Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:31st May 2008, 2:39pm |
|
|
Solution of conflicts b/w mother-in-law and daughter-in-law.
Solution of conflicts b/w mother-in-law and daughter-in-law. Saas bahu k jhagroon ka hul. Ager saas aur bahu me jhagra ho jaye tu soch sumajh ker qadum uthanna chahiay kuin k ye matter humesha sensitive hoota hai.mother k bhi rights hen aur wife k bhi es liay kisi ki haq talfi na ho jaye.aam torr per saas bahu k jhagroon ki base authority desire hooti hai.saas kahti hai sirf mera aur mera order chalay aur bahu kahti hai meri bhi importance ko bhi realize kiya jaye.kuch ghaltiyaan na tajerbakari ki waja se bhi hoo jaati hen.saas bahu ki es war me her rooz lerayi ka ye silsalaa jaari rahta hai aur betay ki position nazook ho jaati hai kabhi mother uss ko threaten kerti hai aur kahti hai wife ko tum ne sir per charha rukha hai aur kabhi wife rooti ha k tumhari mother ne mera jinna dobher ker rukhaa hai.es tara aadmi confuse ho jaata hai k kis ka saath doon ager patience se qaam lay aur impartial ho jaye tu lerayi her din k saath aur bhi zayada ho jaati hai. Mother ko kuch kahay tu mother ki bunddua milti hai aur ager wife ko kuch kahay tu wo narazz ho jaati hai aur jawaani me bivi ki naraazgi berdasht nahi hoti.sach pochiay tu aap ki aqal,daanish maandi aur fermaberdari ka yahaan hi imtayhaan hai.aur ager aap aisay sensitive situation se guzer gaye aur aap ne doono ko khush rukhaa tu sumjhain aap kaamyaab hoon gay. Remember!jannat mother k qadmoo k nichay hai aur uss ki fermaberdari aur khidmat k binna jannat me aap nahi ja saktay aur wife k rights bhi aap per hen uss ki bhi haqtalfi na hoonay paye.bus dono ko politely,love se,ikhlaaq aur arguments se aur sumjhaanay se convince kerain.es tara inshallah maamlaa sahi ho jaye ga. Aisay jhagroon k hul k liay "give and take" wala rule sahi qaam dekhaata hai.mother ko sumjhayain k wo aap ki beti hai aur betiyoon se ghaltiyan hooti hen aap uss ki ghaltiyoon ko ignore ker k uss ko politely sumjhayain,es ki guidance aap jaisi bazurgh ka hi qaam hai.aur wife ko sumjhayain k uss ki saas uss ki mother ka derjaa rukhti hai uss ki khidmat aur fermaberdari kernna uss ka farz hai aur wo bari hen baroon ki respect kernna aur un ka order manna aur un ko khush rukhnay me tumhari deen,dunia aur akhrat ki kammyaabi hai.es liay zidd,hutdhermi aur nafermaani se qaam lainay ki zuroorat nahi.es tara khush dilli aur patience se qaam lay ker aap es jhagray ko suljhaa saktay hen aur inshallah ALLAH aap ki poori tara madaad keray ga.
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:31st May 2008, 6:52pm |
|
|
members es ko bhi read kerain aur discuss kerain bcoz saas bahu ki lerayiyaan humari society me aik bahot bara issue hai. |
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:31st May 2008, 10:13pm |
|
|
Sooth main ne read kar liya hae:) |
Maryam |
Group: Members Joined: 17th May, 2008 Topic: 26 Post: 4432 Age:
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 9:40am |
|
|
sooth meri to saas hi nahi hain albatta agar saas ban ne tak mai zinda hoi to is ko dobara read karon gi waise aap ki study kafi vast hai &mind kafi broad |
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 10:56am |
|
|
acha maryam baji ab bhi ager read keraa hai tu future me qaam aye ga.....saaas bahu ki lerayi bhi hooti hai aur naand aur bhabhi ki bhi...ye humari society hai...but khuda hum lerkiyoon ko aisay jhagroon se dourr hi rukhay(aamin) |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 11:34pm |
|
|
Sooth
appka topic acha hai, magar afsoos ye pehle main bhi discuss hochuka hai, likin koi baat nahi ab new members ko moka milna chahiyai isko discuss karne ka.......
The unsolved issue of saas bahu:
http://www.forum.noorclinic.com/thread.php?topic=5707
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 4:47pm |
|
|
Hitman uncle ye issue pelhay discuss hua tha but unsolved hi raha tha… Mainey ye topic es liay start keraa tha k shahid kisi saas,bahu ya betay me es ko read kernay se koi positive change aye ya phir yahaan k unmarried members ko future me ye topic help ker sakay.waisay main sumajhti hoon es issue ko solve kernnay me betay ka bahot important role hai aur saath me ager saray family members ko proper Islamic education milay tu ye problem kafi hud tak solve hoo sakti hai... |
~~HITMAN~~ |
Group: Members Joined: 09th May, 2011 Topic: 122 Post: 4287 Age:
28
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 4:52pm |
|
|
Sooth sahiba kuch nahi honay wala......app bhi try karlain...shayad k utar jaye dil main appki baat kisi kay........magar meri tou nahi utri.....
hitman uncle.....hmmmm kharboza kharbozay ko dekh kar waaki main rung pakarta hai.........nice
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:1st Jun 2008, 5:26pm |
|
|
HM Aap ne bhi mujhe sooth aunty likhaa tha…hmmmm kharboza kharbozay ko dekh kar waaki main rung pakarta hai.........verrryyy niceeeeeeee
|
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:2nd Jun 2008, 7:27pm |
|
|
Sooth aunty main ne is ko read ker liya hai....
|
Sooth |
Group: Members Joined: 18th Jul, 2007 Topic: 303 Post: 1941 Age:
|
|
Posted on:18th Jun 2008, 11:08pm |
|
|
red chilli aunty good |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:19th Jun 2008, 6:26am |
|
|
solution Assala moalikom
Kafe acha topic hai sooth baji agar is par ham bahas karna laganga to bohat he taweel bahas hoge keyo ka ya har gahar ka masla hai sab sa pahla ham is ka zemadar hai keyo ka hamara zahno ma ya hai ka bahoo saas ke khed mat karte hai aur jo na kara woh sahe nahe hai masla waha sa shoro ya galat hai Islam ma kahe lekha nahe hai koe Hades ma nahe ka Baho Saas ke khed mat kara Sooth baji ap na bhe lekha hai ka os par Ferz hai ka woh saas ke khed mat kara Ferz nahe hai Bahoo par Bata par Ferz hai keyo ka woh os ka Maa Baap hai aur Maa Baap ke khedmat on ke aulaad par Ferz hai kese dosra par nahe agar koe Bahoo inkar karte hai to woh Gonah gar nahe hai Bewe par Ferz hai to os ka Shohar ke khdmat aur kese ke nahe haan Insane taqaza is ke ijazat nahe data ka saas ke khedmat na karo jaysa oske Maa hai waysa
he Shohar ke Maa hai aur jaysa on ke bateya hai Bahoo bhe on ke he bate ke tarah hai ya mai aur ap kah raha hai ya woh nahe sonchta zeyada tar Saas os ko bate ka nazreya sa nahe dakhte aek gher he ka tasawor keya jata hai iseleya bahoo ke chote he galate ghar ma wabal khara kardate hai agar woh bate samjte to bate ke chote se galate ko nazar andaz karte os ko samjhte aysa nahe hota aur dosre taraf bahoo Saas ko Maa nahe mante agar maa koe galate karda to ham samjhta hai hamare maa hai nazar andaz kardata hai jab maa nahe samajhte aur shohar sa os ke maa ka bara ma bata na lagte hai agar ham Islam par amal kara to ya Saas Baho ka jagro sa najat pa sakta hai keyo ka Islam kahta hai jab larka Baleg hogae aur kamana laga to os ke Shadi kardo aur osa alag kardo na rahe bans na baje bansore par koe nahe chata ka
alag raha apna Walden sa aur Walden khod bhe to nahe chata ka apne Bata ko alag rakha.
Har musalman par har aek ka Hoqooq hai aur har aek ka haq ada karna chaheya warna gonahgar hoga koe Shohar apne Bewi par hokom nahe chala sakta ka woh oske ghar walo ke khedmat kara agar woh apna sa karte hai to kara aur na karte hai to koe baat nahe ose tarah Saaas bhe Baho par zabar daste nahe karsakte ka woh oska bata ka alawa kese aur ke khedmat kara Nanad ya khod oske ya Sasor ke basa-o-qat ya dakhna ko melta hai ka jab saas ke farma bardare na karna par tanaa marna aur bahoo ka ghar walo ko bora bhala kahna aur kahna ka tomhara maa baap sahe tarbeyat nahe ke tomhare ya jehalat nahe to keya hai ose tarah Bahoo bhe apne saas ka kahna mana chaheya keyo ka woh ghar ke bare hai baro ke izzat karna chaheye jyasa oska maa baap ya bhe oska maa baab on ke khedmat karne chaheya sawab ke garez sa aur har cheez ka agar melaga donya ma bhe aur akherat ma bhe agar hamara gharo ma donya ke taleem ka saat saat agar deen ke taleem bhe sahe tareqa sa melte na to hamara gharo ma ya masla payda nahe hota donya ke taleem par ham
bohat zoor data hai aur deen ke taleem ka leya otna rojhan nahe hai hamara agar deen ke taleem bhe hamare sahe aur mokamal hote to hama pata hota ka Islam ma kes ka keya Hoqooq hai keya cheez Islam ma sahe hai keya galat kes ke khedmat karna hai kes ke nahe.
Aksar gharo ma sab aek saat rahta hai aur wahe par zeyada masla payda hota hai aur wahe par Saas Bahoo ka qessa sona ko melta hai aur koe ya nahe chata ka oska ghar ma larae ghagra hoo har koe yahe chata hai ka oska ghar ma bhe sab khoushe sa raha to aek he cheez ka dhayan rahna chaheya ka hamare zaat sa kese ko takleef na poncha yane hamare wajah sa kese ko koe takleef na poncha to masla khatam waysa aksar dakha gaya hai ka agar saas sahe hai to bahoo sahe nahe bahoo sahe
hai to saas sahe nahe. |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:21st Jun 2008, 6:35am |
|
|
To All kese na koch bataya he nahe mai na sahe kaha ya galat ya koe parhahe nahe |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:21st Jun 2008, 6:39am |
|
|
Sofi uncle main raat ko pahr ker bataungi
|
ch Babar |
Group: Members Joined: 15th Jul, 2007 Topic: 32 Post: 1869 Age:
39
|
|
Posted on:21st Jun 2008, 6:42am |
|
|
Red Chilli main bhi raat ko read karoon ga |
SOFI |
Group: Members Joined: 09th Jun, 2008 Topic: 10 Post: 441 Age:
29
|
|
Posted on:21st Jun 2008, 6:43am |
|
|
Red Chilli baji mai isleya poch raha hoo pahle dafa dene masla sa hat kar mai na itna lekah aur lekh kar bhe 2days hogae koe bataya he nahe aphe nahe sab bataeya ka jo mai kaha hoo sahe kaha ya galat |
Red Chilli |
Group: Members Joined: 20th Feb, 2008 Topic: 5 Post: 4968 Age:
|
|
Posted on:21st Jun 2008, 6:44am |
|
|
achaa theek hai ..zaroor pahreye ga
|
|