Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 6:49am |
|
|
What Is The Peak Age Of Mental Maturity?
Aslaomo Alaikum dear members ,mery aik dost ne pochna chah he k insan apni umer k kis hisa main apni zehni pukhtagi ki inteha ko ponchta he. please yahan meture members hi reply dein aap ka bohat shukriya..... masi jiro se mazhrat At what age a man reach to the peak of his mental maturity?
|
sunny007 |
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4214 Age:
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 7:44am |
|
|
raja bhai raja bhai main itna mature to nahi, lekin phir bhi chahoonga k kuch reasonable reply kroon.
kehte hain k teen age se nikal kar 25 saal tak zehen pukhta ho jata hai... wese to mout tak naia naia tajarba saamney aata hai, lekin yahi ek age hai jis main zehen mature ho jata hai...
|
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 9:39am |
|
|
sunny nice sharing..... |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 11:22pm |
|
|
raja taqi bhai salam. ap ke swal ka jwab:
40 sal se 45 sal tak ki umer insaan ko pukhtagi ko pouncha deti hy.
pr ek bat hy k mahiro ka khena hy k agr koi 30 sal me taqtwer na ho to ab wo bhol jay k taqatwer hogaa or agr koi 40 sal ki umer me aqalmand na ho to ab wo bhol jay k zaheen hogaa.
or jab insaan ki umer 40 sal ko pounch jay or wo rahe rasst(srf or srf deene huq.) ko na phechan pay to aise shaks k chere ko shetan chomta hy or kheta hy k aaj se to mera ghulaam hy phr aise ko koi huq bat asr ny krti. |
Azfar-K |
Group: Members Joined: 01st Mar, 2009 Topic: 3 Post: 772 Age:
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 3:00pm |
|
|
re: nice info waseem bahi. |
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 8:18pm |
|
|
waseem bhai aap ne bohat achi sharing ki ....bohat khoob .....thanx |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:30th Jul 2009, 11:17pm |
|
|
THANK AAL OF YOU . |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 3:39am |
|
|
waseem good reply jani |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 5:54am |
|
|
Age Of Maturity
Mere khayal k mutabik maturity ki age koi bhi hosakti hia, Ek 9th class ka bacha bhi mature nazar ata ek college boy se zyada ......ya phir ek 40 sala insaan bhi aesi baatain karjata hai jiske mukaablay main ek 20 sala insaan ki batain zyada behtar maloom hoti hain.......maturity hasil karnay k liyain asal kaam ye hai k apne ird gird se ya duniya main honay walay halaat o wakiyaat se kis tarha sabak seekha jae, aur sabak seekhnay k baad apne apko improve bhi kia jae aur apni ghaltiyo ko dobara na dohraya jae.
misaal k tor pe aurton main laraka saas hi ki misaal lelijiyai , wo bahu se larti hai aur compromise ko tayyar nahi hoti jab k agar wo ye sochay k ab in bachon ka zamana hai mera zamana tou us wakt tha jab main kamsin nazuk e tabah e alhar mutiyaar hoa karti thi likin ab tou burahapay ki janib meri kashti raaftaar e gaamzan hai....tab sab thek hojae .......
Jasoosi Alert: (wese ye waseem naami id ka writing style badalta rehta hai, kuch garbar maloom hoti hai mujhe ;)...... )
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 6:00am |
|
|
hitman wah yarrrrrrrrrrrrrrrrr
tum to barey samjhdar ho gaye ho
main to tumhen bacha samjhta thaaaaaaaa |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4655 Age:
37
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 6:12am |
|
|
hitman arre wah ustaad jee ne kya bat note ki hai...hehehe
waise waseem ka style kis se milta julta lagta hai apko???..
I agree with Hitman.maturity ki koi khas age nahi kahi ja sakti.baz dafa Halaat ek 14 sal ke bache ko itna mature bana dete hain,aur is tarah wo bacha 25 ki age me pohanch kar wo itna mature ho jata hai ke wo ek 60 sal ke mature admi ke sath bhi uski maturity milayi ja sakti. |
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 6:12am |
|
|
Hitman ..ji nice reply...... |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 2:27pm |
|
|
hitman bhai salam Jasoosi Alert: (wese ye waseem naami id ka writing style badalta rehta hai, kuch garbar maloom hoti hai mujhe ;)...... )
G MERE BHAI MUJHE KISI MUDARETOR NE MERE STYLE YANI BEACH ME KR K TYPE KR K TYPE KRNE SE 1,2 BAR ROKA OR WASEEM08 KO KOI ROKE TO BHAI PHR WO KAM NY KRTA WASEEM08.APKO MUJHSE DIRECT POCH LENA CHAHIYE TAH.THANK YOU. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 5:24pm |
|
|
rE: Wa seem ye bari achi khobi hai appki, wese main nay bhi apko roka tha salam ko sirf salaam likhnay se likin app............
ab main soch raha hon k pora salam tou kia nahi gaya tou main wa alaikum assalam kese kahon ?? ab koi kahay salam aur main kahon wa alaikum assalam, ye ajeeb sa combination ban raha hai na ? ......ab mujhe khali wa alaikum kehne ki bhi adat nahi......kuch maza nahi ata na jawab dene ka phir..... kya karain
|
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 5:29pm |
|
|
rE: Zeb: itna arsa guzar gaya hai tumharay saath aur tum mujhe bacha samajhtay ho? ,chalo agar bacha bhi hon tou kya bachay samajhdaar nahi hotay ? kesi batain kartay ho ?.....ab main tumsay shadi nahi kar raha hon tou uska badla is tarha lerahay ho ? thek hai ab main ch babar se bhi tumhari baat nahi karwaoonga.....
Sunehri: bas ji bakol saima arif k mere paas saas bahu ki batain hoti hain :), waseem ka style kaafi jagah different paya jata hai is liyian ye pehchanna mjushkil hai kiska hai, likin khair waseem nay clerify kardia hia ab. likin mods nay meri post kabhi edit nahi ki.
|
Sofia_84 |
Group: Members Joined: 28th Jul, 2009 Topic: 1 Post: 31 Age:
29
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 6:02pm |
|
|
re: Hitman Hey hi,
I just wana say k maturity ka taluk age k bajaye mental growth pe ziada hai. Kuch log age main to baray hotay rehtay hain lekin aqal naam ki nahi hoti. Aur kuch logon k halaat unhain bohat choti age main mature bana detay hain. Jo jitnay dhakay khata hai duniya k, logon ke badaltay roop dekhta hai, utna he zindagi k baray main seekhta hai.
Yehi waja hai k aik aysi girl jo sari life apnay ghar ki char deewari se bahar naih nikali boys ki society ko understand nahi karti, waysay woh age main bhalay he mature ho, but mentally anyone can decieve her.
Jabke a girl with practical exposure, understand how men trap girls and decieve them. Woh bhala bura samjh he jati hai. Same applies to guys. Jo jitnay wise aur elegant logon ki company main rehta hai waysa he suljha huwa ban jata hai. Jo fazool boys ki company main rehta hai unn jaysa he ban jata hai.
Aik kahawaat hai. "Jahan jago wahan saweera" Yani jab insan bhalay buray ki tameez samjh jaye, apna farz apnay maa, baap, husband/wife ki taraf, God ki taraf, society ki taraf samjhay wohi mature he hota. Warna kiya aap aysa insan ko mature bolain gay jo waysay to 40 saal ka ho, magar chand rupees k liye emaan baichta ho? |
waseem08 |
Group: Members Joined: 27th Apr, 2009 Topic: 13 Post: 1304 Age:
31
|
|
Posted on:31st Jul 2009, 6:39pm |
|
|
hit man ap ne roka k srf salaam type na kare k aise salaam ny hota pr mene b apko jwab de dia tah k srf salaam khene ya type krne se ho jata hy pora jwab dehkne k liye dekheye yahan pe.
http://www.forum.noorclinic.com/20/bahas_mubahise_perhaiz_karen_14249.htm
salaam. |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:1st Aug 2009, 6:23am |
|
|
rE: Sofia Appne bilkul sahi farmaya hai. buhut hi barhiya jawab hai.
|
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1949 Age:
47
|
|
Posted on:1st Aug 2009, 6:42am |
|
|
sofia bohat khoob nice sharing....... |
insan |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2009 Topic: 12 Post: 463 Age:
|
|
Posted on:1st Aug 2009, 9:57am |
|
|
maturity hi all,
actually sab sey pehley yeh daikhna parrey ga k app maturity kosey kehtey hain aya kisi kam k barey main soojh boojh ka nam maturity hey ya aya kisi kam theek tarah sey anjam deyney kan maturity hey ya phir kisi mushkal ko hal karna ya uss mushkill sy bach janey ka nam maturity hey...............?
darasal bat yeh hey k jis kisim ki halat ya waqt hooga ussi qism ka faisala karna maturity kelata hey khwa iss bat ka result ult hi kion na nikley for example 1=app baligh hain aour samjdar bi hain liken app berozgar hain ab app apney halat ko madenazar rakhtey hoowey appney muaashi muamlaat chalatey hain jaisy bhi chalatey hain yeh app ki maturity hey iss k liye koi khas umer nahi hooti balkey halaat ko madenazar rakhtey howey apney muamlaat ko agey bharrana maturity kelata hey
|
|