VERY SOON. INSHALLAH INSHALLAH.

chalein..ap k lye manat mangta hun k ALLAH G jald ap par karam karein tu ramadan mein INSHALLAH INSHALLAH aaap k lye tawaf krunga...AIK BEHAN K LYE OK......

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:1st Jul 2009, 6:30pm
 

hasna

hasna mayoosi kufer hay bajaye un cheezon ka gila karney ke jo nahi mileen uska shuker karen jo mili hain, dukh takleef pareshaanian sabki zindigi main hoti hain lekin ye imtehan hay Allah paak ki teref se, aur ye utnahi hota hay jitna hum main hosla ho,yehi tu waqt hota hay jab Allah paak humain azmata hay ke hamara imaan kitna mazboot hay hum kitney shukerguzaar hain, hasna aap ye kehti ho ke apko khushian nahi mileen jabke aap khud kehti ho k mashAllah apka apna ghar hay apke shaukar apko acha khila rahay hain saving nahi hoi tu kya hoa hamare mazhab main bhi savings ka nahi kaha gaya Allah sabka raziq hay wo keerey makoron ko bhi rizq pohchata hay aur hum tu ashraful makhlookat hay, hamara farz banta hay ke us zaat paak ka shuker ada karen ke usne humain mukkamal paida kya humain sunne, parhney ki salahiat di, humain duniya main itney pyarey rishtey diye ap kyun negative sochti ho, rahi baat aulad ki tu har cheez ka aik waqt mukarrar hay, gila shikwa karney se Allah paak khafa hota hay bas dua kiya karo aur apna ikhlak buland rekho inshAllah har murad poori hogi
hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2015  Age:  28  
Posted on:1st Jul 2009, 8:27pm
 

koyal szagham

thanx for ur reply 

koyal me mayos nhi hu 

szagham me apny husband ki hr baat ko follow krti hu wo bht achy he aur loving b he 

asal me mera bchpan aur shadi se kuch din pehlay tk ka waqat b bcho k sath guzra hai school me parhai htm ki to ghar me bht se bcho ko brhana start kia taky waqaat acha guzre phir engagement hogai than nikah aur abhi shadi mere husband mjy hr roz call krty thy hum ghanto bate krty thy hr aat discuss krty thy aur ek dosre ko smjty b he problum shadi k baad start hui he last 3month se ap hud soche k ek insaan before shadi 4000 riyal laita thy monthly jbky baqi k jo paisay he wo weekly alg thy na koi khane ka hrch na koi rent 

aur abhi shadi k baad jb ehrajaat ziada hogye he to 3000 hair abhi me sochti hu to kia hua hai jbky shadi se pehlay jo b saving thi wo pk me hrch hogai ho jati hai me bs yhi soch k preshan hu k abhi mere husband kia sochty he kio aisa hua hai isi baat se behas hoti hai aur wo kisi company me job nhi krty unka apna buisness hai unka bra bhai b sath hi hota hai meri jaithani b yhi hai wo meri hala b hai extra market se inki bht achi dealing hai laptop ki but jan buj k yu tang hojana kio hai jbky unka bhai aur bhabi ko to koi fraq nhi pra hai aur hme kio pra..............

me ye baat nhi smj skti hu aur isi se preshan hu jb b husband ko pocha unho ne kha k mera itna hi haq bnta hai ise ziada nhi phir mene kha k shadi se pehlay kia tha phir...............aur abhi ehrajaat b ziada he koi zrurat par jaye to hm kise mangny jaye gy......

koyal agar ap meri jga hoti to kia apky dil me ye hyal nhi ata k aisa kio hai....
mere husband mjy bht pyar krty he hr zrurat ALHAMDULILLAH puri hoti hai but abhi hmari zindgi hai hmari zrurty he

me phir likho gi abhi mehman aye he

thanx
H/dr_Qasim Group: Members  Joined: 10th Sep, 2010  Topic: 185  Post: 6551  Age:  37  
Posted on:1st Jul 2009, 9:16pm
 

aslamoalykom

i can understand your feelings hasna but ap abi agur husband py kura ki rozi zura tung hy tu onka sat du ap on k or apny achy k leye he sochti ho agur onka joind karo bar hy tu onch neech hoti rehti hy itfaak meh he burkat hy , husband sy kayn koi part time kam ho sukta hy tu wo kur lyn agur ap puri likhi hen tu ap tution start kur lyn yaa achi incom hy jo log pakistani familys k bucho ko tution purhaty hen theek thaak fee lyty hen

baki puryshaan ni raho ktini bar ap  ko kaha hy ye puryshaani ye sochin b ap ke pregnency meh hayl rukawatyn hen plz mut socho or apny husband ka hur hal meh khoshi or gum meh tungdusti or furakhi meh sath du hosila burhao ye na ho ap ke humdardana bato sy baiyoo meh phot pur jay

khosh raho khosh rukho or khoshyaa banto

i know k abi three thousend meh saudia meh family rukhna kitna moshkil hy ghuro k rent b do gonaa ho gy hen or oper sy ksa meh b mehngai ho ghi hy, saving phyly jesi ni pur keya keya ja sukta hy ,

dont worry ok  doha kro apny husband k leye apny leye sub k leye peyary peyary pakistan k leye bye

Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:2nd Jul 2009, 6:41am
 

Hansa Sis

Salam,,

Api kaha tha na k qasam hai ap ko pareshan ni hona,plz calm down.and b happy.ALLAH G behtar kartey hein jo wo kartey hein islye tense ni hona aur relax rehna hai,

aur aik baat par apna imaan mazboot rakhein k KHUDA TALA KI ZAAT jo krti hai wo behtar krti hai,plz aap in batun ko na socha karein,aur apney hsbnd ka bharpoor sath dein,unhein hosla dein,unse kahin k jo mil raha hai ALHAMDOLILAH.ap sochein un logon k barey mein jin ki pya 1000 riyal b ni aur wo becharey sara sara din mazdoori kartey rehtey hein,

islye jitna ho sakey ALLAH G KA SHUKAR ADA KREIN.

meri duayein ap k sath hein.MAY U HAVE A BEAUTIFUL LIFE ,,MAY U HAVE ALL THE THINGS, U WISH FOR,,,,

MAY U HAVE ALL THE HAPPINESS OF UR LIFE..MAY ALLAH G KEEP ALL OF U HAPPY.

Jaffar

hasna Group: Members  Joined: 25th Apr, 2009  Topic: 41  Post: 2015  Age:  28  
Posted on:2nd Jul 2009, 7:22am
 

thanx bhai

me preshan nhihu 

baat paiso ki nhi hai agar mjy itna hi ho paiso ka to me jistra shadi se pehlay tuition parhati thi abhi b parha skti hu but nhi aurat ki kmai me brkat nhi hoti hai bs allah pe bhrosa hai aur imaan b pka hai MASHALLAH no problum paisa ani jani cheez hai mgr muhabbt aur pyar nhi i always with my husband
Szagham Group: Members  Joined: 23rd Apr, 2008  Topic: 38  Post: 217  Age:  32  
Posted on:2nd Jul 2009, 12:17pm
 

THats the gud Hansa SIs

Salam,

         ITs good k aap hamesha apney hsbnd k sath hein. mazey ki baat bataon jb kbi aksar mai aur meri sweetie thori bht larai krtey hein na tu yaqeen karein 30 mints ni guzar patey k hum dono aik doosrey ko sorry bole kar irada krtey hein k next larai ni karein gay..par wo kehtey hein na jahan payar ho wahin tu larai hoti hai,,,,

But she is so nice.hamesha mera sath deti hai aur bht achi hai..ALLAH G usey hamesha yunhi khush rakhein,aur mje b taufeeq ata krein k us k mun se nikli hui har baaat puri krun, ALHAMDOLILAH aj tk usey kbi khud se kehney ka moqa ni diya k jaffar mje paisey chahiyein,pehli baat k wo sharmat hai mangti ni,,,par mje tu pata hai na k mai hi tu hun us k armanun ka pura krney wala aur phr wo jis condition mein hai,,,uska b dil krta hoga tarha tarha ki cheez khaney ka ya use krney ka.

ANyway MAY U B HAPPY IN UR LIFE, AND GET THE HAPPINESS BY BEING PREGNANT AS SOON AS POSSIBLE. ab mje zarur btaye ga q k mai ne aap k lye manat jo mani hai tu wo mje puri krni hogi. Api delivery almost 13 ya 14 september ko hogi ..plz plz meri jani k lye bht sari dua plz .........

ap ne mje wo btaya ni pads k barey mein..Koyal sis ne bht explain kiya..par pta ni abi b q samjh ni aa pa rahi.

Jaffar

koyal Group: Members  Joined: 17th Dec, 2008  Topic: 0  Post: 500  Age:  28  
Posted on:2nd Jul 2009, 3:05pm
 

hasna

main apki jaga hoti ka tu pata nahi lekin maine apse kaha na ke har kisi ko maslay masail hotay hain aur doosrey ka suno tu apna kam lagta hay, main apko aik baat batana chahun gi ke jab kabhi main mayoos feel karney lagti hun ye koi problem hawi hojati hay tu apni mama ki kahi aik bat yaad kar leti hun unhon ne mujhse kaha the ke kabhi apne se ooper logon ko dekh ker zindigi na guzaro aisa karo gey tu  hamesha gila shikwa hi zuban pe rahay ga, zindigi guzarni hay tu apne se kamtar logon ko dekho jo choti choti naimaton ko tarastey hay aisa karo gey tu hamesha Allah paak ka shuker ada karo gey aur tum main khauf-e-khuda bhi rahay ga. Hasna main har takleef ko Allah ki raza manti hun aur jitna mujhe mera khuda himmet deta hay utna sabar karti hun wo aur takleef deta hay tu ye samajhti hun ke mere gunah ki saza hay, bachpan main namaz parhatey waqt ammi ne yehi samjhaya tha ke beta agar tumhain koi taklif ho tu ye sochna ke tumne namaz se ya Allah paak ke kisi farman main gustakhi ki hay, uski toba karna Allah paak phir se sab behter kar dega, tu hasna sis wo bachpan ki batain agar hum abhi bhi yaad rekhain tu zindigi ko guzarna asan hojaye ga.

Main apko yehi mashwara dungi ke aap har mahiney apne husband ki tankhwah main se kam az kam 5% kisi zaroretmand ko de diya karen InshAllah apki tamam maali pareshanian bhi door hongi aur khoob barkat bhi hogi.

szagham bhia ap un pads ka jakay bad pharmacy pe poochain apko mil jayenge, wese tu kisi barey store main babies section main bhi mil jatay hain lekin pharmacy main apko dhundna nahi parega

For Detail Click On Page No: 1 2 3 4 5  >>
 
 
 
 
 
Pakistani Driver Honesty In Dubai  How to get UK settlement spouse visa for us citizen  Indian Students Dance In USA

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us
Last Updated: 11th Sep 2014