aabi_ |
Group: Members Joined: 31st Jul, 2007 Topic: 4 Post: 9 Age:
35
|
|
Posted on:27th Feb 2008, 10:33am |
|
|
Miscarriage: How To Reduce The Risk?
main do baar pragnant hoi hon, aur dono baar miscarriage ho gya hain 5-6 week mai..dono baar doctor ne bola hain, ke heart beat nazer nahi aa rahi.. abb main buhat pareshan hon, muje kya karna chahiye?
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:27th Feb 2008, 10:42am |
|
|
reply: Miscarriage
mere sath bhi aisa do bar ho chuka hai,aur maine phir athra ki dawayi khayi thi,jis pe mujhe yaqeen bilkul bhi nahi tha,par sab ke kehne par khani padi,and uske bad mere do Bete bhi hain..
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:28th Feb 2008, 1:02am |
|
|
reply: Miscarriage
Sunehri: ye athra kon si dawai hai...i cant understand...plz explain it... Aabi: dear sister ye sub to Allah k hath mein hai...ap jis Dr se consult ker rhi hain...unhon ne kuch kaha hai is barey mein??? k wo future pregnancy mein kia keryen gi???? ap bus Allah se dua keryen, namaz perheyn, Quran perha keryen, InshaAllah sub thik ho jaye ga
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:28th Feb 2008, 8:14am |
|
|
reply: Miscarriage
Athra ek bemari hai,jo ke ladys ko hoti hai,aur uski kayi kisam hain,..like kisi ke bache zinda paida nahi hote,kisi ke kuch mahine bad hi abort ho jate hain, kuch aurton ko ladki/ladke ka athra hota hai,aisi surat me jab pragnancy ho to agar ladki ka athra ho to wo zaya ho jata hai.aur agar ladka ho to wo pragnancy chalti hai, iske lye ek dawayi milti hai,use khane se sab thik ho jata hai,ye mera apna tujarba hai,baki khuda behtar janta hai ke mujhe dawayi se faida hua,ya allah ki marzi thi.
|
zeb |
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13610 Age:
32
|
|
Posted on:28th Feb 2008, 11:59pm |
|
|
reply: Miscarriage
thanku so much sister.... main samajh gaya.... but ye bari ajeeb bat suni hai main ne....Allah muaaf karey....Allah hamen sub ko in sub gandi bemarion se bachaye aur kisi ki bhi pegnancy mein koi complication khari na ho.....Allah hamen muaaf fermaye...AAMEEN
|
Sidz |
Group: Members Joined: 22nd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 31 Age:
29
|
|
Posted on:22nd Mar 2011, 6:02pm |
|
|
Athra kee bemari mein kiya hota hai Salam,
Mra 1 time miscarriage hua hai.mein abhi tak uss sadmay sai bahir nahi nikli.Allah sai duaein maangtay nahi thakti n still restless hoon..kabhi kabhi buhat depression ho jata hai. Meray husband buhat hopeful hain coz mujhay aisi koi reason nahi nazer aati n dr.s ko bhi. phir bhi dil preshan rehta hai. I want to pregnant again but derrr lagta hai again .
Duaon kee taalib |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 99 Post: 4638 Age:
37
|
|
Posted on:22nd Mar 2011, 8:30pm |
|
|
sidz apka misscarriage hua hai to apko kam se kam 6 month wait karna chahye next pregnancy ke lye...
darr to lagta hai.par Allah ki zaat pe bharosa rakhain .ek bar misscarriage ho jane ka matlab ye nahi ke dusri bar bhi misscariage hoga.
ap depression waghaira mat lain..
|
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:23rd Mar 2011, 5:53am |
|
|
agreed to sunehri ji 3 to 6 mons k gap k baad next pregnany plan karaiN. agar is martba koi be.ehtiyati hui hae to next time khayal karaiN. pabandi se nimaz paRh kar dua karaiN aur surah Mohammad SAWW daily paRhaiN. is se pregnancy meiN koi masla nahi hota. agar Dr ne aap ko after miscarriage medicine suggest ki haiN tou unhaiN regular leti rahaiN. apni diet ka khayal rakhaiN aur pareshan na hoN . some times mental stress ki wajah se bhi pregnancy nahi hoti ya pregnancy meiN is ka bura asar paRta hae. (May Allah Bless U With Shower Of His Blessings )
|
Sidz |
Group: Members Joined: 22nd Mar, 2011 Topic: 1 Post: 31 Age:
29
|
|
Posted on:26th Mar 2011, 3:05am |
|
|
Maryam & Sunehri Allah apko jaza dai
Meri Dr. nai 2 months pregnancy plan na kernay ko kaha hai but we consulted another specialist here in Canada. She said try rite nw coz we have more cases seen k miscarriage k foren baad chances r higher to get pregnant again n dat ll b healthy one. kia keroon kia na keroon ,dil preshan isliay hota hai coz my Mother in law was saying frm day 1st k jo bhi bachaa ho gaa live nahi ho gaa... meray husband ko aisi batain kerti hain.My husband is soo sweet n nice really i dont want k woh aisi baaton mein aa jaein coz maa tau maa hoti hai.I dont wanna lose him:(
Mein bass Allah kee baargaah mein roti hoon k inn sab aafaaat sai mehfooz rakhay n sabko mehfooz rakhay.
Duaon kee taalib |
iqs90pk |
Group: Members Joined: 14th Apr, 2011 Topic: 1 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:14th Apr 2011, 10:01am |
|
|
athra
salam, -- |
iqs90pk |
Group: Members Joined: 14th Apr, 2011 Topic: 1 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 5:38am |
|
|
athra
plz --
|
iqs90pk |
Group: Members Joined: 14th Apr, 2011 Topic: 1 Post: 6 Age:
23
|
|
Posted on:15th Apr 2011, 5:42am |
|
|
athra
sunehri ji aap ne athra ki medicine kahan se li thi?aur iss ka naam kia hai? main england main rehti hon,kia mujhe yahan se mil jayee gi,,, |
|