Re : khoobsurat and Ashy Assalam o Alikum
maan aur baccha health wise normal hain tu during feeding ROZA rakhnay se kuch nahi hoga
wese feed karane wali mothers k liye Allah Tala kee taraf se REYAYAT (ijazat )hai k ager wo taqat na rakhti hoon tu Rozay Qaza ker lein ya gap de ker Rozay rakh lein aur phir baad main(jab feed karana band karain yani jab baccha 2 years ka hojaye ) tu Qaza kiye gaye Rozay (jitnay rozay chouray hain) ZAROR RAKHAIN
main apna tajurba bata rahi hoon main ne 2no pregnancies main MashaAllah poore poore rozay rakhai hain (doctor se bhi ehtiyatan pooch bhi lia thaa) aur mayri tabiyate Rozay main itni set rehti thee jitni normal halat main nahi rehti hogi
aur yahi feed karate hoye bhi raha Allah ka shukar hay kuch bhi weeknee ya kuch aur problem nahi hoi
|