WellKnown Dekhein mein madrasson k khilaf nahi hon aur mein yeh bhi nahi janta k aakhir Govt. kiun register kerna chah rahi hai... Mein yeh kehna chah raha hoon k duniyawi taleem ho ya deeni uss ka standard hona chahiye...aap her street mein aik english model school dekhtay hon ge...jitnay school buntay ja rahay hain hamara taleemi mayyar utna hi girta ja raha hai kiun k standard hi nahi raha... Issi terha deeni taleem ko dekh lein k kitnay madrassah hain lakin mayyar phir bhi nahi hai... balkeh hamaray haan to aik mohawira hai NEEM MULLA KHATRA E EMAAN... Ab yeh sirf pakistan ka masla bhi nahi hai agar hum education standard poori islami duniya ka hi dekh lein to aaj kitni islamic countries hain jin ka duniyawi taleem ka mayyar international standard ka hai ya unhon ne doctors,scientist paida kiye ?? Pakistan aisa mulk tha jis ki manufacturing industry achi thi lakin hum ne khud hi bera-ghark ker diya...iss k ilawa meray khayal se 2 hi countries hain jo apnay mulk meink uch manufacturing kertay hain aur woh Iran & Turkey hain... Arab countries ka agar aaj oil khatam ho jaye to woh kiya karein ge ?? Jahan doctors,nurses tak import hoti hon uss mulk ka kiya haal ho ga ?? Jahan cycle tak manufacture nahi hoti woh international standard kaisay hasil ker saktay hain... Agar achi taleem ho gi to shaor aaye ga musalmanon mein aur phir shayed hum zionist ghulami se azad bhi ho jaein... |