Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 

Harms Of Committing Sins.

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
 
 
SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  28  
Posted on:14th Jun 2008, 5:27am
 

Harms Of Committing Sins.

Assala moalikom

 

GUNAH KARNA KA NOQSANAT

 

1-Gunah karna sa donya ke ragbat aur Akherat ke wahshat payda hojate hai.

2-Gunah karna sa Dil par aek dhaba lagjata hai jo Tuba karna sa metta hai

warna bharhta he jata hai.

3-Gunah karna sa ALLAH TALA ka Gazab nazil hota hai.

4-Gunah karna sa Rezkh ma kame hojate hai.

5-Gunah karna sa basa-o-qaat taat ka faida zae hojata hai.

6-Gunah karna sa Dil ke mazbote aur Deen ke pokhtage khatam hojate hai.

7-Gunah karna sa Bahayaee ka afaal aur ayse new new Bemareyo ma mubtala

keya jata hai jo pahla logoo ma kabhe nahe the.

8-Zakat na dana sa Baresh ma kame hojate hai.

9-Nahaq Faisla karna sa ALLAH TALA dushman ko musallat kardata hai.

10-Naap tool ma kame karna sa Qahat-o-tange aur Hokkam ka Zulom ma mubtala

keya jata hai.

11-khayanat karna sa Dushman ka Roab daldeya jata hai.

12-Donya sa Muhabat aur Moot sa Nafrat karna par Bozdele payda hote hai aur

Doshman ka Dil sa Roab dor kardeya jata hai.

 

GUNAA-E-KABERA JIS KO HAM GUNAH NAHE SAMAJTA JO BAGER TOUBA KA MAF NAHE HOTA

 

1-Haqarat sa kese par hansna (2) Tana marna (3) Bora laqab sa pokarna (4) Badgomane karna (5) Kese ka Aeb talash karna (6) Kese ke Gebat karna (7) Bela wajah kese ko bora bhala kahna (8) Chogle karna (9) Tohmat lagana (10) Dhoka dana (11) AAr delana (12) Kese ka Noqsan par Khoush hona (13) Takabor karna (14) Fakhar karna (15) Zarorat mand ke bawajood khodrat ka madat na karna (16) Kese ka Maal ka noqsan karna (17) Kese ke abro par Sadma pohnchana (18) Choto par raham na karna (19) Baro ke Ezzat na karna (20) Bhoko aur Nango ke hayseyat ka mowafeh madat na karna (21) Kese sa teen din sa zeyada bolna chordana (22) Kese Jandar ke tasweer bana na (23) Kese ke zameen par morese ka dawa karna (24) Sahat mand hokar Bhek mangna (25) Dharhe Modwana ya aek Musht sa kam par katarwana (26) Kafero aur Faseqo ka lebas pahanna (27) Mardo ko aurto ka lebas pahanna (28) Aurto ko Mardo ka lebas pahnna (29) Bad kare karna (30) Chore karna (31) Dakate dalna (32) Ghote Gawahe dana (33) Yatee ka Maal khana (34) Reshwat Dana (35) Reshwat Lana (36) Maa Baap ke Nafarmane karna (37) Bakhata jan ko khatal karna

(38) Ghote Qasam khana (39) Reshwat ka mamla ma parhna (40) Sharab Peena (41) Jowa Khalna (42) Zulom karna (43) Kese ke koe cheez bager ijazat lana (44) Sood dana (45) Sood ka agrement lekhna (46) Sood par Gawah banna (47) Ghot bolna (48) Amanat ma Khayanat karna (49) Wada Khelafe karna (50) Mard apna Takhna dhakna (51) Bagaer kese Sharae ozor ka Jamat ko chorna (52) Sharae Parda na karna (53) Sharae tareqa sa Maal ko taqseem na karna (54) Dekhawa ka leya koe kam karna (55) Donya kama na kaleya Elem hasel karna

(56) Parose ko Takleef dana (57) Donyawe kese masla par apna Reshta daro sa khata talokh hona (58) ALLAH TALA ka Fareza ko chorna maslan NAMAZ,ROZA,ZAKAT,HAJ Farz hojana ka bawajod na karna (59) Pashab ka chento sa badan aur kapro ke hefazat na karna (60) Dil ma kese sa badla lana ka jazba rakhna (61) Apna ap ko acha samajhna (62) Bokhal karna (63) Hers karna (64) Kese Jandar ko AAG ma jalana (65) Maal ko Gonah ka kharch karna (66) Kam lakar Mazdore na dana kam dana ya late dana (67) Khod Koshe karna (68) Go kam Haram hai bawajod khodrat ka os sa na rokna (69) ALLAH TALA ke Rahmat sa mayous hona.

~~HITMAN~~ Group: Members  Joined: 09th May, 2011  Topic: 122  Post: 4287  Age:  27  
Posted on:14th Jun 2008, 5:51am
 

Post Of The Day

Buhut hi kaam ki batain appne bataye hain, jisko parh kar andaza hota hai k hum/main kitna gunahgaar banda hon....

Ae Allah  hum par apna rehem farmaye....ameen
josh Group: Members  Joined: 30th Jul, 2007  Topic: 47  Post: 2298  Age:  35  
Posted on:14th Jun 2008, 5:53am
 

gunah kabeera.

dear sofi sahab apnay ye sab gunah kabeera kahan say ikathhey kiye hain ?? i mean kisi kadees ka tarjuma likha hai ya kisi aalim-e-deen ki kitab say parha hai ye sab ??

har wakt gunah hi logo ko btatay rehtay ho ya kabi sawab karnay k faeday bi btaey hain kisi ko ??

SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  28  
Posted on:14th Jun 2008, 6:12am
 

Josh bhai

ap ka pahla sawal gunah kabeera kahan say ikathhey kiye hain ?? ya maina apna taleme Zamana ma parha hai apna ostad ka pas aur ya Hadeso ka tarjoma hai.

har wakt gunah hi logo ko btatay rehtay ho ya kabi sawab karnay k faeday bi btaey hain kisi ko ??
bhai mai na pahle dafa ya lekha hai Gonah ka bara ma waysa ap ke baat smai na note ke hai woh bhe lekhonga Inshaallah bohat jald Swadab karnay ka Faida Inshaallah Mashwara ka lyea Shokreya.

Maryam Group: Members  Joined: 17th May, 2008  Topic: 26  Post: 4432  Age:   
Posted on:14th Jun 2008, 6:16am
 

SOFI

JAZAKALLH aap ne boht achi baten share ki ye AHADEESE NABVI( SA) Hain  (beshak).

Seemi Group: Members  Joined: 11th Sep, 2007  Topic: 14  Post: 3829  Age:  26  
Posted on:14th Jun 2008, 6:27am
 

SOOFI Bhai

ALLAH aap ko is ki jaza de. Aap ne bohat achi post ki hai.. Is ki jitni tareef ki jaye kam hai.

ALLAH hum sab ko gunahon se bachnay ki taufeeq atta farmaye (Ameen)

ch Babar Group: Members  Joined: 15th Jul, 2007  Topic: 32  Post: 1869  Age:  38  
Posted on:14th Jun 2008, 2:44pm
 

seemi

aameen

 

Red Chilli Group: Members  Joined: 20th Feb, 2008  Topic: 5  Post: 4968  Age:   
Posted on:14th Jun 2008, 7:46pm
 

Sofi

MASHAALLAH aap ne bohat achi post ki thi thanks

Seemi......Ameeen Ameeen  Ameen

GULREZ Group: Members  Joined: 04th Jun, 2008  Topic: 1  Post: 53  Age:  29  
Posted on:14th Jun 2008, 9:20pm
 

Allah ka karam ho

sofi jee allah ka karam ho ap par or un sab par jo in batu pe amal kare

ap ne 69 tak likha   2 mean batein nahi likhi jin se gunah ziada hota hai

1- kissi se shadi se pehle gunah(SEX) karna

2-or gunah(sex) ke bare sochna

jaise aaj kal har kissi ke demagh m,e hota hai keh yaar larki se dosti karo aur moqa milte h sex kelie razi karo

sab se bara gunah hai

Allah sab se pehle is se bachae

keh larku ki soch har waqt ki sex ke bare sochne or karne se hatt jae

me bi larka hu par me nahi sochta keh kisi ko dost banaya jae sex kelie

or na hi mere dostu ne seekhaya or na hi seekha

thanx all

Aisha Group: Members  Joined: 25th Mar, 2007  Topic: 13  Post: 46  Age:  29  
Posted on:14th Jun 2008, 11:08pm
 

nice

bohot achi batain batye kuch to pata b nahi thi
SOFI Group: Members  Joined: 09th Jun, 2008  Topic: 10  Post: 441  Age:  28  
Posted on:15th Jun 2008, 1:35am
 

Gulrez bhai

Jazakallah ap na 2 aur add kardeya ji sahe kaha ap na ya bhe hona chaheya aur ya bhe Hadesa hai aur ya bhe Gunaha Kabera hai moj ko jo bhe yaad ata gaya mai lekhta gaya ya yaad naeh aee moj ko kher ap na lekh deya kafe hai

Jazakallah
Feamanellah

1
 
 
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us