Duties of Wife: Forgive Your Husband\'s Mistakes
Duties of Wife: Forgive Your Husband's Mistakes Her koi ghaltiyan kerta hai un ke illawa jin ke baray me Allah ne bataya ke wo ghaltiyon se pa khan.jab 2 insaan aik doseray se pyar kertay hon,aur aik doseray se cooperate kertay hon,saath mistakes kertay hon tu unhain aik doseray ko maaf kerna aana chahiay.ager wo aik doseray ko maaf nahi kerain gay tu un ki marriage bhi khatum ho sakti hai.2 business partners, 2 neighbours, 2 colleagues, 2 friends, aur specifically,aik husband aur aik wife ko aik doseray ko maaf kerna siekhna chahiay.ager family members aik doserayko maaf nahi kerain gay tu ya tu relations khatum ho jayain gay ya phir life unbearable life ho jaye gi. Dear madam! Aap ke husband mistakes ker saktay han.wo aap ki insult ker saktay han,jhooth bol saktay han,even aap ko hit bhi ker saktay han.aisi ghaltiyaan mard se ho jati han.ager aik mistake ke bahd aap ke husband aap se maafi manghain ya phir aap feel kerain ke wo uss per sharminda han tu un ki mistake ko maaf ker dain aur baat ko aagy barhnay se rook lain.ager wo sharminda hon aur maafi manghna nahi chahtay hon tu aap un ki mistake ko prove mat kerain.otherwise wo bahot guilty feel kerain gay aur aap ki mistakes nikalain gay jis ke natijay me major row ho ga.es liay better ye hai ke aap khamoosh rahain takkay wo apni ghalti ko sumjhain aur sudharnay ki koshish kerain.wo phir aap ko wise aur devoted wife kahain gay jo apnay husband aur family me interested hai. "Allah ke Rasool Mohammad (S.A.W.W) ne fermaya,"buri aurat apnay husband ki ghaltiyoon ko maaf nahi kerti,aur us ski apology ko bhi accept nahi kerti". Kya ye pitiful nahi ho ga ye sacred agreement sirf es liay tott jaye kuin ke wife husband ki ghaltiyoon ko maaf nahi kerti?
Note: Dont start more than 2 topics in a day.
|