Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic | Articles | Forum | Procedure | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrimonial
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
 
    Start New Topic  My Profile
 
Early Marriage: What Are The Instructions In Quran And Hadit?

Religion and Culture   >>  Religious Information
 
hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:2nd Jul 2007, 11:44pm
 
Early Marriage: What Are The Instructions In Quran And Hadit?

Asalam-o-alikum docter sahab

main yeh jana chata hon kay meri umer 27 saal hai aur main shadi karna chahta hon aur kisi burai main nahin parna chata per masla yeh hai kay meri hone wali wife jiskay saat mari mangni ko 3 saal hogaye hain wo abhi hifiz karhahi hai aur mujhe aur 2 saal rukne ko kaha jaraha hai is surat main quran hadees aur sunaat ki roshni main mujhe kia karna chaiye ....app ki nawazish hogi

My age is 27 years and I want to marry in order to avoid any thing wrong. The girl with whom I have been engaged now in Hifz-e- Quran. Therefore I have to wait for two years further. I want to ask that what the instructions in Quran and Hadit are in this regard.

hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:3rd Jul 2007, 9:26am
 
4 Dr,rezwan

AOA. sir app agar mujhe batain gay kay mere masle ka kia haal hona chahiye quraan ki roshni main too apki bari meherbani hogi mujh malum hai app kay pass time ki kami hai per phir bhi app ki nawazish hogi 
honey khan Group: Members  Joined: 14th Mar, 2007  Topic: 0  Post: 14  Age:  29  
Posted on:4th Jul 2007, 5:29am
 
Discus wid Fiance

i think ap apni Mangaiter say bat kerain or un ko samjhany ki koshish kerain k wo apni staudi sahadi k bad bi ker sakti hain han shadi ka bad ager ap unki helpr karain yani un per sahdi ka bad Ghar ki roesposbilty na dalain or Bachy ki birth waghiara to sahid wo sahdi per razamand ho jain un ko samjhain k ap ki umer k lehaz say ap ki sahdi ho jani cahhiye ye insan ki Neatural zarorat ha... 2sal kafi lamba arsa ha

oterwise saber kerainb or kia ???

hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:4th Jul 2007, 6:04am
 
4 honey khan

shukriya app ka jo app nay mujhe kuch jawab dia asal main masla yeh hai kay hamare haan larka aur larki mangni kay baad baat nahin karte main nay khud kabhi apni mangitar say baat nahin kari raha parhai ka us main mujhe koi masla nahin hai shadi kay baad meri taraf say aur mere ghar walon ki taraf say ijazat hogi wese bhi essa hua hai ghar maia bhabhi nay shadi kay baad study complete ki hai MSC .... main yeh janna chahta hon main har lihaz say shadi kay leain qabil hon ghar hai karobar hai haar cheez hai mujhe kia zoor dena chahiye ghar walon per ya is main islam ki koi ijazat hai ya nahin main khud koi step lesakta hon ya nahin sirf yeh jaana hai ...
hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:4th Jul 2007, 6:06am
 
irfanali81 Group: Members  Joined: 24th Jun, 2007  Topic: 9  Post: 43  Age:  30  
Posted on:4th Jul 2007, 8:38pm
 
Irfan

dekhen, yehan larkian b to waite karti hen na apne hone wale husband ki parhaee khatam karne ki ya us ko establish ho k liye... bataen,,,, kia nahin karti??? kia larkion ki desires nahin hoti????.. lekin fir b wo bechaarian khud par control karti hen... then why shouldnt you control your feelings....thora compromise karna seekho...

hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 5:35am
 
4 irfan

bhai mere khayal say 3 saal thore nahin hote aur compromise shayad main nay kia hua hai abhi tak rahi jahan tak pardhne ki baat wo to main nay mana hi nahin kia kay na pardhoo control mere khayal say app shdi shuda hain jo itni ez batain karin us say pata chalta hai abb batain 
honey khan Group: Members  Joined: 14th Mar, 2007  Topic: 0  Post: 14  Age:  29  
Posted on:5th Jul 2007, 7:46am
 
yes u r rit. hootzain

jaisa k ap nay bataya k ap k ap ka karobar ha Ghar ha.... humari socity may ye hi sab cahezain dekhi jati hain... or phir Masahallah ap k Ghar ka mahool aisa ha k Bahowon ko bad may bi study kernay ki ijazat ha... to phir to waqai koi waja nai ha.. ap ki umer bi kafi Meture ho gai ha...or ap ki Mangni  ko bi kafi time ho gaya ha...Humary Mashary may ager Mangniya bot lamby arsy tak rahin to akser ye dekhny may aya ha k wahan masaly sahoro ho jaty hain(wasy ap nay apni Fiance ki age nai batai kia wo to abi bot kam umer nai)

 isalm may bi Mard k leye ye hi sahraiyt hain Yani Marad Baligh ho or Financially apni BV ko sport ker saky or us ki zaroriyat pori ker saky.. to usy sahdi kernay ka Hukam ha... or ap in sab per pory uterty hain... ap ko apny Ghar walon say bat kerni cahiye ye ap ka Haq ha ... or han ap Aaqil-o-Baligh han apni sahdi ka leye khud say bi step utha sakty hain.... ab wo kia ha mujy nai maloom

apny Ghar walon say bat kerain saf saf k ap shadi kerna cahty hain or 2sal intzar nai ker sakty usy ap bad may perha lain gay.

behrhal best of luck 

khan_80 Group: Members  Joined: 09th Mar, 2007  Topic: 8  Post: 2606  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 9:59am
 
re: hootzain

Tell ur parents that u are settled in ur life and now u want to start ur family, ask them to talk to ur fiancee's parents and assure them that u will support her in her studies. I wish they understand ur point.
hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 4:56pm
 
4 honey khan

shukriya app ka app nay sahi mashwara dia mujhe khud hi koi step lena hoga 
hootzain Group: Members  Joined: 02nd Jul, 2007  Topic: 2  Post: 14  Age:  32  
Posted on:5th Jul 2007, 4:59pm
 
4 khan_80

shukriya bhai appka bhi app sahi kehrahe hain mujhe khud hi kuch karna hoga abb ap logon nay mera kaam asaan kardia main yeh sconch raha tha kay kahin main kuch karon aur kisi ka dil na dhukhe ghar wale bhi mujhe bohoot aziz hain per kuch to kehna pare ga app ka shukria bhaiyon aur behnon 
1
 
Erectile Dysfuncion
ED causes
Male Menopause
Male Menopause – Myth About Male Menopause
Health Advice From China
Male Sexual Health Advice From China
Food For Male Libido
Male Libido - Foods to Increase Male Libido Naturally

Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.

© Copyright 2003-2017 www.forum.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact Us