Re: Infertility Causes: What Are The Causes Of Fertility Problems In Men And Women? Beza raizi se murad hai eggs ka nikalna. Her aurat main her mahine ek egg nikalta hai. Do Ovaries hoti hain. Ek mahine ek ovary se nikalta hai our dosre mahine dosre ovary se.
Aurat main banch pan ki teen aham categories hain:
1. Sire so koe wajah mojod hi nahi hoti pher bhi qudrati toor pe aulad nahi hoti 2. Kuch kharabyan hoti hain jin ko elaj ke zarye door kya jasakta hai 3. Kharabyan naqabile Ilaj hoti hain
1.Sire so koe wajah mojod hi nahi hoti pher bhi qudrati toor pe aulad nahi hoti:
Is case main aksar, khawateen ko ye ilm nahi hota ke pregnancy ke leye kim asoolon pe karband rehana chahye. Misal ke toor per, Jesa ke uper bataya gaya hai ke beza raizi main anda overy se nikal ker bacha dani main aata hai. Her aurat main iske aane ka makhsoos waqt hai. Amoman menses shuru hone se 14 din pehle ye anda bahar aata hai. Is ko OVULATION kehte hain. Mubashrat ovulation ke jitna nazdeek hogi aulad hone ke imkanat utne he roshan honge. Ovulation ka sahi waqt maloom kerne ke lye apne jism ka temperature note karen. Ovulation ke dino main ek degree temperature bedh jata hai. Es ke alawa, farj se leisdar ikhraj hota hai. Bazar se ek kit milte hai jo ke ovulation ka waqt maloom kerne ke leye mousar hai.
Pregnancy kele mubashrat ke Ideal position Missionary (husband on the wife) hai. Inzaal ke baad taqreeban 30 minutes tak aurat to use halat main lete rehna chaheye. Mubashrat ek din chod ke ke jaye to behtar hai.
In tamam chezon ke alawa, sab kuch sahi hone ke bawajod, Agar Allah ki marzi nahi to Aulad nahi hosakti.
2. Kuch kharabyan hoti hain jin ko elaj ke zarye door kya jasakta hai:
Kuch cheezain esi hain jin ko durust kya jasakta hai. Jese, Farj ke tezaabyat jis se mard ke sperms mar jate hain, Tubes ka patent na hona, Bachdani ka mun chota hona, hormones ke betartebi, mahwari sailaan ki kami ya ziadti, bacha dani main rasoli jise remove kia jasake waghaira. Lady doctor ke mukamal muaney ke baad he in wajohat ki sahi tashkhees hosakti hai aur elaj mumkin hai.
3. Kharabyan naqabile Ilaj hoti hain:
Overies ka nahona. bachdani ka na hona. Tubes ka mukamal block hojana, Eggs ka na banna waghera
|