Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Maan Ki Azmat

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  27  
Posted on:27th May 2008, 5:52am
 

Maan Ki Azmat

Jab Madina main Islam aam ho chuka tou hamaray Pyaray Nabi HAZRAT MOHAMMAD MUSTAFA (P.B.U.H) ne farmaya:

"Agar meri maa zinda hoti aur main namaaz-e-ishaa main khara hota aur meri maan mujhe hujray say awaaz deti tou Khuda ki kasam main farz namaaz chour kar dourta hoa jataa aur maan kay kadmon main gir jataa" (subhaanAllah)


(Allah talah hum sab ko bhi apni maan k saath aesa hi rawayya rakhnay ki toufeek de jesa hamaray nABI PAK (P.B.U.H) may farmaya)

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  26  
Posted on:27th May 2008, 5:55am
 

Subhaan ALLAH

Hitman bhai.. bohat aala baat ki aap ne.. ALLAh hum sab ko maan se aisi hi mohabbat karnay ki toufeeq de.. ameen.
hamzi Group: Members  Joined: 24th Mar, 2008  Topic: 11  Post: 1072  Age:  26  
Posted on:27th May 2008, 6:10am
 

hitman

bouhat hio alla waqia nikala app nay subhan Allah
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1443  Age:  24  
Posted on:27th May 2008, 6:14am
 

Maan ki Azmat

goood yar HITMAN bia,


Allah talah hum sab ko  apni maan k saath aesa hi rawayya rakhnay ki toufeek de jesa,,,,,(Amin).
BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3599  Age:  25  
Posted on:27th May 2008, 7:21am
 

MashaALLAH.....

JANNAT tou har eak ki zaroorat hai :)
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2298  Age:  35  
Posted on:27th May 2008, 10:06am
 

maa ki azmat...

ALLAh hum sab ko maa baap ki izzat aur ehtaraam karnay ki taufeeq ata farmaye .. ameen.

waisay mainay pehlay kabi is tara ki hadeeth nahi parhi thi aur muje nahi pta tha k maa ka itna rutba hai k beta/beti namaaz bi parhta ho aur maa bulaye to namaaz tor kar unki baat sun-ni chahiye...

nice sharing hitman...

BeautyStar Group: Members  Joined: 16th May, 2007  Topic: 52  Post: 3599  Age:  25  
Posted on:27th May 2008, 10:16am
 

I agree with JOSH

maine bhi ajj tak yahi hadees na suni thee na kahein pardhe thee... Nice Sharing Man :)

Josh-Bahi Uncle Aunty hajj per kab jaa rahey hain......?
~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  27  
Posted on:27th May 2008, 12:41pm
 

dosto

mujhe kisi nay msg kiya tha, mujhe acha laga jabhi appsay share kiya... likin msg bhegnay walay par yakeen hai k wo ghalat nahi bhej sakta......
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2298  Age:  35  
Posted on:27th May 2008, 12:57pm
 

beautystar...

inshaAllah isi saal jaingay...

abi hajj policy nahi aee, suna hai k july k first week mai govt hajj policy announce karaygi, to phir inshaAllah application day daingay...

Veer Group: Members  Joined: 12th Oct, 2011  Topic: 85  Post: 4718  Age:  29  
Posted on:27th May 2008, 1:11pm
 

Subhaan ALLAH

zabardast...main ne bhi yeh kabhi pehle nehin suna ...anyway...Allah humhe sab ko tufeeq de apni maa ki khidmat karne ki
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:28th May 2008, 3:57am
 

hitman

AOA
hm aap ne bohat achi hadith sunai ye sahi hai TARIQ JAMEEL SAHAB apne har bayan mai isse zaroor sunate hain kiya hamen is se maan ki azmat ka andaza nahi hota k maan k qadmon tale jannat hai namazen to hamari pata nahi qabool hoti hain ya nahi lekin maa ki khidmat kabhi raegan nahi jati ya keh len k maa ki dua kabhi rad nahi hoti mai khud bhi maa hoon or ye samajh sakti hoon k maa ki apne bachon ke liye kiya feelings hoti hain

aik baat or kehna chahoongi k agar maa bulae to insaan farz namaz tor kar bhi jawab de aur jab ALLAH PAK bulata hai namaz k liye to hum sab ko sar k bal chal kar jana chahiye
ALLAH ham sab ko achi baaton ki tofeeq de (amin)

zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13612  Age:  31  
Posted on:28th May 2008, 6:19am
 

MAAN

this is the great thread

very nice

i love my MOTHER sooo oooo oooo ooo oooo oooo oooo much

Maan ek aisa rishta hai jo sub rishton se berh ker hai aur ye aisi hasti hai jis ka moqabla koi bi rishta nai ker skta....tabhi to kaha gya hai k maan k kadmon talay jannat haiiiiiii

subhaN Allah




ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:28th May 2008, 7:16am
 

maa

Allah Ke payaray Nabi Hazrat Muhammad (peace be uopn him) ne eik sahabi (R.A) ke jawab main 3 baar farmaya ke khidmat ka pehla haq teri maa ka hae, hum main woh log bohat khushqismat hain jin ki maa zinda hain Allah hum sab ko apni maa ki izzat aor khidmat karne ki tofeeq ataa farmaye.
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13612  Age:  31  
Posted on:28th May 2008, 7:41am
 

babar

subhanAllah...kia hadees sunai hai ap ne....
Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:29th May 2008, 2:38am
 

maan ki azmat

ABBAN BIN MANZAR HAZRAT ANS(RA)SE naqal karte hain ke APP(SA)KE zamane mai aik nojwan ALQAMAtha bara mehnti tha bakasrat sadqa kia karta tha.wo sakht beemar hoa us ki bv ne AAP(SA) ki khidmat mai pegham behja k mera khawand naza k aalam mai hai socha AAP(SA) KO KHABAR DOON.AAP(SA)NE BILLAL ALI AMMARAUR SALMAN(RA) KO farmaya k ALQAMA ki kher khabar maloom karo .ye HAZRAT wahan pohnche aur use KALIMA parhane ki talqeen ki magar zuban na chal saki.ye shakhs qareebulmarg hoa to sahaba ne HAZRAT BILLAL ko AAP (SA) K PAS BEHJA .AAP(SA) ne daryaft farmaya k kiya is ke maa baap zinda hain to arz ki walid wafat paa chuka hai walida hayat hai farmaya use mera pegham do HAZRAT BILLAL Ne jakar pegham diya to assa tekti hoi DARBARE NABUWAT mai hazir hoi salam kiya AAP(SA) ne jawab diya aur poocha ALQAMA KIA amal karta tha kehne lagi wo neki mai bohat acha tha phir AAP(SA) NE POOCHA TERE SAATH us ka rawiya kaisa tha to us ne kaha mai us se naraz hoon AAP(SA) NE hukam diya k lakrian ikathi karo or use jalane ka intezam karo maa ki narazgi ne us ki zuban ko kalima parhane se rok rakha hai maan ne kaha mere saamne mere lakhte jigar ko jalaen ge mai ne use muuaf kiya us k saath hi ALQAMA ki zuban se kalima jari hua or wo wafat paa gayaAAP (SA) ne farmaya jis ki maan us se naraz hogi us ki namaz usse koi faaida nahi pohnchae gi

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  26  
Posted on:29th May 2008, 2:48am
 

Zabardast

بہت اچھی بات بتائی آپ نے مریم باجی۔ ماں دنیا کی سب سے بڑی نعمت ہے۔ اللہ ھم سب کہ اپنی ماں کو خوش رکھنے کی ہمت عطا فرمائے۔ آمیین۔

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  27  
Posted on:30th May 2008, 6:39am
 

rE::::Maryam

Mashallah buhut hi ach baat bataye hai appne.........shukriya
1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us