Sonal |
Group: Members Joined: 28th Apr, 2009 Topic: 14 Post: 188 Age:
23
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 11:30pm |
|
|
Bait Baazi Rules of Bait Bazi: 1. Shair should be genuine and not your own.
2. Dont break the chain and always follow the last letter of the last posted shair.
3. Always mention the last urdu alphabet of your shair.
4. If you know the name of the poet, mention that (for other's knowledge sake).
5. Do not write out the whole ghazal/nazam; only two shairs (i.e. Ruba`i, qit`a) at max will be allowed.
6. Avoid posting film songs.
So let's start
Haya nahin hai ab zamanay ki ankh main baqi Khuda karay jawani tari rahy bay dagh.
Next "H" |
sharmily |
Group: Members Joined: 08th Nov, 2008 Topic: 5 Post: 398 Age:
24
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 3:10pm |
|
|
OK HERE IT IS Har nazar ko ek nigah ka haq hai. Har rooh ko ek aah ka haq hai. Hum bhi dil lekar aaye hain is duniya mein. Hame bhi ek gunah ka haq hai.
Next (I)
|
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
23
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 3:52pm |
|
|
Re. (Bait Baazi) Ishq Karne Ke Bhi Adaab Hua Karte Hain, Jaagti Ankhon Ke Bhi Khawaab Hua Karte Hain,
Har Koi Roo Ke Dikhaye Yeh Zaroori Toh Nahi,
Khushk Aankhon Mein Bhi Silaab Hua Karte Hain.
Next [ N ]
|
Azfar-K |
Group: Members Joined: 01st Mar, 2009 Topic: 3 Post: 772 Age:
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 5:56pm |
|
|
rE:'N' "Na jane Kab Maut ka Pegham aa jaye..
Zindagi ki akhri shaam aajaye..
Main to dhondta hun wo lamha ke
Honton per tumhara naam aa jaye.."
Next [E] :D |
sharmily |
Group: Members Joined: 08th Nov, 2008 Topic: 5 Post: 398 Age:
24
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 6:14pm |
|
|
OK HERE IT IS Es Dil ka kaha mano ek ehsan kardo ek benaam si muhabat mere naam krdo mere zaat pe fakat itna ehsaan krdo ek subah ko milo or sham krdo
next (O) |
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:30th Apr 2009, 6:28pm |
|
|
O... Oh Bewaffa a sun zara meri Rooh pe jo guzri Qayamatain
mera dil to dukha bohat par labb pe ab bhi gillah nahi,
tera bass na tha to kyoon mujhe naye mausam ki naveed di
tu mujhe pehsgi me jo de gaya wo phool ab tak khilla nahi..
" I " |
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
23
|
|
Posted on:1st May 2009, 7:10am |
|
|
Re. (Bait Baazi) Iss Jahan Mein Mohabbat Kaash Na Hoti, Toh Safar-E-Zindagi Mein Mithaas Na Hoti,
Agar Milti Bewafa Ko Sazaaye Maut,
Toh Deewano Ki Kabre Yun Udhas Na Hoti, Next [ I ]
|
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
28
|
|
Posted on:1st May 2009, 11:29pm |
|
|
alif aao ik sajda krain aalam-e-madhoshi main
log kehtay h k sagar ko khuda yaad nahi......................
shair urdu k h mgr sb log last alphabet english ka likh rhe h.....???????????
nahi k end pe I nahi noon aye ga ................... kro k end pe O nahi wao aye ga..............
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:1st May 2009, 5:16pm |
|
|
maahi sonal ne hi rules rakhe hain...i think is tarah ziyada easy bhi hai.
A..
aaj ki Rat bhi guzri hai meri kal ki tarah
Hath aye na seetare tere Aanchal ki tarah
next H.. |
Azfar-K |
Group: Members Joined: 01st Mar, 2009 Topic: 3 Post: 772 Age:
|
|
Posted on:2nd May 2009, 9:10am |
|
|
Mahiii mahi ye sab roman english main shair hain to ye pointless hai k urdu alphabets main lihein yah stary karein.
"H"
Hota hai jab pyar to
Bharosa aa hi jata hai
Shaq is muhabbat ko to
Bilkul kha hi jata hai
Laakh bachne ki koshish karo
Lekin iss bharri duniya main
Koi bhaa hi jaata hai
Next [i] :P
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:2nd May 2009, 11:27pm |
|
|
now i iss qadar zarf to rakhte hain dunya wale zindagi cheen ke jeene ki dua daite hain
N |
its-pk |
Group: Members Joined: 13th May, 2008 Topic: 18 Post: 181 Age:
23
|
|
Posted on:2nd May 2009, 3:52pm |
|
|
Re. (Bait Baazi) Na thi jisko mere pyaar ki kadar, Itefaq se ussi ko chah rahe they hum, Usi diye ne jalaya mere hathon ko, Jisko hawa se bacha rahe they hum.
Next >>>... M ...<<<
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:2nd May 2009, 6:11pm |
|
|
M... Mujh Se Itnw Qareeb Ho Jaao Udaas Shab ki Saleeb HO jaao
Meri Bahon Ko Son'p Do Sub Kuch Meri Khatir Ghreeb Ho jaao
O |
abbasi786 |
Group: Members Joined: 24th Dec, 2008 Topic: 0 Post: 16 Age:
26
|
|
Posted on:2nd May 2009, 7:35pm |
|
|
BOHAT KHUBSOORAT VERY GOOD |
s4u |
Group: Members Joined: 18th Mar, 2011 Topic: 94 Post: 5312 Age:
|
|
Posted on:3rd May 2009, 12:34pm |
|
|
O yani "Wow" wo mere bad rote hain ab on se koi kia pochey ke pehle kis lie naraz th ab mehrbaan kiu ho?
"O"
|
Raja Taqi |
Group: Members Joined: 17th Sep, 2010 Topic: 29 Post: 1908 Age:
46
|
|
Posted on:3rd May 2009, 1:12pm |
|
|
TASHREEH wo aap k bad iss liye roty hein k unnein bhook lugi hoti he aur unnein roti dainy wala koi nahi hota,
2-No misra mein baat kuch yoon he k jub aap unnein barwaqat dawaee nahi pilati thein to wo naraz rehty thay aur jub aap unnein barwaqat medicin de daiti ho to wo mehrban ho jaty hein... |
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
28
|
|
Posted on:4th May 2009, 9:03am |
|
|
wao wo keh rha tha muj se ye agaz-e-safar main kahan ki khushi kr rha hun safar jabar main qadam mila k sath tere chal to diya hun hain rastay kuch or mgr meri nazar main............
Next.............................N
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:4th May 2009, 9:08am |
|
|
N.. Na tha koch to khuda tha, koch na hota to khuda hota Daboya mujh ko honey ney, na hota main, to kiya hota
A |
maahhii |
Group: Members Joined: 12th Apr, 2009 Topic: 6 Post: 1441 Age:
28
|
|
Posted on:4th May 2009, 9:22am |
|
|
a... ab k ham bichray to shayad kbi khwabon main milain jis trha sookhay huay phool kitabon main milain.........
N
|
sunehri76 |
Group: Members Joined: 04th Aug, 2007 Topic: 95 Post: 4571 Age:
36
|
|
Posted on:4th May 2009, 6:44pm |
|
|
N... Nakamiyon ne itna sarkash bana diya
itne hue zaleel ke khuddar ho gaye..
E
|
|