Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:18th Mar 2008, 1:27am |
|
|
ALLAH ko Mana lo oooo Bhaiooooyo ALLAH ko mana lo
ooo bhai ALLAH KO MANA LO ALLAH SAY DOSTI KAR LO ALLAH SAY PYAR KAR LO
BAKI SAAB BEWAFA HAI ....
BIWI KE 1000 ZAROORATIE poori karo aik na karo to kahiegi kay mayni tumhari ghar mai kuch nahi dekha ...
agar tumhari biwi tumhari 100 baatie man lay agar aik na mayni to husband kahengay kay tum jasi nafarmaan auraat hai he koi nahi
AULAAD KE NAKHRAY SEHTAY REHNGAY to aulaat aba aba kahengay agar thora
sa aullaad ko kasoooo to kahngay tu hai kon ...
oooooo yeh saab bewafa hai "wafa Tum nai Dekho gay her giz kasi mai Zamana wo Aisa ajeeb aa raha hai.. ""
tu dil ko phero phero phero kidhar ALLAH ke taraf jo tumhari dosti ko chahta hai jo tum say mohabbat kar chuka hai yaktarfa yaktarfa jo tum say mutaalba karta hai .. ae banda mujh say pyar kar
mai tujh say pyar karta ho tu bhi mujh say pyar kar mai bhi tujhi chahta ho tu bhi mujhi chah ...
aik hadess mai ayta hai "ALLAH farmyaati hain jo mujh say mohabbat kartay hai tu un ke mohababt humesha ke hai un ka mehboob bhi baki rehta hai .. aur jo mujhi chor ker makhlooq say mohabbat kartay hai to un ke mohabbat bhi mit jayti hai .. un ka mehboob bhi mit jayta hai ...
JAAB ALLAH say mohabbat ho jayti hai ALLAH kay rasool say mohabbat ho jayti hai .tu ... MARNA PATA HAI KASA HO JAYTA Hai ..
marna payta hai ... humie to moot ka tasvuur bhi ho jayi to rang faak ho jayta hai ... aur jiss ko ALLAH aur rasool say ishq ho jayi to us ko moot say koi dar nahi rehta ...
tu bhayooo yeh humari dil ke dunia ujri pari hai mai tumhie kaasay baato .. kamray ka rang kharab ho jayi to log khetay hai ais ka rang thek karo .. paint karo .... sabza zara murjha jayi to khetay hai dosra lagayo ..... phool ke paatiya murjha jayi to khetay hai payni do ........ Ooo dil ke dunia murjha gayi aur dil ke dunia mai veraanay aa gayie
aur bahaar ko guzray howi arsa ho gaya pata he koi nahi kay kab bahar thi
aik zamana tha kay jaab dil ke dunia mard auraat ki ALLAH ke mohabbat say abaaad thi ....
abb to mohabbat dunia ke
ishq dunia ka chaskay dunia kay lazatay dunia kay bahar dunia ke doour dunia kay
ALLAH KE NAZAR MAI gir kay reh gayie .. ooooo banday ayo ayo dil ke dunia abaddd kari
chaman mai taakht par jiss dum shahie gul ka tajmul tha ... hazaroon bulbulay thi baag mai aik shor tha gul tha khuli jaab ankh nargis ke na tha juzz khar kuch baki batata baag baan roo roo yaha guncha yaha gul tha
mai tumhie kia baato jiss mali ka chaman ujar jayi jiss zameedar ke khari kheeti ko aag lag jayi us ko to koi dosra hasta howa acha nahi lagi ga .. aur humari dil ke khaati ko urjaray howi zamana guzar gaya
jitni umer hai 20 saal hai 25 hai 30 hai
andar mai veraniya hai .. andar mai kaha say alfaz layo .. jo ander ke sehayoon ko bata saki mai kheta ho bahir maat dekho .. zayda checha maat dekho dhoka lag jayega .. andar dekhnay ke koshish karo gerbaan kay ander dekho apnay seeynay mai ander jhaank ker dekho koss dil ke ander ke verrnayoon ko dekhnay ke koshish karo
abb to raat bhi nahi aytiiii
right ko bhi lightay jal rahi hai . bedraam mai lighti masjiddo mai lightay .. majid jag mang kar rahi hai mayni aik admi kay bedroom mai aik fanoos dekha 25 lackh ka fanosss latka howa ..
ahayi ahayi .. asie BAHIR KE dunia roshan .. kabhi ander jhank ker dekha hota ... zayda khud ko banyogay sawaroogay ko apnay buryia tumhie nazar nahi ayengi ....
wo kia badnaseeb hai jISS ko aik sajda bhi ALLAH ke raah mai naseeb na howa ho .. ..
ABHI IJAZAT CHAHTA HO ...
BAS TARIQ JAMIL KE CASATE SUN RAHI THI TO SOCHA SHARE KAR DO APP LOGO KAY SAATH ... |
fearless |
Group: Members Joined: 19th Feb, 2008 Topic: 3 Post: 38 Age:
24
|
|
Posted on:18th Mar 2008, 3:13am |
|
|
Good Work Aap ki post bohot, bohot achi hai, Bay-Shaq jo Koi dil main ALLAH TALAH ka Ishq Basa lay wo dunia ki Muhabbat aur Bewafaion se bach jata hai.
Duniya ka har Rishta, har shaks, har Muhabbat, har Ishq ki bewafai ka dar aksar rahta hai magar ALLAH TALAH kabhi Bewafai nahi karta
"Jab koi ALLAH ki taraf 1 qadam barhata hai to ALLAH 10 qadam us ki taraf barhata hai"
ALLAH hamain duniya ki bewafaion se bachaye
Aamin
ALLAH HAFIZ |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
27
|
|
Posted on:18th Mar 2008, 3:22am |
|
|
Sooth.sis apki post thought provoking hoti jarahi hain............good post.............
ab jab is duniya main aye hain tou yahan k rishton ko bhi tou nibhana hi paray ga na..............warna hokook ul ibaad kis khatay main jaye gay...........
|
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 6922 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 3:06am |
|
|
Allah koo Rab Man Loo sister i consider on this post .Bayshak ALLAH Har Cheez Per Qadar ha.Khush Naseeb ha woo loog joo ALLAH KAY HAZOOR SAJDA kertay ha.
Jiss nay ALLAH Koo apna RAB Man liya woo duniya aur AKHRAT may kamyab hoo giya ha.bas yahi fooz of falah ha.
I think u like Tariq Jamil .It is Ok but you also consider other ULLAMAH also.
Thanks
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 4:33am |
|
|
re hv u ever listen Dr.tariq jameel???i'm much inspired from three persons moulana tariq jameel,Dr.zakir naik and Dr.israr ahmad.peace tv per jo baki scholars atay han un ko bhi mein sonti hon beside this mein Quran ki tilawat with translation sonti hon sath me different islamic books study ki han+tafsser of holy quran. |
josh |
Group: Members Joined: 30th Jul, 2007 Topic: 47 Post: 2298 Age:
35
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 5:25am |
|
|
bhenoo tum bi Allah ko mana lo....... very nice post by sooth...
i like whole post but the title & starting of post is wonderful...... |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
38
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 5:55am |
|
|
Sooth Achi baatain likhi hain aap ne, laikin aap ne Hazrat Molana Tariq Jameel ki speech copy ki hae , Tariq Jameel Saib wali baat to samjh aati hae laikin Zakir naik aor israr ahmed main aap ne kya dekha hae ???? Zakir naik ki kai baatain fazool hoti hain. |
goodman |
Group: Members Joined: 11th Oct, 2007 Topic: 59 Post: 6922 Age:
31
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 6:34am |
|
|
Dr Israr Mafassar Quran i listen Tariq Jamil.But i like DR ISRAR Ahmed as MAFASSER QURAN.U do not think that he is my last fav personality.But i like his speaches and school of thoghts but some my opinion also take against with his opinion.Because one stage Dr Israr advice me that u r craze of me.
But at this stage i was learning with him.In the current sanerio his endavours for Islam possitive and torch for Pakistan Nation.
Regarding Dr Zakir Naik i watch on T.V but i do not consider on his speaches.
I also did short course with Dr Israr Academy.Now what is ur suggestion. |
raazdaar |
Group: Members Joined: 18th Nov, 2007 Topic: 38 Post: 369 Age:
23
|
|
Posted on:22nd Mar 2008, 10:08am |
|
|
ALLAH ko manana itna asaan nahin.... SALLAM TO ALL FRIENDS
ALLAH ko manana itna asaan nahin jo kai ham kar rahain hain.Ham nai ghunnah zyada naiki kam kardi hai.Baatain zyada amal kam kar diya hai.Isi waja sai naishat zyada hoti hai lakin asar bohat hi kam hota hai.ALLAH ko khush karna sirf aur sirf us kai kahai hoyee baaton par amal karna hai.Boraiyoon sai bachna hai,Naiki ki taraf jana aur bolana bi hai.Jehad chahai jaisai bi ho karna hai.
Har musalman ko dosrai musalman ko apna bhayee samajna chahiyai.Musalmano main jo dusmani pehlayee us ka saat nahin balkai us kai khilaaf jana chahiyai.Ham sab ko shaitaan kai khilaaf aik hona chahiyai.Itifaaq sai dunya jeeti ja sakti hai.Ham jo zulam apnai bhaiyoon aur behnoon pai kartai hain inai rokna chahiyai.Hamain apnai hatoon sai shaitaan ko khatam karna chahiyai.
Is kai liyai sab sai pehlai hamain apnai nafs kai khilaaf jehad karna hai.Jab hamara jism hamarai kaboo main nahin balkai shaitaan kai kabo main hoo to is tarah ham kuch nahin kar saktai.San sai pehlai apnai app sai aur phir us kai baad apnai rah sai kantoon ko kahatam karna chahiyai.Jab kai do musalman lar rahai ho usai bajayee aur larwanai kai bhayee banana chahiyai.Tab hi hamari aik zuban aik quwat hogi.
Aur sari dunya main ISLAM ka raaaj chalai ga.Har musalmaan ko insaaf milai ga.Har chaotai barain,Ameer ghareeb kai saat aik jaisa salooq kiya jayee ga.ALLAH ham main yai sari khubiyaan layrr.Aur hamarain imaan ko ISLAM kai upar aur bi mazboot kardain.Aur apnai diyai hoyee rastai par chalnai ki tofeeq ata farmayee.AMEEEEEEEEEEEEEEN
NOTE:-sorry if my words hurt anyone.
TAKE CARE
ALLAH HAFIZ |
eagle fly |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2010 Topic: 70 Post: 2100 Age:
|
|
Posted on:14th Apr 2010, 10:00am |
|
|
Sooth Sister Thanks for sharing a nice speech of Maulana Tariq Jameel Sahab. Maulana Tariq Jameel Sahab k biyanaat waqaee bht emaan afrooz hotay hyn.
Saeed Anwer,Inzamam-Ul-Haq,Muhammad Yousuf,Saqlain Mushtaq,Mushtaq Ahmad,Junaid Jamshed ki zindagion main tabdeeli lanay main Maulana Tariq Jameel sahab ka bht bara kirdaar hy. |
|