it is SUNNAT not FARAZ
yeh farz nahi balkay sunnat hai ... issi liyeh baaz areas maiN issat urfay aam maiN "laRkay ki sunnat" bhi kahtya haiN.... afzal to yehi hai k bachpan maiN hi (laRkay k hosh sambhaalnay say qabl hi khatnah karaa lia jaye... ajkal to hospital maiN after birth bhi few days k ander ander khatnah karaa dia jataa hai ... ab non-muslim culture maiN bhi khatnah karayaa jaraha hai, iskay tibbi fawaaid ko dekhtay howay... khud usa maiN after birth, doc parents (non-muslim too) say poochtay haiN k kia woh apnay child ka khatnah karwanaa pasand karengay aur aik report k motabiq 1/3rd say zayad parents khatna karwana pasand kartay haiN... Islam maiN bhi yeh FARZ nahi sunnat hai... jiss tarah kabhi kabhar sunnat namazaiN tark bhi ki jasakti haiN... farz namaaz har haal maiN paRhni hoti hai aur nah paRhaiN ti iski qazaa paRhni hogi... jabkay sunnat namaaz ki koi qazaa nahi........ issi tarah agar kissi nay khatnaa nahi karwayaa aur woh bara hogayaa yaa baRi omar maiN muslim howaa to oskay liyeh laazim nahi k khatnah lazman karwaye... aur agar doc manaa karay to bilkul nah karwaye... meray aik hindu dost nay islam par tanz kartay howay kahaa thaa k ... islam achaa mazhab hai... agar iskay ander daakhil to (islam qabool karo) to bhi kaTwanaa paRta hai (khatnaa karwaanaa) aur islam say baahir niklo (murtid ki sazaa gardan zani /maut ki taraf isharah kartay howay) to bhi kaTwana paRta hai.... islam aik practical mazhab hai... ismaiN koi baat mazaaq nahi... aur mera nahi khayaal k baRi omar k jo hazarouN laakhouN log ahday resaalat maiN islaam laaye thay on sab ka khatnah bhi howaa thaa.... also read:
|