sobia777 |
Group: Members Joined: 25th Sep, 2007 Topic: 55 Post: 178 Age:
23
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 8:59am |
|
|
Loose Motion Of Baby: What Should I Do?
new born baby ko age loss motion ho jain ( dast) to in surat-e-haal mai kia karna chahyee ? dr k pas janay k ilawa koi tariqa batayee ga ...
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 2:17pm |
|
|
re: Aam torr per ghar me bachoon ke liay acupressure apply kiya jaata hai jis me children ke palate (taalu) per thumb se pressure apply kertay han.ye constipation, diarrhea aur loss motion ka best cure hai.water plus salt solution dain aur he dirty nappy ke bahd ussay ORS plus zyada se zyada water dain takay dehydration na ho.ager breast feed kerti han tu breast feeds ka number increase kerain.ye common hai aur khud hi khatum ho jaata hai…laikin ager prblm zyada hai tu pediatrician ko call kerain,homeremedies per hi pori tara relay mat kerain. |
My Reply |
Group: Members Joined: 19th Sep, 2010 Topic: 2 Post: 2047 Age:
45
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 3:30pm |
|
|
re: baby motion aap ne yeh nahi bataya keh, aap ke baby ki age kia hai, kab se dast ho raha hai, aik din mai ketne dast hote hai, kia dast ke saath ulti bhi ho rahi hai, dast kis qisim ka hai, bilkul paani jaisa hai ya jhaag numa hai. aap ne yeh bhi nahi bataya keh dast ke baad baby ki kia haalat hai, kahi woh bahut ziadah nidhal tu nahi.
oopar wali tafseel maloom ho tu aap ko proper jawab dia jaa sakta tha. bahar haal agar baby ki age bahut kam hai, aur ose watery (paani jaisa) dast aa raha hai tu foran doctor se consult kerna chahiye. kio ke aise baby ke jism se paani nikal jaata hai, jis se dehyration ka khatra rehta hai.
doctor dekhne ke baad hi bataye ge ke dehydration ketna hai, sirf ORS se masla hal ho jaaye ga ya phir drip bhi lagani ho gi. doctor yeh bhi faisla kare ga ke yeh dast kio ho raha hai, agar yeh dast kisi infection ki wajah se ho raha hai tu phir ose antibiotic bhi dena pare ga.
lehaza mera filhal yahi mashwarah hai keh:
- aap baby ko ORS ka paani pilaye
- aur foran kisi doctor se mashwarah kare.
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:23rd Sep 2008, 6:37pm |
|
|
sobia jab baby ko Dast lage hon, to ziyada se ziyada pani pilayen..aur agar feedar peeta hai to doodh me bhi thoda paani mix kar ke dain.kyoonke bache ke mehde ko bhari cheezain nahi deni chahye.. agar ap feed karati hain to ap use ziyada se ziyada pani pilayen aur jaise ke My replay ne kaha ke fori tor pe Doctor ke pas le jayen,wahi bata sakega ke bacho ko drip lagni chahye ya nahi. |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:24th Sep 2008, 4:11am |
|
|
sobia ap ka baby ho gya kia?
kub hua?
humen bataya hi nahi ap ne
barey afsoso ki bat hai sister k ap ne hum se ye khushi chupai
anyways bohat mubarak ho ap ko |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:24th Sep 2008, 4:35am |
|
|
zeb mera khayal hae unhon ne information k liye question kiya hae warna baby honay k baad woh net pe na hotin:) |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:24th Sep 2008, 4:44am |
|
|
sobia shyad ap sahi keh rhi ho
sobia kub hona hai ap ka baby?
:-) |
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:27th Sep 2008, 3:23am |
|
|
sobia ????????????? |
Dr. Samar |
Group: Experts Joined: 27th Mar, 2009 Topic: 0 Post: 16 Age:
34
|
|
Posted on:29th Mar 2009, 4:16am |
|
|
diarrhea ok it is important to use boil water,avoid bottle feeding, maintain good hygiene.if diarrhea occurs give ors and consult doctor if baby looks ill and stops taking fluids from mouth. |
Sami144 |
Group: Members Joined: 10th Jun, 2008 Topic: 13 Post: 546 Age:
37
|
|
Posted on:29th Mar 2009, 10:00am |
|
|
Sobia Jii yahan baqi sab members ne apne apne Ilm l mutabiq mashwra dya hay. lakan ye sb to ikhtyaten hain. ap karachi se hain aap ko buht ache ache doctor mil jaen ge. mere Bete ko same problem tha main Bahawalpur main Child specialist doctor ko dekhaya hay. ab Allah k fazal se bilkul theek hay. afsos keh main yahan doctor ka phon number nhi likh sakta, Medicin ka nam b nhi likh sakta, mere bete ko to bahawalpur se aram aya tha. aap b kisi Child specialist ko check kraen. ye sab se best ho ga.. kyun ham bache k mamle main risk nhi le sakte. |
|