Chewing Gum May Raise Math Grades! U.S ma aik study ke bahd researchers ke motabik chewing gum teenagers academic performance ko increase kerta hai.
Bohat se U.S schools ne chewing gum pe ban laga diya kuin ke aksar children sticky chaw ko tables ya chairs ke neechay dispose kartay thay.
Laikin aik Craig Johnston ki aik team ne Baylor College of Medicine Houston ne ye found kiya ke wo student jo math clas ke doraan gum chew kartay han un ke 14 weeks ke bahd ke standardization math test ma aur un ke term ke end ma better grades thay,un ke moqabilay ma jo students gum nahi chew kartay thay.es study ko chewing gum maker Wrigley ne fund kiya tha.
Gil Leveille, (Wrigley Science Institute ka executive director, jo ke Wm Wrigley Jr Co ka research arm hai, aura b Mars Inc ka aik hisa hai) ne kaha:
"hum first time es qabil huay thay ke hum ye show kar saktay ke wo students jo gum chew kartay han better perform kar saktay han".
Leveille ne kaha Wrigley ne uss ke bohat saray customers se ye feedback liya ke chewing gum un ko focus rahnay ma help karti hai.
Tu,4 saal pelhay company ne science institute start kiya ye dekhnay ke liay ke in claims ma kitni saachayi hai.
reasearchers ne Baylor ma 4 math classes ko study kiya ya 108 students jin ki age 13 se 16 saal thi Houston, texas aur charter school jo ke low-income Hispanic students ke liay serve kertay han.
Taqreeban half students ko class,homework aur tests ke doraan free Wrigley's sugar-free gum di gayi.jab wo apni math ski class ma thay tu unhon ne gum ki aik stick 86% time chew ki aur 36% times jab homework kertay thay.
Aur baki half ko koi gum nahi di gayi.
14 weeks ke bahd gum chewers ka 3 percent texas ma maths score increase hua. Johnston aur colleagues jinhon ne apni findings American society for nutrition scientific ki aik meeting jo ke new orlleans ma present kien aur un ke according, knowledge assessment test aur skills achievement tests ma,aik small laikin statistically significant change tha.
Un ko aik aik math test jis ko Woodcock Johnson III Tests of Achievement kahtay han us ke math test score ma koi difference nahi mila jo ke 2 different groups se liya gaya.tahum,gum chewers ne better final grades hasil kiay un peers ke moqabilay ma jo ke gum chew nahi kartay thay.
Aik aur Wrigley-funded study se ye pata chala ke wo college students jin ko computer lab ma difficult computer tasks di gayien un ka stress hormone cortisol ka level low tha jab wo gum chew kar rahay thay laikin doseri teruf same xperiment ma un ka stress hormone ka level high tha jo gum chew nahi kar rahay thay.
Leveille ke according chewing gum stress ko reduce kernay ma help kerta hai aur students best work kertay han.jab ke wo es se aware hai ke bohat se schools ka gum chewers ke baray ma dim view hai aur wo hpe kertay han ke ye findings es thinking ko kuch hud tak change kerain gi.
Leveille ne bola ke ye chewing ka matter nahi hai balkay disposal ka hai,jo ke kam kiya ja sakta hai proper disposal technique siekha kar.
Aur agar aisa hi hota raha tu hum janitors ko scrapers provide kar dain gay. |