bablishaki |
Group: Members Joined: 01st Mar, 2007 Topic: 11 Post: 12 Age:
37
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 3:30am |
|
|
Meri Baby Thumb (Angootha) Choosti Hai: Mai Kya Karoo?
D.R Sahab salam.....meri baby girl jub 6 month ki thi to wo apna agotha suke(chosne)lagi thi ab mashalla 8 month ki hai.pher b us ki yea adat hai ..mujhe yea pouchna hai k yea adat baby per kiya asar dalti hai..or is ko kis tahra kathm kiya jahe...kun k is se baby k teath bahar a jahte hain or agotha b small ho jata hai.......p|z answer dejahehe ga.thanks.
|
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 4:01am |
|
|
soooo cute i know key app ko sawal ka jawab chyea jawab to nahi hey marey pass wo app ko koi doc hi dey sakta hey magar mujhey anghotha suck karney waley baby bhoot cute lagtey hien soooooo cute |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 4:31am |
|
|
bablishaki dear sis
mera chota bhai jub paida hua tha tub wo bi angoootha suk kerta tha....aur hum ne us ki ye adat bari mushkil se churwai thi....but us ne 1 saal se pehle hi chor diya tha
hum us k thumb per patti band detey they aur kehtey they k oyiiiiiiiiiiiii, baby ko bee ho gae hai, means chot lag gae hai....ab isey nai choosnaaaaa.....to baby react kerta tha....aur pehle to wo patti khol deta tha
phr hum ne kaha k ab agar ap ne suck kiya to maano (cat) aa jaye gi aur wo ap ka thumb cut ker k ley jaye gi.....is se us ne foren chor diya....
bur isi tarhan ap bi different tareekey bar bar azmati raheyn....ye adat itni asani se nai jati....bar bar try kerti raheyn....roz patti banfdayn aur usey samjhayen....bachon ko pyar se samjhana perta hain un ki zuban mein....InshaAllah jaldi ye adat choot jaye gi :-) |
Bewaqoof |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 250 Post: 4279 Age:
38
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 4:32am |
|
|
re: angootha choosne ke nuqsanat angootha choosne wale bachce apne aap ko zehni tor se ghair mahfooz samajhte hai. read: Angootha Choosne Ke Nuqsanat.
also read: Bachcho Ki Nigahdasht
iss sawal ka ziadah behtar jawab pinkey786 de sakti hai, pata nahi woh kio nahi nazar aa rahi hai? |
saim1 |
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 43 Post: 2155 Age:
35
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 4:37am |
|
|
zeb wasey yeah to achi bat hey key app key bhai ney thumb suck karna choor diya mera older brother jab chota tha to uss ko bhi adat thi or mujhey yad hey key meri mom bhi uss ko patti lagati thi or kabhi kabhi to lal mirch laga deti thi lakin wo ja kar appni patti khool deta tha or hath wash kar key phir shoro ho jata tha(LOL)or wo kafi bara ho gaya tha jab tak karta tha phir uss ney khood hi choor diya magar wo marey khyal sey 11 ya 12 sal ka tha jab tak karta tha. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:11th Jun 2008, 5:38am |
|
|
saima han aise hi hota hai
kuch bachay bohat baray ho jatey hain tub bi ye aadat nai jati
meri ek cousin ne ye aadat 15 saal ki umer mein ja k chori thi ;-p |
sweetie |
Group: Members Joined: 13th Jun, 2008 Topic: 11 Post: 509 Age:
32
|
|
Posted on:15th Jun 2008, 8:20pm |
|
|
thumb jis bachay ki ye adat pakki ho jaay us ki bahot mushkil se jati hai, choosni to phainki ya gum ki ja sakti hai laikin angootha to sath laga rehta hai is liay behtar hai jitni jaldi ho sakay churwa dain... meri class main aik larki hoti thi jab main 3 main thi, us ka angutha choos choos kar lamba hogya tha, wo nahi chor sakti thi. pata nahi bad main choota ke nahi.
meray bhanjay ko adat pari, to ham us ke anguthay par karwi cheezain lagatay thay jesay koneen ya pher aelovera jisay kanwargandal kehtay hain ham, us ka pani. wo sotay main munh main dalta tha, karwa honay ki waja se shaklain bnata tha, pher thori dair main karwahat khudi khatam ho jati thi :)))
mushkil se churwana parta hai. |
Tehseen |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2007 Topic: 53 Post: 386 Age:
30
|
|
Posted on:15th Jun 2008, 11:29pm |
|
|
Bhatijiiii mery Bhatiji 1yar ki hogaie hey per abhi taak angotha leyti hey |
BeautyStar |
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3598 Age:
26
|
|
Posted on:16th Jun 2008, 10:02am |
|
|
Very Important Topic... Buhat hi acha question hai... Maiyn bhi iss k Jawab ka muntazir hoon.
Kali Zuban & Pinky7861 hi iss ka behtar jawab dey sakte hain.
|
doctorji |
Group: Experts Joined: 21st Apr, 2008 Topic: 3 Post: 540 Age:
38
|
|
Posted on:17th Jun 2008, 7:30pm |
|
|
koi nuqsan nahi iss adat ka koi nuqsan nahi hota. bache apni choti umar me siraf apni zuban aur muNh se hi apne ird gird ki cheezoN ko explore kar sakte hain, issi liye to jo milta hai direct muNh me daal kar check karte hain. issi liye ke unnki doosri hissiyaat abhi mukammal tayar nahi hui hoti. bachon ko karne deejiye jo karte hain, apne ird gird ki duniya ko unhoN ne step by step hi jan'na hai. jabb doosre tareeqe develope ho jayenge to khud hi chorr denge yeh adat, churrwane ki zaroorat nahi hai.
|
|