Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 12:37pm |
|
|
Yes paroot. Agar usey field k compatible Solo Colleges houn tou First Priority Wohe houna chaheye. PUNJAB UNI ke bohat se department aisey hain jin mai male female k Clases he Alag alag hoti han Ye Optn B good ha agar inst alag nai hosakta wasail ke kami ke waja se tou Clases Total Alag kar dainAND paroot ye b such ha Jinho ne Galat kam karna ha unhoun ne Ghar bhaith k n Solo mai b karna ha, jinho nae nai karna wo Co-edu mai b Apna parda rakh k kar sakte hain. 1) agar females ka sirf face and hand till wrist open ho tou ye islami pardah ha ismey face cover karna zarori nai. Itna parda ho 2) male bhe apna parda karain( nigaha ka necha rakhna) Sitting arrangement aisi ho k alaheda desk for male n alaheda female jo k uni mai haim like front 3rows male n aik row chor k next 6females or vice versa tou koi haraj nai kunke agar humarey mulk k pas ye wasail nai tou kya females taleem he na hasil karain? Nai ye galat ha, females hey future mother hoti han n unke leye taleem bohat impt ha. MAI medical ke baat yahan jan pouch k nai karti kunke ye aik Fact ha chaheye Mirchi lage aik Ordinary person kabhe nai samaj sakta how medi people think.. Kunke inn ka damag mai(medi) aisey thoughts houn tou believe me u cant take a step further.. |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 1:05pm |
|
|
Thread topic. Yahan pe aik thread islamic point of view in co-edu ka b ha i think, iss thread mai tou jo jawab bunta tha with example wohe dya mainey k mahool and logo pe Pakistani co-edu ka kya asar ha bura ya achcha,ab tou topic diversion ha. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 1:46pm |
|
|
Sister Taleem zaroore hai leken es sse kahe zeyada deene taleem bhi zaroore hai aur taleem jo bhi ho uss waqt tak sahi hai jab tak shariat ke kheelaf warzee na hoo
APp ne co-education hassel karne ke kuch nuqte batai hai. kya ess tarha se possible hai k har larka/larkee apne ankho ke hifazat kareenge kalam bilkul nahi hogaa essa kon keh sakta hai??????
ALhamdullellah humaree rehnumai k leye Ulama-e-kiram ke shaksiyaat mojood hai aur wo hamare har qadam per rehnumai karte hai aur co-education per Ulama ess baat per 1 hai k Co-Education najaiz aur haram hai. chahe ess mein koi bhi soorat-e-haal nikal lee jai makhloot taleem dosree asoolo ke bunyaad per jaiz nahi hogeee.
ALLAH hume Ulama-e-kiram k enn faisloo per sabit qadmee ata farmayen |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 2:01pm |
|
|
Co-edu. Paroot yahan tou Pakistan wise baat horai agar ap islamic wise karo tou bohat sey muslims foreign non-muslim countries mai hain ya born he wahan k hain, ab wo kya karain?apke khayal mai unke bachey najaiz n haram parh rahey?kal ko unke kamai is taleem se haram hoge? No Paroot .. Mainey jub b islam online and islam web pe fatwa parha unho ne yehe kaha k co-edu ko iss leye condemn kartey hain k uskey end result Over Azadi ke waja se achey nai, warna alag class room kar k Kar saktiey han..plus paroot humko aurat ke taleem pe tou full islamic mahool yaad aa jata ha par kya hamara nizam islami ha? MEREY irad girad kitni he females hain jo As widow khud apney children ko support kar rahe hain, apni taleem ke kamai sey, kunke unke husband ke death k baad na he In laws koi Jaiz Haqq Dead husband ka unko daitey han na hey Unka maike mai Unkey Bhai/bhabi unko financial support.. N 2nd marriage tou Allah he karwaey hamare Masharey mai ye kehna asan ha bt Aik Ideal islamic rules houn phir mumkin ha k agar co edu ha tou g Chadar n Char dewari... Jub as a whole Islamic Society ho tou He Mumkin ha Current Scinerio mai nahee.. Islam aik mukamal zabtah e hayat ha aur poura n in all aspect of life mai he follow houna chaheye isey leye maine very start mai kaha k Ideally Ye houna chaheye magar Hum Ideal world mai nahe hain. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 2:10pm |
|
|
Co-Edu apke khayal mai unke bachey najaiz n haram parh rahey?kal ko unke kamai is taleem se haram hoge?
mere khayal mein tu kuch nahi main ne apne khayal se kuch nahi kaha main ne tu wo kaha hai jes ke taleem hume Sarkar Sallallaho Alahe Wasallam ne dee hai. unn ke kamai haram nahi hogee chahe wo co-education se parhee haa leken esse makhloot talem ke islam ijazat nahi deeta...
Fatwee har tarha k meel jate hai websites se leken unhee quran aur sunnat ke roshne mein zaroor dekhna chahe...
alag alag class mein agar badnigahee, kalam karna, apaas mein meelna wageera na ho tu yeh co-education mein shumaar nahi hote hai. Co-edu means makhloot taleeme nizam hai...
Umeed hai ess ke bahut wazahat ho chukee hogee. |
paroot |
Group: Members Joined: 23rd Nov, 2008 Topic: 66 Post: 1660 Age:
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 2:14pm |
|
|
ISlame nizam islami nizam 112% tu kahe bhi raijj nahi khud arab mulk mein bhi nahi hai...
agar muslamaan har pheloo per islam ka nazariyaa dekhe tu Inshallah complete islamie riyasar zaroor wo mulk ban jai gaaa.
Kash k esse soch sab k zehno mein pedaa ho jai.... |
Waterr |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2009 Topic: 59 Post: 3787 Age:
26
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 2:18pm |
|
|
Arab countries and co-edu. G han Saudia arabia and dubai mai b co-edu schoolz hain, hadtakey American schoolz b hain .. "agar muslamaan har pheloo per islam ka nazariyaa dekhe tu Inshallah complete islamie riyasar zaroor wo mulk ban jai gaaa." agree paroot, phir kisi matalqah ya bewa ko khud ko ya apne bacho ko apni kamai sey support b nai karna parey ga... Aur probably Solo institutes b hounge har field key. |
Diplomate |
Group: Members Joined: 18th Oct, 2009 Topic: 50 Post: 3240 Age:
36
|
|
Posted on:10th Jan 2010, 2:21pm |
|
|
asal main baat yeh hey k hamarey mu'ashrey main co-edu buri nhi oni chahiye aur na hi hey bulky co-edu k liye hamara mahool theek nhi hy wo bura hy
aur ye do alag alag cheezain hain yani co-edu aur pakistan main co-edu.. hhum jub inn doo batoon ko apis main gudd mudd krain gy to wahan sy cofiussion paida hoo jaye gi humain co-edu ko codemn nhi krna chahiye bulky iss mahool ko condemn krna chahiye k jis k tanazar main humain co-edu buri lagti hey
misal k toor pr...aik t.v main ghalt prograam b atey hain aur achey aur maloomati prograam b...to abb kia ghalt programs ki waja sy hum apna t.v hi toorr dain...nhi humain khud pr kaboo rakh kr ghalt prograam daikhna band krna hoon gy..t.v nhi toorrna ho ga
bilkul issi trah humain co-edu ko condemn nhi krna hooga bulky iss mahool ko condemn krna chahiye... |
Stalker |
Group: Members Joined: 21st Dec, 2009 Topic: 14 Post: 356 Age:
33
|
|
Posted on:13th Jan 2010, 8:13am |
|
|
Co Education aur Islaam.. Islam hamein ye dars nahi deta k Co Education na rakhi jaye balke islam hamein ye dars deta hai k apne nafs par qabu rakha jaye , Agar co education mein khawateen o hazraat ikathey hotey hein tou Hajj aik aisa amal hai jis mein tamam khawateen o hazraat aik sath hotey hein aik wasee ijtemaa ki soorat mein , jabke wahan kisi ko itni khabar nahi hoti k mere left pe kon hai aur right pe koun kyoon k wahan zehen bilkul saaf hota hai , Hajj iss bat par dalalat karta hai k aurat aur mard ka aik jagha pe ikathey hona ghalat nahi belke ghalat insan ki soch hoti hai ...Agar ham hajj se hee Dars lein tou co edu mein rehte huve b apne aap ko bacha sakte hein...
Dusi ehem bat ye hai jese diplomate ne explain kia k co edu ghalat nahi pakistan mein co edu ghalat hai , yahan ka mahol theek nahi hai ....Aur mahol ko kharab karne mein bara kirdaar khawateen ka hai , Agar khawateen mukammal parda karein tou kisi mard ki jurrat nahi k uss par aankh utha k dekhe... |
shoiii |
Group: Members Joined: 13th Feb, 2012 Topic: 0 Post: 2 Age:
24
|
|
Posted on:13th Feb 2012, 2:45pm |
|
|
co education is neither good nor bad. Allah ki banai koi bhi cheez buri nahi hoti jab tak is ka istaimal sahih kya jaye co education ke buhat se benefits bhi hain aur demerits bhi. agar har cheez ki koi limit rakhi jaye to behtari aa skti hai agar larkiyan hijab pehan kar co education me jaein to buhat acha hai asal kaam maa baap ka hai ke woh apnay bachon ko samjhain un ki achi tarbiat karien unhen sach aur jhoot ki tameez bataien. agar phir bhi bachay ghalat rastay par chalien to ye unka zaati fail ha aur allah ki marzi. co education se woh larke larkiyan jin ki jald shadi na hoske aik doosray ko pasand karnay ka moqa mil jata hai jis se unki shadi ho jati ha to ye koi ghalat baat hai kya?
|
hiraa |
Group: Members Joined: 28th Jan, 2012 Topic: 2 Post: 34 Age:
27
|
|
Posted on:13th Feb 2012, 4:45pm |
|
|
co-education i know one thing ..........agr insan ki terbiyat achi ki gia ho to insan khud ko control kt leta ha mahol us ka kuch nahi bigar sakta lakin agr tarbiyat mai kuch kami reh jai to zara sa rasta milny ki dare ha bat khud hi intiha tak pohanch jati ha ..............mai khud bhi co-education mai rahi hun abhi tak hun .........mera nahi khyal ky kuch khas farq perta ha ..........agr insan khud ko mazboot rakhy to kuch bhi bura asar nahi perta ..........yah concept ghalt ha ky co-education her haal mia burai ki traf lay jata ha ...........jinhon ny jana hota ha wo seprate reh ky bhi apna haal kharab kar lety hen aur jin ko bachna aata ho wo co- mai bach jaty hen .............. |
|