New
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 67 Post: 241 Age:
35
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 6:49am |
|
|
Ghusal Kay Baad Wazoo Kerna?
mein nain suna hai keh agar app naha lain to wazoo khud bakhud ho jata hai aur app Quran perh saktai hein kia yeh darust hai. yaan phir nahatai hoai wazoo kerna lazmi hai agar QuranEPak perhna hai to.
|
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 6:53am |
|
|
New nihaane se pehle wazuu karna sunnat hai. Hazrat Muhammad SAW jab ghusal karte they to ghusal se pehle wazu kia karte they.. yeh un ki aadat thi. to usi aadat ko follow karte hoie ghusal karne se pehle wazu karne se sawab milta hai.
lekin agar wazu na kia jaie tab bhi ghusal ho jaati hai, aur phir Quran-e-Pak ki tilawat bhi ki jasakti hai aur Namaz bhi parhi ja sakti hai. |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 8:36am |
|
|
new Gusul karna ka sunnat tareeqa maloom karne ke leye kese book ko study karee
gusul kar leya tu wazu automatic ho gaya q k gusul mein baal barabar jaga bhi khushk nahi rehne chahe poore badan per pani beh jana chahe.
wazu ke niyaat na kee tab bhi wazu hogaya agar gusul kar leya tu.
agar kese neher mein dhoob gaye tab bhi wazu gusul ho gaya q k pani app ko har haal mein paak karee ga chahe app niyaat karoo ya na karooo.
niyat kar ke karoo gee tu sawab meele gaa warna sawab se mehroom ho jao geee. |
Komos
|
Group: Members Joined: 15th Jun, 2009 Topic: 3 Post: 95 Age:
43
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 10:02am |
|
|
dear new Dear
sunny007 nay app ko mukamal tareqa bata dia hai jub ghusl karnay jao to ghusal say pehlay mukamal wazoo kar lia karo is say aik sunnat ki takmeel hoti hai or is kay bad app apnay poray jisim per pani baha lia karo is tara app ka wazoo + ghusal dono mukamal ho jain gay or app is wazoo say namaz or quran dono par suktay ho. Yehi tareqa ghusal-e-janabet ka be hai. |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7576 Age:
54
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 11:08pm |
|
|
wadoo is nisf Ghusal 1. leaza Ghusal k baad wadoo ki zaroorat naheeN, as all said in above replies.
2. Ghusal ka masnoon tareeqah yehi hai k ghusal say qabal wadoo bhi kia jaye... lekin wadoo k beghair bhi ghusal hojata hai.
3. Ghusal ki minimum requirement teen haiN 1) naak k ander paani pahonchanaa 2) Ghararah karna 3) pooray badan ko geela karna /pani bahanaa............ pus agar koi pani maiN Dubki lagaa lay / barish k pani maiN pooraa bheeg jaye to woh sirf ghararah /naak main pani Daal kar Ghusal ko mokammal karsakta hai... ossi waqt jab woh pooray ka poora geela hochuka ho...
baqi wadoo /ghusal ka masnoon tareeqah kissi bhi book say dekh laiN |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2200 Age:
35
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 5:07pm |
|
|
gusal may ney above post read nahi ki haien,lakin meri info key mutabiq
pak honey key liya sunnat tareeqey say gusal zarori hey,or uss hi sunnat tareqey say gusal karney may wazoo bhi include hey
or jab sunnat tareeqey say gusal kar liya tu wazoo dobara karney ki zarorat nahi hey or namaz or quran parha ja sakta hey
or agar app phley say hi pak haien or gusal sirif fresh honey key liya kiya hey or sunnat tareeqey say nahi kiya tu phir tu wazoo karna parey ga |
BeautyStar
|
Group: Members Joined: 16th May, 2007 Topic: 52 Post: 3586 Age:
26
|
|
Posted on:30th Jun 2009, 9:26pm |
|
|
Wuzu & Ghusul
Ghusul se pehlay aur Ghusul k baad Wuzu ki koi shart nahi hai, albbat Ghusul se pehlay Wuzu kerna Nabi (SAWW) ki sunnat hai. Technically, Ghusul ma woh sari cheezein aajati hain joo Wuzu ma ki jaati hain, issliye Wuzu ki koi shart nahi hai.. Jaisa k uper Rizvi bahi ne kah hi diya hai Wuzu nifs Ghusul hai. Ghusul k baad wuzu ki sorat sirf usi surat ma pesh aati hai jab ap Ghusul k baad apne Genitals (e.g. Penis, Vagina, etc) ko touch ker lein (jesay k Undergarments pehante waqt) tou phir ap ko lazman wuzu kerna hoga... kyun k Genital ko cho lene se wuzu toot jata hai albatta Ghusul qaim rehta hai. Quran ko Wuzu ker k hi pardhna chahiyah, lekin agar kisi k saath koi majboori hai jaisay k koi Lady Teacher Islamiyaat pardhati hai ya Quran hifz karati ho tou aaisi surat ma uss k liye Periods ma Wuzu kerne ka koi faidah nahi hai, aaisi surat ma bagair wuzu kiye Quran parha jaa sakta hai, aur bhi kaye exceptional cases ma bina wuzu k Quran parha ja sakta hai.
|
New
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 67 Post: 241 Age:
35
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 6:11am |
|
|
confusion si ho gai hai wazoo kernai kai baad ghusal/bath karain gai to soap use karaingai aur genitals ko bhi haath lagai gai aur wazu toot jai ga. to phir wazu pehlai kernai ka kia faida. |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 6:34am |
|
|
New wazoo ka faida yeh hota hai, k aap ne Nabi Pak SAW ki sunnat ko zinda kar dia, jis k lie aap ko sawab milega.
BS paaji aap se pehli martaba suna hai, k genital ko touch karne se wazu toot jaati hai, plz explain with hadith and aayat plz.... |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 6:36am |
|
|
new koi najasat na lagee ho tu q toote gaaa koi reason ???????????????? |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7576 Age:
54
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 12:29pm |
|
|
New ghusal say pahlay ka "wazoo" asal maiN wazoo nahi hotaa balkay yeh ghusal ka "masnoon" tareeqah hai... ghusal say pahlay kia gayaa "wazoo" agar "TooT" bhi jaye to ghusal say "juR" jataa hai :)
aap yeh nah bhoolaiN k wazoo nisf ghusal hai aur ghusal mokammal ghusal... |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 1:47pm |
|
|
myrizvi bhai, aap yeh bataie k genital ko touch karne se waqie wazu toot jaati hai?
main ne pehli dafa yeh suna hai |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2200 Age:
35
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 1:50pm |
|
|
sunny ji asey karney say wazoo toot jata hey |
saim1
|
Group: Members Joined: 23rd May, 2008 Topic: 44 Post: 2200 Age:
35
|
|
Posted on:1st Jul 2009, 1:52pm |
|
|
new app confuse na hon
gusal jo kiya jata hey sunnat treeqy say uss may wazo include hey
or phir uss key baud wazo karney ki zarorat nahi hey |
zeb
|
Group: Members Joined: 18th Aug, 2007 Topic: 114 Post: 13607 Age:
32
|
|
Posted on:2nd Jul 2009, 3:28am |
|
|
yes wuzu is included in ghussal |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7576 Age:
54
|
|
Posted on:3rd Jul 2009, 1:20am |
|
|
sunny / saim yeh aik misconception hai k private pars ko touch karnay say, khud ko yaa kissi aur k private parts ko dekhnay say wazoo TooT jata hai... fiqah ki kissi book maiN wazoo break honay ki yeh wajooh nahi lkhee howi haiN. |
sunny007
|
Group: Members Joined: 22nd Dec, 2007 Topic: 44 Post: 4204 Age:
|
|
Posted on:3rd Jul 2009, 8:06am |
|
|
myrizvi haanji..
esi lie to main confuse ho gaia tha.. aur saim ne es confusion ko aur barha dia... :D
thanks for explaination... |
New
|
Group: Members Joined: 24th Mar, 2008 Topic: 67 Post: 241 Age:
35
|
|
Posted on:10th Jul 2009, 6:00am |
|
|
Step by step acha ab mein step by step likh raha hun agar koi ghalti ho to zaroor batain.
1. kaprai utar ker penis ko soap sai dhoa jai aur phir wazoo kia jai
2. soap sai poorai jism ko saaf kia jai
3. bismillah perh ker haath dhoai jain
4. 3 dafa kurli ki jai aur ghararai.
5. 3 dafa naak mein pani dala jai.
6. pair dho lia jain
7. phir poorai jism per pani baha lia jai aur koi jagha khushk na rahai.
koi ghalti ho to batain |
paroot
|
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Jul 2009, 8:41am |
|
|
new bhai app gusul ess tarha karee jesa app ne lekha hai ya kese aur tarha se karee gusul app ka beshak ho jai gaa app jese bhi karee bas gusul k 3 farz ada hone chahe.
leken sunnat ess tarha ada nahi hogeee. aur app ne bathroom mein bismillah parhne ka kaha yaad rakhe esse jaga kuch nahi parh sakte na he kuch sochna chahe ess maqam per. According to hanafi Gusul ka sunnat tareeqa yeh hai:
(1) bageer zaban helai dil mein paki haseel karne ke neyaat karee (2) dono hath pohoncho tak wash kejea (3) phir istanjee ke jaga ko wash keja agee peche dono jaga agar najasat na ho tab bhi wash kejea q k sunnat yehe hai (4) phir namaz jesa wazu karee (5) phir poore badan per teel ke tarha pani chapar lekea khas kar winter season mein ess dooran pore body per soap lagana chahe tu laga dejea (6) phir 3 times seedhe kandhe par pani pahae phir 3 times ulthe kandhe per (7) phir saar per aur phir tamam badan per (8) phir gusul ke jaga se alag ho kar paoo wash karlee. (9) nahate waqt tamam badan per hath pheerte jai taake baal barabar jaga bhi khushk na reh jaiii (10) nahane mein qibla rukh nahi hona chahe
Gusul k Faraz: (1) tamam badan per pani bahana, (2) kulle aur roza na ho tu garara karna (3) naak mein pani dalna
nakk mein loog ess tarha pani lete hai k naak ke nook per pani laga kar phenk deya nahi naak ke naram haddi tak pani pohonchana farz hai warna gusul ka farz na utree gaaa. wo ess tarha hogaa k pani ko chullo mein lee kar pani ko soonghe ess se pani uper tak pohonch jai gaa dono nathno mein baal barabar jaga bhi khusk na rahe naak mein reent sukh gai hai tu uss ka churana farz hogaa
esse tarha kulle ka matlab yeh k zaban ke karwatoo tamam teeth ke kherkeoo aur poree munn mein ache tarha pani bahee halkee se kulle karne se koi jaga pani na pohoncha tu gusul na utraa aur farz choot gaya...
Book: Namaz k ahkaam |
myrizvi
|
Group: Members Joined: 20th Apr, 2008 Topic: 127 Post: 7576 Age:
54
|
|
Posted on:10th Jul 2009, 10:32pm |
|
|
paroot jazak Allah... well explained
|
|
For Detail Click On Page No: 1 2 >> |
|