Bismillah Hir Rahman Nir Raheem
Salam and thanks for starting this topic which has very common practice especially in Indo-Pak region yet prevails great misconceptions about doing or not doing ?.. Its validity? ....What shariah says about it all?... etc etc. I would like to support your views and add few things.
Daikhye sab se khoobsurat wazeefa Deen-e-Islam kai ehkam ki pabandi hai. aap ka taqwa strong hai. aap panchon waqt namaz parhtey hain. Burayi se bachtey hain aur achai ko support krtai hain. sb kai liye dil mein khuloos rakhtey hain tu bohat ziada chances hain kai aap ki 'dua' Allah Paak sunein gai. Dair-Sawair ho sakti hai qaboliyat mein but aap ki dua suni zarur jati hai.
Ziada se ziada aap two-nafal for Dua-e-Hajat parh lain tab bhe dua ki qaboliyat ho ge. Tahjjud kai waqat ki duaa rad nhe hoti.Barish kai waqat dua zaror qabool ki jaati hai. There are different timings jin mein dua ki qaboliyat kai chances barh jatey hain. Quran-e-Kareem ne different Prophets ki duas btayi hain. unko parhney se bhe dua zarur qabool hoti hai. yaad rakhye dua aqagr qabool na ho tu aakhrat mein uskai badlai hamarai liye bohat ajar rakh diya jata hai.
Ab baat wazaif ki.
1-Aap ki koi hajat hai, aur aap koi wazeefa shuroo kr dain but Deen-e-Islam kai basic ehkamaat ki pabandi nhe. Tu wazeefa krnai ka koi faida nhe. It's a joke with Allah Subhan Ta'la.
2- Ya aap aisai kaam kai liye wazeefa kr rhain hain jo Islam ki Rooh mein mana hai, tab bhe iska koi faida nhe. Balke be careful, kisi ko nuqsan puhnchane se related kisi bhe wazeefa mein aap ki apni life destroy krdi jaey ge. It works inversely if you are misusing it. simple.
Wazeefas aik haqeeqat hain. Baghair ijazat nhe krnai chahyen. agar kisi book ya online aap ko wazaif miltey hain. Blindly Khuda kai liye mat follow karen. Zarur daikhain kai kiya btanai walai ne Ijazat di hai? Aur ye bhe daikhain wo kis buzarg kai refrence se hain? If its authentic then go for it but if not please please please don't mess with your life. aap simple tareekon se namaz kai sath dua mangain.
Wazeefa kisi bhe aisi JAIZ- HAZAT kai liye kiya jata hai jis ka hasool aapki koshishon kai bawjood bhe mushkil nazar aarha ho.
NOTE:
Ziada tar Wazeefas Buzargan-e-Deen ki nisbat se mansoob hain. agar aap un par yaqeen rakhtey hain tab he unka asar bhe daikhain gai. Agr nhe, ya dil mein aap un Awliya Allah kai liye respect nhe rakhtey, tu in wazaif ko krnai ka faida nhe. So don't waste your effort n time. n stay away.
Very Important Note:
Majority of the wazaif ka origin Kashf hai.
Jis tarha ye duniya aik haqeeqat hai. Bilkul isi tarha KASHF ki dunya bhe aik haqeeqat hai. Ab kashf kiya hai? ye kiya silsilay hain. ye har aik k samjh mein aanai wali baat nhe.
jinko interest hai samjhney mein sirf unkai liya aik hint:
Aik Hadith ka mafhoom hai, kai 'App Hzarat Muhammad (PBUH) ne farmaya kai jis ne mujhe khawab mein daikha, us ne mujhey he daikha. kiyun kai shaitan mera roop nhe dhaar sakta.'
KASHF aik aisa silsila hai jis se Allah apnai Khaso-khas bandon ko hidayat daita rehta hai. Aap Sallal-laho-wasallam is duniya se parda farmany k baad bhe, kitne he naik logon kai khwabon mein aatey hain aur hidayat daitay hain. Aap Sallal-laho-wasallam ki Zaat-e-Aqdas par lakhon salm. Croron salam.
(If you dont' believe this part of existing reality, tu aapp apnai maslak ko follow krtai hoey jis tarha chahen dua mangen)