Forum.Noorclinic.com
Noor Clinic Pakistan Forum

 
 
  Welcome : Guest
Login | Register | Rules
Noor Clinic |Forum | Health| Sex | General | Site Map
Men Health | Women Health | Procedure| Pakistani Matrmonial | Videos
 
Books For >> Boys & girls| Men | Women
FAQ For >> Men | Women | Married | Junk , Spam, Irrelevant & Repeated Post
Medical Forum Categories
Medical Discussion
Unmarried Boys Problems
Unmarried Girls Problem
Married Men Problem
Married Women Problem
Religion and Sex
Religion and Culture
Social Problem
General Health
Non Medical Discussion
Food & Recipes
Sports & Games
Politics
Urdu
Career and Success
Articles
Chatting
Suggestions
Women Health
Men Health
Junk and Spam
 
    Start New Topic  My Profile
 

Is Co Education In Pakistan Good or Bad?

Religion and Culture   >>  Cultural Issus and Religion
 
 
 
imran4 Group: Members  Joined: 28th Feb, 2007  Topic: 10  Post: 81  Age:  28  
Posted on:13th Mar 2007, 11:43pm
 

Is Co Education In Pakistan Good or Bad?

Do you think that co education is good in our society. should we have to promote it. Please give your comments whether co education in Pakistan is good or bad?

sarfaraz Group: Members  Joined: 12th Mar, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  31  
Posted on:15th Mar 2007, 2:42am
 

Co Education in Pakistan Is Not Good

May nahi agree karta is baat say agar aisi hi baat hoti to aj tak koi disipline kiyon nahi show kar saka beshumaar qissay hen har institute kay jab kay may khud co education lay chuka hun magar seprate edu karnay wali girls ziyada sharam wali hoti hen kion kay agar co edu ho bhi to us may parday ka concept khatam hojata hai aur co edu amnay samnay baat karnay aur dosri chezon ko confidence ka naam deti hen jab kay un kay dil say lehaz khatam ho chuki hoti hai.... Pakistan mai co education good nahi hai balkeh bad hai.

mariabcn Group: Members  Joined: 19th Mar, 2007  Topic: 1  Post: 20  Age:  25  
Posted on:21st Mar 2007, 9:41pm
 

Co Education In Islam

hello everyone i dont agree because islam doesn't allow it sarfraz aap theek kehte ho ek larki ko kisi ghair mard se baat bhi karne ki ijaazat nahi hai to phir co education ki baat kahan se agayi pakistan main zda tar love marriages co education ka  natija hain even ke aap ki fiance bhi shadi se pehle  aap se phone  per bhi baat nahi kar sacti top larke  larkiyon ka  ikathe parna  kaise theek hai aap logon ne bhi suna  hoga  ke  bohat sare students ki shadiyaan un ke teachers se huyi hain pakistan main aur kabhi teacher kisi larki ke ghar tution ke  jata hai aur understanding ke  bad shadi nahi to kum se kum sex relation to hota  hi hai aur kabhi larka ko apni teacher se pyar ho jata  hai teacher bhi dekhti hai ke  main to 27 ki hoon aur larka 18 ka  kyun na  shadi hojaye chalo aur kuch nahi to agle  25 30 saal to sukoon se guzrian ge  pehle  hi self sex kere ker ge  burra  haal hua  hota  hai mujhe  samajh main nahin ata  ke  humare pakistan main parents  larkiyon ki feelings  ko kyun nahin samajhte aur unhain 30 30 35 saal tak bethaye rakhte hain ke  rishta  mayar ke  mutabik mile  pata nahin maen aisa  kaise hine  deti hain mayen to is umar se guzri hoti hain main to ye janti hoon ke  larki ko 18 saal tak beya dena chahiye hai aksar larkiyan jo 35 saal se zayada der tak ghar bethi rehti hain wo sex interest kho deti hai  woh masturbation ko hi sex samajh leti hain un ke  liye  masturbation hi sex hojata  hai

sarfaraz Group: Members  Joined: 12th Mar, 2007  Topic: 1  Post: 53  Age:  31  
Posted on:22nd Mar 2007, 12:53am
 

Co Education In Pakistan

thx maria and i m agree too with ur coments on co education in pakistan
raazdaar Group: Members  Joined: 18th Nov, 2007  Topic: 38  Post: 369  Age:  24  
Posted on:28th Oct 2008, 3:46am
 

Co education In Islam and Pakistan

SALLAM TO ALL FRIENDS

Mujai Co-Education pasand nahin q kai jab alahida alahida schools hain.Aur phir bi Co-Education ko teeq kaha jayee to shayed yai Gunnah karawnai ka alahida tareeqa hai.Koyee bi yai nahin keh sakta kai Co-Education sai taleem achi hoti hai.Jab kai larko ko koye problem nahin hota alahida schools main aur sab kuch teeq hota hai to larkiyon ka bi alahida schools main parna ghalat nahin.

Yai sirf larka aur larki ko milanai ka aik naya tariqa hai jinai yai loog behtar taleem kai naam sai mashoor kar rahain hain.Jab kai islam main yai bi hai kai aik aurat ko na moharam sai parda karna chahiyai.To Co-Education main to iska sawal hi paida nahin hota.Baipardagi ko pai daish aur pardai ko khatam karnai ka riwaaj hai yai.

ALLAH ham sab kai dilon sai waqip hai aur ALLAH hi sab ko behtar janta hai.ALLAH hamain naiki karnai ki tofeeq dai aur hamain dunya aur akirat main apnai azaab sai bachayee.AMEEEEEEEEEEEEEn

NOTE:-sorry if my words hurt anyone.

TAKE CARE

ALLAH HAFIZ

sharmily Group: Members  Joined: 08th Nov, 2008  Topic: 5  Post: 398  Age:  25  
Posted on:11th Nov 2008, 6:04pm
 

I think co education is Good

i think it is good nothing is wrong if they have god deciplin in co education
zeb Group: Members  Joined: 18th Aug, 2007  Topic: 114  Post: 13610  Age:  32  
Posted on:12th Nov 2008, 4:42am
 

Co Education In Pakistan Is Not Good

im agreed to shermily

lekin silamic point of view se dekha jaye to ek muslim country mein co-eduaction nahi honi chahiye

sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:12th Nov 2008, 4:58am
 

co education

i dont agree with favors of co-education

khwa wo jitna b dalaiel pesh kare lekin ek b misal nahi pesh kar sakte k flan institute main co-education chal raha hai aur un main se kisi b larka ya larki ka illegal affair nahi hai

hai koie jo aisa misal de sake??????????????????????????????

sharmily Group: Members  Joined: 08th Nov, 2008  Topic: 5  Post: 398  Age:  25  
Posted on:12th Nov 2008, 7:01pm
 

lol zeb

mein to aise country mein parti ho jahan kuch bhi legal nahin hai according to islam lol  but it is good, we don,t have much trouble
saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:13th Nov 2008, 4:58am
 

co education in pakistan

agreed to sunny: mein co-education k haq mein bilkul bhi nai hoo hamare country mein jo k aik Islami mulk hai aur is mulk ko iss liye banaya gaya tha ta ke yahan Islaami riwayat k mutabiq zindagi guzaar sake magar aj kal sab ulta ho gaya hai hamare country mein co-education hona hi nai chahiye sunny ne bilkul theek kaha ke koi bhi aisa co- institute nahi hai jahan larke aur larki ka illegal affair na ho 10000% agreed to sunny

welcome

most welcome dear app ne sahi hi kaha mein app k favour mein hoo magar app meri problem bhi solve kar do mein ne unmarried boys mein new topic "serious problem" se likha hai plz dear i m very thanksful to you

saahilbhai Group: Members  Joined: 31st Oct, 2007  Topic: 17  Post: 971  Age:  28  
Posted on:13th Nov 2008, 6:27am
 

welcome

most welcome dear app ne sahi hi kaha mein app k favour mein hoo magar app meri problem bhi solve kar do mein ne unmarried boys mein new topic "serious problem" se likha hai plz dear i m very thanksful to you
khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1443  Age:  25  
Posted on:13th Nov 2008, 12:09pm
 

sunnny

u r right dear,,koi b misal nahi desakta kyun ki ye horaha hai co edu. institutions may,,,may ny suna tha ki ki pakistan may 2007 may 67 (univercities or college girls)ny suicide ki kyun ki un k nude pic or movies lay gaye,,ye sub co.education institution may hi horaha hai or isy terqi ka naam diya jaraha hai,,,
sunny007 Group: Members  Joined: 22nd Dec, 2007  Topic: 44  Post: 4214  Age:   
Posted on:13th Nov 2008, 12:21pm
 

khayali

dear ye taraqi nahi jihalat hai,

kisi ne khoob kaha hai k aaj kal k taaleemi idaree phare likhe jahil paida kar rahe hain, q na jihalat ko khatam karne k lie 10 saal tak in idaron ko band kara dia jaie

 

khayali Group: Members  Joined: 08th May, 2008  Topic: 28  Post: 1443  Age:  25  
Posted on:13th Nov 2008, 12:39pm
 

sunny

yes u r rite,,may nahi manta ki ye taraqi hai,,,ye western culture hai ,,we follow western culture with open and light heart ,,,
Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4334  Age:  38  
Posted on:9th Jan 2010, 3:14pm
 

co education in pakistan

kisi ne bhi reference se nahi bataya keh Pakistan mai co education good hai ya bad

paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:9th Jan 2010, 3:19pm
 

sharmily sister

wah kya baat kahe app ne k main jaante ho k yeh sab haram aur najaiz hai leken phir bhi yeh sab acha hai aur essa hona chahe

jab yeh soch ho 1 muslim ke tu phir kya baqi reh gaya

unn jawan larkiyon se sahi tareef pata chalee ge Co-Education ke jo taleem k naam per behaayee ka muzaheera karte hue obaash nojawanoo ke bheent  char gaye...

Tarqqi ya Behayayee

Tarqqi ya Behayayee mein farq kare badnigaahe aur co education mein parh kar kon sa rocket plane car bana lee hai????????????

Waterr Group: Members  Joined: 15th Jul, 2009  Topic: 59  Post: 3787  Age:  26  
Posted on:9th Jan 2010, 11:26pm
 

Co-Education:

Islamic Republic Of pakistan, Ideally speaking Our country Shouldn't have Co-edu BUT we lack the resources to Have Seperate Universities/institutes for Boys and Girls... WE dont live in an ideal world so we must bubble out of it and face realities.

there are SO many institutes which are Solo (female or male) and have real Bad Repute and I Myself Know Very Well whats Going In there..

example Kinnaird college , lahore college University and Many otherz .. But still there are girlz who graduate out of these college remaining simple and Noble.

as compared to this PAF college And also I Can name some Uni that are Co-edu and Have Excellent Discipline and Enviornment

no Doubt ur envt Does impact u a lot but i Believe If a country Cant Afford Seperate Institutes There Is no Harm In Co-edu After Intermediate cuz by that time mental,social , ethical and physical maturity is well achieved.

ON top of all these what matterz most is ur Upgrooming and Islamic Teachings Engraved Into U..

who make's the enviornment? We people Ourselves, so if we enter a place that has a mediocre level ethics we have full choice to go On positive side or negative, its upto Us to decide what we wish to do.. NO one can enforce u for ur any action.

we must face the existing ground realities and not live in our hypothetical world.. All the world recognized professional Institues are co-edu and going very fine and well like GIK,AKU,K.E.M.C,U.E.T etc.

Is Co-Education Good Or Bad In Pakistan

Our irrational use Of Cable, mobiles And Net Is Doing way More harm To our country than this co-edu thing.

Diplomate Group: Members  Joined: 18th Oct, 2009  Topic: 50  Post: 3245  Age:  36  
Posted on:10th Jan 2010, 4:00am
 

Is Co Education In Pakistan Good or Bad?

who make's the enviornment? We people Ourselves, so if we enter a place that has a mediocre level ethics we have full choice to go On positive side or negative, its upto Us to decide what we wish to do.. NO one can enforce u for ur any action.

agreed with water

jub hun hud hi mahool koo aik ghair islami aur ikhlikyaat sy mutesadam kr dain gy to phir uss mu'ashrey main iss qisam k mu'aamtaat aur ms'ayel sr uthatey rahain gy
agr hamari soch positive hoo to co-education hoo ya koi aur mu'amla hoo ham sy sirf acha amal hi hooga

app daiktehy hain k jub musliman mard aurtain hajj k liye jatey hain to akethey hi hajj anjam daitey hain kisi aurat ya mard k dimagh main uss waqt koi huraafat nhi hooti aik dosrey k barey main ....q..???

q k hum ny uss waqt khud ko aik haas mahool k tabey kiya howa hoota hey aur ussi mahool k tabey rehtey howey hamara zehan buri tarf jata hi nhi bulky youn kehna chahiye k ja sakta hi nhi...kia waja hey waja yehi hey k hum uss waqt khud ko khuda k qareeb samjtey hain ...laiken hajj sy wapsi pr ya hajj sy pehly hum yeh q bhool jatey hain k abb khuda hamain nhi daikh raha ya abb hum khuda k qareeb nhi hain ...issi baat sy garr barr paida hooti hey

agr hum hur waqt yeh samjain k humain khuda daikh raha hey aur hum khuda k qareeb aur khuda hamarey qareeb hey to phir koi masla paida hi nhi hooga ...chahey wo co-education hi q na hoo ...aur chahey co-education pakisatan main hoo ya duniya k kisi k b islami mulak main..khuda to puri kaye'naat main mujood hey na...lehaza co-edu agr aik disciplined environment ma hoo to buri baat nhi hey 



paroot Group: Members  Joined: 23rd Nov, 2008  Topic: 66  Post: 1660  Age:   
Posted on:10th Jan 2010, 4:35am
 

Doplomate

app daiktehy hain k jub musliman mard aurtain hajj k liye jatey hain to akethey hi hajj anjam daitey hain kisi aurat ya mard k dimagh main uss waqt koi huraafat nhi hooti aik dosrey k barey main ....q..???
 
khanee kaba ke tawaf k waqt bhi ALLAH ke bandeyaa apna chera nahi chupa sakte yeh mardoon ke azmaish hai k wo apne nigaah neche rakhe aur yeh hukum Rab ne farmaya hai  aur yeh sirf haj k leye hai esse hum professional life mein nahi convert kar saktee.
 
Chadar or Chaar Deewari

no Doubt ur envt Does impact u a lot but i Believe If a country Cant Afford Seperate Institutes There Is no Harm In Co-edu After Intermediate cuz by that time mental,social , ethical and physical maturity is well achieved.

Aurat ko chadar or chaar dewaare ke taleem uss k Rab ne de hai leken ellm haseel karne se kese ne mana nahi kya shariat k taqazoo ko poora kar k koi ellm sekhe tu mana nahi hai... aur yeh hukum Naas-e-Qatai se sabit hai jes ka koi inkaar nahi kar sakta heerat hai k app belive karte hai k agar koi afford nahi kar sakta tu bejai ess haram kaam ko band karne k ess hukum ko he haram na kaha jai... Inter se phele ya Inter k baad Har balig mard or Aurat ko ess tarha ke parhai karna najaiz aur Haram he rahee gaa.

Bewaqoof Group: Members  Joined: 19th Sep, 2010  Topic: 253  Post: 4334  Age:  38  
Posted on:10th Jan 2010, 6:15am
 

co-education

medical college mai sab kuch parhaya jaata hai. aik doctor (male or female) ko dono ke sex part se related tamam batai parhayee jaati hai.

aisi soorat mai mard aur aurat ka saath perhna zaroori hota hai, warna gyne ward mai akele male student aur male surgical/urology ward mai akele female ka parhna sahi nahi hai. lehaza aise mahol mai co-education zaroori hai.

1 2  >>
 
 
 
Warning :The information presented in this web site is not intended as a substitute for medical care. Please talk with your healthcare provider about any information you get from this web site.
Pakistani Urdu Magazine Pakistani Matrimonial Seo In Urdu World Information Pakistan Information Sehat In Urdu
© Copyright 2003-2017 www.noorclinic.com, All Rights Reserved Contact UsLast Updated: 28th March 2013